Bidaat Ki Aqsaam O Ahkaam

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بســم الله الرحمــن الرحيــم 0
الســلام عليــكم دوســتو


bidaat ki lughvi tareef

bidaat lafz ب دعse maaghooz hai jiska meaning hai ksi cheez ko aise tareeqe par ijaad karna k isse pahle iski koi misal na ho aur isi se Allah taala ka farman hai k

بَدِيعُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ
wo zameen o aasman ka ibtedaa paida karne wala hai.(02:117)

aur isi tarha Allah taala ka ye farman k

قُلْ مَا كُنتُ بِدْعًا مِّنَ الرُّسُلِ
yaani aap kahdijiye k main koi bilkul anookha(pahla) paighambar to nahi.(46:09)

aur isi tarha Allah ne faramay k

الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًا
aaj maine tumhare liye deen ko kaamil kardiya aur inpar apni nematein tamam kardin aur tamam insaniyat keliye deen e islam ko pasand farmalia.(05:03)


aur isi tarha Allah k nabi(pbuh) ne farmaya k " jisne hamare deen me koi nayi ejaad ki jiska deen e islam se koi taaluq nahi hai to wo mardood hai". ( sahih bukhaari )

aur isi tarha farmaya nabi(pbuh) ne " jis ksi ne koi aisa kaam kia jo hamare deen e islam k khilaaf hai.to aisa kaam radd kardiya jaayega.( sahih muslim )

aur isi tarha omru bin yahiya raziAllahu anhu se riwayat hai wo kahte hain k maine apne waalid se suna wo apne waalid se riwayat karte hue kahte hian k hum log subha ki namaz se pahle abdAllah bin masood raziAllahu anhu k darwaaze par is intezaar me baithe thei k wo niklen to hum sabhi inke saath masjid chalen itne me abu moosa ashari raziAllahu anhu aaye aur poocha kia abhi tak abu abdul rahman raziAllahu anhu nahi nikle? humne kaha k nahi abhi tak to nahi nikle chunaanche wo bhi inke intezaar me baith gaye jab wo nikle to hum sabhi log khare hogaye.

abu moosa raziAllahu anhu kahne lage aye abu abdul rahman maine abhi masjid me nayi aur ek ajnabi cheez dekhi hai aur Allah ka shukr hai k khair hi dekhi hai.inho ne poocha k kia dekha abu moosa raziallahu anhu ne kaha k agar zindagi rahi to aap bhi aisa hi paayenge fir batane lage k maine masjid me chund logon ko halqa banaye hue dekha wo namaz k intezaar me thei sab k haath me kankriyan thin har halqe me ek aadmi tha jab wo kahta k 100 baar Allahu akbar kaho to sab log 100 baar Allahu akbar kahte aur jab wo kahta k 100 baar la ilaha ullallah kaho to sab 100 baar lailaha illallah kahte aur jab wo kahta k 100 baar subhanAllah kaho to sab log 100 baar subhanAllah kahte.

ye sunkar abu abdul rahman se abu moosa se kaha k tumne unhe ye kyun nahi kaha k apne gunahaon ki fikr karo main tumhe yaqeen se kahta hon k tumhaari nekiaon me kuch bhi izaafa nahi hoga fir wo chale hum bhi inke saath chal pare yahan tak wo in halqaon me se ek halqe k paas aakar khare hogaye aur kaha main tumhe ye kia karte dekh raha hon to unho ne jawab dia k aye abu abdul rahman ye kankriyan hain jinse hum takbeer o tasbeeh kia karte hain.

to abdAllah bin masood raziAllahu anhu ne farmaya tum log apni apni qatayen shumaar karo main tumhe is baat ki zamanat deta hon k tumhari koi neki bhi zaaye nahi hogi aye ummat e mohammed(pbuh) tumhari tabahi o barbaadi ho kitni jaldi apni halakat ka samaan karlia ye sahaba raziAllahu anhum ki kaseer tadaad maojood hai ye nabi(pbuh) k kapre abhi boosida nahi hue aur abhi nabi(pbuh) k bartan abhi toote nahi aur tumne ye bidaat gharli is zaat ki qasm jiske haath me meri jaan hai ya to tum log aise tareeqe par maojood ho jo mohammed(pbuh) k tareeqe se ziada behtar hai.ya yaqeenan tum gumraahi k darwaaze khool rahe ho.

