a big issue

  • Work-from-home

A BIG ISSUE

  • Total voters
    13

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513

han ye baat main mention karna bhool gaya apni post me jo aapne kardi thanks k co-education hone ki wajah se kayi parents apni larkiaon ko higher education nahi dilaate unhe ye darr hota hai k kahin ye ksi k saath engage na hojaye.ya kuch aisa waisa kar na baithe.aur ye darr unke bhaiyaon ko bhi hota hai k kahin hamari bahan ko to koi cher to nahi raha ya uska ksi k saath affair to nahi.is tarha unke bhai bhi isme ek nihayat aham role ada karte hain.

laikin kiya co-education k baghair separete taaleem ka nizam nahi kia jasakta?kia saparete taleem k zarye bhi ilm nahi hasil kia jasakta? kia jasakta hai aur bahot bahetreen tareeqe se kia jasakta hai.bus apne mind ko badalne ki zaroorat hai.aaj hamara muashara maghrabi tahzeeb ka dildada hai.wo aurton aur mardon me ikhtelaat chahta hai aur maghrabi tahzeeb me ye koi bura fail nahi.

haal hi ka ek waqiya france ka jo maine newspaper me parha.wo ye k junior college k couple ne apne yahan najayez taur par aulad ko janam diya.jo world k sabse kum umr maa baap kahlane wale bun gaye.jabke wo larka apni pocket money tak apne walid se hasil karta hai.

bhai arshad ..aap to me ki trha topical sunbjects pe bht khhob boltey hain..mujhe b maza ata hy estrha topics pe view kerne ka...sach batayen meri trha aapko b lecturor banne ka shouq to nahi hy?hehehe just kiding..hmmm kya kahon ..aap ne to mere topic pe bht roshni dali hy..very impreesed from u thanxx alot for this support{(thx)}
 
bilalali9110

Newbie
Nov 23, 2011
4
1
0
33
karachi
i think ke if aap is friendship ko positive way main dekhtey ho to aisa issue nahi hota
and agar aap dosti kartey ho to aap mein itna potential hona chaahiye ke aap usay defend karsako
 
  • Like
Reactions: Asma24

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

bhai arshad ..aap to me ki trha topical sunbjects pe bht khhob boltey hain..mujhe b maza ata hy estrha topics pe view kerne ka...sach batayen meri trha aapko b lecturor banne ka shouq to nahi hy?hehehe just kiding..hmmm kya kahon ..aap ne to mere topic pe bht roshni dali hy..very impreesed from u thanxx alot for this support{(thx)}
its my pleasure sis.
haha lecturer.
hmm to aap lecturer banna chahti hain.nice qayal hai.
Allah aapke qawabaon ko such kar dikhaye aameen.
 
  • Like
Reactions: Asma24

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum Salam Wrwb!
Kafi Ahem Topic pe discussion hurahe hai yaha but baat yeh hain k koi bhi banda ek tarfa Idea nai desakta hain, yaha pe SHB,ML and Arshad teeno ki comments pe agree kerti hu, SHB and ML ka jho enhone kaha k jo bigarna chahta hai us ko kuch bhi ker lo us ko sudhaar nahi sakte.. I agree with that but atleast enhe aise koi chance bhi nai melne chahye jho mazeed aur bigar jaye and bigre hue kaam kare... I just wanna say k jub girls gher mei rahti hain tu voh aam se dress up mei huti hain but Bahir jub jaati hain tu Hijab kerna compulsory ban jata hain kio? because bahir k loug boys se unhe khtra huta hain they feel unsecure and uncomfortable and bahir tu jao khaas ker shopping tu her jagah aapko aise boys dekhne ko melenge jho k kessi na kessi tareeke se girls ko pareshan kerenge ya tu gher tuk pecha kerti hain ya kuch bol dete hain even aajkal tu MashAllah,SubhanAllah jaise lafz ko bhi aise ghalat kaam k lie use kerte hain so girls ka bahir jana mushkil hojata hain jub bahir itne logu k beach mei aapke ammi,baba k saath hoker bhi yeh sab sunne ko mele then just ponder once kia yeh sub kuch Co-education mei possible nai? ofcourse hain but serf fark yeh hain k waha pe mushkil se boys ko school ya College ki principles obey kerni huti hain School ka tu pir bhi kio k tight privacy huti hain tu koi kuch nahin kahta but colleges mei sab independent hute hain no one cares about anything, Humare he city mei ek college mei aisa hua tha k kessi girl ko yaha pe ek dusre cast k boy ne college mei passand kiya tha dosti kerna chahta tha but girl ne saaf inkaar kerdiya so boy mazeed usay tung kerna chaha but girl sabke samne uska insult kiya and complain bhi kiya jeske wajah se boy jazbati huker uskay chahre pe tezaab phenk diya and uska pura chahra julaas gaya... and voh khud waha se bhaag gaya agay kia hua I have no idea yeh tu serf ek story hain aise aur bhi buhut se incidents hote hai jho shayed kessi se chupe hue nai hain, if some of you still think k boys and girls ka saath mei co education padhan chahye then en sub baato ka pahlay se mind mei rakne chahye...
 
