Aik Din "lost Passenger" K Saath!

  • Work-from-home

fareena_01

Super Star
Mar 11, 2013
7,011
2,255
263
Karachi
thek hai phir ma aik swal akrti hn start to lain na

kehte hain jab dil toot'ta hai to tehreer ma jan par jati hai kya aap k sath bhi aisa kuch hoa k dil ka dard lafzon ma byan hone laga ??
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main

@fareena_01

Ek masla to ye hey keh hum dil totney ki baat jub bhi kertey hai'n tu hamarey zehen mai'n la-shaoori tor per dil ka totna sirf ek hi hawaley sey hota hey aur kia ye zarori hey keh likhari khud us kerb sey guzrey to hi ek tehreer likh sakey, maza tu jub hey na jub insan dosrey key derd ko mehsos krey aur itna mehsos krey key us mai'n dhel jaye,

kehtey hai'n k zindagi bari talkh hoti hey aur agr aap ek hassas dil rakhtey hai'n aur dosroo'n ki taklif sirf zuba'n ki hed tek nahi balkey haqiqatan apney ander mehsoos ker saktey hai'n,dosrey ki aankhoo'n ki nami apni aankhoo'n mai'n mehsoos ker saktey hai'n tu phir aap yaqinan ek achi muaashrati kahani takhliq ker saktey hai'n, baat sirf usey talash kerney ki aur trashney ki hey aur phir hota ye hey k wo talkhi aap key jism-o-ja'n mai'n sirayet ker jati hey aur us ki kerwahat aap ki rooh mai'n ghul jati hey aur phir aisi takhliqat janam laiti hai'n jo likhtey waqt qalam ko rulati hai'n tu perhtey waqt kisi hassas dil rakhney waley qari ko, Mehmood Ghaznavi k is shar pey ikhtitam karoo'n ga keh,

Yun'hi nahi ban gai tasveer-e-arzo Mehmood
Jub ungliyoo'n ko tarasha hey tab naqoosh aaye
 
fareena_01

Super Star
Mar 11, 2013
7,011
2,255
263
Karachi
bht achi bat ki aap ne ksi bhi writer k liye hassas hona lazmi shert hoti hai mere swal ka bhi maqsad ye hi tha k kis bat ne aap ko muta'asir kia dil p chot sirf mehboob hi nhi lgaya karta zamane k hathon main bhi patharon ki kami nhi hoti
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
bht achi bat ki aap ne ksi bhi writer k liye hassas hona lazmi shert hoti hai mere swal ka bhi maqsad ye hi tha k kis bat ne aap ko muta'asir kia dil p chot sirf mehboob hi nhi lgaya karta zamane k hathon main bhi patharon ki kami nhi hoti

Bilkul sahi samjhi ho tum laikin ye jo zamaney key hathoo'n mai'n pather ki baat k hey tum ney to kahi'n, Abida Pervee ki ghazal to nahi'n sun ker aai ho? jaha'n tek sawal hey mairey hasas honey ka to Allah key bandoo'n sey muhabbet kro to un ka derd apna lagney lagta hey apney itraf mai'n basney waloo'n key chehrey perhna maira shoq tha kab ye sooq maira derd ban gaya pata hi nahi'n chala.......
 
fareena_01

Super Star
Mar 11, 2013
7,011
2,255
263
Karachi
Bilkul sahi samjhi ho tum laikin ye jo zamaney key hathoo'n mai'n pather ki baat k hey tum ney to kahi'n
Abida Pervee ki ghazal to nahi'n sun ker aai ho?
nhi sir hum bhi isssi muashre ma rehte hain to sang se hamara bhi utna hi wsta hai jitna aap ka. jahan tak Aabida parveen k bat hai woh sang wahid hain jo baraste hoye bhi ache lagte hain aik meethe dard ka ehsas dene wale.
 
