Nazam Collection

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Bay-zameen logon ko..
Bay-qarar ankhon ko..
Bad-Naseeb qadmon ko..
Jis traf bhi le jaein ..
Rastoon ki marzi hei..


Bay-nishaan jazeeron par..
Bad-guman shehron mein..
Bay-zuban musafir ko..
Jis traf bhi bhatkaein..
Raston ki marzi hei..


Rok lein ya jane dein..
Thaam lein ya girnay dein..
Wasl ki lakeeron ko..
Tor dein ya milnay dein..
Raston ki marzi hei..


Ajnabi koi laa kar..
Hamsafer bna daalein..
Sath chalnay walon ki..
Raakh bhi uraa dalein..
Ya musaftein saari..
Khaak mein mila dalein..
Rastoon ki marzi hei
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Tera hamsafar jab tujhey “jaan” keh ke bulaata ho ga
tab tujhey guzra huwa koi pal yaad
to aata ho ga

Resham si ghani zulfoN meiN jab
gulaab sajaata ho ga
Gulaab ki khushkismati pey koi
sher bhi sunaata ho ga
Jheel si aaNkhoN meiN khaamoshi
sey doob jaata ho ga
laboN sey maathey pey jab chahat
ki mohar lagaata ho ga
Tab tujhey guzra huwa koi pal yaad
to aata ho ga

Ham-nishast ho ky tery pehlu meiN
behak jaata ho ga
Tery husn ki nisbat sy nagmeyN bhi
gungunaata ho ga
Teri god meiN sar rakh ky shokhi sy
muskuraata ho ga
Apny chehry py khud teri zulfoN ko
jab pheylaata ho ga
Tab tujhey guzra huwa koi pal yaad
to aata ho ga

Teri pasand ki khushbu ko bohat
sarhaata ho ga
Khush-rang poshaakoN ka tofha bhi
to laata ho ga
abhi pehan ke dikhaao, is baat pe
arr jaata ho ga
Khud tery haathoN meiN jab
chorriyaaN pehnaata ho ga
Tab tujhey guzra huwa koi pal yaad
to aata ho ga

Teri khushi ke leeye gham apny
bhool jaata ho ga
GhamoN ke mosam meiN dil ko
terey behlaata ho ga
Tamaam umr saath chalney ki
kasam khaata ho ga
Phir barri chaahat sey tujhy seeny
sey lagaata ho ga
Aesey meiN jab “jaan” keh ke wo tujhey bulaata ho ga
Tab tujhey guzra huwa koi pal yaad
to aata ho ga
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
aao udas raton main,

dil ki busti main aa k dekho,

har ik rasta har aik dareecha,

tumhari chahut ka montazir he,

falak se tukta he chand tujh ko,

sitary tum ko bola rahy hen,

tumhari aamud k montazir hen.

mujhy yaqeeN hetumhary dil main,

gaye dino k kheyal hen kuch,

naey safar k malal hen kuch,

nai ruton k sawal hen kuch,

agar ye such he to meri mano,

purany raston pe laot aao,

purani busti main koi ab tak,

tumhari aamud ka muntazir he.
tumhari aamud ka muntazir he.
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Woh aksar bhool jaati he
Kabhii khuwaboN ke jangle maiN
Kabhii yadoN kii daldal maiN
Kisi din taiz barish maiN
Kabhii deryaa ke dharay per
woh mera naam likhtii he
Kabhii likh ker mitaa-tti he
Kabhi likhne se pehley hii
Mitta ker hansne lagtii he
Kisi din shaam se pehley
Mitaana bhool jatti he
tu sarii raat roti he
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
toot kar zara dekho,

tum agar bikhar jao,

bay basi may ghir jao,

dil say ik sada dena,

bus mujay bula lena,

may tumhe sumbha longa,

zindagi may chalnay ka,

rasta badalnay ka,

ik hunar sikha donga,

tumko hosla donga,

or jab,

sambhal jao,

raat ke andheron se

bachkar nikal jao

roshni may dhal jao,

mujko yun sila dena,

tum mujay bhula dena………..
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Raat bhi hai kuch bheegi bheegi
Chand bhi hai kuch madham madham
Tum Aao to Aankhain kholain
Soii hui paaiL ki chahm chahm

