Family Planning Par Apki Tassuraat

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Are aana para yaar aub buzargon se behas kerna koi achi baat thori naa hai :p
waise buzurg kaun hai yahan :|

well said saviou bhai..
shukran pari :)

baat buzurg hone ke nahin hain baat huk ki hain joh such hain hamisha us per baihuss kero yeh na dekhe joh buzurg hain toh uske lehaz k lie ghalate ko bhii sahi manna parhe aur zyadater bache bhi itne intellictual hote hain joh buzurg logu se kahe zyada educated and knowledge mei agay hote hain joh bado ko bhi advice desakte hain... hamisha huk k bare mei kaho yeh na dekho samne badha kadha hain ya koi bacha...
Jazakallah khair sabah :)

sahi kaha apne admi bada ho buzurg ho to iska ye matlab nahi k wo galat bole phr bhi uski baat manlen aise hargiss nahi

ek hadees sunate hain Hazrat Umar r.a ne maher par hadd lagayi khutba dete huye to ussi dauran ek aurat uthi aur kaha k Quran me to Allah ye kehta hai aur aap kaun hote hain hadd lagane wale to Hazrat Umar r.a ne apni galti mani aur apni baat wapas leli shubhan Allah waqt ka khalifa aur wo Umar r.a jinke bare me Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne kaha agar mere baad koi nabi hota to wo Umar hote to itne bade buzurg ki baat us aurat ne nahi mani kyun k wo baat Quran k khilaf thi

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca

baat buzurg hone ke nahin hain baat huk ki hain joh such hain hamisha us per baihuss kero yeh na dekhe joh buzurg hain toh uske lehaz k lie ghalate ko bhii sahi manna parhe aur zyadater bache bhi itne intellictual hote hain joh buzurg logu se kahe zyada educated and knowledge mei agay hote hain joh bado ko bhi advice desakte hain... hamisha huk k bare mei kaho yeh na dekho samne badha kadha hain ya koi bacha...
true said Sabah... agar hum baat k bajaye baat karnay walay ko dekhein to aysi hazaro haq ki batein hongi jo hum nai manaeingay...
Please yeh mat dekhin k kon keh raha or kis terhan keh raha sirf yeh dekhein k jo wo keh raha hai wo kitna sach hai or ap k lie us may kia bahlai hai...
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Jazakallah khair

yahan ek hadees yaad agayi jisme abu huraira r.a ko iblis ne ayatul kursi sikhayi thi
to Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne uski tasdeeq ki aur kaha hai to wo jhoota lekin sachi baat kahi

to kaun keh raha hai ye nahi dekha jayega balke kya keh raha hai aur wo kitna haq hai wo dekha jayega

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
ameen saviou bhia,jazakALLAH ap bht achay tareqay say guidekartay hay.
 
CoOoL

TM Star
Jul 1, 2009
1,267
804
413
Pakistan

Janab baat badi wazeh hai

hame Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ki itaat karni hai unhone ka zyada bache paida karne wali se shadi karo to hame isko min o an manna hai jab ek hadees me zyada bache paida karne wali se shadi karne ka hukm ho to phir kam bache wali hadees kaise ho sakti hai

agar koi bina uzr aisa amal kare yane bacho ko roke ya unko paida hone se pehle qatl kare to phir apke samne Quran ki aayat hain aur Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam hai unki mukhalifat karna kaise hoga ap khud jaanlen

aur aaj ka duar ho ya pehle ka ya phir qayamat ki subah tak ka duar shariat sab k liye hai aur Quran chunke ab akhri kitab hai Qayamat tak yehi shariat rahegi aur is shariat ko banane wala khud Allah hai to hamare jo behtar hoga wohi usne diya hai agar ham is qabil nahi hote to kya Allah hamare upar zabardasti thopta nauzubillah

apne jo hadees k alfaz bayan kiye hain shayad wo us tarah se nahi wallahu aalam

mazeed kuch puchna hai to aap zaroor puchen

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
JAZAK ALLAH HO KHAIR SAVIOU BHAI

App ne bilkul theek kaha humari khair esi main hai jis ka Allah or os k rasul S.A.W ne hukam diya hai

Pr saviou bhai mera sawal ye tha k jaise Allah talla ne or Rasul S.A.W ne tahajat prhnay ka hukam diya hai jis ki boht ziyada fazeelat hai or agr koi tahajat nahi prhta to wo gunhagar hoga aisa islam main nahi hai right?

Isi trha Allah or Rasul S.A.W ne hamal ko giranay or nasbandi etc se manah frmay hai or ye sakht treen gunha hai.

app ne azal k bare main btaya to azal k liye hum koi tarika use krtay hain ye to jaiz hai na?

to mera sawal ye tha k kia quran hadees main koi aiyat ya hadees hai jis main hukam hai k agr koi kam bachay paida kray ga wo gunha gar hai?

or jis ne dunia main aana hai wo aa kar rahay ga jis ko jitna jina hai wo utna jiye ga jaise k app ne btaya k bacha apna rizzaq sath lay kr atta hai or hum Q Allah k hukam ki nafarmani krain..........

Beshak wo hakeem hai or har cheez pr qadir hai...........
 
