Urs,mela+qabaron Ki Zyarat|in The Light Of Islam|

  • Work-from-home

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Bhaiyo ma ne to bar bar kaha ha k aap saray boht baray aalim fazil,naek saaleh aur deendar hain,hum to hain he kam aqal aur gunah gar,siraf aap sahi hain aur baqi sari duniya to ha he ghalt!
Quran'o Ahadees par kis ka ziada paka yaqeen ha aur kon in par amal b karta ha,isska faisla to Allah Taala ke zaat ne karna ha,
koi b iss thread main mery aur aap sab ke posts ko parhay ga to ye zarur dekhay ga k ma ne to Chiragh bhai ke biyan karda har ghalt bat ko ghalt kaha,magar aap Quran'o Ahadees par paka yaqeen rakhnay k bawajud b un ghalt baton ko kisi tour par b ghalt kehnay k lie tayyar nahi k jin ke nishandahi ma ne ke thee,agar aapkay nazdeek wo batain ghalt nahi to aap unko sahi he keh dain,aap double minded ho kar bat ko gol mol kioun kar rahay ho? Yaqeen karain ma aap se koi refrence b nahi mangun ga,aap siraf aik dafa keh dain k wo batain ghalt nahi sahi hain!
Agar hum Quran'o Hadees ke siraf batain karain ge aur un par amal nahi karain ge,jhoot bolain ge,filmain dekhain ge,ganay sunain ge,har burai hamaray andar mojud ho gee,islam ke bat karain ge magar akhlaq aur burdbari ko bhool jaen ge,apni naam nihad ilmi fazeelat k ghumand maim mubtala ho kar baqi sabko ghalt samjhain ge,to phir na to hum kisi ko kuch samjha saktay hain aur na kisi ko kuch sikha saktay hain!
 
  • Like
Reactions: kool~nomi

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
Dekha @kool~nomi maine kya kaha tha?
yeh log na Quran sunayenge or na hi ahadeese e nabvi sunayenge yeh log sirf Falsafen sunayenge or falsafon main hi uljhayenge kyunke inke firqe main inko na Quran parhaya jata hai or na hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Ahadeesen parhayin jaati hain in logon ko sirf falsafen sikhaye jaate hain or in logon ke nazdeek Quran o hadees ki ahmiyat apne dimaagh se soche gaye falsafon se zyada nhi hoti or agar inke saamne koi Quran o hadees suna bhi de to yeh usko Alim Fazil Mullana Naik Saleh or Deendaar ka laqab to de denge lekin Quran ki Ayaton or Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Ehkamaat per kisi surat Sar nhi jhukayenge or woh sirf isliye ke in logon ko Allah or uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke ehkaamat ke age sar jhukane se zyada behtar Peer Faqeer or mazaaron or babaaon ke age jhukana lagta hai

jabke is baat se tamaam muslim agree karte hain ke jo Sir Allah ke Age nhi jhukta Allah us Sar ko Dar Dar ka bhikhari bana deta hai isliye inka sar bhi har mazaar har baba or har peer ke aage jhuk jata hai yaqin nhi to aap sirf apni taraf se do chaar karamaat ijaad kar ke or un karamaat ke lye b just do chaar bande gavah bana ker le aao yeh log apko b Allah ki taraf waseela samjh ker apke aage b jhuk jainge
 
Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Quran'o Hadees to hamain har burai se roktay hain aur haq bat ko haq kehna aur ghalt bat ko ghalt kehna sikhatay hain,
magar aap aik dafa phir uss taraf aanay ko tayyar he nahi,un baton ka zikar tak nahi kiya,na unko ghalt kaha na unko sahi,
chalo bhaiyo aapke yehi marzi ha to theek ha,ma he apni zid chhor deta hoon,
Allah aapko khush rakhay,aameen,
 
  • Like
Reactions: kool~nomi

kingnomi

Doctor
Super Star
Jan 7, 2009
12,873
10,849
1,313
Owsum , Superb , Very Nice :P

Hhahaha Sahi Keh rahay ho fahad yar Yeh Soofiyaanay soofiyon kay pichcay chaltay hain soofiyon ki baaton per amal kartay hain hum in ka kuch nhn karsaktay Shetaan ko Sath lekar ghoomte hain yeh loug samjhtay hain kay hum sawab ka kaam karrahay hain lekin asil mien sab se bada gunnah toh hai hee shirk aur in kay bday baday jo america ghoom rahay hain udhar hi reh rahay hain naam nhn lunga un ka aur lena bhi nhn chaye naam kisi ka bas jo hain un ko toh ab newyork mien rehte rehte english bhi agayi hai bhai english Mien Khutbat kartay hain Wah Wah Us Aadmi Nay Apni Duniyavi aisho araam kay liye in sab logon ko apnay pichay lagaya huwa hai haalankay saaf saaf Hadees Hai Kay Huzoor S.A.W.W Nay Farmaya Kay Qabron per masjid na banao Aur Tumhay In ki takreeban har masjid mien qabar zarur milegi LOL Aur Jahilaana Batien ya mien kholun na toh Sharam se paani paani ho jayeinge Yeh Loug JO Aise shirk kartay hain ... Bilkul Sahi Kaha Aur in kay sir jhuk rahay hain her kisi kay agay Aur Jab Tak Yeh In Kaamon mien hongay Sir Jhuktay Rahain Gay ... Allah Humien In kay Saayo Se Bhi Door Rakhay Ameen ... Fahad Aik advice dunga In ko Jahan bhi Dekho Astaghferrullah Keh diya karo jani :D
 
abidi bro ghair Allah ko madad ke lye pukarne ko bura b to Quran hi keh rha hai phir ap ghair Allah ko pukarne se kyun nhi ruk pate?

har woh cheez jis per Allah ke siva kisi or ka naam pukara jai haraam bhi to Quran hi kr rha hai phir ap kyun peer o faqeeron ke naam ki nazr o niyaz or daigen charhaate hain?

deen main har naya kaam biddat hai or biddat khuli gumrahi hai or iska anjaam jahannum ki aag hai yeh baat b to Rasool Allah Sallallahu alaihi Wasallam ki hadees se pata chali hai phir ap Rasool Allah ki is hadees ko kyun nhi mante or kyun deen ke muamle main aise amal karte reht hain jinke bare main na Quran ne kaha hai or na hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kaha?

