aap ne sahih bukhari ki dusri hadeesein to muje suna deeiN zara inn do hadeesoN ka matlab bhi samjhaa dijiye mujhe.
sahih bukhari , jild 2 , hadees : 347
"abdullah ibn e umar farmatey hein k aik dafa nabi kareem khutba de rahey thay to aap ne hazrat ayesha (ra) k hujrey ki janib ishara kar k farmaya idhar fitna hai , 3 bar ye bat dohrai , idhar se shaitan seerat log niklein ge"
---------------------------------------
sahih bukhari jild 3 , baab 390 , hadees 629.
nabi kareem ne aik dafa hazrat umar se kaghaz aur qalam ka taqaza kia aur farmaya mujhe kaghaz aur qalam do k meiN tumheiN wo cheezeiN likh dooN jin se tum kabhi gumrah nah hogey (zahir hai rasool saww wasiyat karna chahtey thay) , hazrat umar ne kaha k hameiN aap k kisi hukm ki zarurat nahiN hai ab , hamarey liye quraan kafi hai , ahle bait ne hazrat umar ki mukhalifat ki aur hazrat umar se behes ki , "hazrat umar ki wajah se rasool ko bohot aziyyat mili aur rasool saww ne inheiN hukm na manney par hujrey se bahir nikal dia"
leiN janab , zara iss rivayat pe ghor kijiye , ye meiN nahiN keh raha "imam bukhari" keh rahey heiN , jahaN quraan keh raha hai k rasool k samne ooncha bolne se aamal zaya ho jatey heiN , waheiN hazrat umar(ra) rasool k samne ooncha bolna to darkinaar rasool ki nafarmani kar rahey heiN , quraan kehta hai k rasool saww ko aziyyat dene wala jahannumi hai jabkeh imam bukhari ki pesh karda rivayat k mutabiq hazrat umar ki wajah se huzoor saww ko aziyyat bhi hui aur unhoN ne inheiN hujrey se bahir nikaal dia , ab khud fesla kar lijiye , ya to hazrat umar ra ko ghalat maan lijiye ya imam bukhari ko .... fesla aap k pas