Qabaron Me Insani Zindagi ??

  • Work-from-home

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
@hoorain kia apko azaad bhai ki post ikhtelafi aur tanqeedi ny lagi?
report karne ke baad bhi staff me se kisi ne action nahi lia

deobandi hazrat @i love sahabah @Tooba Khan @nasirnoman @Fitna e Dil kia ap logon ko azaad bhai ki post nazar ny aayi?
agar yehi post my ne ya lovely bhai ne ki hoti to sara deoband toot parta mujh par aur lovely bhai par lekin wahi tanqeed koi barely ya dusra kare to apko nahi dikta ab isko kia kahun apki zatti dushmani ya kch aur?

aur meri post delet na ki jae my ne bas ittela di hy aur kch ny shukria
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
@hoorain kia apko azaad bhai ki post ikhtelafi aur tanqeedi ny lagi?
report karne ke baad bhi staff me se kisi ne action nahi lia

deobandi hazrat @i love sahabah @Tooba Khan @nasirnoman @Fitna e Dil kia ap logon ko azaad bhai ki post nazar ny aayi?
agar yehi post my ne ya lovely bhai ne ki hoti to sara deoband toot parta mujh par aur lovely bhai par lekin wahi tanqeed koi barely ya dusra kare to apko nahi dikta ab isko kia kahun apki zatti dushmani ya kch aur?

aur meri post delet na ki jae my ne bas ittela di hy aur kch ny shukria
thanx :)
duffer n azad kashmir ko continue karne dain plz!
 
  • Like
Reactions: lovelyalltime

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
ab chonke hoor ne ijazat de di hai ke hr baat reference or lojic ke ke sath hi honi chahiye or apni koi b zati raaye personal attack or firqa parasti ki baat nhi honi chahiye to main qabron se mangne ko ghalat sabit karne ke liye kuch ayaat pesh karna chahta hon or kashmir bhai se request karta hon ke woh in ayaaton ke muqable main mujhe qurani ayaat or sahi or mustanind ahadeesen pesh karen jo sahi or mustanind kitaabon main hi mojod hon
to islaam ka pehla rukn Toheed hai yani Allah ki wahdaniyat per yaqin or ek musalman ka yeh aqidah ke koi b pareshani koi b zarorat us wahid zaat ke ilava koi dusri hasti qadir nhi usko hal karne main or Allah ko yeh baat bilkol b bardasht nhi ke uski wahdaniyat ke saath kisi ko shareek muqarrar kya jai yani jo kaam sirf Allah hi kar sakta hai us kaam ki ummeeden dusron se baandh li jain to Allah ke siva jin logon se ummeden baandhi jain woh ghair Allah chahen button ki surat main mojod hon insani jism ki surat main zinda insan ho ya murdon ki surat main qabron main lete hoye hon un sab logon ko Allah ne unke ache amaal ki badolat dunya o akhrat main aala muqaam to ata farma dya hai lekin apni wahdaniyat ki sift main shamil karne ki ijazat quran o hadees ke mutabiq bilkol b nhi di jiski misaal hamen quran ki kaafi ayaton main milti hai or main kalme se start karta hon
La Ilaha Illallah Muhammadul Rasool Allah
Allah Ke Siva Koi Ibadat Ke Laiq Nahi Or Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Ke Rasool Hain

Allah ne apni wahdaniyat ka elaan ussi jumle se kya hoa hai jis jumle ko use kar ke koi insaan musalman hota hai to phir hum qabron ko waliyon ko ya Allah ke siva kisi b hasti ko is laiq kese samjh len ke us se woh ummeden laga len jo ummeden Allah se lagani chahiye?
ab dekhte hain murdon ke bare main Allah kya kehta hai or sab se pehle Azad Kashmir ki batayi hoi ayat dekhte hain

Or Jo Log Allah Ki Raah Main Maaren Jain Unhe Murdah Na Kaho Balke Woh Zinda Hain Or Apne Rab Ke Haan Rizq Pate Hain

to is ayat se yeh saaf zahir horha hai ke jo Allah ki rah main shaheed hojate hain unko murdah nhi kehna chahiye kyunke woh zinda hain lekin apne rab ke haan se rizq b paate hain yani shahadat ki mout marne ke bad bhi Allah insaan ko apni sift ata nhi farmata or woh shahadat ki mout marne ke bad bhi Allah hi ka muhtaj hai rizq pane ke liye
to zara sochiye jo shakhs khud apne rizq ke liye Allah ka muhtaj hai woh hamari muhtaji kaise dur kar sakta hai? jabke yeh ayat bhi sirf Allah ki rah main jaan dene walon ke liye hi nazil ki gayi hai ab woh log jo Allah ki rah main jaan nhi dete balke ek aam mout marte hain unke bare main Quran kya kehta hai

Or Woh Mabood Jinko Yeh Allah ke Siva Pukarte Hain Woh Koi Cheez Bhi Paida Nahi Kar Sakte.Balke Woh To Khud Paida Kye Gaye The.Woh To Murda Hain.Unko To Yeh Bhi Nahi Maloom Woh Apni Qabron Se Kab Uthayen Jainge(Surah Al Nahl.Ayat20-21)

Or Na Barabar Ho Sakte Hain Zinde Or Na Murden Bila Shuba Allah Hi Sunwata Hai Jisse Chahen Or Na Tum Ay Nabi SAW Suna Sakte Ho Unhe Jo Qabron Main Madfan Hain(Surah Al Fatir Ayat22)

Or Jinhe Tum Allah Ke Siva Pukarte Ho Woh Khajur Ki Ghutli Ke Raishe Ke Barabar Bhi Taqat Nahi Rakhte(Surah Fatir Ayat13)

Kon Zyadah Gumrah Ho Sakta Hai Us Shaks Se Jo Pukare Unhe Jo Nahi Javab De Sakte Usse Qayamat Tak Bhi Balke Woh To Unki Pukaar Se Bhi Bekhabar Hain(Surah Al Ahkaf,Ayat5)

yani Allah saaf or asaan lafzon main keh rha hai ke Allah ke siva hum jitne bhi logon ko madad ke liye hajat ke liye ya kisi b zarorat ke liye pukarte hain woh hamari bilkol bhi madad nahi kar sakte kyunke hajat puri karne wali zaat sirf Allah ki hi hai isliye woh log jo Allah ke siva baqi logon ko b pukarte hain unka aqidah yeh hota hai ke hum us qabar main lete hoye insaan se nhi mang rahe lekin chonke qabar main leta hoa insaan Allah ka wali tha Allah ka peghamber tha ya Allah ka koi naik banda tha isliye hum Allah se uske wasile se mang rhe hain to ayen dekhte hain is bare main islaam hamen kya taleem deta hai

Hazrat Adam aleh salam se le ker rehmat e do alam Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane tak jo but poja hoti rahi hai woh isi nazria,aqidah or imaan ki bina per hoti rahi hai ke khuda ke piyaron ki rohen apne button main apne charhaawe lene ati hain or pujariyon hajat mandon ki duaon or iltijaon ko le ker khuda ke pas jaati hain or khuda se unki sifarish karwati hain duniya main ab tak jitne butt tarashe gaye woh khuda ke naam se nhi tarashe gaye balke bandagan e khuda ke naam se hi tarashe gaye hain yani hr dur main insaan ko hi poja gaya hai
Hazrat Nooh Alaihi Salam ke dour main jo 5 butt(jinka hawala Quran Pak main mojod hai) yani Wadd,Sawa'a,Yaghus,Ya'ooq or Nasar the or inko khuda ke qarb ka zariya samjha jata tha log inko sajde karte inki niyazen dete or hajat rawaiyon ke liye inke age minnaten samajaten karte or inhi paanchon ko mitane ke liye Hazrat Nooh Alaihi Salam ne Saarhe Nou Sou Saal khon psina ek kya or inka ziker Sahi Bukhari Jild1 main yun aya hai
Wadd,Sawa'a,Yaghus,Ya'ooq, Nasar yeh sab naik aadmiyon ke naam hain jo Hazrat Nooh Alaihi Salaam ki qoum main se the,jab yeh Allah ko pyaare hogaye to shetaan ne logon ke dilon main yeh baat daal di ke jin jaghon per yeh log betha karte wahan unke naamon ke but bana ker nasb kardo
logon ne aisa hi kya or sirf yadgaar ke tour per aisa kya or inki parastish na karte the.or jab yaadgar banane wale buzurgon ki mortiyan khari karne wale mar khap gaye to unke bad aane walon ko yadgar banane ka ill o shaur na raha to un logon ne unki parastish shuro kardi or isi tarha but parasti ka silsila age barhta raha
or isi tarha khana kaba main jo mashur butt 'Laat' tha.tafseer ibn e jareer main likha hai ke darasal Laat ek insaan tha jo kaba tul Allah ki bari dekh bhaal karta tha .bara fayyaz or mehman nawaz tha or kaba ki safayi suthrai ka bara khayal rakhta tha or jab woh mar gaya to baad ke logon ne uske naam ka butt bana ker khana kaba main rakh dya or us butt ke aage wohi aqideh or arzouyen le ker aane lage jo is se pehle qoum e Nooh aleh salam kya karti thi or isi tarha makkah bhi patharon ko tawajjah ka markaz bana darhaqiqat apne buzirgon insaano ko hi khush karte the unki poja kar ke or kehte the

