Nazam Collection

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Milan ki aarzoo krna
Safar ki justajoo krna
Jo tum mayoos ho
jaao
Toh mujh se guftagoo krna

Yeh aksar ho bhi jata hay
Kay koi kho bhi jata hay
Muqaddar ko satao
gay
Toh phir yeh so bhi jata hay

Agar tum hosla rakho
Wafa ka silsala rakho
Jo tum se pyar kar
bethey
Toh us sey rabta rakho

Main yeh daaway sey kehta hoon
Kabhi nakaam na ho gay
Muhabbat ko samjh
jaao
Kabhi badnaam na ho gay
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mujhe arzoo e sehar rahi
Yuhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar saka na simat saka
Yuhi raat bhar bari dair tak
Tha bohat azab aur akale
hum
Shab e gham bhi meri tweel ter
Rahi zindagi bhi sraab aur
Rahi ankh
tar bari dair tak
Yahain her taraf hai ajab samah
Sabhi khud pasand sabhi
khud numa
Dil e beqarar ko na mil saka
Kohi chara gar bari dair
tak
Mujhe zindagi hai aziz tar
Issi waste mere hamsafar
Mujhe qatra
qatra pila zahar
Jo kare asar bari dair tak….
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mera tumse aesa rishta hai

Khawb ka jo tabeer se hai,
Sheeshe ka jo tasveer se hai,
Sachayi ka jo
zameer se hai,
Qaidi ka jo zanjeer se hai,
Samundar ka jo mahi-geer se
hai,
Ranjhey ka jo heer se hai,

Mera tumse aesa rishta hai,

Chaand ka jo raat se hai,
Saawan ka jo barsat se hai,
Dil ka jo barsaat
se hai,
Dil ka jo jazbaat se hai,
Mausam ka jo soghaat se hai,
Jeet ka
jo maat se hai,
Takdeer ka jo halaat se hai,

Mera tumse aesa rishta hai

Pyar ka jo iqraar se hai,
Dukh ka jo izhaar se hai,
Sharaab ka jo
khumaar se hai,
Nafrat ka jo pyaar se hai,
Jeet ka jo haar se hai,
Til
ka jo rukhsaar se hai,

Mera tumse aesa rishta hai

Kaantey ka jo phool se hai,
Insaan ka jo bhool se hai,
Raah ka jo dhool
se hai,
Dua ka jo kubool se hai,
Ilm ka jo husool se hai,
Kitaab ka jo
Rasool se hai,

Mera tumse aesa rishta hai

Bahaar ka jo chaman se hai,
Nigaah ka jo hussan se hai,
Pardesi ka jo
watan se hai,
Justuju ka jo lagan se hai,
Choli ka jo daaman se
hai,
Yadon ka jo saawan se hai,

Mera tumse aesa rishta hai

Dard ka jo ehsaas se hai,
Sehraa ka jo pyaas se hai,
Ghareeb ka jo aas
se hai,
Dard ka jo paas se hai,
Jism ka jo libaas se hai,
Gham ka jo
Waqaas se hai,

Mera tumse aesa rishta hai,
Mera tumse aesa rishta hai…
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Wohi Galiyan, Wohi kuchay Wohi Sardi Ka Mausam He
Usi Andaaz Se Apna
Nizaam E Zeest Barham He
Ye Husn E Itifaq Aisa K Bheegi Chandni B He

Wohi He Bheer Sochon Ki Wohi Tanhaiyan Phr Se
Musafir Ajnabi Aur Dasht Ki
Pinhaiyan Phr Se

WO Jis K Hone Se Zindagi Nagma Saraai He
Usay Kehna !!!
Usay Kehna K
Bheegi January Phir Laut Aai He.
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Agar kabhi koi lamha
Aisa zakhm de jaye
K koi bhi marham us
Zakhm ko
na bher paye
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona
Zindgi k sub
mausam
Aik se nahi hote
Saray log ay humdum
Aik se nahi hote
Zindgi
ki rahon main
Hadsey bhi atey hain
Hadson se barh ker kuch
Waaqay bhi
atay hain

Waqt k hi marhum se
Zakhm bher bhi jatay hain
Din buray hon ya
achay
Bus guzer hi jatay hain

