Wo To Khwab Tha

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)
doston bohot dino baad ham phir se apne toote phoote kalaam ke sath hazir hain
ye hamne takreeban 8 mahine pehle likhe the lekin tarteeb baki thi aur ab iski tarteeb kiye aur sath me kuch radd o badal bhi isme kuch alfaz chun ne me anaaya ne thora sath diya aur isko achi shakal dene me yane design sabah ka hai

ye hamne ek khwab ke upar ghazal likhi hai jisme banda khwab me apni maut ko kareeb se dekhta hai aur phir jab wo jagta hai to rabb ka shukar aada karta hai aur aisi afaat na aye kabhi dua karta hai

umeed hai apko pasand aayegi :)
jazakallah khair

Aaj Eik Sawaal Sa Uttha Hai Mere Mann Me
Ye Kashmkash Si Kya Ho Rahi Hai Jeewan Me
Soch Soch Kar Main Ho Rahaa Hun Hairaan
Kya Ye Sach Hai Main Nahi Hun Is Jahaan Me
Barass Rahaa Hai Baadalon Se Paani Lekin
Kyun Shola Sa Phir Uttha Hai Tan Mann Me
Kyun Bhaag Rahaa Hun Mainn Khud Se Door
Ye Ajeeb Si Kaifiat Kaisi,Kyun Hun Uljhan Me
Ye Zorr Zorr Sse Aati Aawazen Harr Taraff
Lag Raha Hai Jaise Main Hun Shamshan Me
Phir Jab Aankh Khuli To Khila Chehra Meraa
Wo To Khwaab Tha Haqiqat Na Thi Anjaan UsMe
Milaa Tab Qalb Ko Sukoon, Hai Zindagii Baki
Warna Kya Leke Jata, Ye Khote Sikke Daman Me
Rabb Ke Aage Tah e Dil Se Dua'go Hai Nasir
Naa Aaye Phir Kabhii Aisi Aafat Jeewan Me
aur ye jo pehle likhe the changes se pehle
Aaj Ek Sawal Sa Utha Hai Mere Mann Me
Ye Kashmkash Si Kya Ho Rahi Hai Jeewan Me
Soch Soch Kar Main Ho Raha Hun Hairan
Kya Ye Sach Hai Ya Main Nahi Hun Hosh Me
Barass Rahaa Hai Baadalon Se Paani Lekin
Kyun Shola Sa Phir Utha Hai Tan Man Me
Kyun Bhaag Rahaa Hun Mian Khud se Door
Ye Ajeeb Si Kaifiat Kesi,Kyun Hun Uljhan Me
Ye Zorr Zorr Sse Aati Aawazen harr taraf
Lag Rahaa Hai Jaise Main Hun Shamshan Me
Phir Jab Ankh Khuli To Khila Chehra Mera
Wo To Khwaab Tha Na Thi koi Haqeeqat Usme
Mila Tab Qalb Ko Sukoon, Hai Zindagi Baki
Warna Kya Leke Jata Darbar e Khuda Wand Me
Rabb K Aage Tah e Dil Se Dua'go hai Nasir
Na Aye Phir Kabhi Aisi Aafat Jeewan Me
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalm u alaikum
boht arse baad apki ko shairy parhne ko mili..:)
boht umdah..
boht ache andaz me ap ne ek khawb ko shairy ka sahara lete huve bayan kia hai..mashAllah..
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~ and Habeel

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Bohot khoob bhai jan kya khoob andaz se aapne khwaab ko
ghazal mein bayaan kiya maza aa gaya bohot hi umdaah

Rehmat e khushi ko har koi karna chahe apna
phir kyun rehmat e ghum ko har koi karna chahe sapna