  • Like
Reactions: Asma24

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Well Sabah dee dee jahan tuk mera khyal hai Co-Education honi chahiye woh is lea keh Insan ki nature hai jo cheez us se chupae jaye ya us se dor le ke jao to woh us ke peeche bhagta hai... I think jo bacha bachpan se he co education me perha ho ga woh us se totally different mind rakhta ho ga jo just boyz or just girlz based educational institute se perh ke nikle hon ge.... Kyon keh co-education me perhe hoye bachee ke lea girlz koi new cheez nahi hon gi or naa he girlz ke lea boyz koi drowni cheez.... They are just class fellows aur second and more important thing jo keh in Pakistan prove bhi ho chuka hai keh Girlz are more talented than boyzzz in examz's results, so in co-education boyzzz n girlzz can learn together and may be competation between them could increase educational level of boyzzz better. Me khud bhi co me perha hon ache bure log her jagah hote hain is ka matlab system ghalat nahi hai woh log ghalat hain aap ne example di aik girl ki jis pe acid phaink dea larkey ne to kya woh larka ghalat tha ya co-education system he ghalat ho gaya....

Aur jin logon ke dil me der hota hai ke hamari beti banir nikli to khara ho jae gi actually they are not well educated I think kyon ke education insan ko nice banati hai aur mere khyal se jo log perh nahi patey ya perhae ko bura samajhte hain un ke bete he aap ko roads pe dosron ki betioun ko pareshan kerte nazar aayen ge kyon ke un ke mental level set hain keh yeah jo girlz bahir nikli hain yeah shareef nahi shareef to woh hain jo chaar deewari me qaid hai hum ager yeah mind change ker len to humey pata chale keh koi educational system acha bura nahi hota us me log ache burey ho sakte hain....

Aub aa jate hain girlzzz colleges ki taraf to I think girlz college me perhne wali larkian boyzzz se zyada tung hoti hain kyon ke un ko face to kerna he hai boyzzz ko kyon ke yeah boyzzz to her jagah maujood hain per un girls ka mental level set hota hai keh boys to bohat drowni cheez hain mere khyal se jo jitna derta hai utna pista hai... Aub un girlzzz me se bhi kuch larkian aisi bhi hoti hain jo ghar se perhne aati hain aur sara din cafe ya park me guzar ke ghar chali jati hain to in ko kya kaho ge.... Aur yeah he baaten soch ke log perhate nahi girlz ko per yeah nahi dekhte ke jahan pe 100 students burey hain wahin pe hazaroon laakhon students education se societies me aik achi life guzarne ke kabil bhi ban rahe hain so we need to change our mind not system.
 
  • Like
Reactions: Asma24 and Sabah

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam WRWB
Co-education k bohat se +ve pehlu bhi hain

maire khayal se college level pe students itne mature nhi hote to wahan thori khatarnaak hay
uni levle pe usually above 20,21 age k students k liye koi khaas masla nhi hay

baqi system may problem nhi hay problem students may hay k wo us se faida uthate hain ya apna waqt aur kirdar ka nuqsan karte hain

so dun know kisse vote karun {(popcorn)}
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Well Sabah dee dee jahan tuk mera khyal hai Co-Education honi chahiye woh is lea keh Insan ki nature hai jo cheez us se chupae jaye ya us se dor le ke jao to woh us ke peeche bhagta hai... I think jo bacha bachpan se he co education me perha ho ga woh us se totally different mind rakhta ho ga jo just boyz or just girlz based educational institute se perh ke nikle hon ge.... Kyon keh co-education me perhe hoye bachee ke lea girlz koi new cheez nahi hon gi or naa he girlz ke lea boyz koi drowni cheez.... They are just class fellows aur second and more important thing jo keh in Pakistan prove bhi ho chuka hai keh Girlz are more talented than boyzzz in examz's results, so in co-education boyzzz n girlzz can learn together and may be competation between them could increase educational level of boyzzz better. Me khud bhi co me perha hon ache bure log her jagah hote hain is ka matlab system ghalat nahi hai woh log ghalat hain aap ne example di aik girl ki jis pe acid phaink dea larkey ne to kya woh larka ghalat tha ya co-education system he ghalat ho gaya....