kis ko bataaiN kaesey bataaiN
Aaj ajab hai diL ka Aalam
chain bhi hai kuch halka halka
dard bhi hai kuch madham madham…..​
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Kiun Jaagte Ho ?...
Kia Sochte Ho ?...
Kuch Hum Se Kaho ...
Tanha na Raho...
Khalwat ke Khrabe men hum bhi, itne hi Preshan rehte hen..
Bas Khab-o-khyal ki Basti men, Majbur-o-Pasheman rehte hen...
Logon se Gurezan rehte hen...
Socha Na KAro...
Yaadon ke Bareste Badal ko, Palkon pe Sjana Theek nahi...
Jo apne Bas ki Bat na ho us ko Dohrana Theek nahi...
Aise na Kuredo Zakhmon ko...
Aise to na Meri Jaan karo...
Mujh par itna ehsaan karo...
Ab Raat Ki Palkain Bheeg Chaliin ...
Aur Chaand Bhi Hai Chuph Jane Ko ...
Kuch Der Main Shabnam Aaye Gi...
Phoolo'n Ki Pyas Bujhane Ko...
Shadaab Shagoofo'n Ki Suurat ...
Khwabo'n K Nagar Main Kho Jao...
Ab So jao . . . ! ! !
Tum So Jao . . . ! ! !
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Shehr-e-Dil ki Galiyoon main
Shaam se bhataktay hain
Chand k Taman-na-ee
Baiqarar Saudaii
Dil Gudaz Tarikii
Jan Gudaz Tanhai
Rooh-o-Jaan ko Dasti haii
Rooh-o-Jaan main Basti hai
Shehr-e-Dil ki Galiyoon maain

Taak-e-Shab ki bailoon per
Shabnami Sar shakoon ki
Beqarar Logon nay
Beshumaar Logon nay
yadgaar chorhi hay
Itni Baat Thori Hai ?

Sud-Hazar batain thin
Hela-e-Shakebaee
Soraton ki Zebai
Qamaton ki ranaii
In siah raton main
Aik bhi na yaad aae
Ja bja bhataktay hain
Kis ki rah taktay hain
Chand kay taman’naee

Ye Nagar Kabhi Pehlay
Is Qadar Na Veeran Tha
Kehnay walay kahte hain
Qarya-e-Nigaraan Tha
Kabhi apnay Jeenay Ka
Yeh bhi aik samaan tha

Aaj Dil main Veerani
Abr ban kay Ghiraaii
Aaj Dil ko kya Kahiyea
Ba-Wafa Na Haarjae
Phir Bhi Log Diwanay
Aa gayay hain samjhanay
Apni wehshat-e-dil k
Bun liyay hain afsanay
Khush khayal dunya nay

Garmiaan to Jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab Maluul raton may
Doston ki baton may
Ji na chain payay ga
Aur oob jayay ga
Aahaton say Gonjain gi
Shehar-e-Dil ki Pinhaee
Aur chand raton main
Chandni kay Shedaii
Har bahanay niklain gay
Aarzoo ki Gairaii
Dhondnay ko Ruswaii
Sard Sard Raton ko
Zard Chand Bakhshay ga
Bay-Hisaab Tanhaii
Bay-Hijaab Tanhaii
Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main………!!

 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon
Jagmagati jaagati sarko peh aawara phrioon
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Maire seene par magar chalati hui shamsheer si
Ai gham-e-dil kya karoon ai wahshat-e-dil kya karoon
Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal
Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chal
Yeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan
Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan
Barh rahi hai god phailai hue ruswaian
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
Saikaron Changez-O-Naadir hain nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon
Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon
Ai gham-e-dil kya kahoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Siyaah Raat Main Jalte Hain
Jugno'oun Ki Tarah
Diloon K Zakhm Bhi
Mohsin Kamal Hote Hain
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Aankh ki nadiya, ashk ki naiya, yaad tumhari,
or Chand ki Raat..

Jhirna, jugno, tim tim taray, ktni pyari,
Chand ki Raat...

Sokhey pattey,
serd hawayen,
so0ni sarkein, main 0r tum,
Shah 0r Malka hath hain Thamy,
0r Darbaari,
Chand ki Raat...

Mera bachpan,
Dorr patangen, pakki neindain, kachey Ghar,
Chupan chupai,
cheena jhapti, Raj dulaari,
Chand ki Raat...

Tash k pattey, yar Hamarey,
maili chadar,
Gehri chaal,
Sans ka Huqqa, Behki batein,
Hum pe taari,
Chand ki Raat...

Seep, gohar, moti ko dhondy,
sagar sagar phirti thi,
MEHaK tere Sahil pe utri,
Shouq ki Maari Chand ki Raat...​
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Ishq mohabbat wali raahen bohat talkh hain
Khail nahi hai in per chalna
Saath nibhana bohat kathin hai
Do pal ki hai khushi ki sa'at
Sadiyon phir be-chaini hai
Chand he hain qurbat k lamhe
Phir sunsaan si raaten hain...!

