Family Planning Par Apki Tassuraat

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


I think we should believe on Quality not on Quantity.
Iss waqat Muslims poori dunya mein sub say ziyada hain leekan muthi bhar jews unn par havi hain ? Keon ? kabhi socha aap nay!
Alhamdulillah mein aik muslim hoon leekan iss ghissi pitti daleel ko naheen manta kah ummat ziyada honay say deen phailay ga. Nabi Karim kay sath chund sahaba karam thay aur unhoon nay poori dunya mein Islam phaila dia tha.
Hamain Achay aur neek Aalim banana chahiye nah kah sirf aur sirf ummat barhanay par zoor daina chahiye.
Sorry if you mind my any words but its a bitter truth.
Assalamu Alaykum wrwb :)

Janab apki is baat par

leekan iss ghissi pitti daleel ko naheen manta
apko kehden k ye ghissi pitti baat nahi hai ye Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ki baat hai

ham sirf Quran aur Hadees se daleel denge baki aap samajhdar ho







تَأْمُرُونَ بِالْمَعْرُوفِ وَتَنْهَوْنَ عَنِ الْمُنكَرِ وَتُؤْمِنُونَ بِاللّهِ

Ye enjoin right conduct and forbid indecency ; and ye believe in Allah. Al-i'Imran (3) Ayat (verse) No.: 110

logon ko burai se rokna aur bhalai ka hukm dena momin ka fariza hai aur ye mushre ki bohot badi burai hai jisse har mumkin koshish se khatam karna hai

apko Quran aur hadees se dalail chahiye ye apke samne ham pesh karte hain

Says Allah in the Qur'an: "So set you your face steadily and truly to the Faith: (Establish) Allah's handiwork according to the pattern on which He has made humankind: no change (let there be) in the work (wrought) by Allah: that is the standard Religion: but most among mankind understand not." (Al-Qur'an 30:30)

Bas aap sab ek so hoke apna muh deen ki taraf mutawajje karden, Allah tala ki wo fitrat jispar usne logon ko paida kiya hai, Allah tala k banaye huye ko badalna nahi yahi seedha deen hai, lekin aksar loog nahi samajhte.

The Prophet (pbuh) is reported to have said: "Marry the one who is loving and fertile, for I will be proud of your great numbers before the nations [i.e., on the Day of Resurrection]." (Abu Dawood Hadith no. 2050, Classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh Abi Dawood, 1805)

Allah k Rasul s.a.w ne farmaya shadi karo us se jo zyada mohabbat karnewali aur zyada bache janne wali ho, kal qayamat k din main apni ummat ki katheer tedat par faqr karunga

Agar ham apne jism k aaza ko badal rahe hain jaise mard nasbandi karate hain ya phir aurat ki bachedani nikal dete hain to upar ki aayat aur hadees par gaur Karen Allah k banaye huyi jism me tabdeeli karna ye sahi nahi balke khilaf e ilahi hai

agar insan rizq ke dar se family planning karta hai to bilkul galat hai uska Allah tala par bharosa sahih nahi hai

Allah says in the Glorious Qur'an "...kill not your children on a plea of want; We provide sustenance for you and for them;" (Al-Qur'an 6:151)

Aur apni aulaad ko iflaas (muflisi) ke darse qatal mat karo, ham tumko aur unko rizq dete hain

"Kill not your children for fear of want: We shall provide sustenance for them as well as for you: verily the killing of them is a great sin." (Al-Qur'an 17:31)

Aur muflisi k khauf se apni aulaad ko na maar dalo, inko aur tumko ham rozi dete hain, yaqeenan inka qatl karna kabeerah gunah hai

bukhari aur muslim ki hadees me hai k 40 raton k baad bache farishta bache me ruh dal deta hai agar ham abortion karayen to us bache ka Qatl hoga aur uski puch bhi hogi

In aayaton se saaf zahir hota hai k family planning haram hai aur kabeerah gunahon me se hai

mazeed aap is thread par nazar dalen
http://www.tafrehmela.com/islamic-question-answer/136077-family-planning-jayz-hai-ya-haram.html

Janab hamara kaam hai deen logon tak pahunchana ab koi isko mane na mane wo uske zimme hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
nasir bhai thx,reply dayna ka inko,may kal inki post ka reply donge..
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Walaikusalam,

Bohat he acah subject hay aur ma is per bus itna he kaho ga k

"Allah k kamo may madakhlat nahi kerni chahaye q k yeh shirk k barabr hay aur shirk kerna gunaah kabeera hay"
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb..
family planning..matlab ke aage kia chahte hein ..
inshaAllah Allah talah jo bhi ata karegein..usey khushi khushi kabool karlegein...
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
walakumsalam wrwb..
family planning..matlab ke aage kia chahte hein ..
inshaAllah Allah talah jo bhi ata karegein..usey khushi khushi kabool karlegein...
yahan family planning matlab ek ya do aulad hone par break laga dena ya phir bache hone se rok dena is lihaaz se baat ho rahi hai to ap batayen apke tassuraat is par
 

Zonish

Active Member
Mar 24, 2012
380
197
43
Me or to kuch ni janta par itna janta hon k Taqdeer to khuda ne bani he lekin Tadbeer Allah ne insan k hath me rakhi he...
 
Top