ap har namaz main surah fatiha parhte hain or ussi surat ki ayat iyyaka na`budu wa iyyaka nasta`een b parhte honge jiska matlb yeh hota hai ke hum sirf teri hi ibadat karte hain or sirf tujse hi madad mangte hain to apke dil main kabi yeh khayal nhi aya ke ap sirf masjidon main Allah hi ki ibadat nhi karte balke mazaaron qabrustaanon main ja ker dunya se ja chukne wale insaano ki b ibadat karte hain? or madad ke lye sirf Allah ko nhi pukarte balke deen e islaam ki tamaam muaziz shaksiyaat ko pukarte hain jo ab dunya main mojod hi nhi hain?[DOUBLEPOST=1355504105][/DOUBLEPOST]

kool bro hidayat Allah deta hai insaan ke apne bass main nhi hota ke woh burai ko chor ker naik rah ko apna le jab tak Allah ki hidayat shamil na ho or hamen Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki us hadees ko b yad rakhna chahiye ke jis shaks main zarra barabar b takabbur hoga woh jannat main nhi jaiga isliye hamen mazaq b islah ke lye hi krna chahiye saamne wale ko neecha dikhane ke lye nhi cz hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam bhi jab kuffar ko deen e islaam ki dawat dete the or kuffar unki dawat thukra dete the to bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Allah se unki hidayat ke lye dua hi farmate the mazaq nhi urate the isliye hamen b sirf dua hi krni chahiye ke Allah hum sab ko hidayat de or deen ko sahi tor per samjhne ki tofeeq ata farmaye Ameen
 
Hmm Beshak Fahadd Sahi Kaha Allah Sahi Tarah se Apni aur logo ki islah karnay ki toufeeq ata famaye Allah Hum SAb ko hidayat day Aur Hum InshaAllah Apni Koshish Jaari rakhaingay Beshak Allah Behtar Karnay wala hai Ameen
 
  • Like
Reactions: Fahadd

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
.... @Fahadd bro thanks for ur changed behaviour,warna pehlay to aap mujh pe phabtiyan he kass rahay thay,khair koi bat nahi,hum yaqenan aik dusray se zarur kuch na kuch seekh saktay hain agar hum akhlaq aur tuhammal se bat karain to!
Bhai aap jo sawalat kar rahay hain ye aap un logon se karain jo ye kam kartay hain,ma iss thread main ke gai apni pehli post main bata chuka hoon k ma na to ye kam karta hoon aur na he inko sahi samajhta hoon,ma agar kisi ko b kisi zinda bazurag ya kisi mazar par faryad kartay hue dekhun to mujhe iss par dili afsos hota ha,ma pehlay b keh chuka hoon k ye jahalat k siwa kuch nahi,
ma ne to iss thread main apni pehli post boht balanced ke thee,aur mujhe uss par aap sab ke taraf se positive response ke umeed thee k aap log kam az kam itna to kahain ge k humain waqei un jahlana baton ko b hilght karna chahyay jo mazarat k ilawa baqi duniya main hoti hain,magar uss waqt mujhe sakht mayusi hui jab aap logon ne aa kar mujh par wohi batain lagana shuru kar deen k jinko ma pehlay he khul kar ghalt keh chuka tha,
ma to abi tak hairat k iss sumandar main duba hua hoon k aakhir kioun,kioun aur kioun aap main se koi b,abi b un jahlana baton par koi comments denay k lie tayyar nahi k jinko ma ne hilight kiya tha,aap itnay saray ho kar b mujh akelay ka aik chhota sa mutaliba bar bar duhranay par b pura nahi kar sakay,
pata nahi iss se aap logon ko apnay aqeeday par koi zarab lagnay ka khatra ha ya phir koi aur maslahat ha ye to Allah he janta ha,
 
