Coffee With RedRose- Saviou

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

*lucky*

Newbie
Aug 9, 2010
4,386
1,581
0
sweet home


11. Biryani :) aur khaas kar ammi aur bahen k hath ki bani huyi :)

12. Kaddu ki kheer hame bohot pasand hai :)

13. White n blue

14. Jo bhi comfort ho pasand hai..
Zyadatar paint shirt pahente hain..safari bhi pasand hai aur jumma ko jhubba pahente hain :)

15. Saudi arab shahar madeena :)
india aur shahar kurnool

16. Dare to ask ( peacetv)

17. Barish ka mausam dheemi barish bohot pasand hai aur barish allah ki taraf se nemat hai lekin aaj hamare aamal ki wajhe se kahar bhi ban gayi hai...ab mausam ka asar kya kahen acha lagta hai jo cheez apko pasand ho usme apko har cheez achi lagne lagti hai sukoon milta hai :)

18. Paseendada kitab allahi ki kitab quran majeed :)
shayer allama iqbal ( inhone islam ki kaafi khidmat ki hain apne ashar k zariye allah inki khidmat ko qabool farmaye aameen )

apko pasandeeda nazm batate hain jo k ham aksar padhte hain sunte hain :)

lub pe aati hai dua banke tamanna meri
zindagi shamma ki surat ho khudaya
meri

ho mere dum se younhi mere watan ki zeenat
jis tarha phool se hoti hai chaman ki zeenat

zindagi ho meri
parwane ki surat ya rub
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rub

ho mera kaam gharibaon ki himayat karna
dardmandaon se zayifaon se mohabbat karna

mere allah burayi se bachana mujhko
neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko

19. Hame reading ka bohot shauq hai zyada tar islam se related books padhte hain aur quran ko mukhtalif tafseer k sath padhte hain aur uske sath aaj kal net par zyada waqt guzarta hai to isme bhi koshish yehi rehti hai k islam k mutaliq search karte rahen apne ilm me izafa karte rahen :)

20. Rishton ko hamesha jode rakhna chahiye rishte todhne wale allah k rasul s.a.w ko pasand nahi the aur hamari bh yehi koshish hoti hai k rishtedari banayi rakhen chahe wo hame na pasand karen hamse ikhtelaf rakhen kisi bhi mamle me
hamare liye beta ka maa baap se hai
aur shohar aur biwi ka jo ke ek dusre k sharik e hayat hote hain zindagi k har pal ko ek dusre se share karte hain ek dusre ki madad aur hausla dete rehte hain :)
jumma ko jubba pehnty hain?

ye jubba kia hota hai?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
COFFEE WITH RR

PART 3


21. Google me Islam se related search kar rahe the wo hame TM par mila...phir ham pure TM k sections dekh rahe the kuch din aise hi aaye islam section me kisi topic par bahes chal rahi thi wo ham roz dekh rahe the phir soche join karte hain aise join kiye..jab hamne pehle baar ek thread me ek masle par comment kiye to bada hangama hogaya aur wo thread hi close hogayi aise me hame acha nahi laga lekin Bint e Aisha ne hamara bohot sath diye aur Alhamdulillah aaj tak unse kaafi help milti hai

22. TM ka pasandeeda section Islamic section issi ki wajhe se ham TM join kiye aur issi ki wajhe se abhi tak ham aap sab k sath hain aur insha Allah aage bhi ham TM se jude rahenge :)

23. TM k sare members ache hain aur sare hi pasand hai kisi ek ko chunna ya pasand karna kaafi mushkil hai TM admin se leke newbie tak sab ache hi loog hain ( kuch nam lete hain jinse hamari baat cheet hoti hai aur jinke hone se TM me ronak bhi hoti hai Tariq, Bint e Aisha, Sarfarosh, Sabah, Noor, MSC, Atif, hoorain aur bhi bohot hai :) ) kisi ka naam na liye hon to bura na jane

24. TM par posting to karte hi rehte hain aur ham aate pehle pure forum par nazar dalte hain khaas kar Islamic section me phir jahan jahan zaroorat lage wahan comment karte hain kuch aise bhi threads hain jisme galat information hoti hai par kabhi usme comment karte hain kabhi nahi karte kyun k isse loog bahes par aajate hain baat ko nahi samajhte.....aur baatcheet me bhi jahan munasib samajhte hain wahan posting karte hain agar forum me kahin bhi kuch galat dikhe to report bhi kar dete hain

25. TM k sabse aala khususiat yahan k mahol jo sare members k beech bohot acha hai sath hi yahan k Admin se ham kaafi mutassir hain aur pura staff jo sab ki help karte hain aaj tak jisse bhi hamne kuch help chahi kisi ne na nahi ki khaas kar Tariq aur Bint e Aisha

