Waseela Zarori Hai!!! *Must Read Topic of the Week*

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
38
karachi the heart of pakistan
main bhi to ye hi keh rahi hu

aap kisi ko bound na karain agar wo saari had jaanta hai to waseelay se inkaar na karain

baaqi raha had cross karnay ka masla to wo to sub ko pata hi hona chaheya k kiya limitations hon

lakin un ko lay kar sirf waseelay par behas mat karain aur mera reply saaray log read karain...
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
aap nay mother ki muhabbat ki jo example di thi aur us main waseelay ka poocha to wo aap nay usi se related hi kaha tha na Allah kisi waseelay ka muhtaaj nahi to isi liya us ka detail main jawab upar diya to hai wo parhain pehlay...

2nd mothers ye insaano main limitations ki baat hai yaad rakhain insaan ki muhabbat ho ya nafrat us main limitations hoti hain lakin Allah ki muhabbat unlimited hai isi liya us ka upar answer kiya hai

mother ki muhabbat main limitation honay k bawajood waseela nahi

jab k Allah ki muhabbat lamehdood honay k bawajood bhi us nay waseelay ka sahara rakha ta k koi kisi reffernce se bhi maangay wo ata karay

mera khayaal hai is farq ko samjhnay ki koshish karain

jo lamehdood hai us ko mehdood se gharz nahi us ka kaam hai ata karna

jo mehdood hai wo mehdood hi hai us main waseela kaisa thats all..

ap ney khud hi jawab dey dia hai sirif samjhney ki baat hai

mother ki muhabbat main limitation honay k bawajood waseela nahi

to ap kahtey hain key Unlimted Mohabbat main Waseela hota hai ?

ap shayad ulta farma rahy hain

ager Limted Mohabbat main Waseela hota

to

Unlimted mohabbat main ap kahsaktey hain k kio k limted mohabbat main waseela hai to jab Mohabbat unlimted hojati hai to waseela khatam hojata hai

kio k Mohabbat berh janey sey Fasley mit jaty hain barhtey nahi hain

(Mager ye bat bhi Waseely k against jati hai)

ager humain 70 mothers sy ziada mohabbat ki misal di gai hai to is ki kia waja hai ?

ager Allah ka qurub hasil karney main ye waseela hota jo Midtown bhai farmatey hain

to kia apkey khayal main kissi waseely wali mohabbat ki misal nahi di jati ?
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
aur har cheez par ghoro fikar kar k hi baat karain na k sirf aap log sirf behas hi kartay rahain apni rai ko durust sabit karnay k chakkar main

ye jumla to hum bhi kahsaktey hain{(moc)}

or ap apni side sy bhi ye hi sochain kahi aap kisi ghalat baat ki himayat to nahi kar rahy

ap dehan sy article perhain ap kis baat ki himayat kar rahy hain ?
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
38
karachi the heart of pakistan
ye jumla to hum bhi kahsaktey hain{(moc)}

or ap apni side sy bhi ye hi sochain kahi aap kisi ghalat baat ki himayat to nahi kar rahy

ap dehan sy article perhain ap kis baat ki himayat kar rahy hain ?

1 to aap baat samjh nahi rahay ye main sub ko keh rahi hu jo yehan ayen wo behas hi kartay rehtay hain aur main nay koi baat ghalat nahi ki main kisi bhi firqay main nahi hu...aap sub ko
quraano sunnat ki roshni main bata rahi hu...zara batyen main nay kisi 1 baat par israar kiya sirf aap sub ko ye bataya k har baat par ghor karo
aur har cheez k do pehlu saamnay rakhay....lakin aap lafz waseela par atak gai to is ko bhi samjhaya..
aur yehan jummlay baazi nahi horahi hai plz ..
 
RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
aik choti se baaat ko lay k yahan itna bara issue kis liye banayaa ja rahaahai haan..behtr yehi hoga k pora article ghore say parha jay..or apnay dimagh ko hazir nazir rakh k yahan reply kiya jay..k ap jo baat kar rahay hain wo ap kis k baray may kar rahay hain or kis liye kar rahay hain

thxz
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
38
karachi the heart of pakistan
aik choti se baaat ko lay k yahan itna bara issue kis liye banayaa ja rahaahai haan..behtr yehi hoga k pora article ghore say parha jay..or apnay dimagh ko hazir nazir rakh k yahan reply kiya jay..k ap jo baat kar rahay hain wo ap kis k baray may kar rahay hain or kis liye kar rahay hain

thxz
hmmmm ...ab koi lafz waseela par baat nahi karay ga...plz kuch aur baat karain
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM

Choti c baat hee sahi magher aitraaz kisi ko hai tu woh Waseela ka RADD Quran o Hadith say pesh karai idk k nasir sahib ka kia masla hai Question kuch aur pocho tu Answer kuch aur milta hai.
Khari Nasir bhai aghar app k pass Waseela ka koi radd hai tu post karain nahi tu humara dimagh kharab karne ki koi zarorat nahi.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
hmmmm ...ab koi lafz waseela par baat nahi karay ga...plz kuch aur baat karain
Mein tu kehta hon Nasir sahib mujh say behas karain but fazool nahi aghar unn ke pass Waseela ka koi RADD ho tu woh sabit karian nahi tu fazool behas ka koi maqsad hee nahi hai.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
assalam-o-alikum,

bhai ap ek ayat ki baat farmatey hain wo bhi wazeh hukum nahi hai k is ayat main humain hukum dia gaya hai k "allah ki taraf waseela dhhoondna buzrugan-e-deen hi murad hai"

allah ka hukum is ayat main waseela dhoondney ka hai

or quraan pak main bohat sari jaga jaha allah taala wazeh tor pr jaga jaga irshad farmata hai k
allah hi madad farmata hai
allah ney guzwa-e-bada main madad farmai(hazoor sallaho alihey wassalam ki hayat mubaraka main)
allah k siwa koi madadgar nahi
allah k siwa koi karsaz nahi
allah ka koi madadgar nahi
allah muslamano k liyain kafi hai
allah k siwa koi mushkil kusha nahi
allah k siwa koi himayati nahi
allah ki madad sab sy behter hai

or sab sey wazeh hukum dua k mutaliq apko pesh kia tha jo shayad ap ney nahi parha dobara perhlain

ager ap ye chahtey hain k ap ki khuahish k mutabiq quraan pak k ehkamat apko dikhey jaey to ye na mumkin hai
kio k allah taala ney apney ehkamat pohcha diey hain or ye bhi farmadia hai
'hum ney ayatian khol khol k bayana ki hai aqal rakhney walon k liyain"
"hum badal badal kr misal sy samjhtay hain"
ahahaha yaar mujhe buhat hansi aa rahi hai app aitraaz bhi khudh karty ho aur woh bhi bai tukka aur jawab bhi khudh hee dai daity ho.
Chalo yeh tu app ne man liya ke waseela cahai bazurgon ka ho ya kisi aur ka waseela jaiz hai aur quran say sabit hai.
Yaar hum ne kab kaha allah madad nahi karta ? Hum waseela talash karty hain tu madad allah hee karta hai magher allah ke nabi, wali aur naik bandy bhi allah ki ata say hum gunnah garon ki madad karty hain jo ki quran ki bay shumar ayaat and ahadith say sabit hai.
Alhumdulillah app hamesha ki tarha itne lambi behas k baad bhi waseela ka koi radd sabit nahi kar sakay aur yeh baat mein bar bar keh raha hon ke app mujhe quran-o-hadith mein yeh alfaaz parha dain ke '' allah say waseela ke sath dua karna haraam hai ''
yaar jaisa ke humari co-admin ne kaha pura article ankhain khol kar parho apni zidd aur hat dharmi ko aik taraf rakho tu sab samajh aa jai ga.
Allah hafiz
 
mera khayaal hai ab nasir sahab ko jawab mil chuka hai is liya is par mazeed bahas ki zuroorat hi nahi
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
aik choti se baaat ko lay k yahan itna bara issue kis liye banayaa ja rahaahai haan..behtr yehi hoga k pora article ghore say parha jay..or apnay dimagh ko hazir nazir rakh k yahan reply kiya jay..k ap jo baat kar rahay hain wo ap kis k baray may kar rahay hain or kis liye kar rahay hain
Assalam-o-Alikum,

apkahtey hain k ye chhota isse hai aaiey hum apko batain k chhoti si bat kaha ley jati hai:

