"Khuda agar dil fitrat shanas dey tujh ko
sakoot lala-o-gul se kalam paida kar"
insan ko dhoop achi laggi to saaye se nikal kar sooraj k saamne aa baitha, dhoop chubne laggi to saya talash kiya ,phir dhoop se, barish se, jangli janwaron, aur mohlik keeron se, bachne k liye jhaar jhankaar saaf kar k ghar bnaya gandagi ka ehsas hua to sfayi ki ehmiyat ko jana. ghar bnanae ki sayi may darkht kaate apne liye jaga bnayi aur apne ghar ki sfayi may mashghool ho gya magar apne ghar ki sfayi karte karte insan ye nazar andaz kar baitha k jin darakhton ka is ne sfaya kar diya unki ghair mojudgi ne mahol ko kis qadar aalooda aur aazarda bna diya!
qudrat ne jahan insan ko apni baish baha naimton se nawaza hay, ashjaar bhi unhi naimton may se aik azeem naimat hain! insan ki baish baha zaruryaat inhi janglaat ki marhoon-e-minnat hain,agar in janglaat ko manzar naame se ghaib kar diya jaaye to zindagi ka taswur bhi nhi kiya ja sakta. ye ashjaar hmari ghizayi zaruriyat k ilawa endhan, ghalla, phal ,phool, adwyaat fraham karne k saath saath bohat se janwaron aur parindon ka maskan ahin!
janglaat ka yhi husn-e-fitrat insan ki samaji, nafsiyati aur jamaliyati zindagi ki takmeel karta hay!
insani zindagi k safar may aik mukhlis, wafadaar aur muawan dost ki tara har jaga insan ko aaram pohanchane k liye mojud hain!
shajar kaari sunnat-e-nabvi(sallalau alaihe waalehi wasallam) aur deeni fareeza bhi hay!
"Hazrat Muhammad(PBUH) ne farmaya k agar tum bistar-e-marg par bhi ho aur tumhaare paas aik beej ho to usse bo do"!
aaj ki jadeed science ne jab ye sabit kiya k ashjaar saans laite hain aur is doran oxygen kharij karte hain, jo k jis k baghair zinda rehne ka tasawur bhi mumkin nhi ,insan k saans laina issi oxygen k baghair namumkin hay, is k saath saath mahol may mojud mohlik carbondioxide ko jazab kar k mahol ko saaf suthra aur khushgawar bhi bnate hain! to insan ko haqeeqtan ashjaar ki batadreej kam hoti ta'adad se apni zindagi ka khatra lahaq ho gya!
arkhton may kami waqea hui to insan fiza aaluda hone aur ozone teh may shigaf parne ki waja se mukhtalif beemarion ka shikar hota chla gya!
Pakistan ka shumaar bhi aise hi mumalik may hota hay jahan maholiyati aaludgi khatarnaak tareen soorat ikhtyar kar chukki hay, hamare haan maholiyati aaludgi ka sab se barra sabab darkhton ki bedarigh katayi hay! darkht jo k pakistan k sirf 5 feesad raqba par mushtamil hain unhe bhi bedardi se katta ja rha hay!
Magar maholiyaati aaludgi kisi aik mulk ka masla nhi hay darkhton ki beja aur bedarigh katayi ka ye amal poori dunya k tmama mumalik may jaari rha hay jis ne poori dunya ki fiza ko aaluda kar diya aur insani zindagi insani haathon ne khud hi khud pe tang kar li!
fiza ko aaluda karne k saath saath darakhton may kami k bays insano ki barri ta'adad aaj berozgaari ka bhi shikar thehri k jinka rozgaar zrayat se wabsta tha!
Insan apne liye aasaniyan dhundhne ki koshish karte huye ashjaar jesi masoom makhlooq-e-khuda ka be khauf-o-khatar qatal karta rha aur ye bhool gya k haqeeqtan insan apna hi qatal kar rha tha!
"Aey kaash tu samajh jata itni si to baat hay
ye qatl-e-shajar asal may qatl-e-hayat hay!"
Wasif SafiTooba Khan