a big issue

  • Work-from-home

A BIG ISSUE


  • Total voters
    13

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
assalam waliekum
dosto

hazir hoon pehli bar aik poll k sath
subject is...

Co education

boyes and girlss together study

pakistan me bht se schools,collages,private institutes aise hian jahan co education di jati hy
kayi baar alag alag classez b hoti hian magr phr b kayi baar es se frq nahi parta hy students
nteeeja
bura asar
larkon aur larkiyun ki barhti dosti
subject is not that k girlz aur boys should't b frdss
but eska asar kuch ulta b par jata hy
well
baaz dafa to eska result kuch estrha hy hota k girlz ki study rook di jati hy jiska shkar banti hy girlzzz ki study
aur larkey
wo b kayi bar study se unconcious hojatey hain

sooo
the issue is
kya aapke khayal me co edution is right or wrong??/
answers are on u...:)
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Walaikum assalam asma424 haha

Asama ye batao aajkal khaa kia rahi ho tum jo itne acche topics dimagh me aarahe hain.
discussion keliye bahot bahetreen topic ka inteqaab kia aapne ispar main zaroor discuss karunga.inshaAllah
abhi office time kuch der me qatam hojayega hosakta hai tomorrow main yahan aaun inshaAllah.
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Well I think bilkul honi chahiyeee....

Dekhooo jo bigarna chahta hai us ko kuch bhi ker lo us ko sudhaar nahi sakte aur co-education se I think koi khaas nuqsan nahi hota aur faide bohat se hote hain

Boyzzz n galzzz ke between competation acha chalta hai .....
notes banane nahi perte just beauty ki tareef ker do ya us ke samne kisi aur beautiful girl me do chaar khamiyan nikal ke aap easily notes banwa sakte ho...:p

Class me mahool well mannered rehta hai

Boyz aur galz sath me hon to I think girlz college ke bahir ghantoo dhoop me khare hone wale student bhi classes me nazer aayen ge...

Is ke elawa bhi bohat se faede hain....:-bd
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
exactly iam ov the same view , Jisne bigarna hota hai wo bigar jata hai , Or Yahan sath men Co-education ho wahan phr boys bi Competition karty hn ,

Or Es dar se k LerkIOon k samne izat na ho jye Parna shuru kar detay hn, {(dancing)}seriously i hve oberved the Fact ..

baqi Agar environment Agar Acha ho to kch bi nai hota , chahe wo schools , colleges, universities Ya Private acadmies hon..
 
  • Like
Reactions: Asma24

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam o alaikum Wrwb

chaliye dosto main bhi aagaya aur kyun na aata topic jo itna achha hai thanks asma.
main aage barhne se pahle co-education se hone wale faayede aur uske nuqsanaat par tabsera karna chahunga.

Faayede


hamare hind o pak me aksar balke 90% schools me co-education hi rahta hai.jahan boys aur girls mil kar parhte hain.aksar aisa dekhne me aata hai k boys ya girls apni principal k zarye hone wali insult se bachne keliye mehnat aur lagan se apni parhaayi par dhiyaan dete hain aur chund usme se aise bhi hote hain jo dosron ko impress karne keliye class topper bhi banne ki har mumkin koshish karte hain.ye bhi ek haqeeqat hi k larke ya larkiyan aksar apni attendence regular rakhte hain.taake inse koi bhi lesson mis na hone paye.

nuqsanaat


co-education se hone wale wale faayede to hum dekhchuke hain.ab aayiye isse jo nuqsanaat hote hain.uspar bhi sarsari nigaah daali jaaye.har wo dunya ki cheez jisse hum faayeda hasil karte hain usse nuqsanata bhi hone k uthne hi andeshe hote hain jitna k faayede.c0-education ka maamla bhi kuch aisa hi hai.isse hone wale nuqsanaat hain wo ye k yahan larke aur larkiaon ka ikhtelaat hota hai.jo shrayi taur par ghalat hai(laikin ispar main baad me tafseel se discuss karunga inshaAllah).aksar aisa bhi hota hai k students apni parhayi se ziada larkiaon me masroof dikhaayi dete hain.ye insan ki khaasiyat hai k male ko female se aur female ko male se maanoosiyat hoti hai.lehza iska bhi asar yahan dekhne ko milta hai.uski misal mere ek dost ka waqiya hai k sir ne kaha dosre din main fair notes check karunga aur jiske paas bhi naho usse main punishment dunga.ye sunkar uski girl frnd ne uskeliye saari raat baithkar fair note complete karke usse dedi.aur aisa bhi dekhne me aata hai k larke aur larkiyan pahle to dost hi hote hain laikin jab ye taaluqaat barhne lagte hain to ye kuch aur shakl iqtiyaar kar jaate hain jisse dosre ghalat natayej nikalna shru hojaate hain.etc

ab mera aap tamam se ye sawal hai k kia co-education ko 10th standard tak hi mahdood rakhna chahiye ya fir isse higher education tak bhi rakha jaasakta hai
.
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
Walaikum assalam asma424 haha