kingnomi

Doctor
Super Star
Jan 7, 2009
12,873
10,849
1,313
Owsum , Superb , Very Nice :P
Bhaiyo ma ne to bar bar kaha ha k aap saray boht baray aalim fazil,naek saaleh aur deendar hain,hum to hain he kam aqal aur gunah gar,siraf aap sahi hain aur baqi sari duniya to ha he ghalt!
Quran'o Ahadees par kis ka ziada paka yaqeen ha aur kon in par amal b karta ha,isska faisla to Allah Taala ke zaat ne karna ha,
koi b iss thread main mery aur aap sab ke posts ko parhay ga to ye zarur dekhay ga k ma ne to Chiragh bhai ke biyan karda har ghalt bat ko ghalt kaha,magar aap Quran'o Ahadees par paka yaqeen rakhnay k bawajud b un ghalt baton ko kisi tour par b ghalt kehnay k lie tayyar nahi k jin ke nishandahi ma ne ke thee,agar aapkay nazdeek wo batain ghalt nahi to aap unko sahi he keh dain,aap double minded ho kar bat ko gol mol kioun kar rahay ho? Yaqeen karain ma aap se koi refrence b nahi mangun ga,aap siraf aik dafa keh dain k wo batain ghalt nahi sahi hain!
Agar hum Quran'o Hadees ke siraf batain karain ge aur un par amal nahi karain ge,jhoot bolain ge,filmain dekhain ge,ganay sunain ge,har burai hamaray andar mojud ho gee,islam ke bat karain ge magar akhlaq aur burdbari ko bhool jaen ge,apni naam nihad ilmi fazeelat k ghumand maim mubtala ho kar baqi sabko ghalt samjhain ge,to phir na to hum kisi ko kuch samjha saktay hain aur na kisi ko kuch sikha saktay hain!
Mohtaram Dost Abidi Bhai Hum nay kab kaha kay gaanay sun na filmien dekhna gunnah nhn hai sab gunnah hain Beshak gunnah hain yeh sab cheezien jo aap nay kahin mien maanta hun sab maantay hain Per Faraq aap ko batata hun mien
Hum Sirf yeh kehte hain kay Mazaron per jaana shirk hai OK
Loug Mazaron per jatay hain aur samjhtay hain Sawaab ka kaam hai ,
Jab Logon nay isay sawab ka kaam samajh liya Aur Mazaron per jaanay lagay Toh yeh ho gayi bidat , Bidat kaise huwi woh aise kay huzoor S.A.W.W Aur Allah nay Mazarien bananay Se Mana Kiya Hai Sahi Aur Aisii Shirkiya jaghon per jaana Mana hai Jab kay loug isay sawab ka kaam samjhtay hain Toh Yeh bidat huwi (Bidat Her Woh Kaam jo sawab ki niyat se kiya jaaye per uska hukum Hamaray Nabi S.A.W.W ya Allah Nay Us kaa Hukum Na Diya Ho Aur Woh Khud ki Ijaad Ki Huwi CHeez ho Deen Mien toh Usay Biddat Kehte Hain )
Aur Filmien Dekhna , Jhoot Bolna , Gaanay Sun na Aur Bhi Boht se Kaam in sab Ka Gunnah Hai Per Shirk Nhn Hai Aur Yeh Biddat Bhi Nhn Hai Kiun kay Yeh Deen Ka hissa nhn Hain Aur Mien Nafrat karta Hun Dil Se In Sab Cheezon Say Boht Bachnay ki koshish Karta hun Allahamdullilah ,
Shirk Aisa Gunnah Hai Jo Agar koi Insan Mar Gaya Aur Usnay Shirk Se Touba Na ki hogi toh woh Jahanum mien Jayega aur us ka Gunnah Kabhi maaf nhn hoga uska hamesha ka Tikhaana Jahanum Hai ..
Abhi Baat Chal Rahi hai shirk Aur Biddat Ki Brother Humien abhi is per discuss karna chaye aur apnay aap ko Dusrien gunnahon kay sath sath Shirk aur bidat se bachana chaye ..
Hum Baat kar rahay hain Shirk ki Aur aap keh rahay ho Kay dusre bhi toh gunnah hain Toh iska matlab yeh nhn hai kay Dusre gunnahon se bhi bachna chaye bilkul bachna chaye her gunnah se Ahista Ahista Hoga sab agar hum isi aasray per rahain kay yar yeh aik gunnah toh kar rahay hain dusra bhi kar lain teesra bhi karlain toh phr mere khayal mien nimaz bhi nhn padhega kiun ke us ka zehn hoga ke yar itne saray gunnah kiye hain ab nimaz bhi chor deta hun ... Allah maaf karay aur sab gunnahon se bachnay ki toufeeq ata farmaye Ameen ..
Aur Haan Hum maantay hain aap in galat kaamon ko galat samjhte hain achi baat hai per jab kay yeah mazaar banana hi galat hai , in shirkiya jaghon per hi galat hai toh kiun jaaya jaaye in jaghon per agar aap ko kisi ki maghfirat ke liye hi dua karni hai toh aap masjid mien beht kay bhi jo bhi buzirg hain un ki maghfirat ke liye dua karsaktay ho Baat aik hi hai , Hum Qabrustan jaatay hain dua karnay kiun kay hum ibrat haasil karain kay humien bhi qabar mien jaana hai is liye jaatay hain baaki dua toh hum kahin bhi beht kar saktay hain aur i think mazar pe jaanay se ibrat haasil nhn hogi ..
Aur mujhay maaf karna bhai agar koi baat buri lagi ho toh yeh post mene padhi nhn thi aap ki ... Allah aap ko Aur mujhay sahi se hidayat ameen ... Aur please meri guzarish request ya advice hai as a brother jab aap in sab cheezon ko galat samjhtay hain toh mazaron jaya bhi na karain Khudara .... JazakaAllah
 
فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
.... @Fahadd bro thanks for ur changed behaviour,warna pehlay to aap mujh pe phabtiyan he kass rahay thay,khair koi bat nahi,hum yaqenan aik dusray se zarur kuch na kuch seekh saktay hain agar hum akhlaq aur tuhammal se bat karain to!
Bhai aap jo sawalat kar rahay hain ye aap un logon se karain jo ye kam kartay hain,ma iss thread main ke gai apni pehli post main bata chuka hoon k ma na to ye kam karta hoon aur na he inko sahi samajhta hoon,ma agar kisi ko b kisi zinda bazurag ya kisi mazar par faryad kartay hue dekhun to mujhe iss par dili afsos hota ha,ma pehlay b keh chuka hoon k ye jahalat k siwa kuch nahi,
ma ne to iss thread main apni pehli post boht balanced ke thee,aur mujhe uss par aap sab ke taraf se positive response ke umeed thee k aap log kam az kam itna to kahain ge k humain waqei un jahlana baton ko b hilght karna chahyay jo mazarat k ilawa baqi duniya main hoti hain,magar uss waqt mujhe sakht mayusi hui jab aap logon ne aa kar mujh par wohi batain lagana shuru kar deen k jinko ma pehlay he khul kar ghalt keh chuka tha,
ma to abi tak hairat k iss sumandar main duba hua hoon k aakhir kioun,kioun aur kioun aap main se koi b,abi b un jahlana baton par koi comments denay k lie tayyar nahi k jinko ma ne hilight kiya tha,aap itnay saray ho kar b mujh akelay ka aik chhota sa mutaliba bar bar duhranay par b pura nahi kar sakay,
pata nahi iss se aap logon ko apnay aqeeday par koi zarab lagnay ka khatra ha ya phir koi aur maslahat ha ye to Allah he janta ha,
thank you abidi bro for reply and sorry main jab is thread main aya to apki pehli post meri nazr main nhi ayi main apki pehli post read kr ke reply krta hn inshAllah[DOUBLEPOST=1355588832][/DOUBLEPOST]
Itnay achay achay aur baray baray aalim fazil hazrat ke mojudgi main lab kushai kartay hue,ma iss khof main zarur mubtala hoon k kaheen iss juram ke padash main mujhe shirak ka murtikab na qar diya jae,
.. @S_ChiragH Bhai ne mazarat par honay walay jin ghalt kamon ko hilight kiya ha,unko koi b sahi nahi keh sakta,lekon aisay ghalt kamon ko kisi khas maslak se nahi jorna chahyay,kiounkay iss tarha k kam karnay walon ka siraf aik he maslak hota ha,jis ka naam ha,"jahalat"
mery nazar main har ghalt kam ko ghalt kehna chahyay,chahay wo kisi mazar main ho raha ho ya kisi madrasay main ya kisi aur jagha!
ma apnay baray main bata doon k ma boht kam mazarat pe jata hoon aur aj tak kisi aisay mazar par nahi gaya k jahan dhol damaka ya qawali waghaira ho rahi ho,kai mazar aisay hain k jahan aisy baton se sakhti se mana kiya jata ha aur baqaida likha hua hota ha k yahan dhol waghaira bajana mamnu ha,aur wahan siraf Quran khwani aur naat khwani hoti ha,
ma jab b kisi mazar par jata hoon to siraf fateha khwani karta hoon,kabi aur koi dua nahi mangta,
ma kisi aisay peer ko b nahi manta k jo khud khilaf-e shariyat kam kar raha ho ya usske sarparasti main aisay kaam ho rahay hon,
intaha pasandi kisi taraf b nahi honi chahyay,na to in ghalt kamon ko defend karna chahay aur na ye kehna chahyay k mazar he ghalat hain ya jin k mazar hain wo ghalt ha,
ye b yad rakhna chahyay k barre sagheer pak o hind main inhe bazurgan-e deen aur sofiya karam ke waja se islam phela,k jis ka tazkara boht se ghair janabdar muarkheen ne apni kitabon main kiya ha,
iss lie in bazurgon ke khidmat ko b faramosh nahi karna chahayay aur ma to iss hawalay se Allama Iqbal ke aetdal pasand soch ka qaael hoon jinho aik taraf ye b kaha ha k,
"nikal kar khankahon se adaa kar rasm'e Shabberi"
aur dusri taraf ye b kaha ha k,
"koi andaza kar sakta ha isskay zor'e bazu ka
nigahe marde moman se badal jati hain taqdeerain
(yarane ahle ilam se kia baeed k Iqbal k iss shaer ko b shirkiya qarar dain)
har qisam ke jahalat ko hilight karna chahyay,agar mazarat par ghalt kam ho rahay hain to in ghalat kamon ko khatam karnay ke bat karni chahyay,na k ye kaha jae k mazar he khatam kar diyay jaen ya mazar honay he nahi chahyain,aisa kehna b aik tarha ke jahalat he ha,kion ab hum sab k ghar main TV hain,TV par din raat nach ganay aur ghalt kam ho rahay hotay hain,ab hum yehi kahain ge k ya to hum ghalt kam dekhain he na ya phir ghar main TV na rakhain,ye nahi kahain ge k ghar main ghalat kam chal rahay hain to ghar he nahi hona chahyay,
wasay b Allah ke marzi k baghair na to koi cheez paida ho sakti ha aur na khatam ho sakti ha,shied yehi waja ha k naslain aur tahzeebain badal gaien magar Allah se muhabat rakhnay walay in bazurgon k mazarat sadiyon se mehfuz chalay aa rahay hain,
mery soch to iss taraf b jati ha k agar kisi mazar par koi ghalt kam na hota ho,siraf Quran khwani hoti ho,koi banda uss mazar main ja kar Quran parh raha ho aur ussi waqt mazar pe janay walon ko bura samajhnay wala banda ghar main beth kar filam dekh raha ho to dono main jahil koun ho ga?
Ma aik din PC par Naat sun raha tha,aik larka aaya ma ne ussay kaha k aaeyay bari achi naat ha suniyay,uss ne kaha k hum falan maslak se tualaq rakhtay hain iss lie naatain nahi suntay,thori daer bad wohi larka PC par gana sun raha tha,ma heran reh gaya k ye kaisy jahalat ha k naat ko thukra diya aur gana sunnay lag para,boht se log iss jahalat main mubtala hotay hain k naat main keray nikalain ge aur ganay baray aram sun rahay hotay hain,
aur ye b jahalat ha k koi qurani ayat aur ahadees to dhara dhar post kar raha ho,magar khud apnay avatar ya sig main behuda c pic lagai ho,
ye b jahalat ha k islam ke bat kartay hue akhlaq aur burdbari ko bhula diya jae,
in masalon se mera maqsad ye ha k mazarat pe honay wali jahalat k sath sath humain dusri jahalaton ko b hilight karna chahayay,
in the end ma yehi kahun ga k na to humain Aulia karam se aqeedat main iss had tak jana chahyay k khilafe islam kam karnay lag parain aur na he un se bughaz main itna aagay jana chahyay k unkay maqam o martabay ko jhutla diya jae,
aur ye b nahi bhulna chahyay k mazaarat se ziada khatra Islam ko un but khano se ha k jo aj k nam nihad mullaaon k dimaghon main fit ho chukay hain,
baqol Allama Iqbal,
"bayan main nukta'e toheed aa to sakta ha
teray dimagh main but khana ho to kia kahiyay"
abidi bro maine apki yeh puri post read ki hai lekin muje ek baat samjh nhi ayi ke tv per music sunna gaane sunna ya na muhram larkyon ko dekhna to waqi main hi gunah hai or deen is kaam ki ijazat b nhi deta
or agr apki tv wali baat ko main thik kehta hon to wohi baat phir is internet per b apply hoti hai aap per b apply hoti hai mujh per b apply hoti hai hum sab per b apply hoti hai hum yahan duniya bhar ki larkyon se baaten kr rhe hote hain dunya bhar ki na muhram larkyon ki pics b dekh rhe hote hain abi apke saamne isi thread main ek larki posting kr deti hai or uske signatare ya avator main uski pic lagi hoti hai to kya apki ya hamari ankhen band hojati hain?
chalen in sab ko choren ap jis dunya main rehte hain hum sab b ussi dunya ki hi makhloq hain hum sab ghar se nikalte hain to kahin juwan chal raha hota hai kahin nasha kya ja rha hota hai to kahin be pardagi horhi hoti hai to kahin halal haraam ek kya ja rha hota hai to kya is dunya ko b khtam kar dena chahiye?
kehne ka maqsad yeh hai ke achai or burai neki or baddi apko zindagi ke har shube main milegi har mor per nazr ayegi har raste per mojod hogi to yeh hum per depend karta hai ke hum kis cheez ko apnate hain so agar ap tv ki buraiyan ginwate hain to apko yeh b yaad rakhna chahiye tv per sirf behudgi nhi dikhai jati tv per islamic channels b mojod hote hain jahan se hum deeni taleemati programs dekh ker deen ke mutalliq kafi kuch seekh b rhe hote hain gaanen sunne ke bajai kaba shareef madina shareef main hone wali live namazen live tilawat sun b rhe hote hain dekh b rhe hote hain
or agr baat internet ki ayegi to isi internet per aap Quran pak with tarjuma and tafseer b read kr lete hain isi net pr aap ahadeeson ko tamaam books b dhond lete hain islamic matters pr malomaati websites b check kr lete hain news papers ki websites iske ilava or b boht si malomati muwad mil jata hai
or jab real life ko dekhte hain to real life main b itne bure dour main hone wali buraiyon ke bawajod ap or hum sab jee rahe haina? juwen nashe behayai se bach ker apne apne rizq main halal haram ka farq rakh zinda haina?
to apki tamaam posting main mazaraat or mazaraat ke bahar hone wali jahalat ka hi ziker kya gaya hai or mera khayal hai tabi apki is posting ka reply nhi dya gaya kisi ki tarf se cz sab jante hain ke insaan ko achai or burai ke saath hi paida kya gaya neki or badi qadam qadam per rakh di gayi hai so yeh insan ke apne oper hi hota hai ke woh naiki select kre ya baddi select kare so ab aap agar sirf dunya bhar ki buraiyon ko dunya bhar ki jihalat ko hi count krenge or nekiyon ko achaiyon ko ignore kr denge to yeh unke sath na insafi hojaigi iske ilava apne sadiyon se mazaraat ke mojod hone ki jo reason batayi hai wohi reason phir hum dunya main sadiyon se mehfoz mandir girja ghar aifal tower ahraam e misar taaj mehel ya dusri dunya main ab tak mojod rehne wali cheezon ke lye apply nhi kr sakte ke yeh in sab ko b Allah ne hi mehfoz rakha hoa hai?
jabke ek baat apne yeh b kahi hai ke mazaraat jo buraiyan hoti hain jo jihalat hoti hai ap khud b iske khilaf hain to az a muslim kya ap yeh nhi jante ke qabron ko mazbut banana hi islami taleemat ke khilaf hai? qabron ko ibadatgah bana lena hi islami talemaat ke khilaf hai? qabrustan main aurton ka jana hi islamic talemaat main mamno hai?
phir mazaaron ko girane ki baat main nahi karta mazaraat per hone wale bure or jahilana kaamon ke baare main b main kuch nahi kehta lekin aap sirf islaami taleemaat ko istimaal kar ke ek qabar ko mazaar banana or mazaar bana kar wahan ibadat karna yani quran pak Quran khawani ya duain karna or ussi mazaar main aurton ka mojod hona sabit kar den plz taake phir main b apke saath in logon ke khilaaf posting karun jo mazaraat ki izzat na karte hoye mazaraat per hone wali sargarmiyon per nuqta cheeni kar rhe hote hain
 