Hazrat Adam Alihey Assalam sy jo silsila bani Adam ka shoro hua to koi mazhab na tha
phir
aaj itney mazhab kesey ejad hoey ?
kia Mushrik aasman sy utertey hain ?

Essai kio Mushrik hoey ?

Hazrat Essa Alihey Assalam ko Allah ka beta(Maaz Allah)mantey hain
Hazrat Jibrail Alihey Assalam ko Allah ka madadgar mantey hain

Hazrat Essa Alihey Assalam ki ye taleemat to nahi thin(see Attachemnt 01)

phir Shaitan logon ko gumrah krney main kesey kamiab hua ?

kabhi aap ney socha ??????????????

Allah ko mushrik bhi mantey hain

mager Allah ka madadgar dosron ko samjhtey hain(mushrik b kahtey hain sab kuch Allah hi ka hai)see attachment 02

kia Shiatan ek hi din main aaker kahta hai k Hazrat Essa ALihey Assalam ko Allah ka beta (Maaz Allah)mano ?
kia Shitan ek hi din aaker kahta hai k Buuton ko Khuda mano ?

nahi.........Bilkul Nahi

Gumrahi ya bohat bari burai ek dam nahi phhelti

waqat k sath aahista aahista tabdeeli aati hai

pehley Aqeedat main thora sa Izafa hota hai(or phir Shiatan tamasha dekhta hai)

ek nasal jati hai dosri nasal aati hai wo is Aqedat main thora or Izafa karti hai

phir teesri nasal mazeed izafa karti hai

ek waqat aata hai k log gumrah hojatey hain or logon ko pata hi nahi chalta

sab ko ye hi Itmenan hota hai k hum hi drust hain(jis mazhab sy poochho wo apney mazhab ko sahi honey k beshumar dalil dey ga

phir Allah Taala ney Quraan pak mian tamam Insaniat ko sahi or ghalat ka rasta batadia

ab jis ka dil chahey wo Eman ley aaey ya na maney

ab yaha ye mozoo bhi is silsiley ka hissa hai

aaj sy 30 saal pahley sarey log ye hi kahtey they k hum kisi Buzrugan-e-Deen sy nahi mangtey
hum Allah sy mangtey hain bas Allah k Hazoor Waseela pesh karty hain

magr aaj

"Ya Rasool Allah Madad"
"Ya Ghos Pak Madad"
"Ya Ghos Mushkil Kusha"

ye sab kia hai ?

waseela hai ya barah-e-Rast Buzrugan-e-Deen sy madad mangna ????????????????????

ab kaha jata hai k ye buzrigan-e-Deen Allah ki ata sy madad kar saktey hain ????

or Essaion ka kia Aqeeda hai k Hazrat Jibrail Alihey Assalam Allah k madagar hain ????

dono baton main kia faraq hai humain samjhiey

kia Tareekh apney ap ko nahi dohra rahi ??

kia Shaitan apney sadyon puraney war karny main doobara kamiab nahi ho raha ?

ab aap batain ye issue chhota hai ya bohat bara hai ????
 