Hum To In Laat Manaat Buzurgon Ki Poja Sirf Is Liye Karte Hain Ke WOh Allah Ke Piyaare Hain Or Hamen Allah ke Nazdeek Kar Denge(Surah Az Zumar23)
Or Kehte Hain Ke Yeh Muqarreban Allah Ke Paas Hamare Sifaarshi Hain(Surah Younus Ayat6)

to zara sochiye un logon ka aqidah or soch bhi yahi thi jiski gavahi Quran Pak bhi de rha hai or aaj hamara aqidah or hamari soch bhi yehi hai
to Qoum e Nooh ke liye to Allah ne Hazrat Nooh Alaihi Salam Ko Rasool Bana Ke Bhej Dya Tha Or Makkah ke butt Paraston ke liye or puri kainaat ke liye Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Rasool Bana Ker Bhej Dya tha jisne tamaam aqidon imaanon or nazariyaaton ko ghalat qarar de ker Ek Allah ki taraf bulaya tha
lekin ab na koi Rasool Aana Hai jo hame samjhai ga or na hi koi kitaab nazil hogi hamari rehnumayi ke liye ab sirf qayamat hi aayegi or qayamat se pehle pehle hum apne apne aqideh or nazariyat change kar ke Ek Allah ki taraf Ruju karlenge to hamari falah hai or to hi Rasool Allah ki talemaat per amal hai lekin hum isi tarha Allah ki siffat ke sath baqi hastiyon ko Shareek karte rahenge to Allah Quran Pak Main SHirk Ke Mutalliq Kaafi Jaghon Per Irshaad Farma Chuka Hai


Tumhare Rab Ne Faisla Kar Dya Hai Ke Tum Uske Siva Kisi Ki Ibadat Na Karo Or Maa Baap Ke Saath Bhalayi Karte Raho.Agar In Main Se Ek Ya Dono Tumhare Saamne Budhape Ko Pohonch Jain To Unko Uff Tak Na Kehna Or Na Unko Jharakna Or Unse Baat Adab Se Karna(Bani Israil. Ayat25)

Yeh Is liye Ke Jab Tanha Khuda Ko Pukara Jata Tha To Tum Inkaar Kar Dya Karte The Or Uske Saath Shareek Muqararr Kar Dya Jata To Tum Tasleem Kar Lete The.To Hukum To Allah Hi Ka Hai Jo Sab Se Oper Or Sab Se Bara Hai(Almomin Ayat40)

Pochiye Kon Hai Jo Tumhe Khushki Se Tari Ki Tareekiyon Se Nijaat Deta Hai Tum Usko Gir Gira Ker Or Chupke Chupke Pukarte Ho Or Kehte Ho Ke Agar Humko Is Musibat Se Allah Bacha Le To Albatta Hum Zaror Shukar Guzaar Honge.Keh Di Jiye Ke Allah Hi Tumko Is Se Nijaat Deta Hai Or Har Becheni Se Bhi.Phir Bhi Uske Saath Tum Shareek Tehrate Ho?(Al Inaam ayat6364)

Nahi Balke Musibat Ke Waqt Tum Ussi Ko Pukarte Ho Jis Dukh Ke Liye Usse Pukarte Ho Or Woh Chahta Hai To Usko Dur Kar Deta Hai Or Jinko Tum Shareek Banate Ho Us Waqt Unhe Bhol Jate Ho(Al Inaam.Ayat41)
 

i love sahabah

TM Star
Sep 17, 2008
1,108
1,572
1,313
@hoorain kia apko azaad bhai ki post ikhtelafi aur tanqeedi ny lagi?
report karne ke baad bhi staff me se kisi ne action nahi lia

deobandi hazrat @i love sahabah @Tooba Khan @nasirnoman @Fitna e Dil kia ap logon ko azaad bhai ki post nazar ny aayi?
agar yehi post my ne ya lovely bhai ne ki hoti to sara deoband toot parta mujh par aur lovely bhai par lekin wahi tanqeed koi barely ya dusra kare to apko nahi dikta ab isko kia kahun apki zatti dushmani ya kch aur?

aur meri post delet na ki jae my ne bas ittela di hy aur kch ny shukria
Asalam o alikum to all muslims

janab aap ka yehi masla hay k har baat ka ghalat matlab lety ho........

