~*~ haazir jawabi ~*~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الـرحمن الرحيـم

السـلام و عليـكم

main firse ek baar aapki khidmat me ek naye waqiye k saath hazir e khidmat hon.umeed k aapko pasand aaye.

ek martaba ka zikr hai k hazrat ali raziAllahu anhu aur dosre ek sahabi e rasool (pbuh) dono saath baith kar khajoor khaa rahe thei.hazrat ali raziAllahu anhu khajoor khaate jaate aur uski guthliyan apne baazu me rakhte jaate.ye dekh kar dosre sahabi ne bhi apni saari guthliyan hazrat ali raziAllahu anhu k samne rakh din.

aur kahne lage k dekho ali ne kitni saari khajoorein khaalin.ye sunkar hazrat ali raziAllahu anhu ne barjasta jawab dia aur kaha k haan maine itni khajoorein baghair guthliyaon k khaayin laikin aapne to guthliyaon k saath hi khaalin.

ye jawab sunkar wo sahabi hans pare.
 
~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Heheehee....Bahut khoob.....
Mei bhi kuch share karne ki koshish karungi...
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
بسـم الله الـرحمن الرحيـم

السـلام و عليـكم

main firse ek baar aapki khidmat me ek naye waqiye k saath hazir e khidmat hon.umeed k aapko pasand aaye.

ek martaba ka zikr hai k hazrat ali raziAllahu anha aur dosre ek sahabi e rasool (pbuh) dono saath baith kar khajoor khaa rahe thei.hazrat ali raziAllahu anha khajoor khaate jaate aur uski guthliyan apne baazu me rakhte jaate.ye dekh kar dosre sahabi ne bhi apni saari guthliyan hazrat ali raziAllahu anha k samne rakh din.

aur kahne lage k dekho ali ne kitni saari khajoorein khaalin.ye sunkar hazrat ali raziAllahu anhu ne barjasta jawab dia aur kaha k haan maine itni khajoorein baghair guthliyaon k khaayin laikin aapne to guthliyaon k saath hi khaalin.

ye jawab sunkar wo sahabi hans pare.

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
jazakallah khair janab

waise ye khud Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam aur hazarat Ali r.a ka waqiya hai
aur apne razia allahu anha likhe hain jo ke galat hai anhu karden :)
 
sOhNi_

Super Star
Sep 4, 2010
5,507
3,502
1,113
SUBHAN ALLAH....
MASHALLLAH bht hi achi sharing ki hai appne...
JAZAK ALLAH KHAIR
bht shukriyaaa
Keep sharing
Khush Rahien
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalm u alaikum..
wahhhh..
boht maze ki sharing hai..
or b share krte rahen..

nasir bhai ne thek kaha hai..likhte huve thora dehan rakhen..:)wese ye thread mera most favorite thread hai..
 
  • Like
Reactions: Aara'af

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
بسـم الله الـرحمن الرحيـم

السـلام و عليـكم

main firse ek baar aapki khidmat me ek naye waqiye k saath hazir e khidmat hon.umeed k aapko pasand aaye.

ek martaba ka zikr hai k hazrat ali raziAllahu anhu aur dosre ek sahabi e rasool (pbuh) dono saath baith kar khajoor khaa rahe thei.hazrat ali raziAllahu anhu khajoor khaate jaate aur uski guthliyan apne baazu me rakhte jaate.ye dekh kar dosre sahabi ne bhi apni saari guthliyan hazrat ali raziAllahu anhu k samne rakh din.

aur kahne lage k dekho ali ne kitni saari khajoorein khaalin.ye sunkar hazrat ali raziAllahu anhu ne barjasta jawab dia aur kaha k haan maine itni khajoorein baghair guthliyaon k khaayin laikin aapne to guthliyaon k saath hi khaalin.

ye jawab sunkar wo sahabi hans pare.

walikum salam
jazakAllah
:)

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
shukriya aap tamam ka k aapne isse pasand kia.
aur han anaaya maine likhne me ghalti kardi thi laikin ab sahih hai.
jazakAllah khair nasir bhai.
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم

السـلام و عليـكم

ek martabe ka waqiya hai k ek badshah k paas ek ghora(horse) tha jise wo behad chahta tha.wo ghore me bhi wo tamam khasiyatein thin.jo badshah k chahne ka sabab bani.

