Aik Din "lost Passenger" K Saath!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
@Hoorain

1.waise to aap k bohat se pasandeeda writer hain lakin sab se ziada kis se mutasir hain jo aap k khayal may sab se munfarid likhte hain?

Mai’n ney do writers key naam diye to hai’n aur do is liye keh who donoo’n alag alag andaz sey likhney waley munfarid writers hai’n,
(i)Janab Ashfaq Ahmed (marhoom)
(ii)Janab Naseem Hijazi(marhoom)

2.aap k articles kis naam se publish hote hain?

Aaj kal to time hi nahi’n nikal pata jis zamaney mai’n likhta tha to apney real naam sey hi likhta tha aur magazines mai’n jo stories likhi’n who bhi real naam sey hi likhi’n.

3.ALfazz ka chunao Tereer k purasar hone may kis had tak asar andaz hota hay?

Is mai’n koi shak nahi’n keh achey aur pur asr lafzoo’n ka intikhab kisi bhi tehreer ko char chand laga daiti hey laikin mairey khayal mai’n ager aap kisi bhi tehreer ko dil sey likhtey hai’n to phir na to sochney ki zaroret perti hey aur na hi lafzoo’n key chunaow ki her wo lafz jo dil sey guzer ker qalam key zerye kaghaz per muntaqil hota hey qari key dil mai’n uter jata hey.

4.baaz auqat aise hota hay k do log aik hi baat akr rhe hote hain lakin un may se kisi aik ki baat ziada asar rakhti hay aur sab ziada jaldi qayl ho jate hain aap k khayal se uski kia wja hay?

Buhat sey log dosroo’n ko mutasir kerney key liye bhari bhari lafzoo’n ka intikhab kertey hai’n laikin log unhai’n samajh nahi’n patey laikin jo baat sada lafzoo’n mai’n baya’n ki jati hey wo asan fehem hoti hey aur sub sey berh ker to ye keh baat key peechey kehney waley ki neeyet kaisi hey ager neeyet naik hey to asr zaror hota hey.

5.Ghar may aapki tehreer kon ziada shauq se parhta hay?

Sirf gher mai’n hi nahi’n belkeh mairey khandan key sarey log aur mairey tamam dost ahbab aur un ki families sub hi shoq sey perhtey hai’n siwaye tumhari bhabi key.

6.ghar waalon ki taraf se kon tanqeedi tabsra karta hay aap k articles waghaira par?

Aaj tek to kisi ney tanqeed nahi’n ki haa’n hosla afzai zaror ki hey.

7.koi kisi baat par tanqeed kare to aapka response kia hota hay?

Mairi koshish hamaisha yehi hoti hey keh tanqeed ko masbet andaz sey lia jaye keh ye tanqeed hi hoti hey jo aap ki khamiyoo’n k odor kerney mai’n madedgar sabit hoti hey

8.aksar logon ki taraf se Konsa sawal aisa hay jisa ka jawab daite huye koft hoti hay?

Koi bhi nahi’n
ahab MASHAALLAH nice replies :)

aur hmari bhabhi kio nhi parhti? :p
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
ahab MASHAALLAH nice replies :)

aur hmari bhabhi kio nhi parhti? :p

Wo mahavra suna hey na tum ney
gher ki murghi daal braber tu tum un ki nazer mai'n mujhey gher ki murghi hi samajh sakti ho waisey pehley perhti thi'n phir kehney lagi'n aap ki tereerai'n perh ker aisa lagta hey jaisey aap bol rahey hai'n...ab ye logic hamari samajh mai'n nahi'n aai aaj tek.
 
  • Like
Reactions: Bela

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Wo mahavra suna hey na tum ney
gher ki murghi daal braber tu tum un ki nazer mai'n mujhey gher ki murghi hi samajh sakti ho waisey pehley perhti thi'n phir kehney lagi'n aap ki tereerai'n perh ker aisa lagta hey jaisey aap bol rahey hai'n...ab ye logic hamari samajh mai'n nahi'n aai aaj tek.
hahaha true :p
aap wesi hi batain aam routine may b akrte hon agey thats y :p
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
  1. Din k kis time likhne may ziada maza aata hay?
  2. Likhte huye ziada tar kon disturb karta hay?
  3. kabhi aise hua k kuch likhte huye emotional huye hon?
  4. aap ki daily routine kia hay?
  5. aaj kal konsa mozu dimagh may hay jis apr likhna chahte hain apr likh nhi paaye ab tak?

