ماہِ محرم

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
bhai my ne jo baat kahi hy wo dalail ke sath hy ap apni baat jo keh rahe ho barahe karam dalail pesh karo
ek to mere paas fuzool bahes k lie time nahi islie kch kehna hy to daleel do nahi to please mere thread ko bahes ka markaz mat banao shukria
waqia karbala ke oper baat aap ko fazool behas lagti hai buhat khoob kya nick hai aap ka . aur baten aisi subhan Allah.. ok carry on karoo . maine aik sawal pocha tha jawab nahi tumhare pass toe kehdoo ke nahi de sakta jawab .
 
  • Like
Reactions: cutepoison

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
main hameesha soch samajh kar aur pora prh ke he reply karta hon so do not need ur advice about this . dosri baat agar aap ne maheeney ki taqadus ko he show karna tha toe akhir main apni man gharat baten add karna kya zaroori tha oper se neechey tak pori thread parh ke buhat khushi huwi but in last aap ne akhir phr wohi mozoo shuro kar he dya . aur aap ne kaha ke is month ko jo ahmiat mili log samajhtey hain ke is ki waja waqia karbala hai toe ye 100% durust baat hai ye waqia bhi baqi tamam barakatoon ke sath aur jo kuch aap ne pesh kya un ke sath ahmiat ka hamil hai aap is waqiye ko radd nahi kar saktey . agar shahadat-e-nawasa-e-rasool ki aap ki nazar main koi ahmiat nahi toe main ye samjhta hon aap ke oper Allah reham farmaye Aameen
agreed...
Waqea karbala ke ahmiyat hamari sochon se kaheen ziada ha kiounkay...
"qatl-e Hussain asal main marg-e yadeed ha
Islam zinda hota ha har karbala k baad"
 
  • Like
Reactions: cutepoison

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
waqia karbala ke oper baat aap ko fazool behas lagti hai buhat khoob kya nick hai aap ka . aur baten aisi subhan Allah.. ok carry on karoo . maine aik sawal pocha tha jawab nahi tumhare pass toe kehdoo ke nahi de sakta jawab .
jo sawal hi nahi uska jawab kya
maine apni baat baqaida dalail ki roshni me rakhi aap bhi apni baat k lie dalail lau na ke apni khudsakhta mangharat baten[DOUBLEPOST=1353231402][/DOUBLEPOST]
agreed...
Waqea karbala ke ahmiyat hamari sochon se kaheen ziada ha kiounkay...
"qatl-e Hussain asal main marg-e yadeed ha
Islam zinda hota ha har karbala k baad"
karbala se pehle islam kya murda tha nauzubillah
aap is thread me bahes k lie aye hain to thread me koi comment na karen ye bahes k lie nahi aur na qatl hussain k lie lagaya hai maine ye sirf aur sirf muharram aur ashura ke lie hy
 
  • Like
Reactions: Detective

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
jo sawal hi nahi uska jawab kya
maine apni baat baqaida dalail ki roshni me rakhi aap bhi apni baat k lie dalail lau na ke apni khudsakhta mangharat baten
aap ne apni akhri man gharat batoon main koi daleel aur shawaied pesh nahi kye ke kaise waqia karbala ki ahmiat ko tamam batoon main shumar nahi kya ja sakta jo ke is maheeney yani moharam ka taqadus hai.. where is reference ke waqia karbala ki koi ahmiat nahi
 
  • Like
Reactions: cutepoison

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
@Abidi yazeed ka naam beech me lake topic ko naya rukh na do[DOUBLEPOST=1353231517][/DOUBLEPOST]
aap ne apni akhri man gharat batoon main koi daleel aur shawaied pesh nahi kye ke kaise waqia karbala ki ahmiat ko tamam batoon main shumar nahi kya ja sakta jo ke is maheeney yani moharam ka taqadus hai.. where is reference ke waqia karbala ki koi ahmiat nahi
baat ko tool na do bhai my ne upar hi kaha tha ke jo ahmiat is mahine ki hy wo karbala ke waqia se nahi jo aaj bht se loog samajhte hy

agar jo ahmiat quran aur hadees me di gai hy wo is waqia ki wajhe se hi hai to aap sabit karo my maan lunga in sha Allah :)
 
  • Like
Reactions: Detective

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
*Muslim* bor @Zee Leo bro ko aik baat ki ghalat fehmi hai ke aap ne kaha keh Waqiya karbila ki koi ehmiat nai jab ke aap ne apni last line mai kaha ke logo ne iss ko sirf aik waqiya se mansoob ker ke biddat ka zariya bana liya hai... waqiya karbala ki ehmiat ko to koi bhi nahi jhutlata beshak Islam ke lea aik misali qurbani thee Hazoor Pak Sallalho Allahe wasalam ke nawasey ki....
 
