salman taaseer ka qatl

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam o alaikum TM members

doston kaise hain aap umeed k bakhair hi honge inshaAllah.jaisa k aap me se aksar log ye baat jante hain k chund dinaon pahle pakistan k ek minister ka qatl unke hi bodyguard ne kardiya.wajah ye thi k is minister ne naamoos e risalat ka jo qanoon pakistan ki dafat me maujood hai usme wo tarmeem ka mutaleba kar raha tha.uska ye kahna tha k is dafat me jo alfaz darj hain laazmi taur par maut ke usko hazaf kia jaaye aur maut k bajaye saza muqarrar ki jaaye.

mera ye thrd banane ka maqsad ye hai k main aap logaon ki rai janna chahta hon k kia wo sahih tha.ya uska qatl.

aap apni qeemti rai soonch samajhkar den aur rai zaroor den.:)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam


muje politics may interest nhi aur na hi ziada pata hay issi liye kuch khaas nhi keh sakti is baare may
par jis baat ko le kar ye qatal hua yani aik christian jis ne ghalat bola to punjab minister usse saza se bachaya aur riha karwaya
to wo ghalat tha jo mazhab k khilaaf bolta ha wo saza ka haqdaar hay warna to sara nizaam kharab ho ga aur koi bhi kuch bhi bolega
is tara log gumrah hon gaye
lakin ye qatal sahi tha ya nhi us k baare may main kuch nhi keh sakti
lakin q k wo ghalat baat ka saath de rhe thay to wo bhi ghalat thay
agar wo asie samjhane se nhi samajh rhe thay to un k saath yhi hona behtar tha
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
i think k its not about religion...its all politics..
salman taseer k katel kerne ki jo waja batai ja rahi hai,kya maloom wo hai bhi ya nai,cuz u never know...its PURE POLITICs...
politics ki wo kaunsi wajah hai jiski wajah se ye qatl kia gaya hai.kyunke ye aise waqt kia gaya hai jab isne namoos e risalat k qanoon me tarmeem ki baat kahi aur kayi logaon ye manna bhi hai k ye qatl isi wajah se kia gaya hai.
 
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
well us k katal k baray m baad m discuss kronga. lekn phlay yeh k

bhai.... jis mulk may benazeer bhuto jesi shakhsiyat ka murder ho skta hay sirf kursi k liye to salman taseer kia cheez thee... kuch nai kaha jaskta hay k usko katal krnay ki asal waja kia hay..... usko ab jis nay b katal kia vo is baat ka faida utha raha hay k namoos e rsalat ki baat pr katal kia gia hay.... agr usko is baat k liye katal kia gia hay to phir bilkul hi gud hogia. usko saza mil gai.... or jis nay apnay mufaad k lye usko katal kia ya keraya hay or parday m namoos-e-rasalat k chup gia hay to vo bhi zinda nai bachay ga.. vo b esay hi katal hoga


politics ki wo kaunsi wajah hai jiski wajah se ye qatl kia gaya hai.kyunke ye aise waqt kia gaya hai jab isne namoos e risalat k qanoon me tarmeem ki baat kahi aur kayi logaon ye manna bhi hai k ye qatl isi wajah se kia gaya hai.
 

GeNiuS

Banned
Dec 30, 2010
29
32
0
meiN isi waqt ka muntazir tha k salman taseer k havale se koi thread open ho , go k meiN ne ek thread open kia tha but shaied mere new comer honey ki wajah se ussey taa haal post nahiN kia gaya ..anyhow,
salman taseer k qatl k havaley se hameiN deep analysis ki zarurat hai , salman taseer ne kia amal anjam dia jis ki bina par usey qatl kia gaya ya wo konse siyaasi awamil kar farma thay jin ki bina par issey siyaasi qatl qarar dia jaata hai ,
islaam meiN murtadd ya gustaakh e rasool saww ki saza qatl hai ye cheez unn qabeehiyaat meiN se hai k hameiN iss havale se kisi fatwey ya hukm ki bhi zarurat nahiN lekin , qatl ki saza sirf gustaakh e rasool saww k liye hai ,
salman taseer k qatl ki wajah jo qatil bayan karta hai wo ye hai k salman taseer ne qanoon tahaffuz e namoos e risalat meiN tarmeem ka mutaliba kia , ye qanoon general zia ne apni aamirana hukoomat k doran pakistani constitution meiN enter kia tha , aur uss ne ye bohot bari naiki ki taham..
agar salman taseer k case par ghor kiaa jaye to uss ne hargiz gustaakhi nahiN ki ye baat aql tasleem karti hai k uss ne directly shaan e aqdas e huzoor saww meiN gustakhi nahiN ki balkeh qanoon meiN tarameem ka mutaliba kiaa aur qanoon ko kala qanoon kaha , uss ka aisa kehna beshak gunah tha lekin meiN samajhta hoon wo kisi tarah se bhi qatl ko deserve nahi karta tha , usey qatl nahiN kia jana chahye tha ,