aor Azad Kashmir sahib ki post bilkul abi mie ne perhi hay aor es main deobandiyu pe itraaz hay aor mien jawab dena ka irada kar raha tha lakin aap ne pehly admin ko keh diya aor ye action to mien kai baar keh chuka hun k ADMIN ko lena chahye lakin wohi har baar anzar undaaz karty hain aor phir humian jawab dena parta hay.

aap ka ye kehna k aap ya lovely post karty to mien ya deobandi shoor machaty ghalat hay kyun k mien Lovely ya aap ki os post pe itraaz karta hun jahan aap log imam abu haneefa(RA) aor fiqa hanfi k khilaf apny dil ki bharaass nikalty ho to mien wait karta hun k ADMIN es pe tawajah dain ge lakin jab koi action nien leya jata to main jawab deta hun...
Lovely se mera shadeed ikhtelaf hay kyun k wo AHANAF KO KHATME NABUWAT KA MUNKIR samjhta hay lakin ye ikhteklaf zaati nain hay.
aor mien Lovely ki sirf es post pe tanqeed karta hun jahan lovely imam abu hanifa(RA) aor fiqa hanfi pe itraaz kartty hain warna lovely ki kai posts aysi bhi hain jahan koi reply nien kiya...
zaati ikhtelaf hota to har post pe hota.
jab bhi lovely ya koi yahan ahnaf k khilaf ya imam abu hanifa(RA) k khilaf post kary ga to mien admin k action na leny pe zarur jawab dun ga.
Aor ab bhi meri es post pe shayed itraaz mujh pe hi ho k mien ne ksi pe tanqeed kar di lakin mien muslim sahib ki post ka jawab de raha tha kyun k ye har baat ka ghalat matlab lety hain.
 

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
Asalam o alikum to all muslims

janab aap ka yehi masla hay k har baat ka ghalat matlab lety ho........

aor Azad Kashmir sahib ki post bilkul abi mie ne perhi hay aor es main deobandiyu pe itraaz hay aor mien jawab dena ka irada kar raha tha lakin aap ne pehly admin ko keh diya aor ye action to mien kai baar keh chuka hun k ADMIN ko lena chahye lakin wohi har baar anzar undaaz karty hain aor phir humian jawab dena parta hay.

aap ka ye kehna k aap ya lovely post karty to mien ya deobandi shoor machaty ghalat hay kyun k mien Lovely ya aap ki os post pe itraaz karta hun jahan aap log imam abu haneefa(RA) aor fiqa hanfi k khilaf apny dil ki bharaass nikalty ho to mien wait karta hun k ADMIN es pe tawajah dain ge lakin jab koi action nien leya jata to main jawab deta hun...
Lovely se mera shadeed ikhtelaf hay kyun k wo AHANAF KO KHATME NABUWAT KA MUNKIR samjhta hay lakin ye ikhteklaf zaati nain hay.
aor mien Lovely ki sirf es post pe tanqeed karta hun jahan lovely imam abu hanifa(RA) aor fiqa hanfi pe itraaz kartty hain warna lovely ki kai posts aysi bhi hain jahan koi reply nien kiya...
zaati ikhtelaf hota to har post pe hota.
jab bhi lovely ya koi yahan ahnaf k khilaf ya imam abu hanifa(RA) k khilaf post kary ga to mien admin k action na leny pe zarur jawab dun ga.
Aor ab bhi meri es post pe shayed itraaz mujh pe hi ho k mien ne ksi pe tanqeed kar di lakin mien muslim sahib ki post ka jawab de raha tha kyun k ye har baat ka ghalat matlab lety hain.
apne kaha my har baat ka galat matlab nikalta hun ye mere upar jhoota bohtan hy

my ap se bahes nahi karna chahta lekin itna zaroor kehna chahunga ke jis tarah ap abu hanifa ka difa karte hy usi tarah quran aur hadees ka bhi karna seekh jae shukria
 

Fitna e Dil

Newbie
Apr 22, 2012
47
46
318
@hoorain kia apko azaad bhai ki post ikhtelafi aur tanqeedi ny lagi?
report karne ke baad bhi staff me se kisi ne action nahi lia

deobandi hazrat @i love sahabah @Tooba Khan @nasirnoman @Fitna e Dil kia ap logon ko azaad bhai ki post nazar ny aayi?
agar yehi post my ne ya lovely bhai ne ki hoti to sara deoband toot parta mujh par aur lovely bhai par lekin wahi tanqeed koi barely ya dusra kare to apko nahi dikta ab isko kia kahun apki zatti dushmani ya kch aur?

