Nazam Collection

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Ishq Ka Jaadu..




Mera Tamaam Fann Meri Kaawish Mera Riyaaz

Ek Na Tamaam Geet Ke Misre Hain Jin Ke Beech

Mayni Ka Rabt Hai Na Kisi Qafiye Ka Mail

Meri Mita'a Bas Yehi Jadu Hai Ishq Ka

Seekha Hai Jisko Maine Bari Mushkilon Ke Saath

Lekin Yeh Seher Ishq Ka Jaadu Ajab Hai

Khulta Nahi Hai Kuch Ke Haqeeqat Main Kiya Hai Yeh

Taqdeer Ki Ataa Hai Ya KOi Saza Hai Yeh

Kehne Ko Yun To Ishq Ka Jaadu Hai Mere Paas

Per Mere Dil Ke Waaste Itna Hai Iska BOjh

Seene Pe Ek Pahaar Sa Hat'ta Nahi Hai Yeh

Lekin Asar Ke Baab Main Halka Hai Is Qadar

Tujh Pe Agar Chalaon To Chalta Nahi Hai Yeh...
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
sath nibhana mushkil os ko lagta tha
vo jo kuch kuch apna apna lagta tha
laikin apna lagnay say kya hota hay
kho jaie iss dil ka chain
jo khota hay...
jo hota hay vo to ho k rahta hay
bar bar ye dil kun ab ye kahta hay
bhol ja os harjai ko..
bhool b ja

badal gya vo iss ka hay afsos boht
ab afsos karain b tou kya hota hay
dil ko ab samjhana hoga..
kuch iss ko bhlana hoga
dil ko samjahien tou
kya vo samjh b paie ga
lakh ose bahlaien kya vo bahal b paie ga
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
میرے غنیم نے مجھ کو پیام بھیجا ہے
کہ حلقہ زن ہیں میرے گرد لشکری اس کے