Great Sahi Kaha Kay 500 Saalon Se mandir bhi hain Church bhi hain Un ki Hifazat koun kar raha hai phr ... Fahadd Boht achay tariqay se samjhaya hai bhai aap nay JAzakaAllah ...[DOUBLEPOST=1355600370][/DOUBLEPOST]
yaar ma ne to koi behas karnay ke koshish nahi ke ma ne to apna point of view biyan kiya,ma janab bhala aap se kaisay behas kar sakta hoon,ma to manta hoon k aap boht ziada ilam rakhtay hain aur ma aik kam feham aadmi hoon,iss lie bhai mujhe chhoro apni bat karo k jab aapka paka yaqeen ha k in mazarat ko gira dena chahyay to aap abi tak gira kioun nahi sakay?ye mazarat sadiyon se sahi salamat mehfuz kioun hain?
Yahan ma siraf aik aankhon dekha waqea share karun ga,hamaray alaqay main kisi bazurag ka aik chhota sa mazar ha,jisko hum bachpan se dekhtay aa rahay hain,hamaray baray kehtay hain k unho ne b shuru se iss mazar ko dekha ha,iss mazar ke na to koi intazamia ha na koi gadi nasheen,15 saal pehlay hamaray alakay k kuch logon ne uss mazar wali aur ird gird se kafi jaga khared lee,aur madrasa banana shuru kar diya,madrasay k bani aur sarbarah kafi ba asar hain aur jamiyat ahle hadees punjab k uhdedar b hain,unho ne sarr torr koshish ke k iss mazar ko kisi tarha gira diya jae,iss k lie unho ne boht c qanuni jangain b larien,magar bat na bani,ab uss madrassay ke taraf dekhain to aisay lagta ha k mazar madrasay k andar mojud ha,right aur left pe b madrasa aur pechay b madrasa aur mazar apni jaga sahi salamat mojud ha,sach ha k jisay Allah rakhay ussay kon chakhay,
anyway bhai aapko lagta ha k ma yahan koi behas kar raha hoon,to theek ha ma ab mazeed iss thread main posting nahi karun ga chahay mujhe aap jo b kahain,
haan ye hasrat dil main he reh gai k jis tarha ma ne @S_ChiragH bhai ke hilight ke gai jahalaton ko khul kar ghalt kaha ha to kash aap log b apna dil wasee kartay aur ma ne apni uss post main jin jahalaton ke nishandahi ke ha,aap mery tarha unko ghalt kehnay ko tayyar hotay!
Chalain koi bat nahi,aapka apna moqaf ho ga aur mujhe aapkay moqaf ke qadar karni chahyay,
ok,take care,iss request k sath k ma ne apni pichli post k akhir main Allama Iqbal ka jo shaer likha ha ussko dobara zarur parhaiyay ga,
May God bless u,
Allah Hafiz.
Abidi Bhai mene Aap se pucha tha kay aap un hadeeson se inkaar kartay hain Aap nay bataya nhn dusri post mien bhi ? mene yeh hadees post ki thi dear .. Baaki mien maanta hun baaki gunnah bhi galat hain per dear is ka yeh matlab nhn kay hum Mazaron pe janay wala gunnah bhi karain ... Is post ka jawab baaki Fahadd bhai nay de diya hai So mien just itna puchunga aap se ke aap in hadeeson se inkaar kartay hain jo Hamaray Pyaray Nabi S.A.W.W Nay farmayi hain ? Agar nhn toh Mazaron pe jana kaisa un ki side lena kaise ? Aap nay phele bhi jawab nhn diya kay aap in hadeeson se inkaar kartay hain ya nhn ? aap nay jawab nhn diya kiya mien iska matlab yeh samjhu kay Aap in ahaadees se inkaar kar rahay hain brother yeh Islam Musalmano ki Sab Se Badi Ahaadees ki kitaab Muslim aur Bukhari ki Ahaadees , Ahmed , Abu Daood ki Hadeesien hain