Attachments

  • Like
Reactions: kool~nomi

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
mera khayaal hai ab nasir sahab ko jawab mil chuka hai is liya is par mazeed bahas ki zuroorat hi nahi
Assalam-o-ALikum

ap Gor-o-Fikr karny waly hain
ap her maamley key dono pehloo dekhtey hain

chleiy dekhtey hian k ap apney dawaey main kitny suchhey hain ???

ye Midtown bhai neylikha hai :

Hum waseela talash karty hain tu madad allah hee karta hai magher Allah ke nabi, wali aur naik bandy bhi allah ki ata say hum gunnah garon ki madad karty hain jo ki quran ki bay shumar ayaat and ahadith say sabit hai.

ap ney jawab main Midtown bhai sy itna bhi nahi poocha Quraan ki wo beshumar Ayat main sy sirf 10 jaga ye dekha dain k Allah Taala ney wazeh tor per hukum dia ho k Allah k Naik bandey Allah k Madadgar hain ????

Qayamat tak ka time hai ager 10 jaga chhorain ek jaga dekha dain

werna hum apko 10 sy ziada jaga dekha saktey hain k Allah k siwa koi madadgar nahi

kary gi ghor-o-fiker ya bas apney Zid kerni hai tamam wazeh ehkamat k bawajood ?????

  • Like
Reactions: kool~nomi

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
38
karachi the heart of pakistan
Assalam-o-ALikum

ye Midtown bhai neylikha hai :

Hum waseela talash karty hain tu madad allah hee karta hai magher Allah ke nabi, wali aur naik bandy bhi allah ki ata say hum gunnah garon ki madad karty hain jo ki quran ki bay shumar ayaat and ahadith say sabit hai.
1).Hum waseela talash karty hain tu madad allah hee karta hai
is baat se astaghfirrullah kis muslim ko inkaar hai...Allah hi madad karnay wala hai us k siwa koi nahi..ok?

2).magher Allah ke nabi, wali aur naik bandy bhi allah ki ata say
is main 1 word use kiya gaya hai Allah ki ata se yani us k hukm se jis k through means us ko as a just waseela(medium)becoz insan hi insan k samnay aa kar us k mun main niwala daalay ga na ya phir machine..

3).hum gunnah garon ki madad karty hain

madad Allah ki karta hai aur koi nahi kisi na kisi tareekay se raastay peda karta hai ghaib se jis ko waseela kaha jata hai

4).jo k quran ki bay shumar ayaat and ahadith say sabit hai.

is baat ko aap ghalat na lain kiya quraan main ye nahi k tum yateemo ki parwarish karo un k maal na khao aur achay tareekay se un k saath pesh aao...kiya is ayat se ye sabit nahi hota k 1 aam admi bhi kisi yateem ki kifaalat k liya waseelay k tor aazmaya ja sakta hai...

anbiye karaam jab kisi k liya bakhshish ya Allah se muafi k liya haath uthatay thay to kiya Allah foran dua nahi sun laita tha ,,,kiya barish nahi hojati thi....etc...to kiya ye us aadmi k liya waseela nahi banay dua kis nay qubool ki Allah nay...zarya kon bana...hath kis nay uthaye???kiya wo waseela nahi banay...

aur kiya quran-e-pak main ye nahi likha k a nabi aap in longo k liya dua mangtay raha karay ta k Allah in k gunaho ko bakhsh de..ye mafhoom hai...to kiya Allah nay nabi ko waseela nahi kaha is main kiya is se sabit nah hota k Allah nay apnay mehboob ki baat ko agay rakha?

aur kiya sunna chahtay hain aap...?????

main ziddi nahi hu aur ghoro fikr ka lafz is liya use karti hu k quran-e-pak main jaga jaga ghoro fikr karnay ko kaha gaya hai...

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
38
karachi the heart of pakistan
werna hum apko 10 sy ziada jaga dekha saktey hain k Allah k siwa koi madadgar nahi

ji han right main bhi dekha doon 20 se ziada jaga Allah k siwa koi madadgaar nahi

ek nasal jati hai dosri nasal aati hai wo is Aqedat main thora or Izafa karti hai
phir teesri nasal mazeed izafa karti hai

ek waqat aata hai k log gumrah hojatey hain or logon ko pata hi nahi chalta

ji is baat ko main maanti hu kuch aisi batain hain jis main gumrah honay ka andhaisha hai aur log jo apnay ghar waalon ko karta dekhtay hain bus culture samjh kr un par hi amal kartay hain quran-e-paak aur sunnat ,,,ahadees nahi dekhtay

aaj sy 30 saal pahley sarey log ye hi kahtey they k hum kisi Buzrugan-e-Deen sy nahi mangtey
hum Allah sy mangtey hain bas Allah k Hazoor Waseela pesh karty hain

ye to aaj bhi hum aur bohat se log kehtay hain aur jo nahi kehtay wo 30 saal pehlay bhi nahi kehtay hongay