@Lost Passenger
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
  1. Din k kis time likhne may ziada maza aata hay?
  2. Likhte huye ziada tar kon disturb karta hay?
  3. kabhi aise hua k kuch likhte huye emotional huye hon?
  4. aap ki daily routine kia hay?
  5. aaj kal konsa mozu dimagh may hay jis apr likhna chahte hain apr likh nhi paaye ab tak?

@Lost Passenger

@Hoorain

Din k kis time likhne may ziada maza aata hay?

Din mai’n office key masail sey hi jan nahi’n chot’ti is liye raat mai’n likhta hoo’n ziyadha ter.

Likhte huye ziada tar kon disturb karta hay?

Tunhari bhabi buhat disturb kerti hai’n kyoo’n keh jub likhney baith’ta hoo’n to phir waqt ki qaid to nahi’n rehti na, aur subha office bhi jana hota hey aur office sey pehley tumhari bhabi ko school bhi chorna hota hey to warden sahiba danda layker hamarey ser per sawar ho jati hai’n .

kabhi aise hua k kuch likhte huye emotional huye hon?

Akser hojata hoo’n key apney itraaf mai’n hota zulm aur na insafi buhat be chain kerdaiti hey khas ker bachoo’n ko daikh ker keh unka bachpan mash ki chakki mai’n pis raha hey.

aap ki daily routine kia hay?

Subha office sham ko gher family k sath

aaj kal konsa mozu dimagh may hay jis apr likhna chahte hain apr likh nhi paaye ab tak?

Ek waqt tha jub ustadoo’n ki izzat huwa kerti thi aur us waqt key ustad bhi kuch aur hi huwa kertey they aur ek aaj ka dor hey jub na to ustad hi sincere hai’n aur na hi students is hawaley sey kuch likhna chahta hoo’n laikin Mai’n seerat per likhney ki buhat khwahish hey laikin abhi tek sahi sey likh nahi’n paya hoo’n.
 
  • Like
Reactions: Bela and Hoorain

ahaaan
Bhabhi zindabad :p
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
hahaha nara to sach hay na :p
Mamin aap ki real sis hain?

Mai'n to tumhai'n bhi apni real sister hi samajhta hoo'n aur ishi terha Mamin mairi sister hey aisey hi ek forum per us sey salam dua hui aur aaj woh mairey barey mai'n sub kuch janti hey mai'n kia kaam kerta hoo'n kaha'n kerta hoo'n mairi wife kia kerti hey aur aaj kal mosofa fb per pai jati hai'n yaha'n TM per bhi hey aur kia tum yaqeen krogi ya tumisey mairi kamzori bhi keh sakti ho keh mai'n jub kisi ko behen ya bhai kehta hoo'n to sirf zuban sey nahi'n kehta nibhana bhi janta hoo'n......sorry mairy khayal mai'n mai'n kuch emotional hogaya.....to Mamin mairi bilkul aisi hi behen hey jaisi tum ho...
 
  • Like
Reactions: Bela

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Mai'n to tumhai'n bhi apni real sister hi samajhta hoo'n aur ishi terha Mamin mairi sister hey aisey hi ek forum per us sey salam dua hui aur aaj woh mairey barey mai'n sub kuch janti hey mai'n kia kaam kerta hoo'n kaha'n kerta hoo'n mairi wife kia kerti hey aur aaj kal mosofa fb per pai jati hai'n yaha'n TM per bhi hey aur kia tum yaqeen krogi ya tumisey mairi kamzori bhi keh sakti ho keh mai'n jub kisi ko behen ya bhai kehta hoo'n to sirf zuban sey nahi'n kehta nibhana bhi janta hoo'n......sorry mairy khayal mai'n mai'n kuch emotional hogaya.....to Mamin mairi bilkul aisi hi behen hey jaisi tum ho...
aww thats so nice,,khushi hui apa k khayalaat jaan kar
Khush rhain :)
muje aur Fareena ko aap se mazeed Q b poochne hain to ye kal b chalega,,i hope u'll not mind,,,aapka kafi time le rhe hain hum :-ss
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
aww thats so nice,,khushi hui apa k khayalaat jaan kar
Khush rhain :)
muje aur Fareena ko aap se mazeed Q b poochne hain to ye kal b chalega,,i hope u'll not mind,,,aapka kafi time le rhe hain hum :-ss

Mind kerney ka tu sawal hi paida nahi'n hota jitney chaho sawal poco aur jo chaho pocho kooi pabandi nahi'n . hamaisha khush aur salamet raho,Ameen
 
  • Like
Reactions: Hoorain

shailina

Super Star
Aug 11, 2012
5,652
1,901
1,313
@Hoorain

AAPka poora naam?