Waqt ko guzerna hai
Zakhm ko bhi bherna hai
Dard k charhay derya
Ko
abhi uterna hai
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Agar wo pyaar kar laiti
Maira daaman pakaR laiti
To jeevan main faqat
us say
Mohabbat farz ho jaati
Mohabbat qarz ho jaati
Magar
Acha kiya
us nay
Mujhay samjha kay chal nikli
Mujhay thukra kay chal nikli
Bohat
nadaan si hay wo
Abhi anjaan si hay wo
Kahan ma’loom hay us ko
Mohabat
zindagi main bus
Faqat ik baar milti hay
Agar thukra kay chal niklain
To umrain beet jaati hain
Mohabbat ki tamanna main
Magar
Har
ik rastay pay
Sirf ruswaaii milti hay
Faqat tanhaaii milti hay
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mere marne se kisi ko
zeyada fark nahi padega’
.
DOST….
.
bus
tanhai royegi ke mera
humsafar chala gaya….
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
mere humnava mere hamsafar
mere dard ki tujhe kya khabar
is zindagi k khail main
meri haar hai teri jeet hai
teri jeet main hai jo khoshi
us khoshi se main bhi nihaal hoon
meri haar main jo dard hai
us dard ki tujhe kya khabar
mere humnava mere hamsafar

teri yaad ne teri chah ne
mujhko jaga diya neend se
phir yun huwa k chali gai
wo nend bhi hum se rooth kar
koi mar raha hai teri yaad main
us fard ki tujhe kya khabar
mere humnava mere humsafar
mere dard ki tujhe kya khabar
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
mere hamsafer mere hm nava
mere vastay ye karo ye dua
tere drad ko main samjh sakon
mere dard ko tu samjh sakay
katy zindgi ye hansi khoshi
tu mairi khoshi mai tairi koshi
tairi jeet mairi b jeet ho..
tairi mat mairi b mat ho
tere hath main mira hath ho
mere hath main taria htah ho
koi gham ki aisi na rat ho..
jo kare hamin kbhi ghmzada
tujhy bhaie mairi har ik ada
mujhy bhaie tairi har ik ada
kare rab hamin na kabhi juda
ye mairi dua ye mairi dua...

 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
mere humsafar mere hum nasheen
mane RAB se manga to kuch nahi
main ne jab bhi mangi koi dua
nahi manga kuch bhi tere siwa
yeh talab kiya ke mere Khuda
sabi rahatein
sabhi chahatein
wo ata kare tujhy manzilein
yeh talab kiya ke mere Khuda
tujhy bakht de
tujhy taaj de
tujhy takht de
mere humsafar mere chara gar
yeh hai dosti ka kathan safar
mere saath chalna zara sooch kar
zara dekh to mera hosla
mere paas jo bhi wo hai tera
nahi or kuch bhi tere siwa
meri dosti
meri zindagi
meri khamoshi
meri be-basi
mera ilm bhi
mera nam bhi
meri subah bhi
ke meri sham bhi
ke jo mil sakein mere daam bhi
wo sabhi kuch tujhy ata kare
mere chara gar tu yaqen to kar
mujhe mangna to na aa saka
mene phir bhi mangi yehi dua
ke gawahi de ga mera Khuda
main ne jab bhi uss se
talab kia
nahi manga kuch bhi tere siwa
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
MERE HUMNAVA MERE HAMSAFAR
Mujhe maaf kar mere humsafar,
Tujhe chahna meri bhool thi,
Kisi raah par unhi ek nazar,
Tujhe dekhna meri bhool thi….

Koi nazm ho yaa koi gazal,
kahin raat ho ya kahin sahar,
woh gali gali woh shahar shahar,
tujhe dhoodna meri bhool thi.

Meray ghum ki koi dava nahi,
Mujhe tujse koi gila nahi,
Mera koi tere siva nahi,
Ye sochna meri bhool thi.
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Bohat he muddat k baad kal jub
Kitaab_e_maazi ko main ne khola...
Bohat se chehare nazar main utre
Bohat se naamon pe dil paseeja...!

Ik aesa safha bhi us main aaya
Likha howa tha jo aansuon se...
K jis ka unwaan "hum-safar" tha
Jo safha sub se he moattaber tha...!