فصیلِ شہر کے ہر برج ، ہر منارے پر
کماں بدست ستادہ ہے عسکری اس کے

وہ برق لہر بجھا دی گئی ہے جس کی تپش
وجودِ خاک میں آتش فشاں جگاتی تھی

بچھا دیا گیا بارود اس کے پانی میں
وہ جوئے آب جو میری گلی کو آتی تھی

سبھی دریدہ دھن اب بدن دریدہ ہوئے
سپردِ دارورسن سارے سر کشیدہ ہوئے

تمام صوفی و سالک، سبھی شیوخ و امام
امیدِ لطف پہ ایوانِ کج کلاہ میں ہیں

معززینِ عدالت حلف اٹھانے کو
مثالِ سائلِ مبرم نشستہ راہ میں ہیں

تم اہلِ حرف کے پندار کے ثناگر تھے
وہ آسمانِ ہنر کے نجوم سامنے ہیں

بس اس قدر تھا کہ دربار سے بلاوا تھا
گداگرانِ سخن کے ہجوم سامنے ہیں

قلندرانِ وفا کی اساس تو دیکھو
تمہارے ساتھ ہے کون، آس پاس تو دیکھو

سو شرط یہ ہے جو جاں کی امان چاہتے ہو
تو اپنے لوح و قلم قتل گاہ میں رکھ دو

وگرنہ اب کے نشانہ کمان داروں کا
بس ایک تم ہو، سو غیرت کو راہ میں رکھ دو

یہ شرط نامہ جو دیکھا تو ایلچی سے کہا
اسے خبر نہیں تاریخ کیا سکھاتی ہے

کہ رات جب کسی خورشید کو شہید کرے
تو صبح اک نیا سورج تراش لاتی ہے

سو یہ جواب ہے میرا ،میرے عدو کے لئے
کہ مجھ کو حرصِ کرم ہے نہ خوفِ خمیازہ

اسے ہے سطوتِ شمشیر پر گھمنڈ بہت
اسے شکوہ قلم کا نہیں ہے اندازہ

میرا قلم نہیں کردار اس محافظ کا
جو اپنے شہر کو محصور کرکے ناز کرے

میرا قلم نہیں کاسہ کسی سبک سر کا
جو غاصبوں کو قصیدوں سے سرفراز کرے

میرا قلم نہیں اوزار اس نقب زن کا
جو اپنے گھر کی ہی چھت میں شگاف ڈالتا ہے

میرا قلم نہیں اس دزدِ نیم شب کا رفیق
جو بے چراغ گھروں پر کمند اچھالتا ہے

میرا قلم نہیں تسبیح اس مبلغ کی
جو بندگی کا بھی ہر دم حساب رکھتا ہے

میرا قلم نہیں میزان ایسے عادل کی
جو اپنے چہرے پے دھرا نقاب رکھتا ہے

میرا قلم تو امانت ہے میرے لوگوں کی
میرا قلم تو عدالت میرے ضمیر کی ہے

اسی لئے تو جو لکھا تپاکِ جاں سے لکھا
جبیں پہ لوچ کماں کا، زبان تیر کی ہے

میں کٹ گروں کہ سلامت رہوں ، یقیں ہے مجھے
کہ یہ حصارِ ستم کوئی تو گرائے گا

تمام عمر کی ایذا نصیبیوں کی قسم
میرے قلم کا سفر رائیگاں نہ جائے گا
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana
Aik naar pe jaan ker haar gaya, mashhoor hai us ka afsana

Is naar main aisa roop na tha. jis roop se din ki dhoop dabe
Is shaher main kia kia gouri hai, mahtaab rukhe, gulnaar liye
Kuch baat thi us ki baaton main, kuch bhaid thay us k chatoon main
Wahi bhaid k joot jagate hain, kisi chahne wale k mun main
Usay apna banane ki dhun main, howa aap he aap se be-gaana
Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Na chanchal khail jawani k, na pyaar ki ulharr ghaten theen
Bus raah main milna tha, ya fone pe un ki baaten theen
Is ishq pe hum bhi hanste thay, be-hasil sa be-hasil tha?
Aik roz bhaparte saagar main, na kashti thi na saahil tha
Jo baat thi un k jee main thee, jo bhaid tha yakser an-jaana
Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Aik roz magar barkha rut main, wo bhaadon thi ya saawan tha?
Deewar pe beech samander k, ye dekhne walon ne dekha
Mastana haath main haath diye, ye aik kagar pe bethe hain
Youn shaam hoi phir raat hoi, jub seelani ghar lout gaye
Kia raat thi wo- jee chahta hai us raat pe likhen afsana
Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Haan umr ka saath nibhane k thay ahed-o-pemaan bohat
Wo jin pe bharosa kerne main kuch sood nahi, nuqsan bohat
Wo naar ye keh ker door hoi- 'Majboori sajan majboori'
Ye wehshat se ranjoor howe aur ranjoori si ranjoori hai
Us roz humain maloom howa, is shaqs ka mushkil samajhna
Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Go aag si chhaati jalti thee, go aankh se darya behta tha
Her aik se dukh nahi kehta tha, chup rehta tha ghum sehta tha
Na-daan hain wo chherrte hain, is aalam main na-daanon ko
Us shaqs se aik jawab mila, sub apnon ko be-gaanon ko
Kuch aur kahoon to sunta hoon- is baab main kuch mat farmana
Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana

Ab aage ki tehqeeq nahi, go sunte ho hum sunte hain
Us naar ki jo jo baaten theen, us naar k jo jo qisse thay
Aik shaam ko us ko bulwaya kuch samjhaya be-chaare ne
Us raat ye qissa paak kia, kuch keh he lia dukhyare ne
Kia baat hoi, kis tour hoi? Akhbaar se logon ne jaana
Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Her baat ki khoj to theek nahi, tum hum ko kahani kehne do
Us naar ka naam maqaam hai kia, is baat per parda rehne do
Hum se bhi tou souda mumkin hai, tum se bhi jafa ho sakti hai
Ye apna bayaan ho sakta hai, ye apni kathha ho sakti hai
Wo naar bhi aakhir pachtai, kis kaam ka aesa pachtaana?
Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
[h=3][/h]"SUNO.....NARAAZ HO HUM SE ~Suno.....
Naraaz Ho Hum Se?
Magar Hum Vo Hain Jin Ko To Manaana b Nahi Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Se Muhabbat Jo Nahi Ki Hay
Muhabbat Kis Tarah Hotii Hay?
Hamary Shehar k Atraaf Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Aur Iss Shehar-e-Preshan Ki Faseelein
Zard Bailoon Se Ladi Thin
Aur Un Mein Na Khushboo Thi,Na Koi Phool Tum Jaisa
Mehak Uthtey Hamary Deeda-o-Dil Jis Ki Qurbat Se
Hum Aisy Shehar Ki Sunsaan Galioon Mein
Kisi Sookhy Hoye Veeran Pattay Ki Tarah Se Thy
k Jab Zalim Hawa Hum Per Qadam Rakhti
To Uss k Paaon k Neechay Hamara Dam Nikal Jata
Magar Pat Jharr Ka Vo Mousam
Suna Hay Tal Chuka Ab To
Magar Jo Haar Hona Thi
So Vo To Ho Chukii Hum Ko
Suno.....
Haaray Hoye Logoon Se To Rootha Nahi Karty...!!!
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
[h=3]"Roz-o-shab"[/h]
-=-=-=-=-=-
zaat kay sheeshay pe gard jamti hai
puragandah khayaloo.n kee
koi aata hai .....
Zaat kay sheeshay peh jamati gard baRhtee hai
...................ajab uljhan see hoti hai
kabhi koi baat pathar kee tarah lagti hai seenay per
ihsaas timilata hai
Kabhi harfoo.n kee barish
...................habs ka maosam jagatee hai
Kabhi lafzoo.n ka andoh, aag bharkata
...................jala ker raakh kerta hai
Shehr-e jaa.n mai Raakh urtee hai....
.......zaat kay sheeshay pe jamti gard baRhti hai!!!
Koi aata hai .....
taira naam laita hai
zaat kay sheeshay say chimti gard chhat'ti hai
(koi qitar ander qitar diye jalata hai
...............................mohabat kay
.....Ajab roshan, sakoo.n aawar)
Roshni zaat kee darzoo.n say chhantee,
deikhnay waloo.n ko mehsoor kertee hai
ehl-e mohabat khushboo'ai.n mehssos kertay
.............ta'ajjub bhari soachai.n ulat'tay hai.n
"ye kaisa moajza hai?
ye kio.nker ho gaya hai??"
wo mujh ko mas kertay
shouq say taktay hee jatay hai.n
faza mai un kee saa.nsai.n goo.njte hai.n
Khushbooai.n unhai.n hairan hota deikhtee hai.n
......................tou itra kay chaltee hai.n
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
[h=3]Saniha~[/h]
tum hi kahoo... yeh kaisa qissa hua
main kaise rangoon ki...pholoon ki batein karoon
woh raang sarey jo ujaar gaye hain
manoo mitti main soo gaey hain
phool sarey gulshaan ke roo gaey hain
zameen ki chaadar urhay soo gaey hain
tum hi kahoo... yeh kaisa qissa hua
main kaise khushboo aur titliyon ki batein karoon
woh baba ki piyariyaan...bhaiya ki ladliyaan
woh maam ki dulaariyaan
jaa kar kahan hain woh soo gaien
andhere rastoon main kahan woh khoo gaein
zameen ki chadaar urhay woh soo gaein
yeh kaisa manzur mayri ankhoon ne dekha
jin mathoon pe hoti thi maa ke bosoon ki khushbo
woh mathey aub zakhmon se choor hain
woh maan hai kahaan??...uske boosay kahaan??
ankhein jaamid rahein.....dil bhi roota tha
tum hi kahoo.... yeh kaisa qissa hua
main kaise baharoon ki...kaliyon ki batein karoon
yeh kaisa shikaasta sa aik baap hai
uskay bazoo na'tawaan...zakhmoon se chor hai
uskay bachay...uskey bazoo hain us se juda ho gaey
bohot hairaat main woh... bohot wehshaat main woh
ankhein be'khabar hain.....hoosh se na'peed hain
tum hi kahoo... yeh kaisa qissa hua
main kaise jugno'un ki... ab'sharon ki batein karoon
woh maoon ke anchaal hain kahan khoo gaey
narm bahoon ke haalay hain kahan reh gaey
manno mitti main daab ke hain kiun soo gaye
tum hi kahoo... yeh kaisa qissa hua
main kaise rangoon ki... pholoon ki batein karoon
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

~TuHmaTaiN ToU LaGti HaiN~

Tuhmatain Tou Lagti Hain
RoShni Ki khawaHisH mAy
GhaR sAy BahiR AnAy Ki KucH Saza Tou MilTi HaY

