Waseela Zarori Hai!!! *Must Read Topic of the Week*

  • Work-from-home

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-ALikum,

ap sy ek sawal poochhna hai ?

Allah Taala apney bandon sy 70 mother sey ziada mohabbat karta hai.
ek mother apney bachey sy kitni mohabbat karti hai ?
mislan ek nafarman beta jab apni mehbooba k kehney main aaker apni mother ka dil nikal ker jany lagta hai to jab thhoker khka ker girta hai to mother ky dil sy awaz aati hai k "beta tujhey chot to nahi lagi"
ye ek mother ki mohabbat hai apny itney nafarman betey sy(jo nafarmani ki inteha per poncha or mother ko mar dala) bhi itni mohabbat karti hai to isko zarab dain 70 sy or jo jawab apko miley phir sochain Allah apney ek nafarman bandey sey bhi kitni mohabbat karta hoga ?

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM

Haan ji but app jo kehna cahty hain woh kahain janab misalain daine ki kiya zarorat hai {}{5tr
 
Assalam-o-Alikum,

ye ap key Mazmoon key is hissey ka jawab tha,Attachment dekhiey

Ap ney likha tha key Allah sab key Qareeb hai or sab Allah k Qareeb nahi hotey is k liyian ap ney misal bhi di kafiron ki

baat ye hai bhai key Allah Taala wazeh tor pr Kafiron k mutaaliq Quraan Pak main jaga jaga Irshad farma dia hai key ye Kafir Allah k qareeb kio nahi hian ?
Allah Taala ney in k dilon pr Mohar(stamp) laga di hai
waja ye thi key ye kafir Allah Taala ki tamam nishanian dekhney key bawajood,or Allah Taala key mukamal ehkamat ponchney k bawajood inkar kartey they

or hum ney jo mother or bachhey ki rishtey ki misal samjhaney ki kohsih ki hai wo is liyain k bachha kitna bhi nafarman ho mager mother apney bachhey sy mohabat karna nahi chhorti

Allah Taala humain bandey or Allah ka taaluq ko is liyain misal dey ker samjhata hai key ager koi waswasey main aaker ye baat sochey k hum gunahgar hain is liyain Allah humari dua nahi suney ga to

ap ek mother or bachey key rishtey ko samney rakh kr sochain

kia Mother apney nafarman bachey sy mohabbat karna ya uski baat sunna chhor deyti hai ?
ya us intehai nafarman betey ka bhi ehsas rakhti hai jo mother ka dil nikal kr ley jaraha ho or thhoker lagney sy girta hai or mother uska haal poochhti hai ?

ye ek mother ki mohabbat hai

is mohabbat ko 70 sy zarab dain phir sochain k Allah apney bandon sy kitni mohabbat farmata hai

ab rahi baat Allah ka qurub dhoondna
ya Allah ka qurub kesey dhoondey ?

to ye to bohat aasan si baat hojati hai jab aap Allah or bandey ka taaluq samjh jatey hain

matlab ye key jis tarha mother ko jo batain pasnd aati hain ap jab un per amal karkey mother ka dil jeet saktey hain

to aap is sey ziada aasani sy Allah Taala key ziada sy ziada ehkamat pr amal kr key Allah sy qareeb hosaktey hain

jis tarha apko apni mother ko razi karsaktay hain us sy 70 guna ziada aasani sy ap Allah ko razi karsakty hain
Allah k qareeb hosaktey hain

umeed hai apko humary jawab ki wazahat mil gai hogi

Nasir Noman
 
Attachments

  • Like
Reactions: kool~nomi

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Oho phir wohi fazool behas yaar samajh nahi ati app kiya samjhana cahty hain and Waseela ka koi Radd ho app k pass tu woh pesh karain fazool Posting say guraiz karain thanks.
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-ALikum,

Midtown Bhai ek Asan sy sawal ka jawab dey dain.

Kia Mother ki mohabbat bhi kissi waseeley ki mohtaj hoti hai ?

or jab ek mother ki mohabbat ko (apney intehai nadan betey k liyain bhi) koi waseela darkar nahi hota

to Allah Taala jo apney bandon sy 70 mother sy ziada mohabbat farmata hai

to kia Allah ka qurub hasil kerney main humain kissi ka sahara chgahiey hoga ?