islam meiN chor ki saza hath kaaTna hai , zaani ki saza sangsaar/100 koRey heiN lekin agar kisi chor ko chori k badley qatl kar dia jaaye to ye maavra e qanoon e islam ho ga aur islam ki ro se na jaeiz ho ga , islam to yahaN tak haqooq rakhta hai k kisi ko koRey lagatey huve haath itne na uThaeiN k baghleiN nazar aaney lageiN to islami qanoon kis tarah ye bardasht kar sakta hai k ek shakhs jis ne directly koi gustaakhi nahiN ki usey qatl kar dia jaaye.
salman taseer ka moaqqaf ghalat zaroor tha , wo chor zaroor tha lekin uss ki saza qatl nahiN banti koi bhi iss qatl ko islamically correct sabit nahiN kar sakta.

islam meiN har kisi ko haqooq wa ihteraam hasil hai , aap kisi kaafir ko bhi bilawajah qatl nahiN kar saktey , islam aman , ittehaad , bhai charey , bahmi akhuwwat , bahmi ihteraam , aazadi roy khayal ka dars deta hai , islam apne ooper tanqeed ka jawab daleel se deta hai , ye kahaN ka insaaf hai k ek shakhs kisi qanoon ki mukhalifat karey (go k uss ki mukhalifat ghalat hai) to usey qatl kar dia jaaye , islam iski sakht tardeed karta hai ,
agar ye qatl theek hai to islam se akhuwwat , mohabbat , bardaasht , haq e roy khayal aur aazadi nikaal kar ghulami , jabr , nafrat shamil kar di jaaye , aur aisa islam mujhe hargiz qubool nahiN.

jihaad k naam par muslim kushi karney , masjidoN meiN dhamakey karney ki ijazat islam hargiz nahiN deta , agar kisi ko apna ishq e rasool sabit karna hai to phalasteen,bait ul muqaddas aur muslamanaan e kashmir ki aazadi k lye jihaad karey.

meiN ye nahiN kehta k salman taseer durust tha , lekin uss k qanoon ki mukhalifat karney ki saza islamically qatl kisi bhi tarah se sabit nahiN hoti (jesa k meiN sukhan e baala meiN arz kar chuka hoon) , agar meiN ghalat hooN to mujhe daleel se jawab dia jaaye na k goli se.
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalam o alaikum
sulman taseer ne tareem ka mutalba kia tha k gustaziye Rasool s.a.w par qatal ki bajeye koi or saza honi chaheye..
Hazrat Muhamaad s.aw k bare me kuch kehna koi aam bat nhi kuch cheezen esi hoti hn yahan gujaish nhi hoti,lehaza jo banda gustakh-e-rasool kre use mar dena chaheye.
Q k Ap s.a.w ki muhabbat humare iman ki lazmi shart hai,
to ye muhabbat to nhi k islam ne jo qanon Ap s.a.w ki hurmat k lye bnaya hai us me tarmeem ki bat ki jaye
agar sulman taseer ne us me tarmeem chahi to us ki saza b yahi thi ..mere khayal me boht behtar huva,is tarha ye to pata chala k muslims me thori si to gherat hai abi k wo apne Nabi k khilaf kuch bardash nhi kr sakte or phir koi dobara esi himat b nhi kre ga,jis ne b use mara wo insan sach me iman-e-kamil rakhta tha ..
Yahan ma us waiqe ko zarur share kron gi jb pakistan bnne se pehle kisi hindu raje ne ese hi gustakh-e-Rasool ki thi to 1 musalman ghazi ilam deen me us raje ko mar dia tha..use phansi ho gyi,to use boht ezaz k sath muslims se dafan kia tha..ilama iqbal or dosre log kehte the hum to sirf baten bnate reh gye or ghazi ilam deen janat le gya.
 