Log LoG HoTy HaiN
In Ko KiYa KhaBer JaNa !
Ap K IraDoon Ki KhoBsoraT AankhOn MaY
Bas waLaY KhaWaBoOn K runG KaiSay HoTaY Hain
DiL Ki GoD Aangan Main Palnay Wali BaaToOn KaY
ZaKhm KaisaY HotaY haiN
KitNaY GahraY HoTay HaIn
KuB yE socH SaktaY HaiN
Aisi BeGunaH AankhaiN
GhaR KaY KonaY KhodRoOn MaY chuP k KitNa RotI HaiN

PhiR Bhi Ye KahaNi sAy
ApnI KaJ-AaDae sAy
Is QadeR RawaaNi saY DaastaaN SunAty HaiN
AuR YaQeeN Ki AankhaiN
Such kaY GhuM-ZaDa DiL sAy Lag K RonaY lagti HaiN...







Noshi GiLaNi.........
[h=3][/h][h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

~.~Pagal Ankhon Wali Larki~.~


Pagal Ankhon Wali Larki
Itne Mengay khawab Na Dekhoo
Thak jahoo gi
Kanch se Nazuk Khwab Tumhare
Toot Gaye Toh Pastao Gi
Tum Kia Jano
Khwab....Safar Ki Doop Ke Teshay
Khwab....Adohri Raat Ka Dozakh
Khwab....Khayaloon Ka Patchtawa
Khwabo Ka Hasil Tanhi
Mengey Khwab Kareedna Ho toh
Ankhain Betchna Parti Hain
Rishty Bholna Partay Hain
Andeshoon Ke Rath Na Phenko
Khwabon Ke Oat Saraab Na Dekho
Pyaas Na Dekho
Itne Mangey Khwab Na Dekho
Thak Jahoo Gayee






Mohsin Naqvi....................
[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

~.~Patt-JhaRr~.~


JuB JuB Patt-JhaRr mAy PaiRrOon sAy PeeLay PeelAy
PattaY MeRe LaWn MaY Aa Kr GiRrtay HaiN
RaaT Ko Chatt Par Ja Kr MaiN
Aakash Ko TakTa RahtA Hun
LaGta hAy KamZoOr sA PeeLa ChanD Bhi ShaYaD
PeePaL K SoKhAy PaTtaY sA
LaHraTa LahraTa MeRe LawN mAy Aa Kr UtRaY Ga !!!!








[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

"" AiK PeSheMani Si RahTi HaY ""



Aik Peshemani Si Rahti Hay
Uljhan Aur GiraNi Bhi
AaO PhiR saY Larr Ker Dekhain ShaYaD
Is Say Behter Koi Aur Sabab Mil JaeY hum Ko
Phir Say AlaG Ho Janay Ka !!!!!!!








GuLzaaR...................







[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

""QaDam Ussi MorR Par JaMay HovY Hain""




Qadam Ussi Morr Par JamaY hovy Hain
Nazar SameeTay Hovy Khara HoOn
JaNoOn Ye MaJBoOr Kr Raha Hy Palat K DekhOon
KhuD Ye Kahti Hay Morr MuRr Ja
Agarchay AhsaS Kah Raha Hy
KhuLay DareeChOon K PeChay Say Do AankhaiN Jhankti Hain
Abhi Mere IntiZar May Woh Bhi Jagti Hay
Kahin Tou Usk Gosha-e-Dil May Bhi DarD HogA
UsaY Ye ZiD Hay K Main PukaRoOn
MujhY TaQaaZa Hay Woh BulaEy
Qadam Ussi MorR PaY JamAy HaiN
NazaR Sameetay Hovy Khara HoOn !!!



[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

"" WaDaA ""




Mera WaDaa Hay yE TuM sAy
TumhaY ItnA Main ChaHoOn gA
K DuniyA MaY kaHin PaR Bhi !
MuhaBBat kaY HawalaY sAy
KaBhi Jo BaaT niKlay Gi
HamaRa NaaM aEy gA !!!!


[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

""Aj Phir Shaam DhalaY . . . .