Namaz kia hai ?

kia Allah Taala sy kalam nahi ?

kia hum Namaz main bhi jab Allah sy mukhatib hotey hain
to kia hum kisi waseeley sey mukhatib hotey hain ya barah-e-raast ?

kia Quraan Qayamat tak k liyain humarey liyain rehnumai nahi ?

ager hai to yaqinan jab Quraan Pak nazil hua to Allah Taala na sirif ye 2008 ka dor dekh raha tha balkey qayamat tak k liyain aaney wala aakhiri saal bhi dekh raha tha.

to Qurran Pak mian humarey aaj 2008 k dor k liyain bhi rehnumai hai

kio k Allah Taala janta tha k 2008 k dor main musalmano main ek ye masla aaey ga k dua kesey mangi jaey "barah-e-raast Allah sey ya kissi waseeley sy"?

to bhai is sawal ka jawab zaroor dijey ga k "Ager waseeley sy dua mangna Allah ka hukum hota to Quraan pak main jo bhi duaain aai hain kia Allah ek dua bhi essi nahi Quraan pak main nazil farmai jis main kissi waseeley sey dua mangi gai ho"?

her dua main Allah sy mukhatib hotey hain ya waseeley sey ?

Duaon Ka talbgar

Nasir Noman
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Namaz kia hai ?

kia Allah Taala sy kalam nahi ?

kia hum Namaz main bhi jab Allah sy mukhatib hotey hain
to kia hum kisi waseeley sey mukhatib hotey hain ya barah-e-raast ?

kia Quraan Qayamat tak k liyain humarey liyain rehnumai nahi ?

ager hai to yaqinan jab Quraan Pak nazil hua to Allah Taala na sirif ye 2008 ka dor dekh raha tha balkey qayamat tak k liyain aaney wala aakhiri saal bhi dekh raha tha.

to Qurran Pak mian humarey aaj 2008 k dor k liyain bhi rehnumai hai

kio k Allah Taala janta tha k 2008 k dor main musalmano main ek ye masla aaey ga k dua kesey mangi jaey "barah-e-raast Allah sey ya kissi waseeley sy"?

Asalamo aliekum bhai mujhay khd aap ki 1 baat samjh nahi arahi k aap nay ye kahan k kiya Allah 2008 ka dor dekh raha tha...baat kisi dor ki nahi agr aap ye samjhatay hain k hamain Allah se raabtay k liya kisi bhi waseelay ki zuroorat nahi to kiya aap ka matlab drood-e-paak se related hai jo har dua k shurooh aur akhir main paraha jaata hai...pehlay is ka jawab de dain phir main aap ko jawab doon
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Assalam-o-ALikum,

ap sy ek sawal poochhna hai ?

Allah Taala apney bandon sy 70 mother sey ziada mohabbat karta hai.
ek mother apney bachey sy kitni mohabbat karti hai ?
mislan ek nafarman beta jab apni mehbooba k kehney main aaker apni mother ka dil nikal ker jany lagta hai to jab thhoker khka ker girta hai to mother ky dil sy awaz aati hai k "beta tujhey chot to nahi lagi"
ye ek mother ki mohabbat hai apny itney nafarman betey sy(jo nafarmani ki inteha per poncha or mother ko mar dala) bhi itni mohabbat karti hai to isko zarab dain 70 sy or jo jawab apko miley phir sochain Allah apney ek nafarman bandey sey bhi kitni mohabbat karta hoga ?

ji bhai aap nay theek kaha k Allah apnay banday se 70 mother se bhi ziada piyaar karata hai

lakin jahan sawaal hai saaza ka jo k kisi jurm ya nafarmaani pay de jaati hai is ki examples bhi main aap ko de doon

mother apnay bachay se piyaar to karti hi hai lakin us ko saza bhi deti hai ye kis nay kaha k wo saza hi nahi deti

aisi kitni misaalain mojood hain jin main kisi maa nay jurm sabit honay par apnay iklotay laadlay betay par goli chalai
lakin feel karain wo kitni takleef de baat hogi jab wo had se guzar chuka hoga....to is se sabit hua k 1 dunyawi maa ki muhabbat us k saza ya ghussay par bhari hai....

ab ayen Allah ki muhabbat par agar wo hum se piyaar na karta to hum sub jo aaj kal kuch ziada hi nafarmanio main giriftaar hain saaray hi zameen ki teh main dabay hotay...

lakin Allah paak quran-e-paak main farmatay hain k main shadeed azaab bhi denay wala hu lakin ye baat 1 ya 2 jaga hi likhi hai jab k jaga jaga us k raham ka tazkeera hai..

yani muhabbat k saath saza bhi hai us ka khof us ka dar bhi zahan main rakhay...

jis tarha bachay k zahan main bhi aksar khof ho hi jaata hai k agar main ye karu ga to maar to laazmi paray gi...

to conclusion kiya hua?