*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
*Muslim* bor zeeshan bro ko aik baat ki ghalat fehmi hai ke aap ne kaha keh Waqiya karbila ki koi ehmiat nai jab ke aap ne apni last line mai kaha ke logo ne iss ko sirf aik waqiya se mansoob ker ke biddat ka zariya bana liya hai... waqiya karbala ki ehmiat ko to koi bhi nahi jhutlata beshak Islam ke lea aik misali qurbani thee Hazoor Pak Sallalho Allahe wasalam ke nawasey ki....
beshak bhai :)
 
  • Like
Reactions: *SHOAIB*

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
Agreed with u @*SHOAIB* aur maine bhi tumhari wali baat kahi thi . anyways . @*Muslim* quran aur hadees se dalaiel Nabi Pak S.A.W ki wafaat se pehle tak ke waqiat ke diya ja saktey hain ya jin waqiat ke honey ki aap S.A.W ne peshen goi ki hai
bilkul bhai islam mukammal hua hi hy Aap sallellahu alayhisallam ki hayat me unke baad jo bhi cheez dakhil ki gayi wo islam nahi ho sakti
 
Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
jo sawal hi nahi uska jawab kya
maine apni baat baqaida dalail ki roshni me rakhi aap bhi apni baat k lie dalail lau na ke apni khudsakhta mangharat baten[DOUBLEPOST=1353231402][/DOUBLEPOST]

karbala se pehle islam kya murda tha nauzubillah
aap is thread me bahes k lie aye hain to thread me koi comment na karen ye bahes k lie nahi aur na qatl hussain k lie lagaya hai maine ye sirf aur sirf muharram aur ashura ke lie hy
bhai ma kisi behas k lie nahi aaya,ma ne @Zee Leo bro ke post ko quote kiya thaa aur tag mujhe yahan aap ne khud kiya tha,
anyway agar aapko mujh se koi masla ha to ma ab iss post k bad aapke iss thread main nahi aaoon ga,chahay aap jo b kahain,
Allah aapko khush rakhay,aameen,
take care, Allah hafiz,
 
  • Like
Reactions: cutepoison

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
bhai ma kisi behas k lie nahi aaya,ma ne @Zee Leo bro ke post ko quote kiya thaa aur tag mujhe yahan aap ne khud kiya tha,
anyway agar aapko mujh se koi masla ha to ma ab iss post k bad aapke iss thread main nahi aaoon ga,chahay aap jo b kahain,
Allah aapko khush rakhay,aameen,
take care, Allah hafiz,
bhai my ne bhi koi bahes k lie apko tag nahi kia tha balke muharram aur ashura k lie jo dalail ekatha kiye wo ap tak ya jinko bhi my ne tag kia unta pahunchen k lie kia bas

apka reply thread ke topic ki jagah dusra rukh le raha tha aur apne jo sher yahan pesh kia agar my uska jawab dun to bahes aese chirige jis ka natija thread close aur kayi ban ke stah khatam hoga jo my nahi chahta

shukria Allah hafiz
 
  • Like
Reactions: *SHOAIB*

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Agreed with u @*SHOAIB* aur maine bhi tumhari wali baat kahi thi . anyways . @*Muslim* quran aur hadees se dalaiel Nabi Pak S.A.W ki wafaat se pehle tak ke waqiat ke diya ja saktey hain ya jin waqiat ke honey ki aap S.A.W ne peshen goi ki hai
jee bilkul Zeeshan bro aur I think confusion he thaa jo clear ho gaya :) werna aap dono Muslim bro aur aap same baat he ker rahe ho.... aur zee bro Islam Hazrat Muhammad Sallaho Allahe wasalam ke dour mai he complete hogaya thaa iss lea jo bhi islam ke lea zaroori thaa woh Aap Sallalaho Allahe wasalam ne apney ummatioun ko sikha dea ... us ke baad Islam ke naam pe jo bhi addition ki gayi ho ussey he biddat kehtey hain jo gunahe kabeera hai.... aur uss se humey bachna chahiye... kyon ke ager koi cheez aham hoti to Hazoor Pak Sallalaho Allahe wasalam apney amal se ya apne alfaz se humey zaroor dai ke jaatey... :) bohat si shahadaten aap ki zindagi mai bhi hoi thee aur 23 saal ke arsey mai bohat se sathioun ki shahadatoun ko dukh aap ne berdasht kea thaa aur un ki shahdat ke baad aap ne jo kea humey bhi woh he kerna chahiye naa... :)
 
