Coffee With RedRose- Saviou

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Coffee Wid RR

Part 2

11. Biryani :) aur khaas kar ammi aur bahen k hath ki bani huyi :)

12. Kaddu ki kheer hame bohot pasand hai :)

13. White n Blue

14. jo bhi comfort ho pasand hai..
zyadatar paint shirt pahente hain..safari bhi pasand hai aur Jumma ko jhubba pahente hain :)

15. Saudi Arab shahar Madeena :)
India aur shahar Kurnool

16. Dare to ask ( Peacetv)

17. barish ka mausam dheemi barish bohot pasand hai aur barish Allah ki taraf se nemat hai lekin aaj hamare aamal ki wajhe se kahar bhi ban gayi hai...ab mausam ka asar kya kahen acha lagta hai jo cheez apko pasand ho usme apko har cheez achi lagne lagti hai sukoon milta hai :)

18. paseendada kitab Allahi ki kitab Quran Majeed :)
shayer Allama Iqbal ( inhone islam ki kaafi khidmat ki hain apne ashar k zariye Allah inki khidmat ko qabool farmaye Aameen )

apko pasandeeda nazm batate hain jo k ham aksar padhte hain sunte hain :)

Lub pe aati hai dua banke tamanna meri
Zindagi shamma ki surat ho khudaya
meri

Ho mere dum se younhi mere watan ki zeenat
Jis tarha phool se hoti hai chaman ki zeenat

Zindagi ho meri
parwane ki surat ya rub
Ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rub

Ho mera kaam gharibaon ki himayat karna
Dardmandaon se zayifaon se mohabbat karna

Mere Allah burayi se bachana mujhko
Neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko

19. hame reading ka bohot shauq hai zyada tar islam se related books padhte hain aur Quran ko mukhtalif tafseer k sath padhte hain aur uske sath aaj kal net par zyada waqt guzarta hai to isme bhi koshish yehi rehti hai k islam k mutaliq search karte rahen apne ilm me izafa karte rahen :)

20. Rishton ko hamesha jode rakhna chahiye rishte todhne wale Allah k Rasul s.a.w ko pasand nahi the aur hamari bh yehi koshish hoti hai k rishtedari banayi rakhen chahe wo hame na pasand karen hamse ikhtelaf rakhen kisi bhi mamle me
hamare liye beta ka maa baap se hai
aur shohar aur biwi ka jo ke ek dusre k sharik e hayat hote hain zindagi k har pal ko ek dusre se share karte hain ek dusre ki madad aur hausla dete rehte hain :)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Nasir bhai nice replies.........:)
abhi app ka iterview mai mai app sa aik request kerna chahti hon.........
i think app poetry kerty hai.......
then plz share with us ur fav poem or gazal written by ur own.......:)
bohot bohot shukriya :)
haan toota phoota likh lete hain
ham mauqa aur mahol k hisab se ashar likhte rehte hain
lekin ek aadat hai k unko ek sath jama nahi kiye aaj tak

aur haal me jitni poetry likhi hai hamne wo TM par share kar chuke hain
abhi tauheed par kuch soch rahe hain jab mukammal hoto apsab se share karenge

filhaal jo last poem hamne contest k liye likhi thi aur sana k dedicate ki thi usko sab ne pasand kiya aur hame bhi wo ab tak ki achi poetry lagti hai :)

Ankhon me kayi khwahishen kayi khwaabon ko sameti hai wo
Har Nayee subah nayee hasraten leke uthti hai wo

Apni hi duniya me gumsum khoyee rehti hai
kabhi hasti to kabhi roti to kabhi khush hoti hai wo

dekh kar isko har koi deewana war kehta hai
mere khwabon mere khayalon ki tabeer hai wo

Sheeshe ka dil liye in pattharon ki basti me
Har ek ka zakhm liye chup chaap sehti hai wo

Na kisi ka dard kisi k liye na kisi k liye hai pyar yahan
Deta har koi zakhmon pe zakhm har ek ka tuta sansar yahan

Har koi yahan deta hai yahan taleem e masawat
Hain insano ki shakl me darinde sare,har koi khonkhwar yahan

Na bachon pe shafaqqat na badon ki izzat
Taalim to aala hai lekin aqlaq kahan

Iss bharii duniya me sab paraye hain yahan
Na mera hai koi yehi kehti hai wo

Is basti se door khawabaon ki nagri me
Khwahishon ke shajr tale, Hasraton ke bagiche me

Kisi Ajnabi k intezar mein hai wo umeedwaar
Jo kare khushion ki barsat jo de dher sara pyar

Nasir duago hai uski hasrat ho puri khwab hon sache
Mile jahan ki har khushi jiski taalib hai wo
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Gud going Nasir.....
here i drop some more questions
1: apne zindagi ka sab se beautiful n unforgetable memorey batayen......
2:apne batain kis se share karte hai?
3-sab se zyada surprising moment kab aur kia tha?

jab ham 3 1/2 yrs k baad india gaye the walid sahab ki tabiat theek na hone ki wajhe se wo Airport nahi aaye aur ammi aur behne koi nahi aaye bhai aur dost aaye the jab apne mohalle apne ghar pahunche to ek dhoom si thi bohot besabri se hamara intezar ho raha tha bache khushi se nach rahe the jaate hi apne abbu aur ammi se chimat gaye phir nani jo sath me hi rehte hain unse milne gaye jinse ham bohot pyar karte hain abhi unka inteqal hogaya hai jab unke paas gaye to wo khana kha rahe the hama salam karke gaye jaate hi unhone khana apne hath se khilye unke aur hamare dono k ankh me ansu the wo lamha itne salon baad mulaqat ka ham kabhi nahi bhul sakte..........
shukriya sana apke sawal ne yadon ko taza kardiya

aur iske elawa jab ham pehli baar Makkah gaye kabah ko dekhe wo lamha bhi ham kabhi bhul nahi sakte :)

2:apne batain kis se share karte hai?

ham apni baten zyadatar kisi se share nahi karte kyun k hame lagta hai k hame koi samajh nahi sakta hamare bohot dost hain jinme se bohot kareebtar bhi hain lekin aaj tak hame puri tarah se koi nahi jaan paya... haan jab ham kisi ko apna samajhte hain to khud ba khud thori baten unke samne nikal jati hain jinpe hame bharosa hota hai

aisa to koi surprising moment nahi hai jo share karen
haan jab ssc k result aaye the bohot surprise huye the kyun k us waqt ham padhayi me itni dilchaspi nahi rakhte the lekin zahen masha Allah acha tha to jab 1st division me paas huye to soche yaar agar ache se padhai karte to aur kaise aata result :)
 
Dreamy Boy

Tm Lecturar
Banned
Oct 31, 2009
33,484
10,995
1,313
Pakistan

nice reply bro....
ap ke bare me jaan kar acha laga:)
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...

Thanks for the lovely replies
first Q unforgetable memorey ka parh kr kafi acha laga mei bhi thori emotional hogae...:)
anywayzzz
Glad to know about u....
Weldone
later i ll pass some more questionz
stay tuned....:p
 
Status
Not open for further replies.
Top