  • Like
Reactions: Hoorain

fareena_01

Super Star
Mar 11, 2013
7,011
2,255
263
Karachi
acha aik aur swal aap hmare muashre ma pai jane wali be chaini aur na umeedi ki kaifiat k bare ma kya khyalat rakhte hain? kya hmare writers ko inhain aur apni tehreer ma aur numaym kar k paish karna chahye?(jis se akser na umeedi barhti hai) ya phr un masaail ka hal sada tareeqe se tehreer k zarye dena chahye jo muashre ki soch badle?
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
acha aik aur swal aap hmare muashre ma pai jane wali be chaini aur na umeedi ki kaifiat k bare ma kya khyalat rakhte hain? kya hmare writers ko inhain aur apni tehreer ma aur numaym kar k paish karna chahye?(jis se akser na umeedi barhti hai) ya phr un masaail ka hal sada tareeqe se tehreer k zarye dena chahye jo muashre ki soch badle?

@fareena_01

Is mai'n koi shak nahi'n keh hamarey muashrey mai'n mai'n bechini aur na umeedi buhat ziyadha hey aur is ki bari wajha ye hey keh ek to hamara ek dosrey per sey etimaad khatem ho chuka hey ya na honey key braber hey aur dosri baat zara kervi hey keh hamara Allah per bhi eman na honey key braber hey yaha'n mai'n ney eman ki baat ki hey iqrqr ki nahi'n kyoo'n keh iqrar tu hum sub hi kertey hai'n iski ek buhat bari wajha muasrati na insafi bhi hey aur iski ek aur bari wajha ye bhi hey keh hum sub sirf apney hqooq ki baat kertey hai'n fraiz ki nahin aur ye bhol jatey hai'n keh hamarey fraiz dosrey key haqooq hotey hai'n, ek witer ko zaror apni tehreeroo'n mai'n isey paish kerna chahiye aur uska hal bhi daina chahiye laikin filwaqt sub sey bara kaam ye hey keh hum logoo'n ko Allah ki taraf bulai'n aur unhai'n batai'n keh hamari her praishani ka hal sirf us zaat key pas hi hey aur jub hum sub k sub us Rub ki taraf mutawajhey ho jai'n ge tu aap daikhna k kaisi na umeedi aur kaisi bechaini sub dor hojai'n gi her taraf sirf aman-o-sakoon hi hoga jisey yaqeen na ho azma ker daikh ley.
 
  • Like
Reactions: fareena_01

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
aap se aur bhi bht se swal krne they but ab time nhi hai mujhe ghar jana hai auraap ki bat ka jawab bhi ma zaroor dongi bas aap ka interview monday tak cont rahe.
@fareena_01

Sawal tumhai'n jitney pochney hai'n pocho koi pabandi nahi'n laikin hamai'n to hoorain ney sirf ek din key liya hi meman key tor per bulaya hey laikin ager ye thread yahi'n per rahi tu iska wada hey keh yaha'n jub tek jo koi bhi mujh sey sawal pochta rahey ga mai''n Inshallah zaror jawab doo'n ga, aur jaha'n tek sawal hey tumharey jawab dainey ka to mai'n ney to koi sawal nahi'n pocha.
 
  • Like
Reactions: Hoorain

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
@Lost Passenger bro i m really sorry main kisi masle ki wja se kal nhi aa payi ,,really sorry!
aap agar thora sa time de sakkain to pleaseee,,aaj k liye rakh lain?
@Hoorain

Benai'n sorry kerti achi nahi'n lagti'n,ager koi kaam aagaya tu koi baat nahi'n mujhey andaza tha keh yaqinan koi wajha hi rahi hogi jo tum nahi'n aasaki'n to koi masla nahi'n aaj pochlo, I m ready...........ab khush? abhi bhi dair sey reply is liye kia keh raat ko 3 bajey office sey aaya tha.
 