GeNiuS

Banned
Dec 30, 2010
29
32
0
ilm deen o raaj aur salmaan o malik qaadri k case meiN fark.

raaj gopal ne direct nabi kareem saww ki shan meiN gustaakhi ki thi , jebkeh salman taseer ne nabi kareem saww ki shan meiN koi gustakhi nahiN ki balkeh qanoon e namoos e aqdas meiN tarmeem ka mutaliba kia , qanoon meiN tarmeem ka mutaliba karne se koi gustaakh e rasool saww nahiN ban jata (go k ye amar ghalat hai) aur na hee qatl ka haqdaar banta hai.lehaaza raaj gopaal ko salman taseer se tashbeeh dena durust nahiN , na hee iss tashbeeh ko aql tasleem karti hai , ye dono different cases heiN.
 
  • Like
Reactions: Aara'af and ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
g bela-suba islam muhabbat,iman ka deen hai..
lekin ye bat b deen me hai k us HAZRAT MUHAMMAD s.a.w ki muhabbat iman ki pehli shart hai...
muje 1 bat bataye agar koi ap k aziz ko kuch kahen ya us k bare me koi fazool bole to kya bardasht krte hn,zahir si bat hai dil chahta hai insan use khare khare mar de,to wo RASOOL jo ap ko ap k jan-o-maal-,waldeen,ulad or rishta daron gharz har shay se se zeyada aziz hona chaheye us k bare me koi bat bardash ki ja sakti hai kya????
agar ki ja sakti hai to ye humare iman ki kamzori hai.,
or jo qanoon ALLAH or us k Rasool ne humare samne rakh diya koi kon hota hai jo us me tarmeem chahe ..


yahan tk bat jihaad k naam par muslim kushi karney , masjidoN meiN dhamakey karney ki hai to ye hargiz islam nhi...

meiN isi waqt ka muntazir tha k salman taseer k havale se koi thread open ho , go k meiN ne ek thread open kia tha but shaied mere new comer honey ki wajah se ussey taa haal post nahiN kia gaya ..anyhow,
salman taseer k qatl k havaley se hameiN deep analysis ki zarurat hai , salman taseer ne kia amal anjam dia jis ki bina par usey qatl kia gaya ya wo konse siyaasi awamil kar farma thay jin ki bina par issey siyaasi qatl qarar dia jaata hai ,
islaam meiN murtadd ya gustaakh e rasool saww ki saza qatl hai ye cheez unn qabeehiyaat meiN se hai k hameiN iss havale se kisi fatwey ya hukm ki bhi zarurat nahiN lekin , qatl ki saza sirf gustaakh e rasool saww k liye hai ,
salman taseer k qatl ki wajah jo qatil bayan karta hai wo ye hai k salman taseer ne qanoon tahaffuz e namoos e risalat meiN tarmeem ka mutaliba kia , ye qanoon general zia ne apni aamirana hukoomat k doran pakistani constitution meiN enter kia tha , aur uss ne ye bohot bari naiki ki taham..
agar salman taseer k case par ghor kiaa jaye to uss ne hargiz gustaakhi nahiN ki ye baat aql tasleem karti hai k uss ne directly shaan e aqdas e huzoor saww meiN gustakhi nahiN ki balkeh qanoon meiN tarameem ka mutaliba kiaa aur qanoon ko kala qanoon kaha , uss ka aisa kehna beshak gunah tha lekin meiN samajhta hoon wo kisi tarah se bhi qatl ko deserve nahi karta tha , usey qatl nahiN kia jana chahye tha ,

islam meiN chor ki saza hath kaaTna hai , zaani ki saza sangsaar/100 koRey heiN lekin agar kisi chor ko chori k badley qatl kar dia jaaye to ye maavra e qanoon e islam ho ga aur islam ki ro se na jaeiz ho ga , islam to yahaN tak haqooq rakhta hai k kisi ko koRey lagatey huve haath itne na uThaeiN k baghleiN nazar aaney lageiN to islami qanoon kis tarah ye bardasht kar sakta hai k ek shakhs jis ne directly koi gustaakhi nahiN ki usey qatl kar dia jaaye.
salman taseer ka moaqqaf ghalat zaroor tha , wo chor zaroor tha lekin uss ki saza qatl nahiN banti koi bhi iss qatl ko islamically correct sabit nahiN kar sakta.

islam meiN har kisi ko haqooq wa ihteraam hasil hai , aap kisi kaafir ko bhi bilawajah qatl nahiN kar saktey , islam aman , ittehaad , bhai charey , bahmi akhuwwat , bahmi ihteraam , aazadi roy khayal ka dars deta hai , islam apne ooper tanqeed ka jawab daleel se deta hai , ye kahaN ka insaaf hai k ek shakhs kisi qanoon ki mukhalifat karey (go k uss ki mukhalifat ghalat hai) to usey qatl kar dia jaaye , islam iski sakht tardeed karta hai ,
agar ye qatl theek hai to islam se akhuwwat , mohabbat , bardaasht , haq e roy khayal aur aazadi nikaal kar ghulami , jabr , nafrat shamil kar di jaaye , aur aisa islam mujhe hargiz qubool nahiN.