Aj Phir Shaam Dhalay
Phir Wohi Dard Jaga Hay RaGoO'n May mEri
Phir Wohi Aah Si Nikli Hay Mere SeeNy Say
Phir Wohi KhwaB Say Tootay Hain Meri AankhOon MaY
Phir Wohi Dard ki Talkhi hay Meri BaatOon May
PhiR Wohi Ashk Say ThaRay Hain Meri PalkOon pay
Phir Wohi RaaT si Jewan mAy Utar i Hay
Phir Wohi Aakhri Manzer Hay Meri AankhOon May
Aj Phir Shaam Dhalay Tum Mujhy YaaD I Ho !!!
[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

!~~~~~SAPNY KAISAY BAAT KARAIN~~~~~!
sapny kaisay baat karain
khadshon ki zanjeer pari hay
neend bhari sab aankhon main
sapny kaisay baat karain
sapny kis say baat karain
jin logon ka rasta taktay
umrain rizq-e-khak huin
ab woh log aur un kay sapny dekhnay wali
aankhin bujh kar raakh huin
raakh kay is anbar main hongay
kaisay kaisay khawab zinda
khawabon ki is raakh ko lakin
cheray kon?
jis raston per chaon na pani
us per deeray dalay kon?
jis mitti main rait mili ho
us main kaisay bagh lagain
dariya hi payab hun jab to
us main kashti kiya lay jain
khushboo aik awara jhonka
is jhonkay ko gheery kon
kaisay duniya ko batlaon
tum hotay ho mery kon!!!

[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

Aaj Phir Bad Baharan Nay Meray Kanon Main
Chupkay Chupkay Say Teray Aanay Ka Pocha Mujh Se
Pocha,Sandaisa Koi,Chithi Koi Aye Hay?
Gungunatay Huay Jharnon Ne Zara Thum Thum K
Pocha Sajan Ki Khabar Bolo Kahin Paye Hay?
Aaj Phir Ratjaga Aangan Main Meray Utray Ga
Aaj Phir Neend Ki Devi Mera Ghar Bholay Ge
Aaj Phir Barha Ki Mari Hui Badli Koi
Mere Aankhon Main Jo Jhankay Ge Thithak Jaye Ge
Aaj Phir Dair Talak,,Dair Talak,,Dair Talak,,,,
Tu Na Aaye Ga,,
Tere Yaad Chali Aaye Ge....!
[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

Suno jaanaa'n!
Yun tanha ab akailay..
Raat bhar jaaga nahin jata.
K tanha bojh chahat ka...
Tou ab uthta nahin mujh say,
Suno!
Kia aisa ho nahin sakta...
K...........
Aadhi raat ko..
Kuch dair sahi....
Tum agar jago?
Ye chahat ka hasee'n aik bojh,
Aadha hi sahi....
Tum baant lo mujh say,
Phir aadha dard tum lay lo...
Phir aadhay khwaab tum daikho..
Ye dil ki beqarary...
Mujh say aadhi baant lo tum bhi,
Tou ab tum hi kaho jaanan!!!
Phir iss baar-e- muhabbat ko...
Tum aadha baant lo gay naa?????

[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

..........Kisi Kamzoor Lamhey Main,
Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,
Mujhey Tum Say “MUHABAAT“ Hai,
Tum Ye Mat Samaj Lena,
Kay.............!!!!!!!!!
Mein Nay Sach Kaha Ho Ga,
Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko,
Aise dilbar Aadaoon Main Kehna,
Mujhey Bachpan Say Aata Hai,
Meri Aankhein Mera Chehra,
Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja,
ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager,
Iss Jhoot Main Bhi Ek Sach Hai,
Kay.................!!!!!!!!!!!!!!,
Mujhey Tum Say “MUHABBAT“ Hai
[h=3]
[/h]
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar

..Nahee'n kertay...!

Ha'nstay huey laugo'n ko..
Rulaaya nahee'n kartay..
Hum zakhm-e-jigar apna..
Dikhaaya nahee'n kartay..
Ek baar jisay apnay..
Nigaaho'n say gira dai'n..
Us shaks ko phir dil may..
Basaaya nahee'n kartay..
Us shaks say mil ker..
Mujhay ehsaas hua hay..
Jo pairr barry hotay hai'n..
Saaya nahee'n kartay..
Rakhtay hai'n unhia'n hum..
Sadaa seenay say laga ker..
Dukh apnay kisi ko bhi..
Sunaaya nahee'n kartay..
Yeh khail mohabbt ka hay..
Phir sooch lo ",,,,"
Kho daitay hai'n sab kuch yahaa'n
Paaya nahee'n kartay...!
[h=3]
[/h]
 
Top