Qatl-e-shajar asal may Qatl-e-hayat hay!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
"Khuda agar dil fitrat shanas dey tujh ko
sakoot lala-o-gul se kalam paida kar"
insan ko dhoop achi laggi to saaye se nikal kar sooraj k saamne aa baitha, dhoop chubne laggi to saya talash kiya ,phir dhoop se, barish se, jangli janwaron, aur mohlik keeron se, bachne k liye jhaar jhankaar saaf kar k ghar bnaya gandagi ka ehsas hua to sfayi ki ehmiyat ko jana. ghar bnanae ki sayi may darkht kaate apne liye jaga bnayi aur apne ghar ki sfayi may mashghool ho gya magar apne ghar ki sfayi karte karte insan ye nazar andaz kar baitha k jin darakhton ka is ne sfaya kar diya unki ghair mojudgi ne mahol ko kis qadar aalooda aur aazarda bna diya!
qudrat ne jahan insan ko apni baish baha naimton se nawaza hay, ashjaar bhi unhi naimton may se aik azeem naimat hain! insan ki baish baha zaruryaat inhi janglaat ki marhoon-e-minnat hain,agar in janglaat ko manzar naame se ghaib kar diya jaaye to zindagi ka taswur bhi nhi kiya ja sakta. ye ashjaar hmari ghizayi zaruriyat k ilawa endhan, ghalla, phal ,phool, adwyaat fraham karne k saath saath bohat se janwaron aur parindon ka maskan ahin!
janglaat ka yhi husn-e-fitrat insan ki samaji, nafsiyati aur jamaliyati zindagi ki takmeel karta hay!
insani zindagi k safar may aik mukhlis, wafadaar aur muawan dost ki tara har jaga insan ko aaram pohanchane k liye mojud hain!
shajar kaari sunnat-e-nabvi(sallalau alaihe waalehi wasallam) aur deeni fareeza bhi hay!
"Hazrat Muhammad(PBUH) ne farmaya k agar tum bistar-e-marg par bhi ho aur tumhaare paas aik beej ho to usse bo do"!
aaj ki jadeed science ne jab ye sabit kiya k ashjaar saans laite hain aur is doran oxygen kharij karte hain, jo k jis k baghair zinda rehne ka tasawur bhi mumkin nhi ,insan k saans laina issi oxygen k baghair namumkin hay, is k saath saath mahol may mojud mohlik carbondioxide ko jazab kar k mahol ko saaf suthra aur khushgawar bhi bnate hain! to insan ko haqeeqtan ashjaar ki batadreej kam hoti ta'adad se apni zindagi ka khatra lahaq ho gya!
arkhton may kami waqea hui to insan fiza aaluda hone aur ozone teh may shigaf parne ki waja se mukhtalif beemarion ka shikar hota chla gya!
Pakistan ka shumaar bhi aise hi mumalik may hota hay jahan maholiyati aaludgi khatarnaak tareen soorat ikhtyar kar chukki hay, hamare haan maholiyati aaludgi ka sab se barra sabab darkhton ki bedarigh katayi hay! darkht jo k pakistan k sirf 5 feesad raqba par mushtamil hain unhe bhi bedardi se katta ja rha hay!
Magar maholiyaati aaludgi kisi aik mulk ka masla nhi hay darkhton ki beja aur bedarigh katayi ka ye amal poori dunya k tmama mumalik may jaari rha hay jis ne poori dunya ki fiza ko aaluda kar diya aur insani zindagi insani haathon ne khud hi khud pe tang kar li!
fiza ko aaluda karne k saath saath darakhton may kami k bays insano ki barri ta'adad aaj berozgaari ka bhi shikar thehri k jinka rozgaar zrayat se wabsta tha!
Insan apne liye aasaniyan dhundhne ki koshish karte huye ashjaar jesi masoom makhlooq-e-khuda ka be khauf-o-khatar qatal karta rha aur ye bhool gya k haqeeqtan insan apna hi qatal kar rha tha!
"Aey kaash tu samajh jata itni si to baat hay
ye qatl-e-shajar asal may qatl-e-hayat hay!"

Wasif SafiTooba Khan
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalam u alaikum
mashaAllah,boht behtareen Article likha:-bd
boht aham baat ki tarf tawaju dilai hai ap ne,shajr'kari k dil'chasp mushghala hai jo dheer sare fawaid k sath mahool ki khoobsorati aur insani zehan k liye sakoon ka bais b bante hain,
aur dekha jaye to in darkhton ki zindgi me humare liye sabq b hota hai..jo dosro k liye thandi aur methi chaon ka bais bante hain,lehaza yeh humare liye ikhlaqi sabaq b rakhte hain
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam u alaikum
mashaAllah,boht behtareen Article likha:-bd
boht aham baat ki tarf tawaju dilai hai ap ne,shajr'kari k dil'chasp mushghala hai jo dheer sare fawaid k sath mahool ki khoobsorati aur insani zehan k liye sakoon ka bais b bante hain,
aur dekha jaye to in darkhton ki zindgi me humare liye sabq b hota hai..jo dosro k liye thandi aur methi chaon ka bais bante hain,lehaza yeh humare liye ikhlaqi sabaq b rakhte hain
thank u :)
n very very well said :-bd
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
kal parh k reply donge...abe tore dair ko i ho.
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
intekhab nhi hay safi bhaya/:)
in fact uni may ka competition tha article writing to us k liye likha tha maine khud :p
chlain ab meri tareef karain ;))
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
jin ka to nhi pta , meka koi zaati experience nhi :p
but raat ko plants k paas nhi sona chahiye q k raat ko carbondioxide release karte hain plants,,jis se oxygen kam ho jaati hay ird gird!
 

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
jin ka to nhi pta , meka koi zaati experience nhi :p
but raat ko plants k paas nhi sona chahiye q k raat ko carbondioxide release karte hain plants,,jis se oxygen kam ho jaati hay ird gird!
ap tau science pe believe karti hain. lekan aik dafa main darkhat kay neechay soya tha to mje bohat daranay khawab aye thay
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
aap ki kia baat hay g,, waise aise kayi dar to aapko mirror daikhte huye bhi lagte on gaye :p
ya ab to aap aadi ho gaye hain ;))

again jin waghaira ka muje nhi pta k darkton pe hi hote hain ya nhi,,,, jinnat ALLAH ki makhlooq hain kahi bhi ho sakte hain!{(popcorn)}
jaise aap hain TM pe ;))
 

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
,, waise aise kayi dar to aapko mirror daikhte huye bhi lagte on gaye :p
ya ab to aap aadi ho gaye hain ;))
jee haan... aik dafa main ayena dekh raha tha to ghalib bola

آئینہ کیوں نہ دوں کہ تماشا کہیں جسے
ایسا کہاں سے لاؤں کہ تجھ سا کہیں جسے
ghalib kehta hai... ayena hi hai jo dunia main meray hussan ka naimulbadal warna or dunia main itna or kahan se laon {}{98u
again jin waghaira ka muje nhi pta k darkton pe hi hote hain ya nhi,,,, jinnat ALLAH ki makhlooq hain kahi bhi ho sakte hain!{(popcorn)}
jaise aap hain TM pe ;))
waisay jin darkhon kay neechay hotay hai... jo bohat puranay darkhat hotay hain... kia ap ko pata hai
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hjain thori dair pehle aap keh rhe thay k darakht k neeche aap thay :s
abhi aap keh rhe ho darkhton k neeche jin hote hain :p
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waise ghalib uncle ko pta hota k unka shaer itni bedardi se istamal hoga to yaqeenana wo ye ghalti kabhi na karte ;)) {(popcorn)}
 
Top