Aur jin logon ke dil me der hota hai ke hamari beti banir nikli to khara ho jae gi actually they are not well educated I think kyon ke education insan ko nice banati hai aur mere khyal se jo log perh nahi patey ya perhae ko bura samajhte hain un ke bete he aap ko roads pe dosron ki betioun ko pareshan kerte nazar aayen ge kyon ke un ke mental level set hain keh yeah jo girlz bahir nikli hain yeah shareef nahi shareef to woh hain jo chaar deewari me qaid hai hum ager yeah mind change ker len to humey pata chale keh koi educational system acha bura nahi hota us me log ache burey ho sakte hain....

Aub aa jate hain girlzzz colleges ki taraf to I think girlz college me perhne wali larkian boyzzz se zyada tung hoti hain kyon ke un ko face to kerna he hai boyzzz ko kyon ke yeah boyzzz to her jagah maujood hain per un girls ka mental level set hota hai keh boys to bohat drowni cheez hain mere khyal se jo jitna derta hai utna pista hai... Aub un girlzzz me se bhi kuch larkian aisi bhi hoti hain jo ghar se perhne aati hain aur sara din cafe ya park me guzar ke ghar chali jati hain to in ko kya kaho ge.... Aur yeah he baaten soch ke log perhate nahi girlz ko per yeah nahi dekhte ke jahan pe 100 students burey hain wahin pe hazaroon laakhon students education se societies me aik achi life guzarne ke kabil bhi ban rahe hain so we need to change our mind not system.
aapne kafi roshan fikre ki baate ki hain MashAllah, I like it...
and I agree k es co education system mei koi masla nai hain masla tu logu mei hote hain per kia yeh socha hain k aise kitne loug aapke terha soch vichar rakte hain? her bande ki soch different huti hain and aajkal k generation mei buhut se difference dekhe jaate hain I even dont blame only boys balke girls bhi ajkal problem create ker rahe hain... lekin co education ko her banda positively le yeh bhi nai hota, aisa aksar hota hain kabhi koi zahnaat wali baat ya kaam ek uneducated banda samajhta and kerta hain jho k ek well educated and masters kerne wala koi banda bhi nai kerta serf well educated hone se kuch hota nai priority tu knowladge and experiances se huti hain tu knowladge jitna rakte hain us hessab se co education mei zyada se zyada 40% k students serf aapne lessons pe concentrate karenge so what about others ab aap pir se same baat na kahyega k problem logu mei hain system mei nai :p situation ko bhi dekhna hain...
 
  • Like
Reactions: Asma24

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
main apna comment bad me karunga inshaAllah abhi office time qatam hua theek hai apna qayal rakhen aur ise hi bandhe rahen.assalam o alaikum
 
Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
main aap tamam k qayalaat ki qadr karta hon aur umeed karta hon k hum isse sirf discussion tak hi mahdood rakhenge inshaAllah :)

co-education system ek ghalat hai.main bhi modern muslim hon iska ye matlab nahi k main modern hon to western culture ko hi follow karun.

ab ayyiye dekhte hain k co-education ghalat kyun hai.uske asbaab kia hain.

01 . ek martabe nabi(pbuh) k paas ek naabina sahabi(raziAllahu anhu) aaye us waqt mohammed(pbuh) k saath amma ayesha raziAllahu anha bhi thin.nabi(pbuh) ne farmaya k aayesha tum andar jao.to hazrat amma ayesha raziAllahu anha ne kaha ya rasool Allah(pbuh) wo to nabina(blind) hain.bhala wo kaise mujhe dekh sakte hain.to farmaya prophet(pbuh) ne k tum to nabina nahi ho.(sahih bukhari)

ye raha islami taur par ghalat k jab hum co-ed.taleem hasil karte hain to larkiaon par hamari nazar ya larkiaon ki humpar nazar na jaaye ye hohi nahi sakta.aajka maghribi culture bhi to yahi kahta hi k logon ko azaadi di jaaye islam logon ko qaid kardeta hai.laikin main kahta hon k islam logon ko qaid nahi balke ehtiati tadabeer batlaata hai.aur ye basically cheezein hi aisi hoti hain jinse baad me badey jarayem paida hote hain.har jurm starting me chota hi hota hai.

