"Net Addiction"(Question of the Week 24th july 2012)!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam o ALaikum
I Always think "Net Addiction" is not less Dangerous than "Drugs Addiction" :p
Jaise k sab jaante hain aaj kal ziada education Computer based ho chukki hay,,bohat choti classes se hi onward computer/internet use hote hain education related help find karne k liye bhi.
university and college level pe to theek hay Students are mature and responsible,,But bachon pe is k khaase negative effects daikhne ko milte hain, education se hat k wo dusri cheezon ki taraf ziada attract ho jaate hain aur buri tara net Addiction ka shikaar ho k ache khaase talented and active bache bhi dull n dumb ban jaate hain!
"is system k advantages and disadvantages pe aap sab torchli8 le k roshni dalain plz" :p
Rubi
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum Salam
buhut he interesting topic hain aur mai khud Internet se related ek Article likh rahe hu,
InshAllah Ramadan k baad he usay complete ker k share kerungi.
per abhi itna he kahu k Internet ek buhut he hasas invention hai, and it's not less than a Car,
car ko drive kerne k lie hame ek professional driver k zaroorat hain jesay driving ka maloom ho ager koi bhi aira ghaira aker drive kiye jesay car k features and functions ka maloom na ho tu surely accident honge, same internet use kerne k lie serf unhe loug ko permit kerne chahye jenhe eske sahi aur ghalat estemal kerne ka maloom ho jenhe maloom ho k internet will either lead you go astray or will help you find your way, so serf unhe allow kerne chahye jho mature ho aur serf study and aap ne kaam k lie internet use kare,
aajkal ka tu aisa zamana aya hain k 20+, 21 k teenage bhi mature nai rahe voh bhi internet ko misuse ker rahe hain jho k ghalat hain aur es se youngsters ko kitna nuqsan hota hain uska voh loug andaza bhi nai laga sakte hain, so I think aise haal mei parental supervision ki buhut zaroorat hain, parents ko chahye k voh ek limited period k lie aap ne bacho ko internet use kerne de jho serf study k lie ho else they shouldn't allow them to give plenty of their times only and only for using internet.
kio k internet ne today's youth ko buhut bigar ker k rakha hain aur yeh vohi loug hain jenhe at the age of 14 or 16 internet se facilitate kiya gaya tha, ager bacho ko shoro mei he internet usage pe thori restriction lagaye hota tu agay jaaker unpe focus kerne ki itne zaroorat nai paregi per ager shoro se he internet pe kuch bhi kerne diya then baad mei jitna he restriction kare, control kare, it won't benefit like a small pebble!
but mai internet ko belkul bhi blaim nai ker rahe, kio k her ek cheez mei positivity and negativity huti hain it depend on us, how do we use it, kio mai khud personally buhut he seek chuke through internet so for me it was a good experiance but sab ke lie good nai hota.
 
SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Waalikum Assalam

I think net itna bhi bura nahi jitna hamarey moaashrey mai bataya jaata hai.... abhi aik bacha jab chalnaa seekhta hai to us ke chaut lagney ka der bhi hota saath saath to yeah to nahi keh us ke parents chalna nahi sikhatey aise he net ke bhi side effect :p hain but yeah to nahi hona chahiye ke iss ke advantage ko bhi ignore ker dea jaye.... so mere khayal se full nigrani mai aur kuch software ko use kertey hoye bachon ko woh he site ka access allow kea jaye jo in ke kaam ki hon that it meri torch light ki inni he battery thee buss :p
 
Kash aap jaisa itna sober soch sabki huti, but aisa nai hain.
ajkal k bache buhut he khurafati demagh paye hue hain, specially boys, koi ek chote bache pe ager nazar be rakhe serf vohi study kerne k lie kuch he webs ko allow kiye jaye kia unhe nai lagega k un pe nazar lagaya hua hain and unhe limited links use kerne derahe hain they'll easily consult to their friends and friends k paas koi na koi way hota hain dusre friend k help k lie, well actually bacho ko zaroorat he nai internet ki mere khayal mei, yeh sahi hain k aajkal k zamane mei unhe sab cheezo ka ilm hona chahye but internet use kerte waqt unka purpose seekhna belkul bhi nai hota! serf fun hota hain aur yeh childhood fun teenage fun mei kia nuksanat denge voh I think kessi se chupe hue nai hain.
 
SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
I think bachoun ko her waqt ehsaas hona chahiye ke un ke parents un pe nazar rakhtey hain... coz aaj kal jo waweela machaya howa naaa keh bachoun ko azaadi pe rook toook zyada nahi honi chahiye issi wajah se mahool kharaab ho raha.... aur teen age tuk pabandi mai rehney wale aur sahi guidance paaney wale he bachey qaum ke lea behtreen sermaya ban saktey ager hum yakser apne bachoun ko net se door he ker den to koi arfa kareem fir nahi aae gi... :(
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and hoorain

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
Kash aap jaisa itna sober soch sabki huti, but aisa nai hain.
ajkal k bache buhut he khurafati demagh paye hue hain, specially boys, koi ek chote bache pe ager nazar be rakhe serf vohi study kerne k lie kuch he webs ko allow kiye jaye kia unhe nai lagega k un pe nazar lagaya hua hain and unhe limited links use kerne derahe hain they'll easily consult to their friends and friends k paas koi na koi way hota hain dusre friend k help k lie, well actually bacho ko zaroorat he nai internet ki mere khayal mei, yeh sahi hain k aajkal k zamane mei unhe sab cheezo ka ilm hona chahye but internet use kerte waqt unka purpose seekhna belkul bhi nai hota! serf fun hota hain aur yeh childhood fun teenage fun mei kia nuksanat denge voh I think kessi se chupe hue nai hain.
meray khiyal main bacho ko rok took kharab karti hai ... jaisay akser maan baap bacho ko daratay hain kay bachay agar esay kia tau kal Jahanam main joa gay.. Bacho kay dilon mian khof paida nahi karna chahe... agar aik bacha net use kar raha hai ya koi game khel raha hai tua uss ko khelnay di jaye.. takay woh khud descide karay kay uss kay liey kia acha hai kia bura...
 
Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
intrstng Q hoor.......
well, mere khayal me net aj kal ghalat hi use ho raha ha esply younstrs me...... ap jitna bhi koshish kr lo agr wo khud kisi -ve actvty me involve nai bhi han to wo hr news hr chez check zaror krty han...... or kehty han na k AGAHI MOUT HA....... to ye mout tb hi ha jb apko waqt se pehly agahi ho jati ha.....isilye me aj kal k bachon me ak bat bht miss krti hu k ye log hum logon ki tarhan ghar ghar nai khalty, teacher teacher nai khelty, pakran pakrai nai khelty.......
n me hoor se agree krti hu bachy dull ho jaty han......
hum logon ko school me calcultr bi use krne ki ijazat nai hoti thi or aj kal bachy apni hr assighnmnt n projct net se printout krty han.....

me ye nai keh rahi k aj kal bachy creative nai hoty bt mere khayal me wo jitny brilliant minded hoty han less activity ki wajha se sahi se use n thn polish nai kr sakty khud ko......
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and hoorain

Fantasy

~ The Rebel
Hot Shot
Sep 13, 2011
48,910
11,270
1,313
Assalam o ALaikum
I Always think "Net Addiction" is not less Dangerous than "Drugs Addiction" :p
Jaise k sab jaante hain aaj kal ziada education Computer based ho chukki hay,,bohat choti classes se hi onward computer/internet use hote hain education related help find karne k liye bhi.
university and college level pe to theek hay Students are mature and responsible,,But bachon pe is k khaase negative effects daikhne ko milte hain, education se hat k wo dusri cheezon ki taraf ziada attract ho jaate hain aur buri tara net Addiction ka shikaar ho k ache khaase talented and active bache bhi dull n dumb ban jaate hain!
"is system k advantages and disadvantages pe aap sab torchli8 le k roshni dalain plz" :p
tourchli8 sy{(thinkg)} hoorain

hoor aapi ok na?? :D
torque light-5.JPG
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Great replies Sabah, *SHOAIB* bhaya n Bela :-bd

Bela aapki aik baat se to 100% muttafiq hun main k "Waqt se pehle Aaghi mout hay"
net use karte huye bache wo bohat si batain pehle seekh laite hain jo unhe agle 8,10 saal may pta chalni hoti hay,,jis se wo apni masumiyat apna bachpan ka dor skip kar jaate hain un k mind khurafati ,ghair mutwazi aur immature soch ka shikar ho jaate hain....
 
SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Great replies Sabah, *SHOAIB* bhaya n Bela :-bd

Bela aapki aik baat se to 100% muttafiq hun main k "Waqt se pehle Aaghi mout hay"
net use karte huye bache wo bohat si batain pehle seekh laite hain jo unhe agle 8,10 saal may pta chalni hoti hay,,jis se wo apni masumiyat apna bachpan ka dor skip kar jaate hain un k mind khurafati ,ghair mutwazi aur immature soch ka shikar ho jaate hain....
hmmm yeah sirf proper guidance naa honey ki wajah se hota hai..... actually teen age ya uss se choothi umer aisi umer hoti hai jis mai bacha jaldi seekhta hai... aur aisi age mai knowledge ke samunder se door rakhne bhi to theek nahi naa... abhi bohat sarey bacheey to school jaa ke bighar jaatey to iss ka matlab bachon ko school he naa bheejoo... yeah to theeek nahi...
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hmmm yeah sirf proper guidance naa honey ki wajah se hota hai..... actually teen age ya uss se choothi umer aisi umer hoti hai jis mai bacha jaldi seekhta hai... aur aisi age mai knowledge ke samunder se door rakhne bhi to theek nahi naa... abhi bohat sarey bacheey to school jaa ke bighar jaatey to iss ka matlab bachon ko school he naa bheejoo... yeah to theeek nahi...
treu said
but net se pehle sab log jahil to nhi thay,,,wo log ziada shauq rakhte thay mutajsus thay nayi nayi cheezain seekhne ko unhi may se kisi ne computer n net bhi aijad kiya hay :p
baat sirf aik makhsus age k baad freedom daine ki hay,,,Har school may waise to ab compulsory ho chukka hay but limited access di jaaye,,,addiction na ho just jaise homework karne 2 hours baithna hota hay ussi may se 30 minutes computer ko dain bache,,den jab mature ho jayain to apni studies k mutabiq time dain phir to wo khud responsible ho jaate hain self accountability ka factor bhi aa jata hay mind may...
jahan tak ilm k sumandar ki baat hay to aaj bhi i think Library se ziada shandar jaga koi nhi hay 8->
Books reading,library jaane ki aadat daali jaaye,,kuch makhsus time cpomuter ki diya jaaye is tara balance kar k chala jaaye to theek rehta hay!
 
arey jab sub cheezen ghar bethe available hai library kyon jayeeen.... aur game khailney se bhi mind develop hota creative mind banta... well limited time to bilkul theeek baat hai zahir hai jab her waaqt computer se he chipka rahe ga bacha to her waqt nigrani to nahi ki jaa sakti iss lea kuch time makhsoos kerna chahiye abhi her time bethney se aik to chashma lage ga aur doosra kuch zyada he seekh lai gaa bacha... :p
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top