1 maa ziada piyaaar+kam saza=mother

70 maon se ziada piyaar+shadeed azaab bhi+rahmo karam+ghafoorur raheem=Allah
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Namaz kia hai ?

kia Allah Taala sy kalam nahi ?

kia hum Namaz main bhi jab Allah sy mukhatib hotey hain
to kia hum kisi waseeley sey mukhatib hotey hain ya barah-e-raast ?

kia Quraan Qayamat tak k liyain humarey liyain rehnumai nahi ?

ager hai to yaqinan jab Quraan Pak nazil hua to Allah Taala na sirif ye 2008 ka dor dekh raha tha balkey qayamat tak k liyain aaney wala aakhiri saal bhi dekh raha tha.

to Qurran Pak mian humarey aaj 2008 k dor k liyain bhi rehnumai hai

kio k Allah Taala janta tha k 2008 k dor main musalmano main ek ye masla aaey ga k dua kesey mangi jaey "barah-e-raast Allah sey ya kissi waseeley sy"?

Asalamo aliekum bhai mujhay khd aap ki 1 baat samjh nahi arahi k aap nay ye kahan k kiya Allah 2008 ka dor dekh raha tha...baat kisi dor ki nahi agr aap ye samjhatay hain k hamain Allah se raabtay k liya kisi bhi waseelay ki zuroorat nahi to kiya aap ka matlab drood-e-paak se related hai jo har dua k shurooh aur akhir main paraha jaata hai...pehlay is ka jawab de dain phir main aap ko jawab doon

Assalam-o-Alikum,

Allah Taala 2008 ka dor bhi dekh raha tha is misal deyney ka maqsad ye tha akser log jab Quraan Pak ki Ayat ka hawala dia jata hai to kahtey hain k ye Ayat Kafiron k liyain aai hain
jabkey Quraan Pak qayamat tak k aney waley insano k liyain rehnumai hai
aaj bhi humain apney masail ka hal Quraan pak main mil sakta hai
Quraan Pak hikmat wali kitab hai

or ap ka dosra jawab ye hai k baat horahi hai ALlah ka qurub kesey dhoonda jaey ?
Drood Pak ki ehmiat sy kisi ko inkar nahi
apni Dua main Drood Pak perhney sy bhi kisi ko inkar nahi
hum sirif ye bat kah rahy hain k Allah Taala or bandey ka taaluq essa hai jis main Allah sey rabta karny main kissi essey waseeley ki zaroorat nahi jessa k midtown bhai ny apney artical main likha

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM

kia quraan qayamat tak k liyain humarey liyain rehnumai nahi ?
app ke kiye gai questions mein say sirf 1 ka answer daiat hon aqal walon k liye ishara hee kafi hai.
Friends dekhain aik taraf yeh kehty hain quran qayamat tak k liye humare liye rahnumai nahi ? Aur dosri taraf quran ki verse jiss mein allah ne farmaya '' aur allah ki taraf waseela talash karo '' ka inkar kar rahai hain yeh gumrahi hai ya iss ko kuch aur kahain ?
Nasir noman sahib meine app say pehlay bhi request ki k idher udher ki batain karne ki bajai waseela ka koi radd hai tu pesh karo quran-o-hadith say with hawala nahi tu humara aur apna time waste nah karo.
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-Alikum,

Bhai ap ek Ayat ki baat farmatey hain wo bhi wazeh hukum nahi hai k is Ayat main humain hukum dia gaya hai k "Allah ki taraf waseela dhhoondna Buzrugan-e-Deen hi murad hai"