ab kia ye nahi hosakta k taleem ka nizam separate ho aise bhi to taleem hasil ki jasakti hai.co-ed hi rahna kyun zaroori hai?ab agar hum insanon par chorden in baton ko k jo jaise qayal ka haami hota hai waisa hi wo karta hai.to fir islam me auton ko parda karne aur mardon ko apni nigahen neechi rakhne ki talqeen hi kyun ki gayi hai?Allah aise bhi to kah sakta tha k ye insanon par munhasir hai.tum har waqt acche qayal rakho etc.

aur ek cheez yahan ghaur karne ki hai k saare log jo co-ed hasil karte hain.aisi harkataon me mulawwis nahi hote hain.balke isme kaafi acche log bhi hote hain jo aage chal kar muslim ummat keliye baas e rahmat bante hain naake zahmat.
 
Nice comments bro I think meri souch complete nahi Allah aur us ke rasool ki aqal feham beshak perfect hai..... So aub aap ne baat islami asool ki batae hai to is pe behas kerne ke lea me khud ko qabil nahi samajhta.... Beshak perdey ka hukum hai Islam me and in that sense co-education ka to sawal he peda nahi hota....:-bd
 
  • Like
Reactions: Asma24 and Aara'af

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

Nice comments bro I think meri souch complete nahi Allah aur us ke rasool ki aqal feham beshak perfect hai..... So aub aap ne baat islami asool ki batae hai to is pe behas kerne ke lea me khud ko qabil nahi samajhta.... Beshak perdey ka hukum hai Islam me and in that sense co-education ka to sawal he peda nahi hota....:-bd
aap ek acche musalman hain shoeb.kaash k har musalman me aisa nazarya paida hojaye to kia hi baat hai bhai.main aapse dili taur par mohabbat karta hon.shoeb aapke nazarye ko mera salam.
 
  • Like
Reactions: Asma24

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam mere khayal se jahan tak kuch kehna chahiye
tha to baaqi saare dost bohot kuch keh chuke aur bohot achha achha
keh chuke, so mein sirf kehna chahoonga ke mein

galz n boyz ke eik sath parhne ke khilaf hoon

voted.!
 
  • Like
Reactions: Asma24

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
i think ke if aap is friendship ko positive way main dekhtey ho to aisa issue nahi hota
and agar aap dosti kartey ho to aap mein itna potential hona chaahiye ke aap usay defend karsako

thanxx for ur concern.but yahan dosti k liye nahi co education k liye disscusions horhi hain
 
Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513

its my pleasure sis.
haha lecturer.
hmm to aap lecturer banna chahti hain.nice qayal hai.
Allah aapke qawabaon ko such kar dikhaye aameen.

han g han bilkul bas aapki dua chahiye ...

hmm thanxx for ur prayers:)

u r a nice brother bhai arshad
 
Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
Walaikum Salam Wrwb!
Kafi Ahem Topic pe discussion hurahe hai yaha but baat yeh hain k koi bhi banda ek tarfa Idea nai desakta hain, yaha pe SHB,ML and Arshad teeno ki comments pe agree kerti hu, SHB and ML ka jho enhone kaha k jo bigarna chahta hai us ko kuch bhi ker lo us ko sudhaar nahi sakte.. I agree with that but atleast enhe aise koi chance bhi nai melne chahye jho mazeed aur bigar jaye and bigre hue kaam kare... I just wanna say k jub girls gher mei rahti hain tu voh aam se dress up mei huti hain but Bahir jub jaati hain tu Hijab kerna compulsory ban jata hain kio? because bahir k loug boys se unhe khtra huta hain they feel unsecure and uncomfortable and bahir tu jao khaas ker shopping tu her jagah aapko aise boys dekhne ko melenge jho k kessi na kessi tareeke se girls ko pareshan kerenge ya tu gher tuk pecha kerti hain ya kuch bol dete hain even aajkal tu MashAllah,SubhanAllah jaise lafz ko bhi aise ghalat kaam k lie use kerte hain so girls ka bahir jana mushkil hojata hain jub bahir itne logu k beach mei aapke ammi,baba k saath hoker bhi yeh sab sunne ko mele then just ponder once kia yeh sub kuch Co-education mei possible nai? ofcourse hain but serf fark yeh hain k waha pe mushkil se boys ko school ya College ki principles obey kerni huti hain School ka tu pir bhi kio k tight privacy huti hain tu koi kuch nahin kahta but colleges mei sab independent hute hain no one cares about anything, Humare he city mei ek college mei aisa hua tha k kessi girl ko yaha pe ek dusre cast k boy ne college mei passand kiya tha dosti kerna chahta tha but girl ne saaf inkaar kerdiya so boy mazeed usay tung kerna chaha but girl sabke samne uska insult kiya and complain bhi kiya jeske wajah se boy jazbati huker uskay chahre pe tezaab phenk diya and uska pura chahra julaas gaya... and voh khud waha se bhaag gaya agay kia hua I have no idea yeh tu serf ek story hain aise aur bhi buhut se incidents hote hai jho shayed kessi se chupe hue nai hain, if some of you still think k boys and girls ka saath mei co education padhan chahye then en sub baato ka pahlay se mind mei rakne chahye...
very well said sabah...bht important aur impressive baten share ki hain aap ne...thanxx alot for ur commests dear,,,,to apka vote kie jata hy finaly:)
 
Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
Wa'alaikum assalam mere khayal se jahan tak kuch kehna chahiye
tha to baaqi saare dost bohot kuch keh chuke aur bohot achha achha
keh chuke, so mein sirf kehna chahoonga ke mein

galz n boyz ke eik sath parhne ke khilaf hoon

voted.!

oho aaye aye chigoo bhaiya aapka b intezar tha..aik traf dekha jaye ye topic mujhe u se mila hy..thanxxx for rplzzz and commentss:)
 
Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
Well Sabah dee dee jahan tuk mera khyal hai Co-Education honi chahiye woh is lea keh Insan ki nature hai jo cheez us se chupae jaye ya us se dor le ke jao to woh us ke peeche bhagta hai... I think jo bacha bachpan se he co education me perha ho ga woh us se totally different mind rakhta ho ga jo just boyz or just girlz based educational institute se perh ke nikle hon ge.... Kyon keh co-education me perhe hoye bachee ke lea girlz koi new cheez nahi hon gi or naa he girlz ke lea boyz koi drowni cheez.... They are just class fellows aur second and more important thing jo keh in Pakistan prove bhi ho chuka hai keh Girlz are more talented than boyzzz in examz's results, so in co-education boyzzz n girlzz can learn together and may be competation between them could increase educational level of boyzzz better. Me khud bhi co me perha hon ache bure log her jagah hote hain is ka matlab system ghalat nahi hai woh log ghalat hain aap ne example di aik girl ki jis pe acid phaink dea larkey ne to kya woh larka ghalat tha ya co-education system he ghalat ho gaya....

Aur jin logon ke dil me der hota hai ke hamari beti banir nikli to khara ho jae gi actually they are not well educated I think kyon ke education insan ko nice banati hai aur mere khyal se jo log perh nahi patey ya perhae ko bura samajhte hain un ke bete he aap ko roads pe dosron ki betioun ko pareshan kerte nazar aayen ge kyon ke un ke mental level set hain keh yeah jo girlz bahir nikli hain yeah shareef nahi shareef to woh hain jo chaar deewari me qaid hai hum ager yeah mind change ker len to humey pata chale keh koi educational system acha bura nahi hota us me log ache burey ho sakte hain....

Aub aa jate hain girlzzz colleges ki taraf to I think girlz college me perhne wali larkian boyzzz se zyada tung hoti hain kyon ke un ko face to kerna he hai boyzzz ko kyon ke yeah boyzzz to her jagah maujood hain per un girls ka mental level set hota hai keh boys to bohat drowni cheez hain mere khyal se jo jitna derta hai utna pista hai... Aub un girlzzz me se bhi kuch larkian aisi bhi hoti hain jo ghar se perhne aati hain aur sara din cafe ya park me guzar ke ghar chali jati hain to in ko kya kaho ge.... Aur yeah he baaten soch ke log perhate nahi girlz ko per yeah nahi dekhte ke jahan pe 100 students burey hain wahin pe hazaroon laakhon students education se societies me aik achi life guzarne ke kabil bhi ban rahe hain so we need to change our mind not system.

ufhhhh badi lambi takreer jhar di u ne shb....thak to nahi gaye na..pani peelo ja ker..hehehe
well
there are so poits that we agree with shb...system ki kabhi koi ghalti nahi hoti use ghalat kerte hain hm..
its true k agr hm theek hain to phr system se kya darna...but jahan ham rehte hain wo aik muslim country hy...for me girlss ko hijaab ker k apni had me rehna chahiye aur larkon ko apni had me,,,sirf system pe consider ker k study me brhna hy ..ta ke koi education ko ilzam na de
so the point is k chahe girl ho ya boy ....sbko apni had me rehna chahiye...
 
Top