Suraj k neeche moum ka ghar
Kaha nahi tha pagal-pan hai...?
Kaha nahi tha...?
Aag se mat khelo tum jaanan!
Jal jao gi...

Sub kuch kaha tha main ne
Her aik baat batai thi
Achhi buri her praim-kahani
Main ne tumhen sunai thi
Lekin ziddi larrki tum ne
Wahi kia na aakhir tum ne
Jis ki apne dil ki thhani...!

Pagal larrki!
Taiz hawa main diya jalaya tha jo tum ne
Aakhir kub tak kalta rehta...?
Hawa se larrte larrte aik din
Bujh he gaya wo diya tumhara
Lekin tum ko khabar nahi hai
Jis din se wo diya bujha hai
Us din se "main" sulag raha hon...!!!
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
vaadi-e-gaNgaa meN ek raat

karte haiN musaafir ko mohabbat ke ishaare
ai vaadi-e-gaNgaa tere shaadaab nazaare
ye bikhare hue phool, ye bikhare hue taare
Khushboo se mahakte hue dariyaa ke kinaare !

ye chaaNdanii raat, ye pur-khwaab fazaayeN
ik mauj-e-tarab kii tarah be-taab fazaayeN
sabze ka hujoom aour ye shaadaab fazaayeN
mahake hue nazaare haiN, bahake hue taare !

ye taare haiN ya noor ke maikhaane haiN aabaad
maasoom-o-hasiiN hooroN ke kaashaane haiN aabaad
mastaanaa hawaaoN pe parii-khaane haiN aabaad
ya daaman-e-aflaak meN be-taab sharaare

mahtaab hai ya noor kii khwaabiida parii hai
almaas kii moorat hai ki maNdir meN dharii hai
mar-mar kii suraahii maiye-siimiiN se bharii hai
aour tairtii hai niil ki maujoN ke sahaare

niiNdoN meN hai khoii huii be-daar hawaayeN
gulzaar haiN gulrez guhar-baar hawaayeN
haiN noor meN doobii huii sarshaar hawaayeN
ya baal fishaaN mastii-e-nak'hat ke nazaare

sahraa haiN ki khawaabiiNdaaN nazaaroN ke shabistaaN
daaman meN liye chaaNd-sitaaroN ke shabistaaN
firdaus ki pur-kaif bahaaroN ke shabistaaN
shaayar ko tamannaa hai yahiiN raat guzaareN
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Bohat takheer se lekin
khula ye bhaid khud per bhi
ke main ab tak
muhabat jaan kar jis
jazba-e-derina ko apne laho se senchti aiye
wo jis ki sas’at-e-sad mehrban hi zindagi ki shart theri thi
faqat shaiyeba hi tha mohabat ka
yunhi adat thi har raste pe us ke sath chalne ki
wagarna tarke khwahish per
ye dil thora sa tu dukhta
Zara si Ankh nam hoti
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Abhi kuch waqt baaqi hai
Kali ko phool banne main
Aur us ki shaakh per
Kuch aur nayi konpal nikalne main...!

Abhi main hon bohat chhota
Meri mama ye kehti theen
"K bachon ki dua ko Tum
Kabhi bhi radd nahi kerte...!"

Mere papa bhi kehte thay
"K Tujh se jo bhi kuch maango
Tu deta hai, Tu daata hai...!"

To ae pyaare se Allah jee!
Meri mama mere papa
K jin ko kal bohat se log
Tere paas chhorr aaye
To ab wo tere mehmaan hain...!

Mere pyaare se Allah jee!
Tujhe maloom hai sub kuch
K kal ki raat jub
Khaala ne mujh se ye kaha
K ab mama mere papa
Kabhi wapis na aayen ge
To mujh ko kis qadar takleef pohanhchi thi
Main saari raat roya tha
Na saari raat soya tha...!

Mere pyaare se Allah jee!
Zara mujh ko batana to
Meri mama mere papa
Na jab tak raat ko
Mujhe pyaar ker lete
Na sukh ki neend sote thay
To kia kal raat wo donon bhi
Mere saath jaage thay...?