Asama ye batao aajkal khaa kia rahi ho tum jo itne acche topics dimagh me aarahe hain.
discussion keliye bahot bahetreen topic ka inteqaab kia aapne ispar main zaroor discuss karunga.inshaAllah
abhi office time kuch der me qatam hojayega hosakta hai tomorrow main yahan aaun inshaAllah.
shukirya bht bhta bhai arshad{(thx)}bas ajkal complain pe rahi hoon na es se dimag ko energy milty hy u b piya karo..hehehe

bhai ye aik main topic hy...societical hy,,so mene ese choose kiya k dekhen to aap sab ki kya rayi hy..hmmm me ko pata tha u will like it:)thanxxxx bhai
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
Well I think bilkul honi chahiyeee....

Dekhooo jo bigarna chahta hai us ko kuch bhi ker lo us ko sudhaar nahi sakte aur co-education se I think koi khaas nuqsan nahi hota aur faide bohat se hote hain

Boyzzz n galzzz ke between competation acha chalta hai .....
notes banane nahi perte just beauty ki tareef ker do ya us ke samne kisi aur beautiful girl me do chaar khamiyan nikal ke aap easily notes banwa sakte ho...:p

Class me mahool well mannered rehta hai

Boyz aur galz sath me hon to I think girlz college ke bahir ghantoo dhoop me khare hone wale student bhi classes me nazer aayen ge...

Is ke elawa bhi bohat se faede hain....:-bd
hahaha me ko pata hy u k liye ghanton collage k bahir kharey rehna kitna mushkil hy....magr vote ki alag baat hyna...ab dekho estrha u jese students ki companyse to girlsss bach jati hoongi na...
heheeh very intersting rplzz shb ..chalo ab vote do shabash
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

shukirya bht bhta bhai arshad{(thx)}bas ajkal complain pe rahi hoon na es se dimag ko energy milty hy u b piya karo..hehehe

bhai ye aik main topic hy...societical hy,,so mene ese choose kiya k dekhen to aap sab ki kya rayi hy..hmmm me ko pata tha u will like it:)thanxxxx bhai
ye aapko kaise pata tha k main isse pasand karunga?
 
  • Like
Reactions: Asma24

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
exactly iam ov the same view , Jisne bigarna hota hai wo bigar jata hai , Or Yahan sath men Co-education ho wahan phr boys bi Competition karty hn ,

Or Es dar se k LerkIOon k samne izat na ho jye Parna shuru kar detay hn, {(dancing)}seriously i hve oberved the Fact ..

baqi Agar environment Agar Acha ho to kch bi nai hota , chahe wo schools , colleges, universities Ya Private acadmies hon..

hmmm ML kuch points agrred hain but see agr side effects horhe hoon to phr zimedar kon hoga?
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
WOW zabardast topic hai patakhaaaa stupiddddddd {(Angry)}

well hmmm mere khayal main co education system behtreen system hai agar isey sirf study ki hud tak he lya jaye girls aur boys ka apas main mil ke parhna itna bara issue nahi issue ye hai ke girl boy fellow ko kis terha se handle karti hai apni dressing ka kis terha se khayal rakhti hai ke nigah kisi ki na uthey well study karney main ye faida hai co system main ke aik dosrey ke sath competition rehta hai jis se fun ke sath behtreen study ho jati hai aur is ka aik faida aur bhi hai ke khas toor se boys ke ander confident peda hota hai jo ke un ke future main buhat faida deta hai. Thankss
 
  • Like
Reactions: Asma24

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
Assalam o alaikum Wrwb

chaliye dosto main bhi aagaya aur kyun na aata topic jo itna achha hai thanks asma.
main aage barhne se pahle co-education se hone wale faayede aur uske nuqsanaat par tabsera karna chahunga.

Faayede


hamare hind o pak me aksar balke 90% schools me co-education hi rahta hai.jahan boys aur girls mil kar parhte hain.aksar aisa dekhne me aata hai k boys ya girls apni principal k zarye hone wali insult se bachne keliye mehnat aur lagan se apni parhaayi par dhiyaan dete hain aur chund usme se aise bhi hote hain jo dosron ko impress karne keliye class topper bhi banne ki har mumkin koshish karte hain.ye bhi ek haqeeqat hi k larke ya larkiyan aksar apni attendence regular rakhte hain.taake inse koi bhi lesson mis na hone paye.

