Pari Collection

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
kabhe kabhe mere dil mein khayal ata hai
k zindagi teri zulfoon ki naraam chaown mein jo guzarne pati,
tou shadaab ho bhe sakti thi
yh ranj-o-gham ki seyahi jo dil pe chai hai
teri nazar ki showaun mein kho bhe sakti thi
magar yh ho na saka!!
aur ab yh aalam hai
k tu nahi ,tera gham teri justuju bhe nahi
guzar rahi kuch is tra zindagi hai jaise
ise kisi k sahare ki arzoo bhe nahi
na koi rasta,na koi manzil,na roshni ka suraagh
bhatak rahi meri zindagi
inhi andharun mein reh jaoun ga mein kho kar
mein janta hun meri hum nafas!!
magar yunhi kabhe kabhe
mere dil mein..................
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
wo bhoolne k taqzay na bhool paya koi
kisi ki yaad mein ro ro k muskuraya koi
dharaktay dil mein yhe aahat sunai deti hai
fareeb kha k koi fareeb khaya koi
andheeri raat k saaay, ghanaray ashak rawan
saray chasham se moti chrya laya koi
mein aitbarki dehleez pe raha barsoo
tha intezaar,magar loat k na aya koi...
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
kuch dostun ka karam kaam kar gaya
manzil se fasla humain gumnaam kar gaya

khush bakhti-e-naseeb ka tara ajeeb tha
roshan howa tou zindagi ki shaam kar gaya

kuch zindagi guzarne ka dhang tha mukhtilif
kuch naam hum ko bewaja bednaam kar gaya

wo shaks apne ishq ki qimat na de saka
aur hum ko rastay mein hi neelaam kar gaya

sang apny le gaya meri duniya ki roshni
aur lamhe be basi k mere naam kar gaya

FAROOQI apni oot mein chupty rahao gay tum
karna tha jis ne kaam sar-e-aam kar gaya
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
kia kahun us se k jo baat samajta hi nahi
wo tou milne ko mulaqat samajta hi nahi

hum ne dekha hai faqat khoab khuli ankhun se
khoab thi wasal ki wo raat samajta hi nahi

mein ne poanchyaa usee jeet k har khane mein
meri bazi meri maat samjhta hi nahi

dukh tou muj ko bhe judai ki ghari ka hai magar
ajj kyun sochain her ek baat samajta hi nahi

raat pawai ne usko bhe gaya hi nahi
raat kyun na kat sakti raat samajta hi nahi

shiree ka koi andaaz samajta hai unhain
wo mohabbat ki rivayaat samajta hi nahi
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
yhe mojza bhe mohabbat kabhe dekhiya mujhe
k sang tuj pe gire aur zakham aaye mujhe

mein apny paoun talay rondta hun saaye ko
badan mera hi sahi dhoop na bhay mujhe

wohi tou sab se zaida hai nukta chee mera
jo muskara k humasha galay lagay mujhe

mein apni zaat mein neelaam ho raha hun QATEEL
gham-e- hayat se keh do khareed laaye mujhe
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
dayr-e-noor mein tera shoubon ka sathi ho
koi tou ho jo meri washitun ka sathi ho

mein is se jhut bhe bolun wo muj se sach bolay
mere mizaj k sabhi mousmo ka sathi ho

wo mere naam ki nisbat se mubatibir tharay
gali gali meri rusiyun ka sathi ho

kare kalaam jo muj se tou mere lajhay mein
mein chup rahun tou mere tavarun ka sathi ho

mein apny aap ko dekhun wo muj ko dekhay jaay
wo mere nafas k ghumriyhiyun ka sathi ho

wo khoab dekhay tou dekhay mere hawlay se
mere khayal k sabhi manzrun ka sathi ho
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
kis se izher-e- madua kijeye
aap milte nahi kia kijeye?

ho na paya yh faisla ab tak
aap ki kijeye tou ki kijeye?

aap thay jis k chara gar wo jawan
sakhat bemar hai dua kijeye

ek hi fun tou hum ne sikha hai
jis se mileye usse khafa kijeye

hai takza meri tabyet ka
her ksi ko charigh pa kijeye

zindagi ka ajab mamla hai
ek lamhay mein faisla kijeye

milte rahieye isi tapak k sath
be wafai ki intha kijeye
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
wo ishq jo hum se rooth gaga
ab uska haal sunain kia?
koi mahar nahi koi qahar nahi
phir sacha sher sunain kia?
ek hijer jo hum ko lahaq hai
ta daar usse duharain kia?
wo zaher jo dil mein utar lia
phir usk naaz uthain kia
phir ankhain lahoo se khali hain
yhe shamin bughane wali hain
hum khud bhe kisi k sawali hain
is baat pe hum sharmayin kia?
ek aag gham-e-tanhai ki
jo sare badan mein phall gai
jab jism hi sara jalta ho
phir dama-e-dil ko bachain kia?
hum naghma sara kuch ghazalun k
hum surat gar kuch khoabun k
be jazba -e- shok sunain kia
koi khoab na ho tou batein kia?
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
tazad-e-jazbaat mein yh nazuk maqaam aya tou kia karo gay?
mein ro raha hun tum hass rahay ho mein muskuraya tou kia karo gay

mujhe tou is darja waqt-e rukhsat sukoo ki talkeen kar rahay ho
magar apne liay bhe soch mein yaad aya tou kia karo gay?