jihaad k naam par muslim kushi karney , masjidoN meiN dhamakey karney ki ijazat islam hargiz nahiN deta , agar kisi ko apna ishq e rasool sabit karna hai to phalasteen,bait ul muqaddas aur muslamanaan e kashmir ki aazadi k lye jihaad karey.

meiN ye nahiN kehta k salman taseer durust tha , lekin uss k qanoon ki mukhalifat karney ki saza islamically qatl kisi bhi tarah se sabit nahiN hoti (jesa k meiN sukhan e baala meiN arz kar chuka hoon) , agar meiN ghalat hooN to mujhe daleel se jawab dia jaaye na k goli se.
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
log kehte hn islam boht sakh deen hai is me boht sakht sakht sazayen hoti hain...lekin agar ye sazayen is lye hoti hn k banda wo kam krne ka soche b na or ghuna or zulam ki sharah km ho sake..agar sazayen km ya aasan hon to phir ghunah or b aam ho jye
agar sulman taseer ne saza me kami ki ba ki to us ne indirect ghastakh-e-RASOOL ko bharhane ki bat hi ki ..

ilm deen o raaj aur salmaan o malik qaadri k case meiN fark.

raaj gopal ne direct nabi kareem saww ki shan meiN gustaakhi ki thi , jebkeh salman taseer ne nabi kareem saww ki shan meiN koi gustakhi nahiN ki balkeh qanoon e namoos e aqdas meiN tarmeem ka mutaliba kia , qanoon meiN tarmeem ka mutaliba karne se koi gustaakh e rasool saww nahiN ban jata (go k ye amar ghalat hai) aur na hee qatl ka haqdaar banta hai.lehaaza raaj gopaal ko salman taseer se tashbeeh dena durust nahiN , na hee iss tashbeeh ko aql tasleem karti hai , ye dono different cases heiN.
 

GeNiuS

Banned
Dec 30, 2010
29
32
0
meiN aap se izhaar e tashakkur karta hooN lekin aap ka moaqqaf hargiz durust nahiN , aap ne meri dono posts ya to paRhi hee nahiN , agar paRhi heiN to baghor nahi paRheiN.
ye qanoon general zia ne apni hukoomat k doran pakistani qavaneen meiN shamil kia tha , salman taseer ne iss qanoon ki mukhalifat ki hai na k huzoor saww ki.
uss ka ye mukhalifat karna amal e durust nahiN lekin uss ne shan e aqdas meiN koi gustaakhi nahiN ki.
gustakhi uss ko kehte heiN jab direct nabi kareem saww ki shan e aqdas meiN kuch kaha jaye.