aur meri post delet na ki jae my ne bas ittela di hy aur kch ny shukria​
انھوں نے رومن اُردو میں لکھا ہے اتنی بڑی پوسٹ جو رومن میں ہو وہ مین نہیں پڑھتا۔
 

Mughal1

Regular Member
Dec 12, 2010
126
36
328
pyare dosto, agar aap sahee islam jaanana chahte ho to sab se pehle us pemane ko talaash karo jis ko haq baat ka mayaar maana jaa sake.

woh pemaana aqlo wahee hai.

aqal aik aisi cheez hai jo malumaat ko samajhne main madad deti hai.

aqal maloomat ke baghair bekaar hai aur malumaat baghair aqal ke bekaar.

is baat se yeh maloom ho jaana chahiye ke jo khud ko musalmaan kehte hen magar aqal aur wahee ke dushman hen woh islam ko kahan tak samjhte hen.

islam deen hai mazhab nahin hai. is liye is ko batore deen hi samjhne ki koshish karen aur mazhabi behsun main na uljhen.

deen duniya main rehne ka tareeqa saleeqa sikhaata hai aur is ka maqsad duniya main insaanu ke darmiyaan aman qaaim karna hai.

ab sawaal peda hota hai insaanu ke darmiyaan aman kese qaaim kiya jaa sakta hai?

is ke liye quran kuchh shraaito quaid bataata hai. misaal ke tor par insaan ki insaan ki ghulaami se azaadi, adlo insaaf insaanu ke darmiyaan, insaanu ke darmiyaan rehamdili aur bhaichaara, insaaniyat ki taraqi aur khushhaali waghaira.

quran ka yeh daawa hai ke agar log in usoolun ko maane ge nahin aur in par amal pera nahin hun ge to aman ka sawaal hi peda nahin hota jo quran ka insaanu ko diya huwa maqsad hai. isi liya quran aik manshoor hai aman ka aur aik dastoor hai aman ka.

yahee wajah hai shariat ka sirf aur sirf wahee qanoon ain islami qanoon hai jo aman qaaim karne aur aman ko bahaal rakhne main madadgaar saabit ho sake.

is tarah ki baatun ko saamne rakh kar khud fesla kar len kon log islam ko sahee tor par samajh rehe hen aur kon log nahin.

is baat ko hamesha yaad rakhen jin logoon ko islam ke bunyaadi usoolun ka hi ilm nahin woh kahan ke aalme deen hen. is liye har shakhs ki baat sunen aur us par ghor karen agar woh pemaane par sahee utre to theek warna ghalat.

har firqa main achhi baaten bhi hen aur ghalat bhi, bas aap khud main sahee aur ghalat ki tameez peda karen aqlo fikr ke sahee pemaane doondh kar.
 

lovelyalltime

I LOVE ALLAH
TM Star
Feb 4, 2012
1,656
1,533
913
pyare dosto, agar aap sahee islam jaanana chahte ho to sab se pehle us pemane ko talaash karo jis ko haq baat ka mayaar maana jaa sake.

woh pemaana aqlo wahee hai.
salam. kia islam maian herr cheez ko hum apni aqal say parakh saktay haian.

kia hum quran aur sahih ahadees ko islam ka peemana keh saktay haian.[DOUBLEPOST=1352116512][/DOUBLEPOST]
har firqa main achhi baaten bhi hen aur ghalat bhi, bas aap khud main sahee aur ghalat ki tameez peda karen aqlo fikr ke sahee pemaane doondh kar.
kia hum kissi bhi firqa ki batoon ko aqlo fikr ki bina per sahih ya ghalt ka janch saktay haian.
 
  • Like
Reactions: *Muslim* and DuFFer

azad_kashmir

Newbie
Oct 30, 2012
8
0
1
Bahrain
sb se pehli baat mein ye waziah kr dena chahta hoon k kuch logon ko ye ghalat fehmi hy k sunni log oliya se mangtey hein, es barey mein humara ye aqeeda hy k humari ebadat or sajdey k laiq sirf Allah Tala Hy, Hum Allah ki Zaat o sifaat mein kisi ko shareek krny ka soch b nhi sktey ,hum sunni log jis ko ''jo'' bhi mantey hein Allah ki taqat se mantey hein, agr or apne dimag se ye baat nikal 2 k hum ma'az Allah kisi insan ko Allah k sath shareek krty hein, or hum sunni log Oliya e Allah se nhi mangtey balkey un k sadqey mein mangtey hein, es link ko clik kr k dekho k tou pta chl jaye ga,