kuch apne dil pe bhe zakham khao mere lahu se bahar kab tak?
mujhe sahra banae walun mein larkharaya tou kia karo gay?

tumhare jalwun ki roshni mein nazar ki haryaniyen muslim
magar kisi ne nazar k badle dil azmaya tou kia karo gay?

abhe tou tanqeed ho rahi hai mere mazaq-e- junoo pe lakin
tumhari zulfoo ki berhami ka sawaal aya tou kia karo gay?

abhe tou daman chura rahay hobighar k QABIL se ja rahay ho
magar kabhe dil ki dharkanu mein shareek paya tou kia karo gay?
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
wo nazuk si larki jo duniya mein akar bohat roi thi
mujhe apni ek din kahani suna kar bohat roi thi
wo jo tasveer k chokhat mein khari ab bhe muska rahi hai
suna hai yh larki kahin duur ja kar bohat roi thi
khuda jane wi kaise hasaas jazbu ki deewangi thi?
zara si kisi baat pe wo muskura bohat roi thi
isee mein yaadun ki almari mein chpa kar rakha hai
wo jis geet ko barha gunguna kar bohat roi thi
bohat daar tak jisko hasna tha jeevan k lambe safar mein
bohat mukhtiser si zindagi ko bita kar bohat roi thi
usee shabanmi makhmali ghass se kisqadar pyar tha
hawa jis ki tarbat ki mitti ura kar bohat roi thi
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
ajj wo mudatat baad ayi hai bhe
bas yh kehne
jana!
mere sare khat louta do
sab tasveerin ,qalm,kitbayn
wapas kr do sare tohfay
muj se sab kuch maang ne wali
jate jate
mere kamre ki chokhat per
chor gai hai
" apna aap"

 
  • Like
Reactions: Sadia_khan

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
maa k naam.
yh kamyabien yh izet yh naam tum se hai
khuda ne jo bhe dia hai makaam tum se hai
tumhare daam se mere hain mere lahu mein khilty goollab
mere wajood ka sara nizaam tum se hai
kahan biset-e- jaan kahan mein kamsen -o- nadan
yh meri jeet ka sab ehtmaam tum se hai
jahan jahan hai meri dushmani ka sabab, mein hun
jahan jahan hai mera eithraam tum se hai........
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
apne ehsaas se choo kar mujhe sandal kar do
k mein sadyun se adhora hun mukamal kar do
is k saay mein mere khoab dhak uthayin gay
mere chehray pe chamak ta howa anchal kar do
masla hun tou nighain na chourao muj se
apni chahat se towja se mujhe haal kar do
apne gham se kaho her waqt mere sath rahay
ek ehsaan karo isko musalsal kar do
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
apna zamana aap banate hain ahal-e-dil
hum wo nahi hain jin ko zamana bana gaya



ab shehar mein iska badal hi nahi koi ersa jaan-e-ghazal hi nahi
eiwaan-e- ghazal mein lafzun k guldaan sajaoun kis k liay



uss ki akhari nazar mein ajeeb dard tha MUNIR
jane ka is k ranj mujhe umer bhar raha



ab jis k jee mein aaye, wohi roshni paay
hum ne tou jee jala k sar-e-aam rakh dia

tune bhe mere sath uthay hain dukh bohat
khush hun k rah-e-shoq mein tanha nahi hun mein



suboot-e-ishq ki yh bhe tou ek surat hai
k jis se pyar karin uspe tahmatin bhe dharin


jin ka taluq ho dil ki dharkan se
wo loog lajawab hote hain
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
kuch duur humare sath chalo
hum dil ki kahani keh dein ge
samjho na jise tum ankhun se
wo baat zubani keh dein gay
phoolun ki tra hoontun pe
ek shok-e- tabussam bikhray ga
hum phir se tumhare kanu mein
ek baat purni keh dein gay
izher-e-wafa tum kia jano!!!
iqrar-e- wafa tum kia jano!!
hum zikar karin gay gehrun ka
aur apni kahni keh dein gay
kuch duur
 
Top