  • Like
Reactions: Don and *Muslim*

beshak bhai jazak Allah khaira
bohot hi ahsan alfaz me apne baat ko wazhe kia hy shukria
 
beshak theek kaha hai . Nabi Pak S.A.W ne Hazrat Hussain R.A ke sath mohabbat rakhi yahan tak ke woh namaz parhatey waqt un ki peeth pe charh jatey toe aap sajda taweel kar dete .. Jis ne Nabi .S.AW ne mohabbat ki us se humen bhi mohabbat aur aqeedat hai . aur waqia karbala koi choti hasti ka nahi usi hasti ka hai jis se hum Mohabbat kartey hain so is ki ahmiat ko nazar andaz karna kisi bhi muslim ka shewa nahi . JazakAllah
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
JazakAllah..!

Mah-e-Mohrram ka Jahan Bohat ahtraam hay wahan Yah maheena Hazrat Imam Hussain R.A aur un ke sathyon ke Islam ke liye Qurbani se Inspiration hasil kernay ke liye bhi hay. woh Qurbani Musalman ka eman Mazbot kernay ke liye hay ke Islam ki rah main kaise bhi sakhti aur azmaish aye Allah per tawaqal rakha aur Sabit qadam raha jaye chahye us main Jaan hi kyun na deni paray. aur Mah-e-Moharram ke shuro hOtay hi Us Qurbani ki yaad taza hO Jati hay Jis ki waja se is Mah ki Importance aur hurmat kaheen zyda bhar Jati hay.
 
*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
mah e muharram me ek aur badi shahat bhi huyi Ameer al mumineen Hazrat farooq e Azam syedana Umar bin khattab raziallahu anhu

lekin is azeem shahadat ko koi yaad nahi karta jo khalifa e thani the aur Allah ke rasul alayhisalam ne kaha tha ke mere baad koi nabi hota to wo Umar rz hote aur unki shahadat ek moharram ko huyi namaz ki halat me wo kisi ko yaad nahi

aur aese hi shaheedon ka zikr kia jaye to shaheedon ke sardar ko kaise bhul jaen syedana Hamza raziallahu anhu unki shahadat kya bhulne layaq hy si shahadat ki wajhe se hi to unko Allah ke rasul alayhisalam ne shohada ke sardar kaha tha kya usko yaad kiya jaata hai kabhi?

nahi kyun? kyun ke karbala ki adh me ek makhsoos giron jiska naam my nahi lena chahta wo musalmano ko bhatka kar asal islam se door karne ki koshish karta hai aur is maqsad me wo bohot hadd tak kamiyab bhi ho gaya hai

Allah hame asal deen ko samajh ne us par amal karne ki taufeeq de ameen
 
  • Like
Reactions: Don and S_ChiragH

Hazrat Umar-e-Farooq R.A ke Shahadat ko main nahi bholti at least. Kyun ke woh Bachpan se meri Fav personality hain. mujhay un se Bohat pyar hay. aur issi terah tamam Sahaba se. Laken Hazrat Imam Hussian ki shahdat ka zikr is liye khas hota hay kyun ke Islam ki rah main aise Qurbani ki misal nahi milti Jis ne Tareekh ka rukh badal diya jis main Hazrat Imam Hussain R.A sab pyaray rishton, bachon, Bhayon, doston ko Allah ki rah aur Islam ki sir Bulandi ke liye qurban ker dia. aise Missal koi aur hay kia? Itna sabr kaheen milay ga aap ko? Itni hymat kise aur main hay kia? well mujhay abhe samjh araha hay ke is cheez ko lay ker bhi shyed kuch Conflicts hain waisay mujhay nahi pata woh kia hain, main bass apni aqeedat ki baat ker rahe hon. aur Nawasa-e-Rasool (S.A.W.W) aur un ki aal se Mohabbat aur Aaqeedat Gumrahi nahi.
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Assalaamu alaikum @*Muslim* bhai JAZAKALLAH khair bohot hi khoobsurat aur mufeed thread

