Family Planning Par Apki Tassuraat

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)

kuch din pehle hamare TM k hi ek mem ne hamse sawal kiya tha family planning kya jaez hai to unko hamne kaha k aap Islamic Quiz me bhi ye sawal karsakte hain to unhone kaha nahi wahan sharm aati hai kahir hamne unko maqool jawab diya dalail ki roshni me

ab ham aap sab ki rai janna chahte hain kya family planning karana chahiye aaj k halat k hisab se ya phir kisi bhi wajhe ko aap zahir Karen chahe aap islami nazar se ya koi aur nazriat se apni baat rakhsakte hain

jab sab k khayal rai ajaye to akhir me insha Allah iski mukammal surat aur iska hal Quran aur hadees ki roshni me ham rakhne ki koshish karenge

aap sab k replies k muntazir :)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
walakumsalam wrwb...
family planning se apka kia matlab hai?:
ek ya do bachon par ektefar karna ye soch kar ki ek do honge to unki tarbiat theek hogi
yar phir koi bhi wajhe hosakti hai thore loog kam bache pasand karte hain kisi ko apne figure ka khayal rehta hai bohot sari wujuhaat hain kayi loog abortion kawate hain jab pata ho jayeke unke pait me bacha hai

aur kya aaj k hisab se ek aur do bache hi sahi hai ya phir hame jitna Allah de raha hai usse qabool karna chahiye
 
Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
har insan koi na koi planning to karta hi hai...ke unka aik beta ho ya beti ho..ya pher itne ho...but jo bhi unhe mile..unse ap ko khush hona chahiye..abortion karana theek nai..na hi kisi child ko ap pyar na do..jst coz ap larka chahte the..aur larki hogaye..its all wrong..dats wat i believe....Allah talah hamein jo deta hai..unse hamein khush rehna chahiye..warna kuch logo ko to woh tak naseeb nai hota..hamein bas sabar rakhna chahiye..
 
  • Like
Reactions: yoursks

Jazakallah yane aap family planing k khilaf hain
jitni aulad Allah hame de usse hame qabool karna chahiye

yehi kehna chahte hain aap
 
  • Like
Reactions: Aara'af and yoursks

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
may to just ye kaho ge k jitne hamaray nabe pak ki ummat ziada hoge utne he hamara deen pehlay ga,baqe roze rotte ye sab Allah k zimay hay,jo wo hamara RAZIQQ hay to pir hum q apnay bachoo ka qatal karay mehaz unki kifalat k dar say..
 
  • Like
Reactions: yoursks

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
may to just ye kaho ge k jitne hamaray nabe pak ki ummat ziada hoge utne he hamara deen pehlay ga,baqe roze rotte ye sab Allah k zimay hay,jo wo hamara RAZIQQ hay to pir hum q apnay bachoo ka qatal karay mehaz unki kifalat k dar say..
Jazakallah khair tooba apne bilkul haq baat kahi hai
Allah hame amal ki taufeeq de Aameen

lekin is haqeeqat ko jaankar bhi loog aise kyun karte hain
apko kya lagta hai isme mard ki ya phir aurat ki dono me se kiski zyada marzi hoti hai
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
well aulad ALLAH ki dain he...or chunkay Wo paida krne wala he to wo unka rizq b muqarar krk bhejta he....me dalail dene me thori is sense me weak hun k me bhul jati hun k hadith kis ne riwayat ki or kis buk me he so i need sometime to ans this...will post my view soon.
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
well aulad ALLAH ki dain he...or chunkay Wo paida krne wala he to wo unka rizq b muqarar krk bhejta he....me dalail dene me thori is sense me weak hun k me bhul jati hun k hadith kis ne riwayat ki or kis buk me he so i need sometime to ans this...will post my view soon.
bilkul sahi kaha apne Aulada Allah ki den hai aur wo jab de raha hai to rizq bhi wohi muhaya karayega...
apko hadees yaad nahi lekin hadees k alfaz bhi agar yaad hon to share karden hamare ilm me ajaye to ham ref dedenge insha Allah :)
 