badshah ghore(horse) ka khaas qayal rakhta tha.uski dekh bhaal karne keliye usne apne naukar ko maqsoos karchuka tha.taake uski acchi tarha dekh bhaal karsake.

ek din ki baat hai ghora(horse) bimaar par gaya.badshah ne apne mulk k bahetreen hakeemaon ko bulwaya aur is ghore ka ilaaj karwaya laikin chund dinaon me ghora margaya.

badshah ko ye sunkar bada afsoos hua.wo ye nahi chahta tha k uska ghora marjaaye.iskeliye usne apne mulk k tamam hakeemaon ko bulaya aur kaha k mere ghore ko dekho aur kaho k wo kaisa hai agar ksi ne bhi ye kaha k ghora(horse) marchuka hai to main usko saza doonga.aur main is maamle me jhoot bhi nahi sunna chahta.

ab saare hakeem pareshaan hogaye k kia kia jaaye.jhoot wo sunna nahi chahta aur sach hum kah nahi sakte.ek hakeem jo un saare hakeemaon me hoshiyaar lagta tha.usne is marey hue ghore(horse) ko dekha aur kaha ! badshah salamat aapka ghora to bilkul theek hai.abhi wo gahri neend soya hua hai.jab main usko marta hon tab bhi wo kuch harkat nahi karta, jab main usko khaane keliye ghaans daalta hon to bechara khaata hi nahi.na saans leta hai aur nahi saans chorta hai.jab main uski aankh kholta hon to wo dobara band karleta hai.

badshah ko ghussa aaya aur usne kaha arey seedha kaho na k wo margaya hai.ye sunkar us hakeem ne kaha k badshah salamat ye baat maine nahi balke aaphi ne kahi hai.

ye sunkar saare log hans pare.
 
Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
aray wah arshad bhai....kia sharing ki hay...zabardast...{(haha})
 
walikum asalam
:)
bht hi achi sharing hai
hehehehehe
how smart hakeem shahab
{(moc)}
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
بسـم الله الرحمـن الرحيـم

السـلام و عليـكم

ek martabe ka waqiya hai k ek badshah k paas ek ghora(horse) tha jise wo behad chahta tha.wo ghore me bhi wo tamam khasiyatein thin.jo badshah k chahne ka sabab bani.

badshah ghore(horse) ka khaas qayal rakhta tha.uski dekh bhaal karne keliye usne apne naukar ko maqsoos karchuka tha.taake uski acchi tarha dekh bhaal karsake.

ek din ki baat hai ghora(horse) bimaar par gaya.badshah ne apne mulk k bahetreen hakeemaon ko bulwaya aur is ghore ka ilaaj karwaya laikin chund dinaon me ghora margaya.

badshah ko ye sunkar bada afsoos hua.wo ye nahi chahta tha k uska ghora marjaaye.iskeliye usne apne mulk k tamam hakeemaon ko bulaya aur kaha k mere ghore ko dekho aur kaho k wo kaisa hai agar ksi ne bhi ye kaha k ghora(horse) marchuka hai to main usko saza doonga.aur main is maamle me jhoot bhi nahi sunna chahta.

ab saare hakeem pareshaan hogaye k kia kia jaaye.jhoot wo sunna nahi chahta aur sach hum kah nahi sakte.ek hakeem jo un saare hakeemaon me hoshiyaar lagta tha.usne is marey hue ghore(horse) ko dekha aur kaha ! badshah salamat aapka ghora to bilkul theek hai.abhi wo gahri neend soya hua hai.jab main usko marta hon tab bhi wo kuch harkat nahi karta, jab main usko khaane keliye ghaans daalta hon to bechara khaata hi nahi.na saans leta hai aur nahi saans chorta hai.jab main uski aankh kholta hon to wo dobara band karleta hai.

badshah ko ghussa aaya aur usne kaha arey seedha kaho na k wo margaya hai.ye sunkar us hakeem ne kaha k badshah salamat ye baat maine nahi balke aaphi ne kahi hai.

ye sunkar saare log hans pare.
Wa'alaikum assalam

arshad bhai superb sharing maza a gaya
 
Top