  • Like
Reactions: shizz and *Muslim*

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
pyare bhai @Abidi 100 baaton ki eik baat yeh ke aap is baat ko nahin nakaar sakte ke
qabar pe mazaar banana wahaan aksar zyarat ke liye jaane walon hi ka aqeeda nahin
wahan per mela karna urs karna balke is mele aur urs se wo tab peeche hatte hain
jab inke aise haqaaiyq saamne aate hain jo mene share kiye aur is mele ka saboot Ahmed Raza Khan
ke kutub mein bhi hai aur hatta ke mele ke din qabar ki chokidaari per bethe bande ke liye
eik aurat bataur e kaneez laa kar tohfa dene ka bhi zikr hai

iske bawajood bhi agar aap is baat ko nakaarte hain ke qabar parasti wale urs o mela ke nafi hain
to eik bhi fatwa peish ki jiye aap aise aalim ka ?? jo urs mele ke khilaf ho

@Fahadd @kool~nomi bhai loug mein sahi bola naa ?? ;)[DOUBLEPOST=1355639350][/DOUBLEPOST]
.... @Fahadd bro thanks for ur changed behaviour,warna pehlay to aap mujh pe phabtiyan he kass rahay thay,khair koi bat nahi,hum yaqenan aik dusray se zarur kuch na kuch seekh saktay hain agar hum akhlaq aur tuhammal se bat karain to!
Bhai aap jo sawalat kar rahay hain ye aap un logon se karain jo ye kam kartay hain,ma iss thread main ke gai apni pehli post main bata chuka hoon k ma na to ye kam karta hoon aur na he inko sahi samajhta hoon,ma agar kisi ko b kisi zinda bazurag ya kisi mazar par faryad kartay hue dekhun to mujhe iss par dili afsos hota ha,ma pehlay b keh chuka hoon k ye jahalat k siwa kuch nahi,
ma ne to iss thread main apni pehli post boht balanced ke thee,aur mujhe uss par aap sab ke taraf se positive response ke umeed thee k aap log kam az kam itna to kahain ge k humain waqei un jahlana baton ko b hilght karna chahyay jo mazarat k ilawa baqi duniya main hoti hain,magar uss waqt mujhe sakht mayusi hui jab aap logon ne aa kar mujh par wohi batain lagana shuru kar deen k jinko ma pehlay he khul kar ghalt keh chuka tha,
ma to abi tak hairat k iss sumandar main duba hua hoon k aakhir kioun,kioun aur kioun aap main se koi b,abi b un jahlana baton par koi comments denay k lie tayyar nahi k jinko ma ne hilight kiya tha,aap itnay saray ho kar b mujh akelay ka aik chhota sa mutaliba bar bar duhranay par b pura nahi kar sakay,
pata nahi iss se aap logon ko apnay aqeeday par koi zarab lagnay ka khatra ha ya phir koi aur maslahat ha ye to Allah he janta ha,
Ji be shak jin ayebon ka aap ne zikr kiya unme bohot se MUSALMAAN mubtila hain
mein khud eik din mein bohot gunahon wale kaam kar guzarta hoon aur bohot se makrooh bhi
" lekin " kya aap apne qabar parasti ko mere T.V dekhne barabar tasleem kar rahe ho ??
kya isse bhi be hayaiy kaam tasleem kar rahe ho ?? kya maan rahe ho ke ye sunnat e MOHAMMAD alaehesalam nahin
kya qabool hai apko ke jo aap kar rahe ho wo shirk hai jese mene qabool kiya ke mujh se gunah sarzad ho jaate hain ??

aur yaad rakhiyega apne is post se aap ne mere first post ko jahilana bol kar Ahmed Raza Khan ko jahil sabit kar diya .
 
فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
jee janab bilkol sahi kaha apne lekin main sirf itna janta hon ke jo Amal Quran or Hadees se sabit horha ho us amal per nuqta cheeni karne ka matlab dar haqiqat Allah or uske Rasool SAW per nuqta cheeni karna hota hai
so agar abidi bro mazaraat ke qaim karne ko mazaraat per Quran pak ya dusri type ki ibadaaat karne ko or aurton ka mazaraat per jaane ko Quran o hadees se sabit kar dete hain to phir ap logon ka b koi haq nhi banta Mazaraat per nuqta cheeni karne ka ya mazaraat main buraiyan nikalne ka
 
Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Akhlaq ka taqaza ye nahi ha k pehlay to aap main se koi aik b mery baton ka jawab denay par amada nahi tha,aur ab aap sab ne aik dam se mil kar aik aisay aadmi par hamla kar diya ha k jo mobile se ha aur usskay browser main aj kal koi masla b ha k kal pooray din main ma siraf aik(iss thread wali) post he kar saka hoon aur wo b mujhe 4 dafa likhni parri thee,phir aapear hui,
aap sab ne itni lambi lambi posts keen,magar meray asal point ko ya to samjhay nahi ya phir jan bojh kar gol kar rahay hain,
TV ma b dekhta hoon lekon koshish karta hoon k siraf achi chezain dekhun aur internet ka b acha istamal karnay ke koshish karta hoon,
mera asal point ye ha k agar koi aisay kam se mana ho jae k jis se usska maslak ussay mana kar raha ha lekon uss kam se mana na ho k jis se deen mana kar raha ha to ye b jahalat ha,jaisay k ma ne aik masaal dee thee k aik shakhs ne kaha k ma falan maslak se hoon iss lie ma naat nahi sunta,lekon ussi waqt wo gaanay sunnay lag parra,
iss tarha mujhe meray aik aziz ne ye waqia sunaya k aik din wo apnay computer pe naat sun raha tha k usska aik aisa dost wahan aaya jo uss maslak se tualaq rakhta tha k jo naatain nahi suntay,uss ne aatay he kaha "yar ye buri c naat band karo aur acha sa gana laga do" (toba)
meray pass aap sab ke aik aik bat ka jawab ha magar aap logon ne ye bata kar mujhe dukhi kar diya ha k aap mery posts ko parray baghair he replies kartay rahay,ma jab se yahan aaya hoon mujhe issi qisam k rawayay ka samna ha k log mery posts ko parhtay nahi aur siraf ye soch kar ragra laganay ke koshish kartay hain k ye hamaray mukhalif maslak ka ha,
ab ma itni mehnat k bad aap sab ke aik aik bat ka jawab doon magar aap 2 din bad kahain k hum to aapke post parhay baghair he replies kartay rahay hain,to phir mery sari mehnat he bekar jae gee aur aapka ghair sanjeeda rawayya mujhe dil bardashta b kar day ga,
so ma ab mazeed yahan apna waqt zaya nahi karun ga aur koshish karun ga k kuch din bad aik alag thread laga kar apnay points paish karoon,
aap sab ka boht boht shukria...
 