"Ya Rasool Allah Madad"
"Ya Ghos Pak Madad"
"Ya Ghos Mushkil Kusha"

main ye ya ya ya main sirf aur sirf ya rasool Allah par baat karu gi

main quran-e-paak main parha detail main aur is baat ko jannay ki koshish bhi ki,,,lakin jaga jaga Allah nay khd kaha

A nabi
A basheer
A nazeer
A rasool

ya arabic main A yani mukhatib karnay ko kehtay hain..aap bhi daily quran-e-paak parhtay hongay to aap bhi ye hi lafz repeat kartay rehtay hain aur ye quran-e-paak qayamt tak liya hai...is ko aisa hi parha jye ga to tab tak har muslim ya ya ya karta rahay ga....un ki muhabbat main bhi karta rahay ga

baqi ya ghos azam
ya kuch aur sorry mujh ko is ka itna ilm nahi aur jab mujh ko ilm hi nahi to main kisi cheez par baat nahi karti jab tak us k roohani pehlu na jaan lu
 
nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
ahahaha yaar mujhe buhat hansi aa rahi hai app aitraaz bhi khudh karty ho aur woh bhi bai tukka aur jawab bhi khudh hee dai daity ho.
Chalo yeh tu app ne man liya ke waseela cahai bazurgon ka ho ya kisi aur ka waseela jaiz hai aur quran say sabit hai.
Assalam-o-Alikum,

Bohat bara faraq hai apkey pesh kiey waseely main or Allah Taala k ehkamat k mutabiq waseely main,

Bhai apkey Article main pesh kiey hoey waseely Allah or bandy ka fasla berhata hai

Kio k Insan ki fitrat haius sy ziada mohabbat karta hai jo uski madad kery
Jab insan ye samjhney lagey ga k Allah k Naik bandy Madad karsaktey hain to musalmano ki koshish hogi k kisi tarha Allah k Naik bando ko razi kary takey wo humari madad karain
To Allah or Bandy ka fasla barhey gay a nahi ?

Allah k ehkamat k Mutabiq Waseela Bandy ko Allah sy qarib karta hai Allah ki mohabbat bandon k dilon main berhata hai

Jab Insan ko ye yaqin hoga k Allah k siwa koi madad nahi karsakta
Or Allah ko Razi krney k liyain Allah k hokum ko manna hai
Allah sey girgira girgira kr toba karni hai
Her waqat Allah ko yad karma hai

To is tareeqy sy Allah or bandy ka fasla mit jaey ga or her waqat Allah ko yad rakhey ga.

Yaar hum ne kab kaha Allah madad nahi karta ? Hum waseela talash karty hain tu madad allah hee karta hai magher allah ke nabi, wali aur naik bandy bhi Allah ki ata say hum gunnah garon ki madad karty hain jo ki quran ki bay shumar ayaat and ahadith say sabit hai.
Aap pehly khud kahty hian k hum manty hian k din hai phir sath hi raat sabit krny ki bhi koshish krty hain

Jab ap manty hian k Allah hi sirif madad krny wala hai phir ap kio Allah k Naik bandon ko Allah ka madadgar samjhtey hain?

Essai Hazrat Jibril ALihey Assalam ko Allah ka madadgar samjhtey they

Quraan pak main Allah ka saaf saaf Hukum hai “Allah ka koi madadgar nahi”

Phir ap kio eman nahi latey ?

Alhumdulillah app hamesha ki tarha itne lambi behas k baad bhi waseela ka koi radd sabit nahi kar sakay aur yeh baat mein bar bar keh raha hon ke app mujhe quran-o-hadith mein yeh alfaaz parha dain ke '' allah say waseela ke sath dua karna haraam hai '
'

Dunia main bey shumar Mazhab hain
Ab her Mazhab wala apni marzi k Mutabiq demand kary k humain ye hokum dekhao kaha likha hai
Wo hokum hmain dekhaya jaey

To dost hum ney pichhli post main bhi likha tha ap perhtey nahi hain

Essa na mumkin hai k her shakhas ko us ki khuahish k mutabiq Quraan Pak main ehkamat dekhaey jaey

Apka sawal ye hai:

“Allah k Naik bandy Allah k madadgar hain ya Allah ki ata sy madad karty hain”

Apkey sawal ka saaf saaf jawab Quraan Pak main :

“Allah ka koi madadgar nahi”

Bas Quraan Pak ka jawab apko mil gaya

Agr aap ab bhi chahey k apko Apkey marzi key lafzon main Quraan Pak ka hokum chahiey to ye namumkin hai.

Or essay moqey k liyain ap ye attachment bhi perhain k jab log apni khuahishat k mutabiq demand kary to Allah ka kia hokum hai.(see Attachment)

Allah hum sab ko Hidayat ata farmaey Ameen
 
Attachments

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
1).Hum waseela talash karty hain tu madad allah hee karta hai
is baat se astaghfirrullah kis muslim ko inkaar hai...Allah hi madad karnay wala hai us k siwa koi nahi..ok?

2).magher Allah ke nabi, wali aur naik bandy bhi allah ki ata say
is main 1 word use kiya gaya hai Allah ki ata se yani us k hukm se jis k through means us ko as a just waseela(medium)becoz insan hi insan k samnay aa kar us k mun main niwala daalay ga na ya phir machine..

3).hum gunnah garon ki madad karty hain

madad Allah ki karta hai aur koi nahi kisi na kisi tareekay se raastay peda karta hai ghaib se jis ko waseela kaha jata hai

4).jo k quran ki bay shumar ayaat and ahadith say sabit hai.

is baat ko aap ghalat na lain kiya quraan main ye nahi k tum yateemo ki parwarish karo un k maal na khao aur achay tareekay se un k saath pesh aao...kiya is ayat se ye sabit nahi hota k 1 aam admi bhi kisi yateem ki kifaalat k liya waseelay k tor aazmaya ja sakta hai...

anbiye karaam jab kisi k liya bakhshish ya Allah se muafi k liya haath uthatay thay to kiya Allah foran dua nahi sun laita tha ,,,kiya barish nahi hojati thi....etc...to kiya ye us aadmi k liya waseela nahi banay dua kis nay qubool ki Allah nay...zarya kon bana...hath kis nay uthaye???kiya wo waseela nahi banay...

aur kiya quran-e-pak main ye nahi likha k a nabi aap in longo k liya dua mangtay raha karay ta k Allah in k gunaho ko bakhsh de..ye mafhoom hai...to kiya Allah nay nabi ko waseela nahi kaha is main kiya is se sabit nah hota k Allah nay apnay mehboob ki baat ko agay rakha?

aur kiya sunna chahtay hain aap...?????

main ziddi nahi hu aur ghoro fikr ka lafz is liya use karti hu k quran-e-pak main jaga jaga ghoro fikr karnay ko kaha gaya hai...

Ap sirif ye Ayat perhain or batain Allah ka kia hukum hai is Ayat main ???
 
