~My Fresh Poetry Collection (Daily Update)

  • Work-from-home

HINATA

Newbie
Jun 26, 2009
11,843
2,832
0
nice sharing............


---------- Post added at 11:20 PM ---------- Previous post was at 11:19 PM ----------

nice sharing............
 

~Style Mantra~

Senior Member
May 31, 2008
630
219
43
Dard ki har ik hadd se ab guzar gaya hon main
Phir kabhi na simtunga youn bikhar gaya hon main
Mout bas naheen aati rooh k nikalne se
Sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hon main

Zindagi main jitni bhi roshni thi uss se thi
Mustaqil andhero’n main ab utar gaya hon main

Baam o darr bhi us k baad ho gaye hain you’n khamosh
Aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hon main
Us ka sath jab tak tha rung rung mausam the
Bas khizaan k mausam main ab thhehar gaya hon main
 

~Style Mantra~

Senior Member
May 31, 2008
630
219
43
Koi Ghazal suna kar kya karna,
yoon bat barha kar kya karna,

tum meray thy tum meray ho,
dunya ko bata kar kya karna,


Tum Ehed nibhao chahat sey,
koi rasm nibha kar kya karna,


tum khafa bhi achay lagty ho,
phir tum ko Mana kar kya karna,


teray dar pe aa kar baithy hain,
ab ghar b jaa kar kya karna,


Din yad sey acha guzray ga,
phir tum ko bhula kar kya karna…

 

~Style Mantra~

Senior Member
May 31, 2008
630
219
43

Yeh saal bhi aakhir beet gaya
Kuch teesain yaadain khwaab liye
Kuch kaliyan chand gulaab liye
Kuch ankhadiyan pur aab liye
Kuch ujlay din kaali raatain
Kuch sachay dukh jhoothi baatain
Kuch tapti rutain kuch barsatain
Kisi yaar aziz ka dukh pyara
Kisi chat pe ummidon ka tara
Jis pe hansta tha jag saara
Is shair ney kuch lafz likhay
Un mein teri yaad key saaye they
Woh log bhi aakhir laut gaye
Jo sadyon paar sey aaye they
Un hanstay bastay logon ney
Meray saaray dukh apnay they
Phir main ney yaan ki mitti mein
Zakhmi lamhay dafnaye they ...

 
Top