NeW PrOvInCeS...!!!

  • Work-from-home

kya new PrOviNces bane cahiye ?

  • YeS

    Votes: 5 29.4%
  • nO

    Votes: 12 70.6%

  • Total voters
    17

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK

nice commnets shagird per me kuch batein yaha clear kerna chahta hun,

pakistan islam k nam per alag nai kia gaya tha, musalmano ki manority ko hindu majority se alag kerne k lie bana tha, ye do alag alag batein hain jo humare zehen me ek ghalat history bethi hui hai, islamic nizam to bht bad me laya gaya paksitan general zia-ul-haq k door me.

mene dekha hai k jab bhi koi lecture deta hai, about pakistan to wo yehi kehta hai k islam k nam per fata hone wala mulk hai pakistan hai to ye ghalat theory hai.

yaaro jago, pehle insaniyat jagao phir islam ko sahi tarha samjhogey.
To yeh naara kab bana ke PAKISTAN KA MATLAB KYA LA ILAHA ILLALLAH
agar shuru hi se mulk is hi matlab pe bassed huwa tab to islamic mulk ke
soch se bana tha hai naa???? aur last line bohot achhi lagi hum hain
beshaq musalmaan lekin insaan pehle hain humein yaad rakhni chahiye yeh baat
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E

after the defeat in 1937 Election Muslim League employed the Slogan ,Pakistan ka Matlab Kia La ilaha ilallah(Pakistan's meaning La ilaha ilallah) to attract the massive population which beard the religious sentiments.And hence with the help of ebverybody's cooperation (Right wings, Left wings ,Librals, Secularists)Pakistan was created in the name of Islam later to become Islāmī Jumhūrī-ye Pākistān under the Constitution of 1973
, kher ab bhi pakistan islamic republic hai, per naam ka. ye to bat ap mante ho na?
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK

after the defeat in 1937 Election Muslim League employed the Slogan ,Pakistan ka Matlab Kia La ilaha ilallah(Pakistan's meaning La ilaha ilallah) to attract the massive population which beard the religious sentiments.And hence with the help of ebverybody's cooperation (Right wings, Left wings ,Librals, Secularists)Pakistan was created in the name of Islam later to become Islāmī Jumhūrī-ye Pākistān under the Constitution of 1973
, kher ab bhi pakistan islamic republic hai, per naam ka. ye to bat ap mante ho na?
Sorry for late reply bhai ji haan maanta hoon aur yeh karwi baaton mein se hai{)^})
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513

nice commnets shagird per me kuch batein yaha clear kerna chahta hun,

pakistan islam k nam per alag nai kia gaya tha, musalmano ki manority ko hindu majority se alag kerne k lie bana tha, ye do alag alag batein hain jo humare zehen me ek ghalat history bethi hui hai, islamic nizam to bht bad me laya gaya paksitan general zia-ul-haq k door me.

mene dekha hai k jab bhi koi lecture deta hai, about pakistan to wo yehi kehta hai k islam k nam per fata hone wala mulk hai pakistan hai to ye ghalat theory hai.

ager pakistan islamic riyasat banaya gaya hota to na yaha 1947 k zamane se fil industries hoti, na modern fashion hota, na yaha western dress pehney wale log hote, n na hi gher muslims ko itne hi right milte jitne muslim ko. ager ap logu ko islamic republic dekhna ho to go n see saudia arabia, jaha sharia ka sahi kanoon hai, jahan aurtein drive tak nia ker sakti, koi theatre nai hai. koi fashion nai hia, ager wo kahien hum islamic republic hai to baat samj me ati hai.

we r just like turkey, indonesia, bangladesh, iran, oman, UAE, yemen,Egypt .
jahan muslim majorities hai n musalman bhi rehte hain, per islamic rules n regulation itne nazar nai atey.sirf kuch part hi apply kia hai in countries ne. we r just like them per fark itna hai k hum log khud sab jantey hue bhi khud ko islamic republic smajhte hain,

hum log kyu zia-ul-haq sahab k banae jhoti bato ko hi history samjh lete hain?
jinho ne islam k naam per sare ghalat kam kie?
aj hum un k hi nakshey kadam per chal rahe hain.
hum khud ko islamic keh ker islamic bato per porey kyu nai utar rahe?
kyu islam ka naam le ker hum ghalat kam ker rahe hain?