  • Like
Reactions: Hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

Thank u :)
chlain phir shuroo akrte hain!
thanx for being here :)
@Maheen_Hassan @HuriYa @Bela @Diary @Abidi @fareena_01 @Shailina @kingnomi @Toobi aap sab b Q poochiye

*********************************************************
  1. AAPka poora naam?
  2. Urdu se lgao Kaise hua?
  3. aapki sab se pehli tehreer konsi thi?
  4. Pehli tehreer par sab ka feedback kaisa tha?
  5. kabhi shayri b ki?
  6. AApka pasandeeda urdu Writer? aur kio?
  7. Pasandeeda Shayer kon hain aur kio?
  8. TM members ka response kaisa hota hay aapki tehreer par?
  9. Konsa TM member acha urdu writer ho sakta hay?
  10. Kis member k comments parh kar khushi hoti hay?
*******************************************************************

@Lost Passenger
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Thank u :)
chlain phir shuroo akrte hain!
thanx for being here :)
@Maheen_Hassan @HuriYa @Bela @Diary @Abidi @fareena_01 @Shailina @kingnomi @Toobi aap sab b Q poochiye

*********************************************************
  1. AAPka poora naam?
  2. Urdu se lgao Kaise hua?
  3. aapki sab se pehli tehreer konsi thi?
  4. Pehli tehreer par sab ka feedback kaisa tha?
  5. kabhi shayri b ki?
  6. AApka pasandeeda urdu Writer? aur kio?
  7. Pasandeeda Shayer kon hain aur kio?
  8. TM members ka response kaisa hota hay aapki tehreer par?
  9. Konsa TM member acha urdu writer ho sakta hay?
  10. Kis member k comments parh kar khushi hoti hay?
*******************************************************************

@Lost Passenger

@Hoorain

AAPka poora naam?

Syed Sohail Akhter

Urdu se lgao Kaise hua?

Mairey Walid (Merhoom) Karachi key senior tareen teacher they iskey ilawa mai’n ney bachpan sey hi apney gher mai’n urdu adab perhney ka buhat riwaj daikha aur sirf mai’n hi nahi’n hum sarey behen bhai hi na sirf buhat kutub perhtey hai’n belkeh un per aapes mai’n discuss bhi kertey hai’n.

aapki sab se pehli tehreer konsi thi?

Mairi sub sey pehli tehreer “Dairey key Qaidi” thi jo ek science fiction tehreer thi aur iski mai’n ney puri ek series likhi thi”Black Hawk” k unwan sey aur ye Mahnama toot batoot mai’n shaya hui phir mahnama Anokhi Kahaniya’n ney is puri series ko apney magazine mai’n shaya kia.

Pehli tehreer par sab ka feedback kaisa tha?
Buhat hi zaberdast feedback mila jub hi to mujhey puri series likhni pari thi.
kabhi shayri b ki?

Ki hey laikin buhat kam

AApka pasandeeda urdu Writer? aur kio?

Waisey to buhat sey hai’n jin mai’n Tarar sahib,Ibn-e-Insha,.youssfi sahib,Shafiq-ur-rehman sahib, Mumtaz Mufti kitney naam likhoo’n laikin khas ker Janab Ashfaq Ahmed (merhoom), Janab Naseem Hijazi (merhoom) pasand hai’n.

Pasandeeda Shayer kon hain aur kio?

Janab Alama Iqbal, Professor Iqbal Azeem,Faiz Ahmed Faiz, Manzer Bhopalo,Nawaz Deobandi,Bashir Bader,Amjad Islam Amjad,Muneer Niazi ab kitney likhoo’n yaha’n bhi ek taweel list hey.

TM members ka response kaisa hota hay aapki tehreer par?

Buhat acha aur ye mai’n is liye nahi’n keh raha hoo’n keh mai’n yaha’n jawab de raha hoo’n ye haqiqet hey keh TM per response buhat acha hota hey.

Konsa TM member acha urdu writer ho sakta hay?

Is key liye kisi khas salahiyet ki zaroret to nahi’n hoti, jaisa keh mai’n ney pehley kaha “ager aap ek hassas dil rakhtey hai'n aur dosroo'n ki takleef sirf zuba'n ki hed tek hi nahi'n balkey haqiqaten apney ander mehsos ker saktey hai'n,dosrey ki aankhoo'n ki nami apni aankhoo'n mai'n mehsos ker saktey hai'n to phir aap yaqinan ek achi muaashrati kahani takhliq kersaktey hai'n, baat sirf usey talash kerney aur trashney ki hey.

Kis member k comments parh kar khushi hoti hay?