  • Like
Reactions: Aara'af

*lucky*

Newbie
Aug 9, 2010
4,386
1,581
0
sweet home
Waalikumaslam

mera khyaal hai family planing koi buri baat nahi hai hona chahiye...main ghlt b ho skti hoon zaroori nahi k jo main keh rahi hoon wo theek hai but mujhy aisa lgta hai k is main kuch ghlt nahi hai....baaki hadees or Quraan say pata chaly ga k ye sb theek hai ya nahi....jo Quraan or hadees kahy wahi such hai....

aik baat ye b hai k family planing koi kry ya na kry hoga wahi jo Khuda chahta hai...
 
Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar

Jazakallah khair tooba apne bilkul haq baat kahi hai
Allah hame amal ki taufeeq de Aameen

lekin is haqeeqat ko jaankar bhi loog aise kyun karte hain
apko kya lagta hai isme mard ki ya phir aurat ki dono me se kiski zyada marzi hoti hai
shukria bhai,
jaha tak sawal q kartay hay ka hay,to iska kia jawab do may bhai?hum aj kal apnay RUB ko razi karnay say pehlay donyave kodao ko razi karnay may lagay howay hay,q k hmay Allah par brosa nae,bul k donia ki super power ki amdad par brosa hay,(kuda maf karay,lakin haqeqat yahe hay,or ye family planing ka shosha b magrib ka chora howa hay)
 
Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
saviou bhia qasoor ismay mard ka ziada hota hay,q k urat fitratun kamozoor hay,wo mard ki ijazat or hukum k bagier itna bara qadam nae utaa sakte..
 
Babar-Azam

"Be serious" - "I am wild"
TM Star
Jun 27, 2010
4,089
1,482
1,013
Abbottabad
shukria bhai,
jaha tak sawal q kartay hay ka hay,to iska kia jawab do may bhai?hum aj kal apnay RUB ko razi karnay say pehlay donyave kodao ko razi karnay may lagay howay hay,q k hmay Allah par brosa nae,bul k donia ki super power ki amdad par brosa hay,(kuda maf karay,lakin haqeqat yahe hay,or ye family planing ka shosha b magrib ka chora howa hay)

I Agree vd u
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Family planning voh loug zyadater kerte hai jenke life serf planning k hessab se chalte ho..
like kuch loug kahte hain k shadi k 3 saal baad bacha hona chahye koi 5 saal k baad kessi ko kitne kids chahye and kitne time k baad so yeh sub ek he issue hain....
kabhi koi yeh plan kerta hain 3 aulad honge aur buss hain jes wajah se treatment k zerye ya abortion k zerye baki koi bacha nahi hosakega aise mei khuda na khwasta yeh hota hain k unka bacha kessi hadse mei ghoom hojata hain ya intekal kerta hain then maa baap ko eske baad ek aur aulad chahye hota hain aur tub unka koi bacha nahin hosakta aur afsoos kerne k elawa koi rasta nahin hota...
so my main point is k family planning ko side mei rakne chahye aur jitna Allah deta hian usay kabool kare kio k aulad Allah ka nemat hain baki ka kitne aulad hona chahye voh baad mei soche... aur shoro se family planning ka koi irada na kare kio k es mie kafi casualities bhi huti hian...
 
Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
According to Islam, mere khayal say theek nai hai Family Planing karna... kiun k may nay suna hai k sab apna apna rizq lay kar is dunia may ate hain... or is k sath ( Shayad ) islam may muslim ki tadad berhanay ka zzikar bhi kia gaya hai.

Lyakin bat ajati hai apnay mojaada halat par.. k kia hum afford kar sakeingay ? kia un ko bara bar ka pyaar mile ga.. waghera waghera... its kinda complicated...

Plus, may yeh janna cahta hon k agar koi family planing karta hai, to kia Islam may is ka koi gunnah hai?
 
Top