shukriya janab apna khayal rakhne k liye
jis khaliq ne hame paida kiya hai ussi ne hamare liya ek kanoon banaya hai aur wo kanoon qayamat ki subha tak baki rahega aur usko follow karke hi hamari falah hogi
islam hame har mamle me rehnumai karta hai aisa koi pehlu nahi jisme ham andheron me hain har cheez wazeh aur roshan hai
apne kaha agar kisi ke 10 bache hon aur 10 main se 8 nalaik hon aur kisi ke 2 bache hon aur 2 ke 2 laiq hon
aise bhi hosakta hai na k 10 bache hon aur 10 k 10 hunhaar neik saleh layakh hon aur kisi k 2 bache hon don nalayakh hon aise bhi mumkin hai
lekin yahan baat hamare Allah par tawakkal aur uski farmabardari ki hai agar ham uske bataye huye kanoon par chalenge to 10 nahi 100 bachon ki parwarish bhi hosakti hai Insha Allah
agar ham uske kanoon k khilaf apni zindagi guzarenge to ek bache ko bhi nahi sambhal sakte
khair sab ki apni rai hai
mazeed is par maloomat k liye ap is thread par zaroor nazar dalen
Click Here
Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen