Video Friends, Pls Share your memories of your first roza/fast.

  • Work-from-home

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Assalamoalikum frnds... :)

Ramzan Ul Mubarak ke hawale se ek thread le ke hazir huwi hoon...:)

is me aapko batana hai ke aapne apna pehla roza kab rakha tha..aur us mauqe per kya kya ehtemam kiya gaya tha...aapki kya feelings rahi roze ke dauran...ammi abbu aur baqi logo se kya kya gifts mile...bus aapko apne pehle roze ki yaden taza karni hogi yaha hamare sath...:)
to frnds kesa idea hai ????

karenge na apne pehle roze ki yaden taza...;;)

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
waise toh jab mein choti thi
toh mujhe bht shoq tha aur acha lagta tha roza rakna....like sehri ko uthna n iftari k lie itna intezar
lekin tab mein bht choti thi aur abbu nhi rakne dete thay
but phr bhi ek month k 3 din mein ne roza rake..just to practice:)
aur jab sahi time aya roza rakne ka toh pahle sehri mei bht excited thi
lekin kyun k mein school bhi jate thi aur special computer and english classes bhi thay afternoon k tab, toh bht tough laga mujhe n roza laga mujhe...aur jab school se ati thi toh itni weakness hote the k mein namaz parh k so jate thi aur phr next namaz k lie uththi thi...
then ahsas hua k jo log Roza rakte hai unka mood ajeeb kyun hota hai:p
Lekin ab toh normal hai ALlah k karam se bht acha guzar raha hai:)
 
Masha Allah bohat acha laga jan ke sana...han yar roza to bohat lagta hai...per mare shauq ke sab bardasht kar lete hain bache... :)
 
~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
wawoooo...Mash'Allah very nice thread Amreen siss...
Meine pahla roza nearly 6 yrs ki age me rakha tha....
Tafseel kal bataungi k kya hua tha and hw my parents were so happy aur mujhe kya kya gifts mile...
 
  • Like
Reactions: Amreen

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
wawoooo...Mash'Allah very nice thread Amreen siss...
Meine pahla roza nearly 6 yrs ki age me rakha tha....
Tafseel kal bataungi k kya hua tha and hw my parents were so happy aur mujhe kya kya gifts mile...
thx bahaar main intezar karoongi... :)
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
waise toh jab mein choti thi
toh mujhe bht shoq tha aur acha lagta tha roza rakna....like sehri ko uthna n iftari k lie itna intezar
lekin tab mein bht choti thi aur abbu nhi rakne dete thay
but phr bhi ek month k 3 din mein ne roza rake..just to practice:)
aur jab sahi time aya roza rakne ka toh pahle sehri mei bht excited thi
lekin kyun k mein school bhi jate thi aur special computer and english classes bhi thay afternoon k tab, toh bht tough laga mujhe n roza laga mujhe...aur jab school se ati thi toh itni weakness hote the k mein namaz parh k so jate thi aur phr next namaz k lie uththi thi...
then ahsas hua k jo log Roza rakte hai unka mood ajeeb kyun hota hai:p
Lekin ab toh normal hai ALlah k karam se bht acha guzar raha hai:)
apki umer kya thi us waqt muhtarma?
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
well mene jab pehle roza rakha i was 5 yrs n some months{(thinkg)}
or mene 1 nai 2 nai porey porey 6 rozey rakhe they {(nea)}

first roza,

phir 4 jume ko 4 roza

phir last day ka roza

kul mila ker 6 rozey,

wese pichle sal jab me 4yr ka tha to tab mene inkalab ki awaz uthai thi k me ko bhi roza rahkna hai per us waqt gher walu ne pata ker kaha ok rakhlena porey 30 rakhlena, n jab mene sehri ki to bara khush hua, phir jab school k lie utha to mom ne breakfast me toast laga ker dia, mene kama mama mera to roza hai to mum ne kaha han hai per khaney piney ka roza hai{(nea)}
is tarha mujhe porey 30 rozey pata dia n kaha k tumare bhi porey rozey hogae...wo to eid per pata chala k me ko pataya tha sab ne{(nea)}

phir next yr jab me 5yr ka hua to zid ki to rakhne dia tha...n mene 6 rozey rakhe they...
well pehla roza itna maze se guzra pata bhi nai chala,
bas last time jab gher me iftari ban rai thi n samosey fry ho rahe they to dil k sath sath peth me bhi kuch kuch ho raha tha...
{(haha})
n last rozey me me zara confident hogaya tha k dekha me bhi roza rakh sakta hun, n isi confident me fridge se pani nikal ker ghalti se pi gaya tha {(doh)}
phir sab bhaio ne bht daraya k ab tumara roza tot gaya n bara hasey bhi, {)^})

wo to aapi ne kaha k kuch nai hua chanda apka roza sai hai, jab koi ghalti se pani pi leta hai to roza nai totta phir humari nani c jan me jaan ai {(haha})

kher gifts me bht kuch mila,
mujhe bht sare pese bhi mile, dad ne mom ne diye, khiloney bhi bht miley jin me, aeroplane jo aj tak hai per afsos kabhi ura nai zameen per hi chalta raha {(doh)}
or train jo bina patri k chalti hai or sirf gol gol ghumti hai{(haha})

me nani ka ladla tha n nani us waqt zinda bhi thi to nani ammi ne mere sir pe hath rakh k mujhe bht sari duaein di thi jo sab se bara gift tha n abhi tak mere sath hai
that was the most precious gift of my life cuz agley ramzan nani humare sath nai thi,per unka gift humesha mere sath rahega:)
 
Top