Allah ka Hukum is Ayat main Waseela dhoondney ka hai

or Quraan pak main bohat sari jaga jaha Allah Taala wazeh tor pr jaga jaga Irshad farmata hai k
Allah hi madad farmata hai
Allah ney Guzwa-e-Bada main madad farmai(Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki Hayat mubaraka main)
Allah k siwa koi madadgar nahi
Allah k siwa koi karsaz nahi
Allah ka koi madadgar nahi
Allah Muslamano k liyain kafi hai
Allah k siwa koi Mushkil kusha nahi
Allah k siwa koi himayati nahi
Allah ki madad sab sy behter hai

or sab sey wazeh hukum dua k mutaliq apko pesh kia tha jo shayad ap ney nahi parha dobara perhlain

ager ap ye chahtey hain k Ap ki khuahish k mutabiq Quraan Pak k ehkamat apko dikhey jaey to ye na mumkin hai
kio k Allah Taala ney apney ehkamat pohcha diey hain or ye bhi farmadia hai
'Hum ney Ayatian khol khol k bayana ki hai aqal rakhney walon k liyain"
"hum badal badal kr misal sy samjhtay hain"
 
mera khayal hai yehan behas karnay k bajye is baat ko zahan main rakha jye k ye baat 100% theek hai k Allah apnay har banday ki baat , dua kisi bhi waseelay k baghair sun sakta hai...

kyn k allah farmatay hai baaqi rehjanay wali zaat Allah ki hai

aur Allah chahay to 1 bhi kafir na rahay etc...yani Allah ki marzi k baghair patta bhi nahi hil sakta...har cheez par Allah ko ikhtiyaar haiwo chahay to waseelay ya baghair waseelay k accept karay...yehan ye baat khatam hui...

doosri taraf waseelay ko bilkul na manna ghalat hai...dua k first n last main drood-e-paak k baghair dua qubool nahi hoti balk beech main hi reh jaati hai..ye waseela hi hai

kisi Allah walay se apnay liya dua ki request karna ye bhi waseela hai lakin Allah chahay to accept karay ya na karay us ki marzi kyn k maslihato ka jannay wala wo hi hai..

waseela ka ghalat matlab nikaalna ye hai k bilkul us par hi depend kar lia jye kyn k Allah har cheez par qadir hai ...lakin auliye karaam ko bilkul hi na manna ya koi agr un ka naam lay kar Allah se mangay to ye gunha nahi ..

sirf quran-e-paak parh kar us k ander ayaat parh kar bhi insaan apni duaon main asar peda kar sakta hai

so plz frnds bhaiyon apnay mind ko broad karain in baaton par ghoro fikar karain...kisi baat par itna na jam jyen specially deen main k us ki asal rooh tak hi aap ki pohanch na ho...is liya behas se koi faida nahi hai{(thinkg)}
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
ji bhai aap nay theek kaha k Allah apnay banday se 70 mother se bhi ziada piyaar karata hai

lakin jahan sawaal hai saaza ka jo k kisi jurm ya nafarmaani pay de jaati hai is ki examples bhi main aap ko de doon

mother apnay bachay se piyaar to karti hi hai lakin us ko saza bhi deti hai ye kis nay kaha k wo saza hi nahi deti

aisi kitni misaalain mojood hain jin main kisi maa nay jurm sabit honay par apnay iklotay laadlay betay par goli chalai
lakin feel karain wo kitni takleef de baat hogi jab wo had se guzar chuka hoga....to is se sabit hua k 1 dunyawi maa ki muhabbat us k saza ya ghussay par bhari hai....

ab ayen Allah ki muhabbat par agar wo hum se piyaar na karta to hum sub jo aaj kal kuch ziada hi nafarmanio main giriftaar hain saaray hi zameen ki teh main dabay hotay...

lakin Allah paak quran-e-paak main farmatay hain k main shadeed azaab bhi denay wala hu lakin ye baat 1 ya 2 jaga hi likhi hai jab k jaga jaga us k raham ka tazkeera hai..

yani muhabbat k saath saza bhi hai us ka khof us ka dar bhi zahan main rakhay...

jis tarha bachay k zahan main bhi aksar khof ho hi jaata hai k agar main ye karu ga to maar to laazmi paray gi...

to conclusion kiya hua?

1 maa ziada piyaaar+kam saza=mother

70 maon se ziada piyaar+shadeed azaab bhi+rahmo karam+ghafoorur raheem=Allah

Assalam-o-Alikum,

ap ney ye jawab jo likha hai is main humara ek asan sey sawal ka jawab nahi dia ?

"Kia Mother ki mohabbat kissi waseeley ki mohtaj hoti hai?"

Nasir Noman
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Assalam-o-Alikum,

ap ney ye jawab jo likha hai is main humara ek asan sey sawal ka jawab nahi dia ?

"Kia Mother ki mohabbat kissi waseeley ki mohtaj hoti hai?"