Mere pyaare se Allah jee!
Main un bin reh nahin sakta
Abhi main hon bohat chhota
Main tujh tak aa nahi sakta
Nahi maloom hai rasta
Tu aesa ker
Meri mama mere papa ko lota de...
Meri mama mere papa ko lota de...!!!
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Us Ne Mujh Se Kaha
Mere Saathi !!
tum ko jo mujh se gila hai.......kya hai?
kabi fursat milay to ye socho
manzilain kyun hai? fasla kya hai?
apne apne safar par nikley log
mushtarik raton pe chaltay hain
hamr hi k Hasaar mei jitne
din nikaltay hain chiraag jaltay hain
apni apni umeed k dar.o.baam
zindgi k safar mei miltay hain
mustakil dard arrzi aram
tum mere humsafar to ho lekin
hum kahin se bicharr bhi sakte hain
dair tak ek daweel rastay par
SAATH to ajnabi bi chaltay hain
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Tu kisi aur ki Jageer hai Aey Jaan-e-ghazal..
Log Toofan Uthadengay.. Meray Saath Na chal..

Pehlay Haq Tha Teri Chahat kay Chaman Par Mera..
Pehlay Haq Tha Tere Khushboo-e-Badan Par Mera..
Abb Mera Pyar Teray Pyar Ka Haq Daar Nahi..
Mein Teray Gaisoo-e-Rukhsar Ka Haq Dar Nahi..
Abb Kisi Aur Kay Shaano Pay Hai Tera Aanchal..

Log Toofan Uthadengay.. Meray Saath Na chal..

Mein Teray Pyar Say Ghar Apna Basaaoon Kesay..
Mein Teri Maang Sitaroon Say Sajaaoo Kesay..
Meri Qismat Mein Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad..
Meray Haathon Ki Lakeeron Mein Nahi Tu Shayad..
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal..

Log Toofan Uthadengay.. Meray Saath Na Chal..

Mujhse Kehti Hain Yeh Khamosh Nigahen Teri..
Meri Parwaz Say Oonchi Hain Panahen Teri..
Aur Ghairat-e-Ehsas pay Sharminda Hoon..
Abb Kisi Aur Ki Baahon Mein Hain Bahain Teri..
Abb Kahan Mera Thikana Hain Kahan Tera Mehal..

Log Toofan Uthadengay.. Meray Saath Na Chal..
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Hath Hamare

Jab Kanch Uthane Par jayein
Tum Hath Hamare Lay Jana
Jab Khud Ko Tanha Pao Tu
Tum Saath Hamara Lay Jana
Jab Smjho Jeet Muqadar Hai
Aur Rastay Hain Dushwaar Bohat
Na Chahtay Bhi Tum Keh Dena
Bebaak Sahare Lay Jana
Jo Bazi Aub Tum Jeeto Ge
Jo Manzil Aub Tum Pao Ge
Phir Chaho Tu Ye Keh Dena
K Manzil Thii Maqsood Mujhe
Kab Saath Hamara Chhuta Hai....
Ek Muskaan Sii Hum Ko Dey Jana
Tum Jaan Hamari Lay Jana
Jab Kanch Uthane Par Jayein
Tum Hath Hamare Lay Jana
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Chalo ek or duniya main,
Tumhare sath chalte hain,
jahan halat Kuch b Hun,
Magar......
Tumhare sath rehte Hun,
Wahan mausam koi b ho,
Judai ka na ho lakin,
Jahan ka chand b tm ho,
Jahan suraj,huwa,roshni,
Gulun ka rang tm sa ho,
Jahan pr dil dharkany ka,
Hr ek ehsas tm sa ho,
Jahan p mere jine ki,
Sari aas tm se ho,
Chalo ek or duniya main,
Tumhare sath chalte hain........
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
usy kehny Qasum lelo.
usy kehna Qasum lelo.

tumhary baad agar hum ny,
kisi ka khuwab dekha ho,
kisi ko hum ny chaha ho,
kisi ko hum ny socha ho,
kisi ki aarzoo ki ho,
kisi ki justajoo ki ho,
kisi ki raah dekhi ho,
kisi ka Qurb manga ho,
kisi ko sath rakha ho,
kisi ki aas rakhi ho,
koi umeed bandhi ho,
koi dil main utara ho,

usy kehna Qasum lelo ..

koi gar tum se piyara ho,
koi dil main basaya ho,
koi apna banaya ho,
koi rootha ho usy ro kar manaya ho,
december ki haseeN root main,
kisi ka hijr jhaila ho,
kisi ki yaad ka maosam,
mery angun main khela ho,
kisi ki baat karny ko,
kabhi ye hont tarsy hon,
kisi ki be wafai par,
kabhi ye nain barsy hon.

usy kehna Qasum lelo.
usy kehna Qasum lelo.
 
Top