Note: Firqawarana videos are not allowed due to some restrictions....Hope u understand and will take care next time
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Aap plz Likh k btayain..
q k aik to youtube videos visible nhi hain pak may,,aur dusri baat itni lambi videos sab daikhte bhi nhi!
to in may jo kaha gya hay aap un may se according to Topic jo points hainusse apne alfaz may summarize kariye!
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
sb se pehli baat mein ye waziah kr dena chahta hoon k kuch logon ko ye ghalat fehmi hy k sunni log oliya se mangtey hein, es barey mein humara ye aqeeda hy k humari ebadat or sajdey k laiq sirf Allah Tala Hy, Hum Allah ki Zaat o sifaat mein kisi ko shareek krny ka soch b nhi sktey ,hum sunni log jis ko ''jo'' bhi mantey hein Allah ki taqat se mantey hein, agr or apne dimag se ye baat nikal 2 k hum ma'az Allah kisi insan ko Allah k sath shareek krty hein, or hum sunni log Oliya e Allah se nhi mangtey balkey un k sadqey mein mangtey hein, es link ko clik kr k dekho k tou pta chl jaye ga,

Note: Firqawarana videos are not allowed due to some restrictions....Hope u understand and will take care next time
azaad bhai main apki baat se ittifaq karta hon ke ap log Allah ke bandon se nahi mangte balke unke sadqe main ya unko wasila bana ker ya unka waasta de ker Allah se hi mangte hain theek?
to aap bas mujhe yeh bata den ke Allah se mangne ka yeh tarika kya tarika e Muhammadi SAW hai?
or agar yeh tarika tarika e Muhammadi hai to plz isko Quran o hadees se sabit karen
or agar yeh tarika tarika e Muhammadi nahi hai or Quran o hadees se yeh tarika sabit bhi nahi hai to phir ap plzzzzzzzzzzzzzzzzzzz is baat ko tasleem karen ke maangne ka yeh tarika islaam ne hamen nhi sikhaya balke yeh tarika hum logon ne khud ijaad kya hai
or islaam main apni marzi se kuch bhi ijaad karne ke baare main Quran yeh kehta hai

ay imaan walon Allah or uske rasool SAW se age mat barho or Allah se darte raha karo yaqinan Allah sunne wala janne wala hai(al hajraat ayat1)

kya in logon ne Allah ke aise shareek muqarrar kar dye hain jinho aise ehkaam e deen muqarrar kar dye hain jo Allah ke farmaye hoye nahi.agar faisle ke din ka waada na hota to abi hi in main faisla kardya jata.yaqinan in zaalimon ke lye dardnaak azaab hai(alshura.ayat21)

jabke Rasool SAW Allah ki ahadeeson se b yeh sabit hota hai ke deen main apni marzi se koi b tarika ijaad karne ki hamen ijazat nahi yeh dekhen

hazrat Ayesha rz bayan karti hain ke Nabi kareeem Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya
jis ne deen main koi aisi cheez ijaad ki jo hum ne nahi batayi ho to woh mardood hai(sahi bukhari,jild2,hadees number98)
or isi mayene ki dusri riwayat muslim shareef ki b hai ke
Rasool Allah SAW ne farmaya 'jis ne koi aisa amal kya jis ka hukum ham ne nahi diya to woh mardood hai(sahi muslim,hadees number1718)

jabke Rasool e paak ne apne akhri khutbe main b yeh irshaad farma dya tha ke Allah ne deen e islaam mukammal kar dya hai ab is main na koi kami ki ja sakti hai or na hi koi barhtari ki ja sakti hai
to phir aap log deen e islaam ke bataye hoye tarikon ko chor ker apni marzi se tariken ijaad kar ke kaise un tariken per amal karne ki himmat kar lete ho?
 

Mughal1

Regular Member
Dec 12, 2010
126
36
328
salam. kia islam maian herr cheez ko hum apni aqal say parakh saktay haian.

kia hum quran aur sahih ahadees ko islam ka peemana keh saktay haian.[DOUBLEPOST=1352116512][/DOUBLEPOST]

kia hum kissi bhi firqa ki batoon ko aqlo fikr ki bina per sahih ya ghalt ka janch saktay haian.
azeezam lovelyalltime sb, Allah aap ko salaamati ataa farmaaye aur deegar ham sab ko bhi.