Nasir Noman
aap nay mother ki muhabbat ki jo example di thi aur us main waseelay ka poocha to wo aap nay usi se related hi kaha tha na Allah kisi waseelay ka muhtaaj nahi to isi liya us ka detail main jawab upar diya to hai wo parhain pehlay...

2nd mothers ye insaano main limitations ki baat hai yaad rakhain insaan ki muhabbat ho ya nafrat us main limitations hoti hain lakin Allah ki muhabbat unlimited hai isi liya us ka upar answer kiya hai

mother ki muhabbat main limitation honay k bawajood waseela nahi

jab k Allah ki muhabbat lamehdood honay k bawajood bhi us nay waseelay ka sahara rakha ta k koi kisi reffernce se bhi maangay wo ata karay

mera khayaal hai is farq ko samjhnay ki koshish karain

jo lamehdood hai us ko mehdood se gharz nahi us ka kaam hai ata karna

jo mehdood hai wo mehdood hi hai us main waseela kaisa thats all..
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
mera khayal hai yehan behas karnay k bajye is baat ko zahan main rakha jye k ye baat 100% theek hai k Allah apnay har banday ki baat , dua kisi bhi waseelay k baghair sun sakta hai...

kyn k allah farmatay hai baaqi rehjanay wali zaat Allah ki hai

aur Allah chahay to 1 bhi kafir na rahay etc...yani Allah ki marzi k baghair patta bhi nahi hil sakta...har cheez par Allah ko ikhtiyaar haiwo chahay to waseelay ya baghair waseelay k accept karay...yehan ye baat khatam hui...

doosri taraf waseelay ko bilkul na manna ghalat hai...dua k first n last main drood-e-paak k baghair dua qubool nahi hoti balk beech main hi reh jaati hai..ye waseela hi hai

kisi Allah walay se apnay liya dua ki request karna ye bhi waseela hai lakin Allah chahay to accept karay ya na karay us ki marzi kyn k maslihato ka jannay wala wo hi hai..

waseela ka ghalat matlab nikaalna ye hai k bilkul us par hi depend kar lia jye kyn k Allah har cheez par qadir hai ...lakin auliye karaam ko bilkul hi na manna ya koi agr un ka naam lay kar Allah se mangay to ye gunha nahi ..

sirf quran-e-paak parh kar us k ander ayaat parh kar bhi insaan apni duaon main asar peda kar sakta hai

so plz frnds bhaiyon apnay mind ko broad karain in baaton par ghoro fikar karain...kisi baat par itna na jam jyen specially deen main k us ki asal rooh tak hi aap ki pohanch na ho...is liya behas se koi faida nahi hai{(thinkg)}

Assalam-o-Alikum,

Bhai ap ney bilkul drust farmaya hai
hum ap sy agree karty hain
Buzrugan-e-Deen ki Hayat main ap bila shuba dua ki darkhuast karsaktey hain
ap apni dua k shoro or aakhir main drud perh saktey hain koi inkar nahi karta
ap Allah sey dua mangney main "Allah ko Allah k naik bandon ka wasta bhi dey saktey hain"
(dua main Mukhatib Allah hi hona chahey)

mager

ap kisi Fout hoey Naik Buzrug ko pukar ker un buzrug sy dua ki darkhuast nahi karsaktey

ap ney shayad Midtown bhai ka article nahi perha

inhon ney apney article sy sabit karny ki koshish ki hai key "Allah ka qurub hasil karney k liyain humain buzrugan-e-deen key waseeley ki zaroorat hai"

or humara nuqta-e-nazar ye hai key Allah ka qurub hasil kerney k liyain Allah k ziada sy ziada ehkamat ko poora karkey Allah ka utna hi qurub hasil karsaktey hain jitna ap farmabardar hongey

is liyain hum ney mother ki mohabbat ki misal di takey pehley ap Allah or bandey key taaluq ko samjhain phir apkey liayin ye samjhna aasan hoga key Allah ka qurub kesey hasil kia jasakta hai.

ek baat zehan main rakhiey k Buzrugan-e-Deen ki mohabbat sey un k ehtaram sy kisi ko inkar nahii

magr hum ye baat samjhana chahtey hain k Buzrugan-e-Deen ki mohabbat mian Allah Taala ki bandhi hoi hadon ka khayal rakhain

Allah hum sab ko hidayat ata farmaey Ameen

Nasir Noman
 
Top