Kuch aur aansoo us per tapke
Phir us se aage main parrh na paaya
Kitaab_e_maazi ko band ker k
Tumhari yaadon main khho gaya main
Ager tu milta to kesa hota
Inhi khyaalon main so gaya main...!!!
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
kabhi yon jo ho kisi din agar
kabhi to jo sar E raah miley
mein hazar lamhon ko khench kar
ye jo chalta waqt hay...bandh don

ye jo gardishein hein zameen ki
isi aik lamhay pe ruki rahein

mein taka karon tujey jazab say
yonhi pyar say yonhi shoq say
teri har ada ko samet lon
mein hisar e jaan mein saja rakhon

to jo pas ho to mein je sakon
to jo door ho,, na jia karon...!!!

kabhi yon jo ho kisi din agr
merye humsafar to jo na milay

mein hazar dharkanon ko khench kar
ye jo chalta dill hay...bandh don

ye jo silslay hein meri sans k
teri doori mein he haar don

to jo paas ho to mein jee sakon
to jo door ho...na jia karon...!!!!​
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mery Hamsafar
Mery Jism-O-Jaan Ky Har Aek Rishty Sy Mautabar
Mery Hamsafar
Tujhy Yaad Hein, Tujhy Yaad Hein
Wo Jo Qurbaton Ky Suroor Mein
Teri Aarzoo Ky Hisaar Mein
Meri Khaahishon Ky Wafoor Mein
Kai Zaaiqy They Ghuly Huwy
Dar-E-Gulsitaan Sy Bahaar Tak
Wo Jo Raasty They Khuly Huway
Sar-E-Loh-E-Jaan
Kisi Ajnabi Si Zubaan Ky
Wo Jo Khushnumaan Sy Haroof They
Wo Jo Sarkashi Ka Ghubaar Tha Cha-har Su
Jahan Aek Doo-Jy Ky Rubaroo
Hamen Apni Roohon Mein Phaelti
Kisi Naghmaggi Ki Khabbar Mili
Kisi Roshni Ki Nazar Mili
Hamen Roshni Ki Nazar Mili
To Jo Reza Reza Sey Aks They
Wo Behm Huwy
Wo Behm Huwy To Pata Chala
Ky Jo Aag Si Hy Sharar-Fishaan Meri Khaak Mein
Usi Aag Ka Koi Anbujha Sa Nishaan Hy Teri Khaak Mein
Isi Khaak-Daan Mein Wo Khaab Hy Jissy Shakl Deny Ky Waasty
Ye Jo Shash johaat Ka Khel Hy, Ye Ravaan Huwa
Isi Roshni Sy Makaan Banna, Isi Roshni Sy Zamaan Huwa
Ye Jo Her Gumaan Ka Yaqeen Hy
Wo Jo Her Yaqeen Ka Gumaan Tha
Isi Daastaan Ka Bayaan Tha
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mery Hamsafar
Kisi Dhiaan Ky Kisi Taaq Per Hy Dhara Huwa
Wo Jo Aek Rishta-E-Dard Tha
Mery Naam Ka Tery Naam Sy
Teri Subh Ka Meri Shaam Sy
Sar-E-Rahguzzar Hy Parra Huwa Wohi Khaab-E-Jaan
Jisay Apni Aankhoon Sy Dekh Leny Ky Waasty
Kai Laakh Taaroon Ki Seerriyoon Sy Uttar Ky Aati Thi Kehkashaan
Sar-E-Aasmaan
Kisi Abbr Paaray Ki Ott Sy
Usay Chaand Takta Tha Raat Bhar
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mery Hamsafar
Usi Rakht-E-Gham Ko Sammetty
Usi Khaab-E-Jaan Ko Sanbhaalty
Mery Raasty Kai Raaston Mein Ulajh Gaye
Wo Chiraagh Jo Mery Saath Saath They, Bujh Gaye
Wo Jo Manzilen
Kisi Aur Manzil-E-Benishaan Ky Ghubaar-E-Rah Mein Kho Gayen
Kai Waswason Ky Fishaar Mein Shab-E-Intazaar Si Ho Gayen
Wo Tanaab-E-Dil Jo Ukharr Gaye
Wo Khyaam-E-Jaan Jo Ujjar Gaye
Wo Safeer They Usi Daastaan-E-Hayaat Ky
Jo Warq Warq Thi Bharri Hui
Mere Shoq Se Tery Roop Sy
Kahin Chaaon Sy Kahin Dhoop Sy
Mery Hamsafar Tujhy Kiya Khabbar
Ye Jo Waqt Hy Kisi Dhoop Chaon Ky Kheil Sa