to in logon ne kaha aye abu abdul rahman Allah ki qasm siwaye khair k hamara maqsad kuch aur nahi to aapne kaha k bahot se aise khair k mutalaashi aise hain jo isse hargiz nahi paasakte rasool(pbuh) ne humko ek hadees sunaayi k ek qaom quraan e majeed parhegi laikin wo inke halaq se neeche nahi utrega aur Allah ki qasm mujhe maloom nahi k hosakta hai wo ziada tar wo log tumhi me se ho ye kahkar aap raziAllahu anhu wahan se chale gaye.(
sunan al daarmi-204)

in sahih aahadees aur quran k dalayel se hame is baat ka pata chalta hai k deen e islam me har wo cheez jo nabi(pbuh) k baad ejaad ki gayi wo bidaat hai aur har bidaat gumraahi hai jo jahannum me lejaane wali hai chahe uski niyyat khair ki hi kyun naho.isliye dosto hame in cheezon se bachna chahiye.Allah hame sahih raah ki rahnumaayi farmaaye aameen.
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Beshak jisne Deen me aur Qaul e Rasool Sww me ijtehaad kiya apni magharat baaten ya to usme jor di ya ya toh unme se apni matlb ki lekar bakhi hazam kargaye..laazmi aise logon par Allah ki phatkaar aur laanat hai...
Arshad Bro kya apne SAHIH MUSLIM aur SAHIH BUKHARI ki har hadees mutaleaa ki hai ya apne poori kitab kabhi mulaheza farmayi hai?
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
jazakallah khair arshad bhai very infromative sharing
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
waalikumaslam

bohat achi sharing hai....

main ye poochna chahti hoon k is main is baat ki trf ishara hai k jo hum prty hain usy count krty hain?

main thori confuse hoon is liye poocha...
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Beshak jisne Deen me aur Qaul e Rasool Sww me ijtehaad kiya apni magharat baaten ya to usme jor di ya ya toh unme se apni matlb ki lekar bakhi hazam kargaye..laazmi aise logon par Allah ki phatkaar aur laanat hai...
Arshad Bro kya apne SAHIH MUSLIM aur SAHIH BUKHARI ki har hadees mutaleaa ki hai ya apne poori kitab kabhi mulaheza farmayi hai?
nahi abhi bukhari ki pahli jild complete karne me thodi baaqi hai.laikin rozana quran aur aahadees ka mutaala jaari hai pichle 8 salon se alhamdulillah.
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
jazakAllah bkhair bro :)
Allah hum sab ko islami talimat pr amal krny ki taufeeq ata fermaye ameen
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
waalikumaslam

bohat achi sharing hai....

main ye poochna chahti hoon k is main is baat ki trf ishara hai k jo hum prty hain usy count krty hain?

main thori confuse hoon is liye poocha...
bahot accha sawal poocha aapne jazakAllah khair khushi.
aisa ksi sahih aahadees se sabit nahi hai k agar aap koi zikr karo to usse kankriaon par ya tasbeeh par gin lia karo.baaz log kahte hain k ginne me kia buraayi hai.to aise logon keliye jawab ye hai k hazrat fatima raziAllahu anha rozana apne ghar k kaam kaaj se kaafi thak jaaya karti thin.jab iska zikr nabi(pbuh) se kia to nabi(pbuh) ne unhe chund azkaar batlaaye to hazrat fatima raziAllahu anha ne poocha kia main isse gin lon kankriaon k zarye to nabi(pbuh) ne farmaya k tumhare haath ki unglian hi iske liye kaafi hain.
 

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
jazakALLAH ,,bikul aaj k dor main to bidaat ki hud he ni hai,,,
thanks for sharing


 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p


bahot accha sawal poocha aapne jazakAllah khair khushi.
aisa ksi sahih aahadees se sabit nahi hai k agar aap koi zikr karo to usse kankriaon par ya tasbeeh par gin lia karo.baaz log kahte hain k ginne me kia buraayi hai.to aise logon keliye jawab ye hai k hazrat fatima raziAllahu anha rozana apne ghar k kaam kaaj se kaafi thak jaaya karti thin.jab iska zikr nabi(pbuh) se kia to nabi(pbuh) ne unhe chund azkaar batlaaye to hazrat fatima raziAllahu anha ne poocha kia main isse gin lon kankriaon k zarye to nabi(pbuh) ne farmaya k tumhare haath ki unglian hi iske liye kaafi hain.
baaz log to kehty hain k Hazrat Muhammad PBUH shoomaary use krty thy gin'ny k liye...

to meri ammi ny shoomaary khareedy or un pr praa krti theen....

lakin jahan tk mera khyaal hai main ny aaj tk aisa kuch prhaa nahi ....or main khud kehti hoon k count krna kahan likha hai jo aap ny praa wo Khuda jaanta hai or wo us ka ajro sawaab deta hai.....
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam Arshad bhai jazaakALLAH khair
aapke is thread se achhi tarah biddat ke mutabiq
bazariya ahadees wazahat huwi hai yahan to loug
har baat ko biddat kahe phirte hain chaahe woh

nawafal hi kyun na hon jabke nawafal to
deen e islam ke hi hisse mein aate hain
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


nahi abhi bukhari ki pahli jild complete karne me thodi baaqi hai.laikin rozana quran aur aahadees ka mutaala jaari hai pichle 8 salon se alhamdulillah.
Hmmm..To aapne jahan tak parhi hain..wahan apko kahan kahan biddat,ijtehaad,Ekhtera nazar aya?
Apke javab ka besabri se intezar rahega...Ref k saath inayat farmayen plzz
 
Status
Not open for further replies.
Top