a big issue

  • Work-from-home

A BIG ISSUE


  • Total voters
    13

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
waalaikum assalam WRWB
Co-education k bohat se +ve pehlu bhi hain

maire khayal se college level pe students itne mature nhi hote to wahan thori khatarnaak hay
uni levle pe usually above 20,21 age k students k liye koi khaas masla nhi hay

baqi system may problem nhi hay problem students may hay k wo us se faida uthate hain ya apna waqt aur kirdar ka nuqsan karte hain

so dun know kisse vote karun {(popcorn)}
hoorain jo apko theek lgta hy aap uspe vote do:)
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513


aapne kafi roshan fikre ki baate ki hain MashAllah, I like it...
and I agree k es co education system mei koi masla nai hain masla tu logu mei hote hain per kia yeh socha hain k aise kitne loug aapke terha soch vichar rakte hain? her bande ki soch different huti hain and aajkal k generation mei buhut se difference dekhe jaate hain I even dont blame only boys balke girls bhi ajkal problem create ker rahe hain... lekin co education ko her banda positively le yeh bhi nai hota, aisa aksar hota hain kabhi koi zahnaat wali baat ya kaam ek uneducated banda samajhta and kerta hain jho k ek well educated and masters kerne wala koi banda bhi nai kerta serf well educated hone se kuch hota nai priority tu knowladge and experiances se huti hain tu knowladge jitna rakte hain us hessab se co education mei zyada se zyada 40% k students serf aapne lessons pe concentrate karenge so what about others ab aap pir se same baat na kahyega k problem logu mei hain system mei nai :p situation ko bhi dekhna hain...

hmmm nice sabah ..:)bhai aajkal to boys aur girlss se pocho to co me koi masla nazar nahi aata..duniya aagey brah rahi hy aur hmara pakistan dhere dhere india me change horha hy..bht si baaten similar kerti hian..jese k atmosphere...
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
main aap tamam k qayalaat ki qadr karta hon aur umeed karta hon k hum isse sirf discussion tak hi mahdood rakhenge inshaAllah :)

co-education system ek ghalat hai.main bhi modern muslim hon iska ye matlab nahi k main modern hon to western culture ko hi follow karun.

ab ayyiye dekhte hain k co-education ghalat kyun hai.uske asbaab kia hain.

01 . ek martabe nabi(pbuh) k paas ek naabina sahabi(raziAllahu anhu) aaye us waqt mohammed(pbuh) k saath amma ayesha raziAllahu anha bhi thin.nabi(pbuh) ne farmaya k aayesha tum andar jao.to hazrat amma ayesha raziAllahu anha ne kaha ya rasool Allah(pbuh) wo to nabina(blind) hain.bhala wo kaise mujhe dekh sakte hain.to farmaya prophet(pbuh) ne k tum to nabina nahi ho.(sahih bukhari)

ye raha islami taur par ghalat k jab hum co-ed.taleem hasil karte hain to larkiaon par hamari nazar ya larkiaon ki humpar nazar na jaaye ye hohi nahi sakta.aajka maghribi culture bhi to yahi kahta hi k logon ko azaadi di jaaye islam logon ko qaid kardeta hai.laikin main kahta hon k islam logon ko qaid nahi balke ehtiati tadabeer batlaata hai.aur ye basically cheezein hi aisi hoti hain jinse baad me badey jarayem paida hote hain.har jurm starting me chota hi hota hai.

ab kia ye nahi hosakta k taleem ka nizam separate ho aise bhi to taleem hasil ki jasakti hai.co-ed hi rahna kyun zaroori hai?ab agar hum insanon par chorden in baton ko k jo jaise qayal ka haami hota hai waisa hi wo karta hai.to fir islam me auton ko parda karne aur mardon ko apni nigahen neechi rakhne ki talqeen hi kyun ki gayi hai?Allah aise bhi to kah sakta tha k ye insanon par munhasir hai.tum har waqt acche qayal rakho etc.

aur ek cheez yahan ghaur karne ki hai k saare log jo co-ed hasil k
{(thx)}arte hain.aisi harkataon me mulawwis nahi hote hain.balke isme kaafi acche log bhi hote hain jo aage chal kar muslim ummat keliye baas e rahmat bante hain naake zahmat.

very well said bhai arshad ...aap ne bht umda example diye hain...khas tor pe sahi bukhari ki hadees.

bilkul ye baat samne aati hy..well agr education hasil kerni hy apne rastey hasil ki ja skti hy...zaruri hy tallem yafta hona,,compititionsss se hamen mulk fateh to nahi kerna...jo jitna kabil hoga taleem se aarasta hoga..
es topic pe khas tor pe bhai arshad ka shukriya ada kerni chahti hoon ..thanxx arshad bhai
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513


aap ek acche musalman hain shoeb.kaash k har musalman me aisa nazarya paida hojaye to kia hi baat hai bhai.main aapse dili taur par mohabbat karta hon.shoeb aapke nazarye ko mera salam.