Syed Sohail Akhter

Urdu se lgao Kaise hua?

Mairey Walid (Merhoom) Karachi key senior tareen teacher they iskey ilawa mai’n ney bachpan sey hi apney gher mai’n urdu adab perhney ka buhat riwaj daikha aur sirf mai’n hi nahi’n hum sarey behen bhai hi na sirf buhat kutub perhtey hai’n belkeh un per aapes mai’n discuss bhi kertey hai’n.

aapki sab se pehli tehreer konsi thi?

Mairi sub sey pehli tehreer “Dairey key Qaidi” thi jo ek science fiction tehreer thi aur iski mai’n ney puri ek series likhi thi”Black Hawk” k unwan sey aur ye Mahnama toot batoot mai’n shaya hui phir mahnama Anokhi Kahaniya’n ney is puri series ko apney magazine mai’n shaya kia.

Pehli tehreer par sab ka feedback kaisa tha?
Buhat hi zaberdast feedback mila jub hi to mujhey puri series likhni pari thi.
kabhi shayri b ki?

Ki hey laikin buhat kam

AApka pasandeeda urdu Writer? aur kio?

Waisey to buhat sey hai’n jin mai’n Tarar sahib,Ibn-e-Insha,.youssfi sahib,Shafiq-ur-rehman sahib, Mumtaz Mufti kitney naam likhoo’n laikin khas ker Janab Ashfaq Ahmed (merhoom), Janab Naseem Hijazi (merhoom) pasand hai’n.

Pasandeeda Shayer kon hain aur kio?

Janab Alama Iqbal, Professor Iqbal Azeem,Faiz Ahmed Faiz, Manzer Bhopalo,Nawaz Deobandi,Bashir Bader,Amjad Islam Amjad,Muneer Niazi ab kitney likhoo’n yaha’n bhi ek taweel list hey.

TM members ka response kaisa hota hay aapki tehreer par?

Buhat acha aur ye mai’n is liye nahi’n keh raha hoo’n keh mai’n yaha’n jawab de raha hoo’n ye haqiqet hey keh TM per response buhat acha hota hey.

Konsa TM member acha urdu writer ho sakta hay?

Is key liye kisi khas salahiyet ki zaroret to nahi’n hoti, jaisa keh mai’n ney pehley kaha “ager aap ek hassas dil rakhtey hai'n aur dosroo'n ki takleef sirf zuba'n ki hed tek hi nahi'n balkey haqiqaten apney ander mehsos ker saktey hai'n,dosrey ki aankhoo'n ki nami apni aankhoo'n mai'n mehsos ker saktey hai'n to phir aap yaqinan ek achi muaashrati kahani takhliq kersaktey hai'n, baat sirf usey talash kerney aur trashney ki hey.

Kis member k comments parh kar khushi hoti hay?

Jo bhi reply kerta hey khushi hoti hey keh jo bhi reply kerta hey is sey qata nazer keh reply bara hey ya chota khushi hoti hey laikin is mai’n shak nahi’n keh jo log tafsili reply kertey hai’n unhai’n perh ker buhat khushi hoti hey.
bohot acche jawab h :-bd
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
  1. zindagi ko kis tara define karte hain aap?
  2. apni zindagi may kis cheez ki kami ka ehsas hua kabhi?
  3. TM kaise join kiya?
  4. TM par konsi cheez ki kami lagti hay?
  5. TM ki konsi cheez unique hay?
  6. Kisi se narazgi ka izhaar aksie karte hain?
  7. Net poar 3 best friends ka naam btayain?
  8. Friendship kia hay aapki nazar may?
  9. Aik sentence may khud ko define karain.
  10. APna bnaya hua koi Qol share karain jo aap ne zindagi se seekha?
  11. Aaj k writers may kis cheez ki kami hay?
  12. YOungsters k liye aapka koi paigham?
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
  1. zindagi ko kis tara define karte hain aap?
  2. apni zindagi may kis cheez ki kami ka ehsas hua kabhi?
  3. TM kaise join kiya?
  4. TM par konsi cheez ki kami lagti hay?
  5. TM ki konsi cheez unique hay?
  6. Kisi se narazgi ka izhaar aksie karte hain?
  7. Net poar 3 best friends ka naam btayain?
  8. Friendship kia hay aapki nazar may?
  9. Aik sentence may khud ko define karain.
  10. APna bnaya hua koi Qol share karain jo aap ne zindagi se seekha?
  11. Aaj k writers may kis cheez ki kami hay?
  12. YOungsters k liye aapka koi paigham?