26. hamare hisab se har jageh khubi aur khami hoti hai koi bhi 100% nahi hota...to yahan bhi kuch khami hogi agar hamari nazar se guzre to ham staff ko zaroor ittela karenge :)

27. TM bohot se logon se dosti hai Sana, Tareeq, Bint e Aisha, Anwar aur Sabah ye logon se zyada baat hoti rehti hai Tariq se to call par bhi baat karlete hain aur unse hamne mulaqat bhi ki hai aur HM bhai se bhi call par baat hojati hai... sana ne bhi hamari kaafi help ki kabhi na nahi kiye

28. ye sawal khud Don ne hamse kiye (IF you were Admin of TM, what changes will you make?) to isme hamne jawab diye hain jo us waqt hamare khayal me tha wo http://www.tafrehmela.com/tm-members-interview/134843-coffee-redrose-saviou-10.html

29. agar iski khamiyan par nazar dalke iski durust karne ki koshish karen aur sath me sare members k beech aisa hi mahol rahe balke isse bhi acha to baeed nahi k ye forum sab se aala farum sabit ho insha Allah

30. sabke liye hamara piagam yehi hai k iss pyar bhare mahol ko banaye rakhen ek dusre ki choti galtion ko nazar andaz karen kisi ne kuch keh diya hai to bhai samajh kar islah karen jaise do mulkon k loog yahan pyar se rehte hain is me khalal na dalne den apne bhaichare k beech mulk ki siasat ko na layen balke almominu iqwa ham musalman apas me bhai bhai hain ye khayal rakhen hame mulk ki sisasat sarhadon aur mulk ki mohabbat se zyada islam pyara hai to uska khayal rakhen :)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
very nice replies nasir bhai....

kuch questions meri taraf se...

1.. aap ke zindage main koi mazahia waqia.... ?

2.. tm ki koi si teen khososiat bataye.... ?

3.. tm main kisise shikayat ... ?

4.. kia kabi kisi jaanwar ne dorh lagwai.. ?

5.. apni khushian kisi ke saath share kartey hai ya dil hi dil main khush hotey hai... ?
shukran Janab :)

1. mazahiye waqia school aur college life me bohot hote the kuch zyada yaad nahi
ek baat kuch aise hua ham loog school me prayer hoti hai na to wo attend nah karte the ek sir the jo bohot saqt the height me kaafi chote the ham aur ek dost upar class ki khid ki se ground me dekh rahe the sab prayer kar rahe hain yahan piche se sir agaye ham dekh kar hat gaye wahan se wo sir dost k baju khade hogaye hamare dost ko pata nahi chala wo unke khande par hath dalkar aise hi masti kar raha tha jab uski nazar padhi to uski halat dekhne layakh thi ek to sir bohot saqt the upar se aisi harkat haha bohot hasse usdin

aur ek college ki baat batate hain ham zaheen the lekin school aur college regular nahi jate the khaas kar jab 2nd yr me the to shayad hi gaye college pure saal me sirf 4 ya 5 din class attend kiye honge college jaate the lekin canteen tak hi ya phir college k bahar ek dhaba tha wahan tak aur jis din bhi class attend karne k irade se jaate the us din class hi nahi hoti thi ya college hi band haha dost bolte Nasir jis din chutti hona ho ap college aajana hame chutti miljayegi....
ek din kya hua jab ham college gaye hamari class ki teacher lady thin wo ek dam se samne agaye aur hamse kaha pls aap koi Automobile k student ko bula kar layen hamne kaha theek hai mam phir itna hasse kyun k ham bhi Automobile student the aur wo hamko jante nahi the kabhi dekhe nahi na class me khair aise hota tha bohot yaadgaar din the school aur college k :)

2. waise to kaafi khususiat hain l. yahan k Admin jo kaafi sanjeeda samajhdaar hain 2. pura staff jo kaafi helpfull hai 3. yahan k Islamic section jisse har aane wale ko kaafi faida pahunchta hai

3. nahi ji kisi se shikayat to nahi hai masha Allah sab ache hain :)

4. haha nahi balke janwar ko hamne kayi baar daudaya hai

5. jo hame samajh sake usse share karte hain jisko ham apna maante hain jab tak usse share na karen dil nahi rehta....aur kabhi ko na ho to khud se khush hote hain aur har haal me Allah ka shukar aada karte hain :)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
COFFEE WITH RR

PART 4


31. Admin aur co admin dono zaroori hain... hamara rabta dono se barabar raha hai dono isliye zaroori ek agar na rahe to dusra is masle ko dekhe abhi thore dino se co admin nahi aarahe hain shayad kuch wajhe hogi lekin masha Allah admin roz nazar aate hain aur kaafi ahem masail par un comments padh kar acha lagta hai