Jahan tak islam ka taaluq hai quran ki roshni main teen cheezun ki aapas main nisbat ko samjhna bahot hi zaroori balkeh laazmi baat hai.

aqal, malumaat aur ilm. in ka taaluq aapas main aankh aur roshni ka hai. yani agar roshni ho magar aankh main dekhne sift na ho to roshni bekaar aur isi tarah agar aankh drust ho magar roshni na ho to aankh bekaar.

insaan ki afzaliyat ki wajah hi yahee hai keh yeh khud aqal seekhta hai, khud malumaat haasil karta hai aur khud hi un malumaat ko samjhta hai. jis shakhs main yeh ehliyat ho sirf aur sirf wohi shakhs wahee ko samajhne ka ehl ho sakta hai.

insaan ko wahee tak pohnchane se pehle is duniya ke zariye tajarbaat ki bunyaad par ilm haasil karna hota hai. jab us ko achaayee aur buraayee ko parkhane ka tajarba ho jaaye tab woh is qaabil hota keh woh wahee ke zariye di gayee malumaat ko achhi tarah se janch sake. yahee waja hai jin ko duniya ka munaasib had tak ilm nahin un ke aakhirat se mutalqa ilm par bhi bharosa karna drust nahin ho ga.

aaj firqun ki asal wajah hi yahee hai ke log bila tehqeeq aik doosre ke peechhe chal rehe hen aur apni apni kar rehe hen aur yun musalmaan ummah ka shiraaza bhikhar kar reh gayaa hai.

mulaiyat ne logoon ko deen se bahot door kar diya aur log secular aur mazhabi taaqatun ke darmiyaan aik futbaal ban kar reh gaye hen.

agar log logoon ke bajaaye quran main diye ge usoolun ke zariye deen samajhte to in ki yeh haalat na hoti. ab yeh haalat us waqt tak rehe gi jab tak log qurani taleemaat ki taraf palat kar nahin aate. aur qurani taleemat ki taraf woh us waqt tak aa hi nahin sakte jab tak in main duniya ko samajhne ki ehliyat peda karne ka ehsaas hi peda nahin hota.

is main shak nahin ke fiqh ki apni jaga bahot hi aham hesiyat hai islam main magar fiqh sirf woh hai jo sahee hadithun ki roshni main duniya main insaniyat ko pesh aane waale masaail ko madde nazar rakh kar murattab ki gayee hai duniya main salaamti phelaane ke liye.

aur is baat main bhi shak nahin hai keh hadithun ka islam main apna aik muqaam hai magar baat tawajjuh talab yeh hai keh kon si rawaayat drust hai aur kon si nahin aur kyun. yahan bhi yeh asool istemaal karne ke ilaawa koi chaara nahin keh hadith ki rawayaat ko aqal ki roshni main, duniyaawi haqaaiq ko saamne rakh kar quran ke syaqo sbaaq ke mutaabiq parkha jaaye. jo rawaayat is pemaane par poori utre us ko sahee maane main kisi ko bhi kuchh tradud nahin hona chahiye.

isi tarah quran ke ilfaazo aayaat ke jo maani liye jaaye un ko bhi duniyaawi haqaaiq ko madde nazar rakh kar samajhna lazmi hai tah ke ghaltiyun ka ehtmaal kam se kam ho jaaye.

yun jis kisi ki baat drust maloom pade us ko tasleem kar liya jaaye aur jo baat ghalat maloom pade us ko chhor diya jaaye. isi tareeqe se qurano hadith aur fiqh ko samjhne se firqun ka qala quma kiya jaa sake ga aur yun ummat ko yak jaan hone ka moqa mil jaaye ga. yeh baat islam aur musalmaanu se dushmani karne waalun ko gawaara nahin hai aur woh har tarah ki sazishen karte rehte hen. jin main secular aur mazhabi taaqtun ki pushtpnahi shaamil hai ta keh is ummat ko paoon ki jooti ki tarah rakha jaa sake. hamare siyasi aur mazhabi rehnuma is saazis main buri tarah mubtila hen aur is ka asar hamaare saamne aahista aahista khul kar saamne aa raha hai.

yahee waja hai agar ham in saazishun ka muqaabla karna chahte hen to phir ham ko ilm seekhna hoga ta keh ham khud bhi insaan ban saken aur insaaniyat ko bhi sahee raasta dikhaane ke qaabil ho saken.

Allah taala ham sab ko ghoro fikar ki ehliyat bakhshe.

Note: All your shared linked deleted q k yeah wo links thay ju mnkareny ahadees hy aur ahadess ku manaty nahi so pls next time autnetic link share kijiye
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
@DuFFer bhai abhi jawab ka department aapka hai
aap zyada behetter andaz se reply karoge INSHA'ALLAH
aur MASHA'ALLAH silsila jaari hai apke jawabon ka to plzz continue
me also liking and getting knowledge . . .
 