Attachments

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
werna hum apko 10 sy ziada jaga dekha saktey hain k Allah k siwa koi madadgar nahi

ji han right main bhi dekha doon 20 se ziada jaga Allah k siwa koi madadgaar nahi

ek nasal jati hai dosri nasal aati hai wo is Aqedat main thora or Izafa karti hai
phir teesri nasal mazeed izafa karti hai
ek waqat aata hai k log gumrah hojatey hain or logon ko pata hi nahi chalta

ji is baat ko main maanti hu kuch aisi batain hain jis main gumrah honay ka andhaisha hai aur log jo apnay ghar waalon ko karta dekhtay hain bus culture samjh kr un par hi amal kartay hain quran-e-paak aur sunnat ,,,ahadees nahi dekhtay

aaj sy 30 saal pahley sarey log ye hi kahtey they k hum kisi Buzrugan-e-Deen sy nahi mangtey
hum Allah sy mangtey hain bas Allah k Hazoor Waseela pesh karty hain

ye to aaj bhi hum aur bohat se log kehtay hain aur jo nahi kehtay wo 30 saal pehlay bhi nahi kehtay hongay

"Ya Rasool Allah Madad"
"Ya Ghos Pak Madad"
"Ya Ghos Mushkil Kusha"

main ye ya ya ya main sirf aur sirf ya rasool Allah par baat karu gi

main quran-e-paak main parha detail main aur is baat ko jannay ki koshish bhi ki,,,lakin jaga jaga Allah nay khd kaha

A nabi
A basheer
A nazeer
A rasool

ya arabic main A yani mukhatib karnay ko kehtay hain..aap bhi daily quran-e-paak parhtay hongay to aap bhi ye hi lafz repeat kartay rehtay hain aur ye quran-e-paak qayamt tak liya hai...is ko aisa hi parha jye ga to tab tak har muslim ya ya ya karta rahay ga....un ki muhabbat main bhi karta rahay ga

baqi ya ghos azam
ya kuch aur sorry mujh ko is ka itna ilm nahi aur jab mujh ko ilm hi nahi to main kisi cheez par baat nahi karti jab tak us k roohani pehlu na jaan lu

Ap Bohat Bhholi hain

Jab Allah Quraan Pak Nazil Farma Raha tha to Us waqat Hazoor Sallaho ALihey Wassalam Hayat they to Allah Hazoor Sallaho ALihey Wasslam ko Mukhatib karty hoey hi ehkamat utarey ga na.

magr kia is sy ye sabit hota hai k "Hazoor Sallaho ALihey Wassalam Allah k madadgar hain"

hum is waqat bat kar rahy hain k "Allah ka koi madadgar nahi"

or is baat ka jawab apney dia hai k apko is maamley per ziada Ilm nahi
humari last post dehan sy perhain
agr aap waqai ghor-o-Fiker rakhney waly hain
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
38
karachi the heart of pakistan
Ap Bohat Bhholi hain

Jab Allah Quraan Pak Nazil Farma Raha tha to Us waqat Hazoor Sallaho ALihey Wassalam Hayat they to Allah Hazoor Sallaho ALihey Wasslam ko Mukhatib karty hoey hi ehkamat utarey ga na.

baat ye nahi k Allah paak hayat-e-paak main ahkamat de raha tha baat sirf ye hai k aap un ayaat ka vird to kartay hongay na aur Allah jaanta hai k ap SAWW nay us dunya se parda kar jana tha...jab k quran-e-paak ko daily yaad karnay aur ka kaha to isi bahanay aap kehtay to hain na ya rasool Allah""""

magr kia is sy ye sabit hota hai k "Hazoor Sallaho ALihey Wassalam Allah k madadgar hain"

aap ko koi baat samjh to ati nahi main apni energy bhi kahan wast karrahi hu madadgaar aur waseelay main farq to abhi tak aap ko pata nahi chala main aap se kiya behas karu ab

hum is waqat bat kar rahy hain k "Allah ka koi madadgar nahi"

ji han Allah akaila hi kaafi hai

or is baat ka jawab apney dia hai k apko is maamley per ziada Ilm nahi

ji nahi ghor se parhay is baat ka nahi kaha
main nay ya gos paak k baray main kaha hai pehlay ghor se parha karain phir bola karain

humari last post dehan sy perhain
agr aap waqai ghor-o-Fiker rakhney waly hain

koshish to karrahi hu k poori tarha aisi ban jao ghoro fikar karnay waali magar aap bhi dehan se meri post parhain shayad aap ka zahan bhi roshan hojye
 
Top