islam ne agar kisi gunah ki saza muqarrar ki hai to uss se ek point ziada saza dena GUNAH hai , farz kareiN koi chori karta hai aur chori k badley ussey qatl kar dia jaaye (jesa k sialkot meiN 2 bhaiyoN ko qatl kia gaya) , to ye hargiz islamic nahiN balkeh taaleemat e islami k munafi hai.agar wo dono bhai chor thay to unn k hath kaaTey janey chahye thay , jabkeh unheiN qatl kia gaya , isi tarah salman taseer chor k mutaradif hai , ussey koi aur saza di jani chahye thi jabkeh usey qatl kia gaya. hope k aap samaj gai heiN iss se aasan ab meiN nahiN samjhaa sakta.
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalam Walaikum everyone .. main zyda detail nahi kahon ga sirf itna kahoon ga ke mumtaz qadri jis ne is shakhs ko jahanum wasil kya us ki azmat ko salam pesh karta hon . jo bhi shakhs chahey koi bhi ho leader etc woh aap hazrat muhammad s.a.w ki shaan main gustakhi kye gaye words ko kabool karega woh is se bhi bhiyanat maut ka ahal hai . woh kis kanoon ki baat kar raha tha jo woh khudh banatey aur khudh tortey nazar ataye hain.. magar dunya main aik he qanoon chalta hai humari ankh khulne se band honey tak aur woh hai sirf Allah ka kanoon toe koi shakhs uskey habib ki shaan main gustukhi par saza dene waley kanoon ko kala qanoon kahey woh hum main se nahi hai . is ke ilawa woh us aurat ko support kar raha tha jis ne Aap hazrat muhammad s.a.w ki shaan main gustakhi ki thi.. is ke ilawa is ne aur bhi buhat si batain aisi bolien jo as muslim koi nahi keh sakta . well meri raye hai jo huwa Allah ke hukum se huwa aur theek huwa baki ghaib ka ilm Allah ke pass hai . woh behtar samjhta hai . shukrya
 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
BrO yeh Post meri Zati nahi hai lkn may bhi yehi Sab kahOnga jO iS pOst may hai
سلمان تاثیر کے قتل کی خبر سن کر مجھے کئی سال قبل منظور وٹو کی کابینہ کا وہ وزیر یاد آ گیا جسے اس کے ذاتی سیکورٹی گارڈ نے اسمبلی میں قتل کر دیا تھا. گارڈ کا کہنا تھا کہ وزیر موصوف نے ایک عورت کو حاملہ کر دیا تھا اور اب اسے شادی پر مجبور کر رہا تھا. مگر سلمان تاثیر کے بارے میں یہ بات درست نہیں ہو سکتی تھی کیوں کہ وو اپنے گناہوں کو چھپانے کے عادی نہیں تھے. اس کے کرتوتوں سے مجھے اندازہ تھا کہ یہ توہین رسالت کے جرم میں ہی مارا گیا ہے.قتل کے فوری بعد میڈیا پر ایک طوفان بدتمیزی برپا ہو گیا. ملک ممتاز قادری (قاتل) کی قانون ہاتھ میں لینے پر مذمت شروع ہو گئی .اس سارے ڈرامے میں کسی نے یہ نہ کہا کہ قانون ہاتھ میں لینے کی پہل سلمان تاثیر نے کی تھی. جس نے سزا یافتہ گستاخ رسول آسیہ بی بی کو پھانسی سے بچا کر محفوظ مقام پر منتقل کروایا تھا. اور آئین میں موجود قانون کو کالا قانون کہا. اس وقت تو کسی نے اس کی مذمت نہ کی؟ کسی کو یاد نہ آیا کہ آئین کی بے حرمتی ہو رہی ہے. توہین عدالت کا بھی کسی نے ذکر تک نہ کیا. اب اچانک سب کو آئین یاد آ گیا. اچانک سے آئین میں موجود قوانین مقدس گائے بن گئے. ممتاز قادری کے لیے سزایں تجویز کرنے والے بھول گئے کہ ان ساری سزاؤں کے مستحق ان کے محبوب گورنر صاحب بھی تھے. اور عجیب بات یہ ہے کہ ہمارے ملک میں قانون کو ہاتھ میں لینے پر احتجاج صرف اس وقت ہوتا ہے جب کوئی کمزور شخص ایسا کرتا ہے. طاقتور کے لیے ایسا کرنا معمول کی بات ہے. اس لیے ایسی خبروں کو ہمیشہ نظرانداز کیا جاتا ہے. ہمارے معاشرے میں اس کی بہت سی مثالیں موجود ہیں. جن کا ذکر کر کے میں آپکا اور اپنا وقت برباد نہیں کرنا چاہتا. کچھ لوگوں کا خیال ہے کہ گورنر صاحب نے گستاخ رسول کی حمایت کر کے خود کشی کی تھی. کیونکہ ان ساری حرکتوں سے انہوں نے نہ صرف کروڑوں مسلمانوں کے جذبات مجروح کے تھے بلکہ انھیں یہ کہ کر اشتعال بھی دلایا تھا کہ میں ان سب احتجاج کرنے والوں کو اپنی جوتی کی نوک پر رکھتا ہوں. اس لیے وو اپنی موت کے ذمہ دار خود ہی ہیں. یا پھر وہ عدالتیں ہیں جو گورنر کو ان سارے جرائم پر سزا نہ دی سکیں. جس کے نتیجے میں ایک عام آدمی کو قانون ہاتھ میں لینا پڑا. سچ تو یہ ہے کہ سلمان تاثیر کے قتل کی مزمت صرف ٹی وی کی حد تک ہی محدود ہے. میں نے اپنے ارد گرد کوئی ایک بھی ایسا آدمی نہیں دیکھا جو اسے واقعے کو برا سمجتا ہو. بلکہ ساری عوام ایسے ناپاک گورنر سے چھٹکارا پا کر خوش نظر آتی ہے. بلکہ ان کا مطالبہ ہے کہ ملک ممتاز قادری کو نہ صرف غازی کہا جائے بلکہ فوری رہا بھی کیا جائے. اس مقصد کے لیے تمام دینی جماتوں کو مشترکہ تحریک چلانی چاہیے
 
Top