  • Like
Reactions: DuFFer

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
pehle koi ye tou btao k shirk ki tareef kya hy??? bar bar aap log shirk ki baat kr rhy ho!!![DOUBLEPOST=1352227716][/DOUBLEPOST]View attachment 55276
aap ne meri pichli posting ka reply nhi kya lekin its ook kyunke yahan hamari kaafi baaton ke javabaat nhi dye jate
aapne kaha shirk ki tareef kya hai to shirk ek arbic lafz hai jiske urdu mayene shareek ke hote hain yani Allah ke saath Allah ki siffat main Allah ki wahdaniyat main kisi bhi zaat ko shareek kar lena shirk kehlata hai or yehi wajah hai ke Quran pak main shirk karne walon ko mushrakeen kaha gaya hai or unka thikana jahannum ki aag batayi gayi hai
or aapne jo hamen wasile ki tareef batayi hai yaqeen jaaniye hum main se koi musalman wasile ka munkir nahi kyunke wasila Zaria ko kaha jata hai or Allah rabbul izzat apna har kaam kisi na kisi wasile se hi karta hai nauzubillah khud directly zameen per aker nhi karta uski shaan to yeh hai ke jab woh kisi bhi cheez ka irada farmata hai to hukum farmata hai ke ho ja or woh hojati hai wasila khud ba khud ban jata hai hum dunya main aaye kisi na kisi wasile se hi aaye agar ilm hasil krte hain to ustaadon ke wasile se hi karte hain puri kainaat takhleeq hoi kisi na kisi wasile se hi hoi insaan mushrik hogaye or Allah ko bhool gaye to Allah ne apne peghambaron ko wasila bana ker dunya main bheja darhaqiqat kainaat ka hr nizaam kisi na kisi wasile se hi chal rha hai
to wasile ko wasila manne se to kisi ko koi inkaar hi nhi yaar inkaar to sirf wasile se mangne per hai or hamara sawal wohi hai ke wasile se mangne ki taleem Allah ka nazil karda Quran ya Muhammad SAW ke farmanaat dete hain ya nahi?
Quran se sabit karne ke liye sab se pehle aapne Surah e Mayeda ki ayat number 35 sunayi
Ay imaan walo Allah se daro or uski taraf wasila dhondo
iski asaan tashreeh to yehi banti haina ke Allah se daro or uski tarf ane ka zariya dhondo
or Allah rabbul izzat ki raza hasil karne ka behtreen zaria hamare pas Quran o hadees ki surat main mojod hain
to aap mujhe sirf yeh bata den ke is ayat main wasile se mangne ka zikar kahan hai?
jabke apne dusri ayat surah nissa ki ayat64 sunayi us main bhi wasile se mangne ka koi zikar nhi balke us main to yeh bataya gaya hai ke jab koi apni jaan per zulm kar chuke or phir Allah se maafi mangna chahe or MUhammad SAW ki shifa'at b hasil ho to Allah ko tobah qabool karne wala meherban payenge
to Muhammad SAW ki shifa'at unko Allah ki tarf wasila bana ker hasil hogi ya unke farmanaat per unki talemaat per amal kar ke hasil hogi?
teesri ayat main Allah ne jin kafiron ka zikar kya jo peghambaron ko wasila bana ker mangte the to apne us ayat e kareema ko apne maqsad ke lye istimaal karlya yeh tak nhi socha ke Allah ne ussi ayat main un logon ko yahodi kaha hai jabke aap or hum Alhamdulillah musalman hain
chohti ayat jis main Allah farmata hai ke woh maqbol bande jinhe yeh kafir pojte hain woh aap hi apne rab ki taraf wasila dhondte hain ke in main kon zyada muqarrib hai
ab aap agar is ayat ko ghor se parhen to Allah ne is ayat main wasila dhondne walon per tanqeed ki hai tareef nhi ki or tabhi unko Kafir ke lafz se b nawaza gaya hai to aap kindly mujeh yeh bata den ke aap yahan hamen deen e islaam se impress karne aaye hain ya kaafiron ke amaal se? aap hamen woh ayaten sunain na jin main Allah wasila bana ker mangne ka hukm deta hai ya wasile se na mangne walon ko ghalt kehta hai aap jo ayat suna rhe ho un main yahodi or kafiron ka zikar to hai ke woh kis tarha wasila bana ker mangte the lekin musalmanon ke liye ehkamaat nhi hai ke musalmanon ko bhi un yahodi or kafiron ki tarha Allah ki taraf koi wasila bana ker mangna chahiye
 
  • Like
Reactions: *Muslim*
Top