***S_ChiragH***
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
walikum asalam,
hmm mashaAllah kia bat hay bro apki,sacche apki shayre bht ache hote hay....
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Walikum salam janab....
Bahut acche khayalath ko apne paiwande ghazal kiya hai..
Urdu ,hindi ka khubsurat sangam...Umda..
Agar tanqeedi nigah se dekha jaye to kuch ghaltiyan hain
Mizaj e nazuk p giraan na guzre to Tashee karun?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Walikum salam janab....
Bahut acche khayalath ko apne paiwande ghazal kiya hai..
Urdu ,hindi ka khubsurat sangam...Umda..
Agar tanqeedi nigah se dekha jaye to kuch ghaltiyan hain
Mizaj e nazuk p giraan na guzre to Tashee karun?
shukran mohtarma :)
zaroor hame to iska hi intezar tha
isse hame galti ko sudharne ka mauqa milega
zaroor tashee karen dagh dehelwi saheba :)
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


shukran mohtarma :)
zaroor hame to iska hi intezar tha
isse hame galti ko sudharne ka mauqa milega
zaroor tashee karen dagh dehelwi saheba :)

Maaf kijiyega magar hum kahne p majbur hain jo jo isme khamiyan ya tishnagi hume mahsus hui..



Mann,Jeewan,Jahaan,Anjaan,Shamshan,Uljhan,Daman jaise alfaz humwazan nahi hain..
Apne srf akhiri harf ''NOON'' Ka khayal rakha,lafzon ki eksaniyat aur wazan ko madd e nazar nahi rakha gaya

YE ZORR ZORR SI ATI AWAZEN HAR TARAF
AISE LAGRAHA JAISE MEI HUN SHAMSHAN ME
Yahan par pata nhi kyun apne Zor o shor ko Shamshan se jora hai jabkay Shamshan ka dusra naam hi sukoot,khamoshi

Ye lafz Shamshan Ya Qabrastan k maanay hi khamoshi k hain..khair ye apka takhayul..

PHIR JAB ANKH KHULI TO KHILA CHEHRA MERA
WO TOH EK KHWAB THA HAQIQAT NA THI
ANJAAN USME

Ye sher apki sari ghazal ki akkasi karta hai aur isme apne garbar kardi janab..
ANJAN USME se koi bamanay sher nahi ban raha..
Is Sher ko aise hona chahiye tha..


PHIR JAB ANKH KHULI TO KHILA CHEHRA MERA
WO TOH EK KHWAB THA HAQIQAT NA THI
PINHAAN USME

Mazerath k sath......Im Extremely sorry
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
bohot shukriya mohtarma isme mazirath kaisi :)
agar ap khamian nahi batayenge to ham sudharenge kaise

waise ye pinhaan kya hai ?

aur shamshan se murad shamshan jaana hi nahi balke wahan jane se pehle ird gird ka jo mahol hota hai usme aksar zorron ki awazen sunayi deti hain to wo hamne dhyan me rakha tha

waise har insan apni soch se sochta hai
zaroori nahi jaise hamne soch kar likha ho waise aap bhi samjhe
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Ji Ji isiliye to kaha k apka takhayul...

Pinhaan k manay hain paiwast hona ,miljana

apke wo khyalath khwab thy haqeeqat me pinhaan nhi thy...
Umeed k apko humari tanqeed buri anhi lagi hogi..
Waise likhte rahen..apne bahut din baa qalam uthaya hai...
Umda likhte hain..
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Ji Ji isiliye to kaha k apka takhayul...

Pinhaan k manay hain paiwast hona ,miljana

apke wo khyalath khwab thy haqeeqat me pinhaan nhi thy...
Umeed k apko humari tanqeed buri anhi lagi hogi..
Waise likhte rahen..apne bahut din baa qalam uthaya hai...
Umda likhte hain..

jee bilkul bhi buri nahi lagi
aur ap hain bhi hamare liye dagh dehelwi
aur jaise ke upar hamne kaha hai ye 8 mahine pehle likhe the bas thora rad o badal karke post kiye hain

aur inshaAllah zaroor likhte rahenge thokar nahi lagegi to sambhlenge kaise
aur hamara maqsad hota hai bas apne khayal ko bayan karna aur koshish hoti hai ke isko shayari ki shakal desaken :)
 
Top