mera asal point ye ha k agar koi aisay kam se mana ho jae k jis se usska maslak ussay mana kar raha ha lekon uss kam se mana na ho k jis se deen mana kar raha ha to ye b jahalat ha

apka asal point yeh tha na us post main im really sorry main apka asal point samjh nhi paya

to plz ap muje batain ke Qabron ko mazbut banane ke hawalen se Qabron ko ibadatgah banane ke hawale se or Qabron per aurton ke mojod hone ke hawale se jo Rasool Allah ki ahadeesen mojod hain woh deen ka hissa nahi balke maslak ka hissa hain?
gana sunna to ghalat hai gunah hai jahalat hai lekin us larkay ne agar naaton ko chor ker gaana sunna pasand kya to usne gunah hi kya
lekin woh larka gaane sunne ke bajai apke hukm par sir jhuka ker naaten sun leta to kya woh sawab hojata?kya naaton ko b ap Quran o hadees se naik kaam sabit kar sakte ho?
or muje yeh baat samjh nhi aati yeh jo aap waqiyaat sunate rehte hain na jane kis kis ke or un per yaqin b kar lete hain to apka imaan kya itna kamzur hai ke apko Quran pak ki ek ayat per yaqin nhi ho pata Rasool Allah ki ek hadees per yaqin nhi aa pata lekin yeh jo apke aziz doston ki tarf se bataye gaye waqiyaat hote hain ap in per foren yaqin kar ke yahan mention kr dete ho?
mere bhai Quran o hadees Haq hai or Haq ko tasleem karen or is baat ko b tasleem karen ke apke pas aisi ek ayat b nhi aisi ek hadees b nhi jo yeh sabit kar de ke mazaraat ko banana mazaraat per ibadat karna mazaraat per aurton ko le jana ghalt nhi balke sawab hai
aapke pas sirf sune sunayen waqiyaat hi hain jo har post main suna ker pichli posting main poche gaye sawalon ke jawabon ko goul kr jate hain or saath main yeh bahana rakh dete hain ke itni mehnat ke bad ap javab do ge to hum log apko yeh keh denge ke humne to apki posting read hi nhi ki
array mere bhai hum log agar yeh keh b denge to jo baqi log ham logon ki discussion dekh rhe hain unko to pta chal jaiga na ke ap agar mazaraat ko banane per mazaraat per ibadat karne per or mazaraat per aurton ko le jane ke haami ho to apke pas Quran o hadees ki daleelen b mojod hain
ab aap khud sochen aap isi tarha waqiyat suna suna ker bahane kar kar ke Quran o hadees sunane se jaan churate rahenge to ap apne maslak ke kitne logon ko sochne ka moqa de denge ke jis amal ka Quran o hadees main zikar tak nhi jis Amal ko Quran o hadees ghalat keh rha hai ya jis amal ko Quran o hadees se sahi sabit karne ke lye Qurani ehkamaat or Ahadeesen hi mojod nhi to hum us amal ko apne aziz doston ke waqiyaat suna ker ya Quran o hadees na sunane ke bahane bana kar kaise naik amal ka darja de sakte hain?

deen e islaam apke aziz doston per nazil nhi hoa mere dost or na hi apke dimaagh ki sochi gayin baaton per nazil hoa hai
deen e islaam Muhammad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam per nazil hoa hai isliye kisi b amal ke lye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke farmaan sunaya karen apke aziz doston ki tarf se sunaye gaye Waqiyaat main or apke apne experieancess main kisi musalman ko koi interest nhi hona kyunke marne ke bad musalman ko Allah ko moun dikhana hai Qayamat ke roz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko moun dikhana hai apke aziz dost to muje Qabar ke marahil se le ker Qayamat ki jhulas dene wali tapish main ek glass pani b nhi pilane wale lekin Rasool Allah ka wada hai ke woh Allah or uske Rasool ki Itaa'at karne walon ko hoz e kosar ka jaam pilayenge
phir apki or apke aziz doston ki baaton ko maan kar main Allah or uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke farmaanon ko ignore kardun?
 
Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Ma yahan siraf @kool~nomi bro ke bat ka jawab day raha hoon taa k unko gila na rahay,lekon ma iss k bad yahan bilkul b post nahi karun ga kiounkay jab khud he sab maan chukay hain mery posts ko parhtay he nahi to phir kia faida,kioun k agar baqi sab parhain b lekon reply karnay wala parhay baghair he post kar day to iss se ziada ghalt bat kia ho sakti ha,
nomi bro,ma aapke share ke gai ahadees se bilkul inkar nahi karta,aur koi b agar yahan Qurani Ayat ya ahadees paish karta ha to ma iss tarha nahi kehta jaisay k @Fahadd bro ne iss thread k post#120 main kaha ha k(ye jo Quran sunatay hain wo b ghalt ha aur jo ahadees sunatay hain wo b ghalt ha)
pehlay he apni niyyat bata detay hain aur taqaza b kartay hain,ma fahad bhai ke tarah nahi bolon ga, agar ikhtalaf hota ha to tarjumay ya mafhoom pe hota ha,kioun k aj kal ye hota ha k ahadees se apni marzi k mafhoom nikalay jatay,lekon aap ne jo ahadees ka mafhoom paish kiya ha uss par ma abi koi comments nahi karoon ga,jab tak ma uss hawalay se khud mutalia na kar loon ya koi confirmation na hasil kar loon,
haan ma itna zarur kahoon ga k aap bar bar mandron ka hawala detay hue ye bhool jatay hain k Islam main ghair muslamon ke abadat gahon k ahtaram ka hukam diya gaya ha,iss lie muslim hukmran b unke abadat gahon ko nuqsan nahi pohnchatay thay,magar mazarat k hawalay se aap ne khud wo ahadees share ke hain k jinka aapkay nazdeek ye mafhoom banta ha k mazarat gira diyay jaen,to phir shuru se kisi ne in ahadees par amal karnay ke koshish kioun nahi ke aur aap khud b in ahadees par amal karnay ke koshish kioun nahi kartay?
Ye har surat main mery yahan last post ha,chahay mujhe kafir he kioun na qarar diya jae aur yar logon se aisa baeed b nahi k jo mery posts ko parhay baghair he fiqray kasstay rahay aur mazaq banatay rahay,
jatay jatay ye yad kara doon k naat parhna Hazrat Hassan bin sabit ke sunnat ha,aur akhir pe Allama Iqbal ka shaer duhranay ko dil karta ha,
"biyaan main nukta'e toheed aa to sakta ha
teray dimagh main but khana ho to kia kahiyay"
 
