Yeh Mehfil Jo Aaj Saji Hai........ Mohtram Saviou

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Bahot shukria @saviou mohtram tafseeli javab k liay.
jee bilkul jab insaan maanay k us ne jo kiya woh ghalat hai tabhi us ghalti se seekh pata hai.
jee bilkul :)


waah kiya khoobsorat baat kahi hai khyaali duniya..... bahot khoobsorat hoti hai na khyaali duniya?
haan ji bohot khubsurat balke bohot se zyada lekin hoti mukhtasar balke khayal abhi poora bhi nahi hua k toot jaati hai ya ojhal ho jaati hai
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
jee bilkul :)




haan ji bohot khubsurat balke bohot se zyada lekin hoti mukhtasar balke khayal abhi poora bhi nahi hua k toot jaati hai ya ojhal ho jaati hai
aankh oujhal pahaR oujhal shaayed isi liya kehtay hain
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
touba touba kyun...... mirchen zyada to nahi theen is mein =))

jee dehi baray hain aur maash ki daal k....
mujhe banana acha lagta hai aur zeera bhi is mein dalna . is liay apni plate mein daal liya . aur ap logon ko bhi wohi paish kiya kyunkay jo cheez khud ko pasand ho wohi dosron k liay bhi pasand karni chahiay @saviou @Shiraz-Khan @Hoorain
nahi jee mirchi to barabar hi hogi jab aap banaye hon to aur zaikha bhi acha hi hoga aur dahi baray to mash ki daal ke hi ache hote hain

bas shakal o surat se dahi baray nahi lag rahe the na to isliye puche :p
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
nahi jee mirchi to barabar hi hogi jab aap banaye hon to aur zaikha bhi acha hi hoga aur dahi baray to mash ki daal ke hi ache hote hain

bas shakal o surat se dahi baray nahi lag rahe the na to isliye puche :p
shakal o soorat par mat jaaiay... seerat dekhiay dehi baRon ki............. {(bye)}
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
kayi baar aisa bhi hota hai k banda khud to mazaq kar leta hai asaani se... lakin jab koyi doosra mazaq karay to bardasht nahi kar paata ya acha nahi samjhta... ap to aisa nahi kartay na?
ham samne wale bande se had me reh kar mazakh karte hain aur koi ham se mazakh kare bhi to yehi umeed karte hain k had me reh kar hi mazakh kare :)

hudood ko phailangna hame pasand nahi
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
mukhtasar javab to humein @Hoorain siso se bhi mila.... ap se thoray tafseeli javab ki umeed thi, mujhe khushi nahi ghum mila :D
dekhen khushi har wo choti cheez hoti hai jis se insaan dili khushi mehsoos kare chahe bachon ki muskurahat dekh kar ho ya kisi shukriya adaa karne par ho

khud k koi ache amal par ho ya dusron ki khushi dekh kar ho Allah ki ibadat se ho kisi koi burayi se rokne se ho almuhim har amal bil maroof aur nahi anil munkar se jo ahsas ho wo bhi khushi hai :)

gham kisi ke dukh dene se hota hai khud ke bure amal se bhi hota hai koi galat kaam k pachtawe se kisi k bichar jane se apno ki kami se bohot saare wujhuhaat hain
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
ham samne wale bande se had me reh kar mazakh karte hain aur koi ham se mazakh kare bhi to yehi umeed karte hain k had me reh kar hi mazakh kare :)

hudood ko phailangna hame pasand nahi
yeh bahot achi baat hai.
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
yoonhi aik sawal zehan mein aaya to socha aap se hi pooch lon..