hmmmm theek kaha aap ne bhai arshad ..and thanxxx shoaib... u were also right..jahan islam ki baat ati hy,,wahan islam ki her kahi hui baat ko tah e dil se salam
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ab tak k votes k mutabik big issue ka result equal chal raha hy....yani k dono taraf baraber jung hy..hmmmmm
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Aaso baji mein kahoonga kam az kam islamic countriez mein
jaise baaqi sub ghalat cheezein per pabandi honi chahiye
waise hi is per bhi kyunke humara shariyah hi 12 saal
se bare larke ko larkion ke darmyan mein aur 9 saal se bari
larki ko larkon ke darmyan bethne ki ijazat nahin deta
aur phir jab umer aur badh jaye tab to ghair larka aur larki
ko eik doosre ke dekhne se bhi guraiz karna chahiye rite.???

leikin aaj kal to islamic countriez mein mulki sitah per islamic rulez
hain hi kahan kaash agar hote to bohot hi achha hota{(cray)}
 
  • Like
Reactions: Asma24

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb..
according to me...
HARGIZ NAHI HONa CHAHIYE..
bht chances hein bigarne ke....aur jo bigarte nai...jo sochte hein ke hum apne ap ko sambhal leigein..to jo galat kaam chal raha hoga..usey dekh kar ap apni ankh kitni chupaoge..
parhaye par affect pare na pare...
some cases mei boy and girl dono compete kar rahe hote hein..
some cases mei aik hi gender compete kar rahi hoti hai...
but kia faida aisi parhaye ka....jidhar dunia mei to sab compete kar rahe hein..aur akhrat bachane ke lie koi step nai...
.........
jo log co education mei shuru se parhe nai hein..aur samjhte hein ke baad mei co education mei sambhal ke rahein ge...to majority log bigar jate hein..
.......................
Finally, co education bilkul galat hai.. ...
aur jitni bhi muslim countries hein..udhar to atleast isey ban kardena chahiye....
Allah talah hum sab ki hifazat karein aur bure kaamo se bachayein..AMEEN
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
Aaso baji mein kahoonga kam az kam islamic countriez mein
jaise baaqi sub ghalat cheezein per pabandi honi chahiye
waise hi is per bhi kyunke humara shariyah hi 12 saal
se bare larke ko larkion ke darmyan mein aur 9 saal se bari
larki ko larkon ke darmyan bethne ki ijazat nahin deta
aur phir jab umer aur badh jaye tab to ghair larka aur larki
ko eik doosre ke dekhne se bhi guraiz karna chahiye rite.???

leikin aaj kal to islamic countriez mein mulki sitah per islamic rulez
hain hi kahan kaash agar hote to bohot hi achha hota{(cray)}

hmmmm i agree bhai chirag bht achi roshni dali hy aap ne...dosri countries k muqabiley hmari country me foriegn rule aur atmosphere ziyada dikhta hy aajkal...thanxx for ur concern
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
walakumsalam wrwb..
according to me...
HARGIZ NAHI HONa CHAHIYE..
bht chances hein bigarne ke....aur jo bigarte nai...jo sochte hein ke hum apne ap ko sambhal leigein..to jo galat kaam chal raha hoga..usey dekh kar ap apni ankh kitni chupaoge..
parhaye par affect pare na pare...
some cases mei boy and girl dono compete kar rahe hote hein..
some cases mei aik hi gender compete kar rahi hoti hai...
but kia faida aisi parhaye ka....jidhar dunia mei to sab compete kar rahe hein..aur akhrat bachane ke lie koi step nai...
.........
jo log co education mei shuru se parhe nai hein..aur samjhte hein ke baad mei co education mei sambhal ke rahein ge...to majority log bigar jate hein..
.......................
Finally, co education bilkul galat hai.. ...
aur jitni bhi muslim countries hein..udhar to atleast isey ban kardena chahiye....
Allah talah hum sab ki hifazat karein aur bure kaamo se bachayein..AMEEN
sum aameen....absolutely aisa hota hy.......there are so many pointsss u have clread like arshad bhai..thanxx for giving ur views about the topic pf:)
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
yr i think co education system main koi burai nahi balke co education ki wajah se to boyz n gurlz main confidence buildup hota hai khas ker girlz khud ko practical life main mardon ke shana bashana chalne ke qabil bana leti hain so i think co education main koi burai nhi haan agr burai hai to woh hamare mahool ki hai jo tv channels khas ker indian movies n dramas ki wajah se kharab ho chuka hai or students to kam umer hote hain woh to bas wohi kuch karte hain jo woh seekhte hain to agr woh tv channels pe barhti hoi be hayai ya indian movies ya dramon main love stories dekhen gay to zahir hai wohi kuch woh apni real life main b apply karne ki koshishen karenge phir chahen woh co education collages ho ya phir offices ya companies ho so i think co education main koi burai nhi burai agar hai to woh hamare apne mahool main so hame sanjeedgi se sochna chaye ke humse pehle ki naslon ne hame kya dya tha or hum apni aane wali naslon ko kya de rhe hain
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
han g han compititions ka dour hy bhai...sabki apni apni raye hy fahad ..thaxx for ur concern{(thx)}
 
Top