bila shuba is maah ki ehmiyat bohot bari hai aur bohot hi azeem hai

aur bila shuba mujhe humen aapko Hadhrat Hussain r.a ke shahadat ka dukh aur ranj hai

per humein ye formality ke liye nahin hai ke saal ke MOHARRAM mein hum doodh wali chaaye

gosht machli khana chhoren aur kaala jora pehenne lagen balke humen un samet Ashaab e Rasool a.s

ke khatir e ISLAM shahadat ka ehtaraam ISLAM ki pairvi karke karni chaahiye . . .[DOUBLEPOST=1353234933][/DOUBLEPOST]
Zeeshan bhai Hazoor Pak Sallalaho Allahe wasalam aur tamam sahabi hazrat aur aun ke baad aaney wale taaba tabaeen sub ne he Islam ke lea qurabni di hai aur beshak un sub ki ehmiat hai aur rehti duniya tuk rahe gi aur un ki qurbani ka he nateeja hai keh aaj mai aur aap qalima perhtey hain....mere khayal se Muslim bro ne last mai Naswas e rasool ki shahdat ki nahi biddat ki baat ki hai jo logon ne ikhtiyar kerli hai ....[DOUBLEPOST=1353230719][/DOUBLEPOST]

ahan to kyon behas ko berha rahe ho aap log.... :-?
CORRECT bhai

aur agar soug karne lage to saal ke 365 din kaale jore aur maatam karna shuru karna parega
kyunke RASOOL E KAREEM saww ke bohot se Ashaab r.a ne dauraan e jihaad shahadat paaiy hai . . .[DOUBLEPOST=1353236057][/DOUBLEPOST]
beshak theek kaha hai . Nabi Pak S.A.W ne Hazrat Hussain R.A ke sath mohabbat rakhi yahan tak ke woh namaz parhatey waqt un ki peeth pe charh jatey toe aap sajda taweel kar dete .. Jis ne Nabi .S.AW ne mohabbat ki us se humen bhi mohabbat aur aqeedat hai . aur waqia karbala koi choti hasti ka nahi usi hasti ka hai jis se hum Mohabbat kartey hain so is ki ahmiat ko nazar andaz karna kisi bhi muslim ka shewa nahi . JazakAllah
Bila shuba RasoolALLAH saww ke pyaare Hassan o Hussain r.a
Be shak RASOOLALLAH saww ke dulaare Hassan o Hussain r.a
Hassan o Hussain r.a dono pyaare the naa ??
Nabi e kareem saww ko ?? to is qadar soug
eik ki shahadat per kyun ??
Ali r.a Umer r.a Abu Bakar r.a Osman r.a ke naam se pehle
hum ne Imam nahin lagaya Hazrat Hussain r.a ke naam se
pehle lagaate hain kyun ??
Rasool e kareem saww ke nidar o azeem Chacha unki to shahadat ke baad
unka kaleja tak bad bakht kaafir kacha chaba gaye us din ka soug kahan gaya ??
us din ko kaala jora kyun nahin pehna jaata ??
us din ko sharbat kyun baanti jaati ??
us din ghar ghar chole kyun nahin jaate ??
kya aal e HUSSAIN r.a mein unke shahadat ke baad
koi moharram ka maheena nahin aaya ??
aaya hi hai aur jab aaya to unhone shabeel ka camp gaarha ??
lougon se chande wasoole ??
kaale jore pehne ??
maatam kiya ??
nahin kiya to humen unke aal se zyada dukh hai unke liye ??
ya hum bas dikhaawe se khud ko khush kar rahe hain
ke shahadat e Hussain r.a ka ehtraam kar rahe hain
ehtraam karna hi hai to Hussain r.a ke baba Ali r.a
rivayat karda ahadeeth per chal ke karo Hussain r.a
ke mubarak aqwaal ko yaad karo unki pairvi karke dikhaao
aur dukh apne dil per unke shahadat ka hamesha rakho
aur munh se uska izhaar karte raho naa ke kisi fix draame ki tarah
saal mein eik baar hi yaad aayen Hussain r.
 
RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
I think yahan members waqiya Karbala and Muharram ko mix up kar rahay hain..jis ki waja se confusion create ho rahi ha.. @*Muslim* ne just Muharram k maheenay ki importance batai ha.. waqiya karbala ka topic bilkul separate ha.. or true waqiya karbala aik aisi qurbani ha jisay koi b jhutla nai sakta..
 
Top