yeh to koyi baat na huyi.... itnay din se main ne sabar kiya reply k liay aur aap ne do lafzoN mein kahani bta disabr karke
yeh to koyi baat na huyi.... itnay din se main ne sabar kiya reply k liay aur aap ne do lafzoN mein kahani bta disabr karke
jee to wohi jawab hua jo upar diya hai ham netalluq ....... jaise dosti ka talluq , jaisay koyi khooni rishtay ka talluq hi samjh lijiay k kuch log apni harkaton ya aadaton ki waja se na qabil e bardasht ho jaayen to kiya karna chahiay.
ab ye to aap ya phir aap jaise buzurg ko hi sahi se pata hoga @Hoorainaankh oujhal pahaR oujhal shaayed isi liya kehtay hain
seerat agar dikhti to shakal pe bhala kaun jaatashakal o soorat par mat jaaiay... seerat dekhiay dehi baRon ki.............
javab to mil gaya tha lakin talluq ki wazahat ki thi apni tarf se k main ne kiya soch k aisa sawal kiya tha.jee to wohi jawab hua jo upar diya hai ham ne
aisa aksar hota hai chahe wo khooni rishte ho ya dosti ka aise halaat ka samna hota hai zindagi me to rishte todhne ki bajaye koi aur rasta dhundna behtar hai koi tarkeeb ya phir yun ke banda ignore kare lekin salam dua rakhe kabhi mil liya kare bas wahin tak
yeh bhi sahi hai............... lakin kabhi kabhi buzarg bhi bachay ban kar apnay buzurgon se kuch pooch lein to koyi harj hai kiya ?ab ye to aap ya phir aap jaise buzurg ko hi sahi se pata hoga @Hoorain
mujhe dehi baray yaad karwa k kitchen mein janay par majboor kar diya aap neseerat agar dikhti to shakal pe bhala kaun jaata
jeeyeh bahot achi baat hai.
bohot galat sawal aaya hai jee balke ganjon ko hi nakhun zyada hote hainyoonhi aik sawal zehan mein aaya to socha aap se hi pooch lon..
Khuda ganjay ko nakhun kyun nahi deta?
kahin main ne ghalti se zakhmoN ko tar o taaza to nahi kar diyajee
bohot galat sawal aaya hai jee balke ganjon ko hi nakhun zyada hote hain
loji hamari lathi hamare ser pekahin main ne ghalti se zakhmoN ko tar o taaza to nahi kar diya
Khuda na Khvasta KaiN Aap Farighulbaal To Nahi HaiN?
@Hoorain siso aap ne to mujhe @Shiraz-Khan se poochne ka bola tha
ChuTiyaN Khatam Ho Gayeen..... Apna Homework Dikhaiay @saviou MohtramGalay para dhol bajana hi paRta hai
4 din ki chandni phir andheri raat hai
kiya pidi kiya pidi ka shorba
Gardan phansana
aag laga kar tamasha dekhna
naiki barbaad gunah lazim
niya fitna uThaana
oonch neech
aao dekha na taao
jahaN seeng samaayeN
Sher aur bakri aik ghaaT pani peete haiN
khala jee ka ghar nahi
unees bees ka farq
sheeshay mein utarna
jaan hai to jahan hai
bakray ki maaN kab tak khair manaey gi
aasteen ka saanp
khoon paseena aik karna
bili choohay ka khel
jalebi ki tarah seedha hona
yeh kuch mahavaray diay hain... aap ne aik tehreer ya kahani kuch bhi keh lein... likhni hai aur inn mein se zyada se zyada mahavaray istmaal karnay hain. hasb e zarorat khud se bhi add kar saktay hain, tehreer zara hat k honi chahiay. yoon samjhiay k khoob chatkharay dar.. mazaydaar qisam ki.
jaldi ki zarorat hargiz nahi kyunkay jaldi ka kaam ..... acha nahi hota.
aap ka time shuruu
@saviou