  • Like
Reactions: i love sahabah

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
choro yaar abidi bro aapne apna b time zaya kya or hamara b time zaya kya
jab apke pas mazaraat ko Quran o hadees se sabit karne ke lye daleelen thi hi nhi to pehle hi keh dete na hamara time zaya hota na apka time zaya hota lekin its ook yar is forum per aap jesa aqida rakhne wale jitne b logon se hamari baat cheet hoi hai un logon ke saath yehi masla raha hai ke unke pas sunane ke lye Quran o hadees nahi hota un logon ke pas apni hi ijaad kardah taleemaat hoti hain jo woh zabardasti logon ke dimagh main thonsna chah rahe hote hain
or aapne b bas aisa hi kya jab tak apko mazaraat ki tameer ka Quran o hadees se sabit karne ka nahi bola gaya aap apni ijaad kardah talemaat hum logon ko sunate rahe or jab maine apni pichli 3 ya 4 postings se apse insist karna shuro kya ke plzzz qabron ko mazbut banane ko qabron per ibadat karne ko or qabron pe aurton ke jaane ko Quran o hadees se sabit karen to apko yahan se bhagna hi behtar laga kyunke yahan to kya aap islami section ke har thread main dekh sakte hain ke yahan ke aalim agar kisi baat ko kisi amal ko ghalat kehte hain to Quran o hadees suna ker kehte hain ap logon ki tarha hawayi fyring nhi karte ke shayed koi nishane per ajai
apka sirf Kool bro ko hi reply karna is baat ka saboot hai ke apke pas meri posting ka javab hi nhi
isliye im really sorry ke meri wajah se apko apne molviyon se ja ker mazaraat per ibadat karne ke lye QUran o hadees ki daleelen pochne ke baad mayosi ka saamna karna para isliye jaan churane ke lye aapne se nikl lena hi behtar samjha im really sorry inshAllah phir kisi thread main baat hogi apse
kyunke javab na dene ki surat main to aap already is thread main posting na krne ki qasam kha chuke haina[DOUBLEPOST=1355663267][/DOUBLEPOST]
Ameen
yar isi forum pe is se pehle b kaafi baar firqawarana behes chalti rhi hai lekin yeh log apko apne kisi b amal per na Quran sunayenge na Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki ahadeesen sunayenge balke sirf falsafa sunayenge jabke deene islaam Quran o hadees ke zariye hi nazil hoa hai or Quran o hadees ke zariye hi hum tak pohoncha hai or is baat se yeh log khud b agree karte hain lekin jab inka koi amal Quran o hadees se bhi ghalat sabit horha hota hai to bhi yeh apne falsafe ko Quran o hadees per tarjeeh dete hain yani inki soch kuch is tarha se hoti hai ke jo hum soch rhe hain or jo hum kar rhe hain bas woh sahi hai chahen Quran o hadees se sabit ho ya na ho lekin jo Quran yeh log suna rhe hain woh b ghalat hai or jo ahadeesen yeh log suna rhe hain woh b ghalat hai yaqin nhi to ap Quran o hadees se mukhalif amal karne wale kisi b insaan ko samjha ker dekh li jiyega
and ap logon ki asani ke lye yeh rahi meri post number 120 is post ko plz pura read ki jiye sab or muje bataiye ke maine kis line main in per yeh ilzaam lagaya hai ke yeh log jo Quran sunate hain woh b ghalat hai or jo ahadeesen sunate hain woh b ghalt hai
abidi bro ko shayed yahan se jane ki kuch zyada hi jaldi thi isliye ghabrahat main meri us posting ko pura parhe baghair hi mujh masoom per ilzaam laga kr nikal lyeee warna ghalat Quran o hadees sunane ka ilzam maine in logon per nhi lagaya tha balke inki soch batayi Quran o hadees sunane walon ke mutalliq but its ook abidi bro jab insaan kisi ke sawalon ke javab nhi de paata to isi ghabrahat main haath paon phool jate hain usko samjh hi nhi ata ke konsa msg kis baat ke lye likha gaya hai or woh msg read kye bina hi uska reply kr deta hai its ook yr
 
  • Like
Reactions: kool~nomi

kingnomi

Doctor
Super Star
Jan 7, 2009
12,873
10,849
1,313
Owsum , Superb , Very Nice :P
pyare bhai @Abidi 100 baaton ki eik baat yeh ke aap is baat ko nahin nakaar sakte ke
qabar pe mazaar banana wahaan aksar zyarat ke liye jaane walon hi ka aqeeda nahin
wahan per mela karna urs karna balke is mele aur urs se wo tab peeche hatte hain
jab inke aise haqaaiyq saamne aate hain jo mene share kiye aur is mele ka saboot Ahmed Raza Khan
ke kutub mein bhi hai aur hatta ke mele ke din qabar ki chokidaari per bethe bande ke liye
eik aurat bataur e kaneez laa kar tohfa dene ka bhi zikr hai

iske bawajood bhi agar aap is baat ko nakaarte hain ke qabar parasti wale urs o mela ke nafi hain
to eik bhi fatwa peish ki jiye aap aise aalim ka ?? jo urs mele ke khilaf ho

@Fahadd @kool~nomi bhai loug mein sahi bola naa ?? ;)[DOUBLEPOST=1355639350][/DOUBLEPOST]

Ji be shak jin ayebon ka aap ne zikr kiya unme bohot se MUSALMAAN mubtila hain
mein khud eik din mein bohot gunahon wale kaam kar guzarta hoon aur bohot se makrooh bhi
" lekin " kya aap apne qabar parasti ko mere T.V dekhne barabar tasleem kar rahe ho ??
kya isse bhi be hayaiy kaam tasleem kar rahe ho ?? kya maan rahe ho ke ye sunnat e MOHAMMAD alaehesalam nahin
kya qabool hai apko ke jo aap kar rahe ho wo shirk hai jese mene qabool kiya ke mujh se gunah sarzad ho jaate hain ??

aur yaad rakhiyega apne is post se aap ne mere first post ko jahilana bol kar Ahmed Raza Khan ko jahil sabit kar diya .
Bilkul Sahi kaha Chotay Bhai ;)
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top