Allahi barik feek :)

yahan aapko thora aur wazahat kar dete hain

ek cheez hoti hai hukm jiska agar Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam hame den to wo hamare upar wajib o farz hojata hai lekin agar wo hukm nahi to phir hamare upar farz nahi wajib nahi misaal deke apko samjhate hain

Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam amama (pagdi) pahente the lekin kisi ko hukm nahi diya k pehno....chunke Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam pahente the ham bhi pehnenge to sawab hai agar nahi pehne to gunah nahi kyun unhone nahi kaha

ek jageh Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne farmaya apne dayen hath se khana khao yahan par hukm hai agar ham bayen hath se khayenge to ye unke hukm ki nafarmani hai ham gunehgar honge

issi tarah se Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne kaha namaz aise padho jaise mujhe padhte huye dekhte ho to ye bhi hukm hua agar ham unke jaise nahi padhenge to hamari namaz nahi hogi

lekin jahan tak tahajjut ka sawal hai Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne hame hukm nahi diya k roz padho bas iski fazilat batayi padhoge to sawab milega nahi to gunah nahi

lekin jahan tak hamal girane ki baat hai aur bachon ko rokna to ye Quran k alfaz hain k apne bachon ko nahaq qatl na karo aur phir Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ka farman aur hukm bhi to yahan ye cheez ham par wajib hojati hai

rahi baat azl ki to koi tareqa nahi balke jo azl ka matlab hai wohi tareeqa apni mani ko bahar nikal dena aur iskliye Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne kaha sahaba se tumhara karna na karna kuch nahi hoga agar Allah ne likha hai to bacha hona hi hai

umeed hai baat samajh me agayi hogi

Allah hame Quran aur Hadees ko samajh kar padhen ki taufeeq de Aameen
 
  • Like
Reactions: Aara'af

CoOoL

TM Star
Jul 1, 2009
1,267
804
413
Pakistan
to saviou bhai azal main koi gunah nahi hai or ye jaiz hai ?

JAZAK ALLAH HO KHAIR NASIR BHAI

To frndz hum sab muslmano ki bhlai is main hai hum Allah or Rasul S.A.W.W k ehkaam ki frmambardari krain...

Allah hum sab ko hadayat day , seedha rast pr chlnay ki tofeeq atta frmaye or jo bhai behan deen k rast pr chal rahay hain un klo istqamat atta farmaye (Ameen)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
arrey idhar toh sabhi bazurg bethe hain.......:p
hame to koi buzurg naza nahi aate :)

---------- Post added at 01:38 PM ---------- Previous post was at 01:00 PM ----------

ameen saviou bhia,jazakALLAH ap bht achay tareqay say guidekartay hay.
Allahi barik feek :)
ye Allah ka ahsaan hai k hamare toote phoote alfaz se logon ko samajhme aajata hai

hmmmmm.........
kya hua hannia
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
to saviou bhai azal main koi gunah nahi hai or ye jaiz hai ?

JAZAK ALLAH HO KHAIR NASIR BHAI

To frndz hum sab muslmano ki bhlai is main hai hum Allah or Rasul S.A.W.W k ehkaam ki frmambardari krain...

Allah hum sab ko hadayat day , seedha rast pr chlnay ki tofeeq atta frmaye or jo bhai behan deen k rast pr chal rahay hain un klo istqamat atta farmaye (Ameen)
Aameen
Allahi barik feek :)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
MERE KHEYAAL SE TO SAVIOU BHAI...YE APNE APNE MOOD KI BAAT HE K MERE 4 BACHEY HOON , MERE 8 HOON, MERE 2 HOON ETC,,
HAAA MAGAR YE SOCHNA K ZEADA BACHEY HOONGE TO KHARCHA MUSHKIL SE HOGA ,THEEK SE PARWRISH NA HO SAKEY GI, YA UNHAIN KHILANA PAREY GA..YE SAB JAHALAT KI BAATAIN HAIN Q K HAR INSAAN APNA RIZQ LE KAR AATA HE..
OR QURAAN ME B ALLAH PAAK NE KAI MUQAMAAT PE IS BAAREY ME IRSHAAD FARMAYA HE..K APNE BACHO KO IS KHOF SE NA MAARO K INHAIN KHILANA PAREY GA ..IN KO RIZQ DENEY WALA ME HU NA K TUM..
OR AIK OR JAGA MENE PARHA THA K HADEES-E-QUDSI HE K APNE GHAR K KISI B FARD KO YE MAT KAHO K YE MANHOOS HE IS LIYE BARKAT YA PESA NHI RAHA ,,KEA PTA USI AIK KI WAJHA SE ME TUM SAB KO RIZQ DE RAHA HOON..
AISI KAI HADEESAIN B MOJOOD HAIN JIN ME AAP S.A.W.W NE FARMAYA HE K AISI OORAT SE SHAADI KARO JO ZEADA BACHO KI KHUAHISH MAND HO...
AB AAGE SAVIOU BHAI IS MOOZU PE BAAT KARAIN GE...
AIK BAAR PHIR KEHNA CHAAHO GA K AISA SOOCHNA GHALAT HE..BAAKI AAP KI MARZI...
:-bd
apki baton se ham ittefaq rakhte hain siwaye pehli baat jo apni ki mood wali

bro asal me momin har mamle me Allah aur Allah k Rasul sallelalhu alayhiwasallm ki raza dekhta hai k unhone kya hukm diya unko kya pasand hai aur kayi aise mamle hote hain jisme hamara dil nahi karta ya kuch na kuch aada aata hai aise hi waqt hame apne nafs par kabu karna hai aur Allah aur Allah k Rasul sallelalhu alayhiwasallm k farman ko muqaddam rakhna hai yehin hamara imtehan hai

Allah hame deen ko samajhne aur uspar amal karne ki taufeeq de Aameen
 
yawar saeed

Newbie
Jun 2, 2010
63
13
0
karachi, pakistan
lekin kia family planing per koi wazeh hukum ya hadees mojood hai....ek hadees yeh bhi ek sahabi ne rasool allah se isi silile mai swal kia...kai dafa istifar per rasool ne jawab nahi diya aur sirf muskurai aur kaha" ho ga wohi jo allah chahe ga...."
 
Top