Khuda ganjay ko nakhun kyun nahi deta?
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
dekhen khushi har wo choti cheez hoti hai jis se insaan dili khushi mehsoos kare chahe bachon ki muskurahat dekh kar ho ya kisi shukriya adaa karne par ho

khud k koi ache amal par ho ya dusron ki khushi dekh kar ho Allah ki ibadat se ho kisi koi burayi se rokne se ho almuhim har amal bil maroof aur nahi anil munkar se jo ahsas ho wo bhi khushi hai :)

gham kisi ke dukh dene se hota hai khud ke bure amal se bhi hota hai koi galat kaam k pachtawe se kisi k bichar jane se apno ki kami se bohot saare wujhuhaat hain
ab matlooba wazahat ki aap ne..... KHush rahiay aur khushiyaN bantiay .
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Galay para dhol bajana hi paRta hai
4 din ki chandni phir andheri raat hai
kiya pidi kiya pidi ka shorba
Gardan phansana
aag laga kar tamasha dekhna
naiki barbaad gunah lazim
niya fitna uThaana
oonch neech
aao dekha na taao
jahaN seeng samaayeN
Sher aur bakri aik ghaaT pani peete haiN
khala jee ka ghar nahi
unees bees ka farq
sheeshay mein utarna
jaan hai to jahan hai
bakray ki maaN kab tak khair manaey gi
aasteen ka saanp
khoon paseena aik karna
bili choohay ka khel
jalebi ki tarah seedha hona
yeh kuch mahavaray diay hain... aap ne aik tehreer ya kahani kuch bhi keh lein... likhni hai aur inn mein se zyada se zyada mahavaray istmaal karnay hain. hasb e zarorat khud se bhi add kar saktay hain, tehreer zara hat k honi chahiay. yoon samjhiay k khoob chatkharay dar.. mazaydaar qisam ki.
jaldi ki zarorat hargiz nahi kyunkay jaldi ka kaam ..... acha nahi hota.
aap ka time shuruu :happyrun

@saviou
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
ham neem hakeem thori na hain :p
waise ye bas kahawat hai jaise dil khol k kaho kehte hain waise /:)
Dil Khol K To Dikhaya Ja Sakta Hai Balkay Dil To Cheer K Bhi Dikhaya Ja Sakta Hai Lakin Zehan Khulne K Baad apnay Kaam Ka Nahi Rehta To Kisi Doosre Ka Kiya Bhala Karay Ga Bhala.....:mad:
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jee to aik sawal ajur aaya hai...

kiya aap is baat se itfaaq karte hain k

taaluk roag ban jaey to uss ka TooTna acha

kartay hain itfaaq to waja btaaiay
nahi kartay to bhi waja btaaiay.


@saviou

agar talluq jayez hai to phir usko torna nahi chahiye na tootna chahiye balke sabr aur tahammul hona zaroori hai aise rishte ya aisa talluq nibhate huye

agar talluq na jayez hai to phir uska toot jaana zaroori hai

behre haal agar jawab sahi hai to prhi theek nahi to aap sawal ko aur wazeh kar sakte hain misal deke
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Dil Khol K To Dikhaya Ja Sakta Hai Balkay Dil To Cheer K Bhi Dikhaya Ja Sakta Hai Lakin Zehan Khulne K Baad apnay Kaam Ka Nahi Rehta To Kisi Doosre Ka Kiya Bhala Karay Ga Bhala.....:mad:
to phir aisi zahen wale raaz bolne hi nahi chahiye warna log to bahane dhundte hain cheer pharne ke :p
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
agar talluq jayez hai to phir usko torna nahi chahiye na tootna chahiye balke sabr aur tahammul hona zaroori hai aise rishte ya aisa talluq nibhate huye

agar talluq na jayez hai to phir uska toot jaana zaroori hai

behre haal agar jawab sahi hai to prhi theek nahi to aap sawal ko aur wazeh kar sakte hain misal deke
talluq ....... jaise dosti ka talluq , jaisay koyi khooni rishtay ka talluq hi samjh lijiay k kuch log apni harkaton ya aadaton ki waja se na qabil e bardasht ho jaayen to kiya karna chahiay.
 
  • Like
Reactions: saviou
Top