Jo bhi reply kerta hey khushi hoti hey keh jo bhi reply kerta hey is sey qata nazer keh reply bara hey ya chota khushi hoti hey laikin is mai’n shak nahi’n keh jo log tafsili reply kertey hai’n unhai’n perh ker buhat khushi hoti hey.
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe

bohat achay replies hain waqae main lag raha hay k kise baray Writer aur suljhay huye Insan se baat ker rahay hain..! :)
 
khubsurat jawabaat
MASHAALLAH :-bd

***************************************************

1.waise to aap k bohat se pasandeeda writer hain lakin sab se ziada kis se mutasir hain jo aap k khayal may sab se munfarid likhte hain?

2.aap k articles kis naam se publish hote hain?

3.ALfazz ka chunao Tereer k purasar hone may kis had tak asar andaz hota hay?

4.baaz auqat aise hota hay k do log aik hi baat akr rhe hote hain lakin un may se kisi aik ki baat ziada asar rakhti hay aur sab ziada jaldi qayl ho jate hain aap k khayal se uski kia wja hay?

5.Ghar may aapki tehreer kon ziada shauq se parhta hay?

6.ghar waalon ki taraf se kon tanqeedi tabsra karta hay aap k articles waghaira par?

7.koi kisi baat par tanqeed kare to aapka response kia hota hay?

8.aksar logon ki taraf se Konsa sawal aisa hay jisa ka jawab daite huye koft hoti hay? :p

**************************************************************

Mai’n ney do writers key naam diye to hai’n aur do is liye keh who donoo’n alag alag andaz sey likhney waley munfarid writers hai’n,
(i)Janab Ashfaq Ahmed (marhoom)
(ii)Janab Naseem Hijazi(marhoom)

2.aap k articles kis naam se publish hote hain?

Aaj kal to time hi nahi’n nikal pata jis zamaney mai’n likhta tha to apney real naam sey hi likhta tha aur magazines mai’n jo stories likhi’n who bhi real naam sey hi likhi’n.

3.ALfazz ka chunao Tereer k purasar hone may kis had tak asar andaz hota hay?

Is mai’n koi shak nahi’n keh achey aur pur asr lafzoo’n ka intikhab kisi bhi tehreer ko char chand laga daiti hey laikin mairey khayal mai’n ager aap kisi bhi tehreer ko dil sey likhtey hai’n to phir na to sochney ki zaroret perti hey aur na hi lafzoo’n key chunaow ki her wo lafz jo dil sey guzer ker qalam key zerye kaghaz per muntaqil hota hey qari key dil mai’n uter jata hey.

4.baaz auqat aise hota hay k do log aik hi baat akr rhe hote hain lakin un may se kisi aik ki baat ziada asar rakhti hay aur sab ziada jaldi qayl ho jate hain aap k khayal se uski kia wja hay?

Buhat sey log dosroo’n ko mutasir kerney key liye bhari bhari lafzoo’n ka intikhab kertey hai’n laikin log unhai’n samajh nahi’n patey laikin jo baat sada lafzoo’n mai’n baya’n ki jati hey wo asan fehem hoti hey aur sub sey berh ker to ye keh baat key peechey kehney waley ki neeyet kaisi hey ager neeyet naik hey to asr zaror hota hey.

5.Ghar may aapki tehreer kon ziada shauq se parhta hay?

Sirf gher mai’n hi nahi’n belkeh mairey khandan key sarey log aur mairey tamam dost ahbab aur un ki families sub hi shoq sey perhtey hai’n siwaye tumhari bhabi key.

6.ghar waalon ki taraf se kon tanqeedi tabsra karta hay aap k articles waghaira par?

Aaj tek to kisi ney tanqeed nahi’n ki haa’n hosla afzai zaror ki hey.

7.koi kisi baat par tanqeed kare to aapka response kia hota hay?

Mairi koshish hamaisha yehi hoti hey keh tanqeed ko masbet andaz sey lia jaye keh ye tanqeed hi hoti hey jo aap ki khamiyoo’n k odor kerney mai’n madedgar sabit hoti hey

8.aksar logon ki taraf se Konsa sawal aisa hay jisa ka jawab daite huye koft hoti hay?

Koi bhi nahi’n
 
  • Like
Reactions: Bela and Hoorain
Top