nuqsanaat


co-education se hone wale wale faayede to hum dekhchuke hain.ab aayiye isse jo nuqsanaat hote hain.uspar bhi sarsari nigaah daali jaaye.har wo dunya ki cheez jisse hum faayeda hasil karte hain usse nuqsanata bhi hone k uthne hi andeshe hote hain jitna k faayede.c0-education ka maamla bhi kuch aisa hi hai.isse hone wale nuqsanaat hain wo ye k yahan larke aur larkiaon ka ikhtelaat hota hai.jo shrayi taur par ghalat hai(laikin ispar main baad me tafseel se discuss karunga inshaAllah).aksar aisa bhi hota hai k students apni parhayi se ziada larkiaon me masroof dikhaayi dete hain.ye insan ki khaasiyat hai k male ko female se aur female ko male se maanoosiyat hoti hai.lehza iska bhi asar yahan dekhne ko milta hai.uski misal mere ek dost ka waqiya hai k sir ne kaha dosre din main fair notes check karunga aur jiske paas bhi naho usse main punishment dunga.ye sunkar uski girl frnd ne uskeliye saari raat baithkar fair note complete karke usse dedi.aur aisa bhi dekhne me aata hai k larke aur larkiyan pahle to dost hi hote hain laikin jab ye taaluqaat barhne lagte hain to ye kuch aur shakl iqtiyaar kar jaate hain jisse dosre ghalat natayej nikalna shru hojaate hain.etc

ab mera aap tamam se ye sawal hai k kia co-education ko 10th standard tak hi mahdood rakhna chahiye ya fir isse higher education tak bhi rakha jaasakta hai
.
bh bht shukriya bhai arshad aap ne bht imprtant aur bht achi tfseelat bayan ki hain..mere topic ka subject aisa hy bilkul..k hm me se kitne es baat ko favour kerte hain aur kitne nahi kerte...
ajakl k mahool ko dekhte hue bht se parents ne girlzzz ki studies rok di hy just bcozz kayi cities me sperate school ki study co edocation insitutes se achi nahi hoti ..that why ye issue ubharte hy k agr parhne jaeyn b to kya pata abka beta bigar na jaye aur beti ghar se bhag na jaye...
mere khyal se fifth tak theek hy..agey girls b alag hoon aur boyes b...takey jis waja(education)k liye hm jate hain use co me tbadeel na kiya jaye..coz we are muslimss
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
WOW zabardast topic hai patakhaaaa stupiddddddd {(Angry)}

well hmmm mere khayal main co education system behtreen system hai agar isey sirf study ki hud tak he lya jaye girls aur boys ka apas main mil ke parhna itna bara issue nahi issue ye hai ke girl boy fellow ko kis terha se handle karti hai apni dressing ka kis terha se khayal rakhti hai ke nigah kisi ki na uthey well study karney main ye faida hai co system main ke aik dosrey ke sath competition rehta hai jis se fun ke sath behtreen study ho jati hai aur is ka aik faida aur bhi hai ke khas toor se boys ke ander confident peda hota hai jo ke un ke future main buhat faida deta hai. Thankss

agye u 2 itna late kun{(Angry)}
chalo dair hi sahi aa to gaye...arrey stupid agr sirf studies tak mehdood hona tha phr to theek tha na...well sbki apni apni raye hy...hmmm thanxxxx for rplzz:)
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
my pleasure bhai arshad{(thx)}
aap khilaf hain to no me vote kerskte ho aap
aur jo against nahi hain wo yes me karen
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia


bh bht shukriya bhai arshad aap ne bht imprtant aur bht achi tfseelat bayan ki hain..mere topic ka subject aisa hy bilkul..k hm me se kitne es baat ko favour kerte hain aur kitne nahi kerte...
ajakl k mahool ko dekhte hue bht se parents ne girlzzz ki studies rok di hy just bcozz kayi cities me sperate school ki study co edocation insitutes se achi nahi hoti ..that why ye issue ubharte hy k agr parhne jaeyn b to kya pata abka beta bigar na jaye aur beti ghar se bhag na jaye...
mere khyal se fifth tak theek hy..agey girls b alag hoon aur boyes b...takey jis waja(education)k liye hm jate hain use co me tbadeel na kiya jaye..coz we are muslimss
han ye baat main mention karna bhool gaya apni post me jo aapne kardi thanks k co-education hone ki wajah se kayi parents apni larkiaon ko higher education nahi dilaate unhe ye darr hota hai k kahin ye ksi k saath engage na hojaye.ya kuch aisa waisa kar na baithe.aur ye darr unke bhaiyaon ko bhi hota hai k kahin hamari bahan ko to koi cher to nahi raha ya uska ksi k saath affair to nahi.is tarha unke bhai bhi isme ek nihayat aham role ada karte hain.

laikin kiya co-education k baghair separete taaleem ka nizam nahi kia jasakta?kia saparete taleem k zarye bhi ilm nahi hasil kia jasakta? kia jasakta hai aur bahot bahetreen tareeqe se kia jasakta hai.bus apne mind ko badalne ki zaroorat hai.aaj hamara muashara maghrabi tahzeeb ka dildada hai.wo aurton aur mardon me ikhtelaat chahta hai aur maghrabi tahzeeb me ye koi bura fail nahi.

haal hi ka ek waqiya france ka jo maine newspaper me parha.wo ye k junior college k couple ne apne yahan najayez taur par aulad ko janam diya.jo world k sabse kum umr maa baap kahlane wale bun gaye.jabke wo larka apni pocket money tak apne walid se hasil karta hai.
 
Top