mera matlab kehne ka ye hai na ye country islamic hai na yaha k log islamic hai, her jaga lot mar katlo gharat ho raha hai phir hum kehte hain hum islamic republic of paksitan hai ap logu ko nai lagta k hum islam ka naam is tarha le ker islam ki toheen ker rahe hain?

hum aj apni barbadi ko kehte hain k is ki waja deen se doori hai?
per shayad ap sab ye bhi jante hain k jab hum ae they n jo humare buzurg they wo itne religious nai they, i know us waqt jab bodhey log ho jate they tab hi namaz or deen ki taraf jatey they, per ab mashallah yound young larke islamic scholars shok se ban rahe hain.n abhi pakistan me pehle se zada religious time hai.thx to islamic scholars n islamic jamats k hum me pehle se zada religious hai ab.

phir aj kya kami hai hum me?

insaniyat ki, humne apne dilo ko nafrato me lapet lia hai, hum aj namaz to 5 waqt ki perne lage hain per dil hi saaf nai? pehle k log mushkil se hi 5 waqt ki namaz perte they, per sukoon me rehte they y? kyu k un k dil saaf they un k iradey pak they, aj hum bhi iradey bhi pak kerne hai dilo ko saaf bhi kerna hai, phir humari yehi 5 waqt ki namaz hume sahi sukoon degi, n then hum khul ker keh sakenge k we r a muslim nation.or tab hi hum ye kehte ache lagenge.

my point is simple n valid

jo reality hia wo face karo.
jo history hai wo samjho,
jo ghaltia hai usey sudharo,
un se mun mor ker hum ek acha civilized country kabhi bhi nia bana sakenge,

rahi bat islamic republic ki to yes hum musalman hai or hume chaiye k islam ko agey le ker chalein kyu k ye humara deen hai, hume islam per lerna nai chaiye (like aj kla ek firka dosre firke se ler raha hai n only in pakistan ye ho raha hai)

ye nai hona chaiye tu shia me sunni, me deobandi tu barelwi, tum ahle hadees tum maha jir me pathan tum saraiki me punjabi, what is this? n then u call it islamic country?

yaaro jago, pehle insaniyat jagao phir islam ko sahi tarha samjhogey.
Wawwoooooo......Kya baat ahi....accha asar hua hai ap par meri baaton ka..isiliye kahte ahin k qabil aur aalim logon ki sohbat ikhtyar karo..
Well said Atif...Par Naaray toh yhi lagte ahin k Islamic Jamhooriayat Pakistan..
Apne sahi kaha k ek bhi Islamic Law yahan lagoo nahi hota...magar shar pasand logon ne isi Islam aur Muslim naam ka faida uthakar apas me humesha fasad barpa kiya hai..
apki ek aur baat acchi lagi k haqeeqat ka samna karo...jaise Ajj jab hum koi bhi Film Documetary Angrezon k khilaf banate hain...Firangiyo ne jis tarha Hindustan p Qabza kiya aur yahan k logon ki yahan ki mashiyat ki barbadi ka sabab bane toh khud British is baat ko tasleem karte hain..Angrezon ki barbariyat ki astan khud unki kitabon me unki history me maujood hai..Jo gahltiyan humse huin hain aur hum us haqeeqat ko jab tak tasleem nahi karenge tab tak hum kaise apne liye sahi raastay ka intqab kar paynge?
Soobay banane ka maqsad Mulk ki Taraqi na k apna ek zameen ka tukra lekar apni hukumat apni ijazaradari shuru kardo..
Baat to srf Nek niyati ki aut dusron ka dard dil me samjhne ki zarurat hai warna toh koi bhi amal bekaar hi hai...
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
yahan to lambi lambi taqareer ho rahi hain..
dunya ka kon sa mukal sakoon me hai..masail to har jaga hote hain,
girte hain shah sawar hi medan-e-jang me..

sari baatain choren hakumat ka to hum kuch kar nhi sakte.. infiradi tor pe hi ache musalman bnnane ki koshish kren to hum ache insan b ban jaye ge..or afrad se hi qoam banti hain..
alag soba banane se masail hal nhi hote..
Allah hume sahi mano me musalman or ek mukhlis pakistan bnaye..Ameen
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
han anu per sahi islam samjhne ki taufeeq ata farmaye,zarori nai k sirf ek mulla hi kaum ko sahi rasta dikha sakta hai, bul k ek modrate muslim or dil me sacha pakistani ka jazbat rakhne wala insan bhi sahi rasta dikha sakta hai.jese humare quaid they...
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top