Isey Dekhty, Isey Jheilty
Meri Aankh Gard Sy Att Gai
Mery Khaab Rait Mein Kho Gaye
Mery Haath Barf Se Ho Gaye
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mery Hamsafar
Mery Bekhabar Tery Naam Per
Wo Jo Phool Khilty They Hontt Per
Wo Jo Deep Jalty They Baam Per
Wo Nahi Rahy
Wo Nahi Rahy Ky Jo Aek Rabt Tha Darmiyaan
Wo Bikhar Gaya
Kisi Shaam Aesi Hawa Chali
Ky Jo Barg They Sar-E-Shaakh-E-Jaan
Wo Gir Gaye
Wo Jo Harf Darj They Reat Per
Wo Urr Gaye
Wo Jo Raastoon Ky Yaqeen They
Wo Jo Manziloon Ky Ameen They
Wo Nishaan-E-Paa Bi Mit Gaye
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mery Hamsafar
Hy Wohi Safar
Maggar Aek Morr Ky Fark Sy
Tery Haath Sy Mery Haath Tak
Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Faasla
Kai Mausamoon Mein Badal Gaya
Usay Naapty, Usay Kaattay
Mera Saara Waqt Nikal Gaya
Tu Mery Safar Ka Shareek Hy
Mein Tery Safar Ka Shareek Hoon
Per Jo Darmiyaan Sy Nikal Gaya
Usi Faasly Ky Shumaar Mein
Usi Be-Yakeen Sy Ghubaar Mein
Usi Rahguzar Ky Hissaar Mein
Tera Raasta Koi Aur Hy
Mera Raasta Koi Aur Hy....!!!!
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Merey hamsafer teri nazer haiN
Merey jazb-e-dil kii e shiddetaiN
Merey khwab,meri basaretaiN
Meri DhaDkenaiN,meri ChahataiN
Jo terey qadm mere sath hoN
Merey sath shams-o-qamer chalaiN
teri qurbatoN maiN samet looN
Rah-e-zindagi ki MusaaftaiN
Ye rida-e-JaN tujhey soNp dooN
Ke na dhoop tujh ko kaDi lagey
KahiN dukh na tujh ko ata keraiN
ser-e-dest-e-gham ki tamazataiN
Merey roz-o-shab ke nisab maiN
Merey pas apna tu kuch naheeN
Tera qarz he meri zindagi
Meri sansaiN teri amaanataiN
Merey chand tu hi bata mujhey
KahaN he woh mera zamana-sazz
KahaN thak ke reh gia kaarvaN
KahaN reh gaeeN meri sangataiN
Woh jo mosamoN ka habeeb tha
Meri piasi aankh ka khuwab tha
Woh mujhey ab bhi aziz he
Karey dil per ab bhi hakoomataiN
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Maire humsafar, tujhey kya khabar
Yeh jo waqt hai kisi dhoop chaon k khail sa
Isey daikhtey, isey jhailtey
Maire ankh gard se att gai
Maire khuwab rait mai kho gaye
Maire hath barf se ho gaye
Maire bekhabar tere naam per
Wo jo phool khilte they hont per
Wo jo deep jalte the baam per,
Wo nahi rahey
Wo nahi rahey K jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
Wo hawa chali
Wo kisi sham aise hawa chali
K jo barg the sar-e-shakhe Jan, wo gira diye
Wo jo harf darj the rait per, wo ura diye
Wo jo raaston ka yakeen thay
Wo jo manzilon k ameen thay
Wo nishan-e-pa bhi mita diye!
Maire humsafar, hai wohi safar
Magar aik moor k farq se
Tere hath se maire hath tak
Wo jo hath bhar ka tha fasla
Kai mosamon mai badal gaya
Usey naptey, Usey katatey
Maira sara waqt nikal gaya
Tu maire safar ka shareek hai
Main tere safar ka shareek hon
Per jo darmayan se nikal gaya
Usi fasley ke shumar mai
Usi be yaqeen se ghubar main
Usi rahguzar ke hasar mai
Tera rassta koi aur hai
Maira rasta koi aur hai..
 
Top