32. Bint e Aisha kyun k wo islamic section me thora dhyan rakhte hain hame acha lagta hai aur sath hi sabah aur sana.... sabah k threads se kaafi maloomat hoti hai aur sana k comments aur sath me thori masti se TM me chahek mahek rehti hai

33. Tariq kyun k ye sab ki help karte hain aur pure TM par inki nazar rehti hai aur kayi aise islamic threads jiska jawab zaroori hota hai hame bhi batate hain jisse pata chalta hai ko wo nazar rakhe huye hain aur sath hi Anwar bhi jinke postin khaas kar islamic post par kaafi mutassir karti hain

34. India kyun ham wahan rehte hain aur har kisi ko apna watan pasand hai aur hame khushi hoti hai k ham Indian hain aise mulk jahan aksariat gair musalmano ki hai wahan rehte huye ham apne pure deen par amal karsakte hain banisbat dusre mulkon k jahan tak hamara ilm aur jahan tak hamne dekha hai aur iske elawa hame dawat k kaam karne ke kayi mawaqe wahan milte hain :)

35. Mohabbat kyun k paisa aata hia chale jata hai rehjati hai to mohabbat aur ham yahan is forum me ruke hain aap sab ki mohabbat ki wajhe se... hamare ek dost hain bachpan se unse hamari bahes hoti rehti hai wo kehte hain paisa hai to sab kuch hai paisa hai to sab dost aate hain izzat dete hain nahi to nahi paise se har khushi milti hai.....ham kehte the kya ham apke dost nahi aur apki har haalaat me ham apke sath hain to ye kis wajhe se paise ya phir Mohabbat ki wajhese...al muheem Mohabbat k bagair paise zindagi ko sukoon nahi desakta

36. dono zaroori hai kareebi rishtedar jo rishte k maino ko samajhta ho aur pakka dost jo har musibat me kaam aaye aur khushi me gham me shareek rahe... insaan chahta hi ye hai k usko khushi ho to wo kisi k sath bante aur gham hai to kisi ko sunake usko kam kar sake aise me dost jo sacha ho wo kaafi ahmiat rakhta hai

37. dimag aur dil dono ki mauqe k hisab se ab islam hame kisi cheez ka hukm deta hai lekin dil nahi manta aise me ham dil ki nahi sun sakte issi tarah kabhi dimag aise shaitane waswason me padh kar aise bhayanak amal ki taraf lejata hai jahan dil na manne par bhi ham wo kaam kardete hain to aise me dil ki sune jahan jaise mauqa ho dil aur dimag dono ka istemal karen shariat ko samne rakhte huye

38. zyada tar ham chai hi pite hain ghar me ho ya office me coffee kabhi kabhar jab dil kare thandi k mausam me

39. Kitab aur internet dono net to abhi urooj par hai hame har cheez is me mil jati hair aur aksar loog issi me apna waqt lagate hain....jaise hamara pehle waqt kitaben padhne me jata tha lekin abhi wohi cheez ham net k zariye talash karte hain lekin net har jageh maujood nahi gaun me to isko koi janta bhi nahi to jahan jis ki ahmiat ho uska istemal kiya jaye

40. kharch karna kyun k Allah k Rasul sallellahu Alayhi wasallam ne farmaya jo chala gaya wo hamara hai jo bach gaya wo dusron ka hai yane agar ap 1 rupia kharch kardiye aur 1 lakh bachake rakhe aur apki maut hogayi to wo 1 rupia jo apne khairat kiye the wo qayamat k din kaam aayega ye 1 lakh jo chor kar gaye wo to gaye isliye koshish honi chahiye k jitna hosake apni jeb se maal nikale aur khair k kaam me lagaye ye na sochen k paisa jama karenge masjid banayenge kya pata jab tak paisa jama ho ham rahe na rahen abhi apke paas jitna hai ussi me se nikalte rahe ek ek karke hi daria banjayega bade ki aas me chota bhi kharch nahi karenge aur akhir me mehroom reh jayenge

Allah hame deen me barh charh kar kharch karne ki taufeeq aata farmaye Aameen :)
 

*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan
acha to nasir bro
sahri m kitna gusa ata h?
aftaari m kitna ?
roza choot jae to kitna?
gher wale mana ker de apko roza s to kitna?
gusa ki miqdar kiya h?:))
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan
Q:acha janab y swal tari bhai s bhi h un k interviw k waqt dimag m nahi aya tha:(q:aj k dor m jahan larke bare ho k family k liye 1 shrem ki alamet ban jate hen ase m ap ache insan kese bane?

 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh
Status
Not open for further replies.
Top