@Hoorain

zindagi ko kis tara define karte hain aap?

Zindagi daina phir insan banana aur phir musalman gharaney mai'n paida ferma ker Hazoor Hazret Muhammed (saww) ka ummati banan aur is key ilawa latadad naimatai'n hai'n jin ka hum shumar nahi'n ker saktey tu mai'n ney seekha key hamai'n hamaisha sber aur shuker sey kaam laina chahiye keh Allah ki raza mai'n razi rehney mai'n hi hamari flah hey aur ye hamai'n na umeed nahi'n honey daita aur shuker naimet ko berhata hey aur ye hi asal aur kamyab zindagi hey.

Apni zindagi may kis cheez ki kami ka ehsas hua kabhi?

Pehley kisi cheez ki kami ka ehsas kabhi nahi’n huwa tha laikin walida key intiqal key baad un ki shid’det sey kami mehsos ki laikin mairey brey bhai aur behnoo’n ney maira hamaisha khayal kia aura b walid key intiqal ko zehni tor per qabool nahi’n ker pa raha aur her lamha yehi mehsos hota hey jaisey abhi awaz de lai’n ge.

TM kaise join kiya?

Bus aisey hi Browsing mai'n TM ko join kia

TM par konsi cheez ki kami lagti hay?

Jub mai’n ney Tm join kia tu mairi shaded khwahish thi Islam section mai’n tread post kerney ki laikin mujhey shaded afsos huwa keh log yaha’n behes-o-mubahisey ka ziyadha shikar rehtey hai’n aur phir mai’n ney Islam section ka rukh hi kerna chor dia keh mai’n yaha’n apney behen bhaiyoo’n mai’n muhabbet bantney aata hoo’n un ki muhabbati’n samaitney aata hoo’n behes kerney nahi’n.

TM ki konsi cheez unique hay?

Ye buhat jeld apna bana laita hey

Kisi se narazgi ka izhaar aksie karte hain?

Khamoshi se kinara kerlaita hoo’n

Net poar 3 best friends ka naam btayain?

Mamin,Ruby,Ali,Shahid,Hareem,Tooba aur tum
Sorry ye to teen se ziyada hogaye….

Friendship kia hay aapki nazar may?

Dost kaisey honey chahiye'n isko napney ka sub se acha paimana ye hey k insan khud ko daikhey k wo apney dost k liye kia kersakta hey misal k tor pey mai'n apney dostoo'n k kaam k liye waqt nahi daikhta,ye nahi daikhta k is mai'n mujhey kitni mushkil hogi ya kitni taklief uthani prey gi,mai'n apney dostoo'n pe andha etemaad kerta hoo'n koi un k khilaf mairey kaan nahi bher sakta.

Aik sentence may khud ko define karain.

Mai’n kia aur mairi ouqaat kia keh khud key barey mai’n kuch keh sakoo’n ek aisa insan jo her ghalat kaam ki koi na koi daleel dhond laita hey. (ye sach wala sentence)

Aur zara monh ka maza bzdelney key liye,

Kam go, kam sukhan, halim-ut-taba, sanjida aur purwaqar (ye tafreeh wala sentence)

APna bnaya hua koi Qol share karain jo aap ne zindagi se seekha?
"Muhabat aisa jazba hey k isey jitna banto utna berhta hey"
- Syed Sohail

Aaj k writers may kis cheez ki kami hay?

“Mutaley ki” aur minhasul qoum hum is mai’n kami ka shikar huwey hai’n aur ek writer ager perna chor de tu us key likhney ki salahiyet mai’n kami honey lagti hey keh insan jitna perhta hey lafzoo’n ka zakhira utna hi barhta hey.

YOungsters k liye aapka koi paigham?

Dunya-o-Aakhiret ki kamyabi Allah key ehkamaat ko Nabi e Pak (saww) key tariqoo'n per pura kerney mai'n hey.
 
MASHAALLAH beautiful replies :)
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger
Top