*~TM Poet Competition- Sep 2011 ~*

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hmmm..3 days hain kabi..itne din me wapis aa jayen ge..:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
2 din baki hain...baki members b jaldi apni sharing kren..:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wohi Sawan Hai Wohi Angan Hai Par Tu Nahi


Wohi Sawan Hai Wohi Angan Hai Par Tu Nahi
Wohi Mausam Hai Wohi Main Hun Par Tu Nahi

Kitna Pyara Kitna Haseen Hai Ye Samaa Dekho
Thandi Hawayen Mehki Fizayen hain Par Tu Nahi

Ghani Sham Hai Chirion Ki Gungnaht Bhi Hai
Sarrd Raat Ki Alaamat Hai Isme Par Tu Nahi

Taras Rahi Hain Meri Ankhen Na Jaane Kyun
Tujhe Dekhne Ki Aarzoo Hai Shayad Par Tu Nahi

Dil Keh Raha Hai Baraste Pani Ko Dekh Kar
Main Nachun Main Jhumun Main Gaaun Par Tu Nahi

Bheeg Jaata Main Khoob Aaj Is Barsaat Mein
Kho Jaata Is Chamann Mein Kahin Par Tu Nahi

Pani Ki Har Boond Mere Dard Badha Rahi Hai
Aye Kash Ke Tujhko Ho Iski Khabar Par Tu Nahi

Qatra Qatra Mere Dil Me Pyas Badha Raha Hai
Dil Ki Pyaas Bujhaalun Main Abhi Par Tu Nahi

Bataaun Kaise Usko Kitna Bechain Hun Main Yahan
Wo Bhi Soch Rahi Hogi Sunaun Ye Baat Par Tu Nahi

Barish Bhi Ruk Gayi Savera Bhi Hone Ko Hai Nasir
Thak Gaya Hun Main Ab Ye Kehte Kehte Par Tu Nahi
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Aj raat 12 baje thread close kar diya jaye ga..
 

Khwahish

Super Star
Jul 9, 2010
10,367
2,827
1,313
28
Peshawar
here is my poetry
hope u all are like this:):):):):):):):)
aaj bohat din baad suni hai BARISH ki awaz
aaj bohat din baad kissi manzar nay rusta roka hai
rim jhim ka malboos pahan kar yaad kissi ki aaye hai
aaj bohat din baaad achanak aankh younhi bhar aaye hai
Ankh aur manzir ki wus'at mein charon janib barish hai
Aur barish mein, duur kahin ik ghar hai jis ki
Ek ek eent pe terey merey khwab likhey hain
Aur us ghar ko janey wali kuch galiyan hain
Jin mein hum dono ke saye tanha tanha bheeg rahey hain
Darwazey per qufl para hai aur dareechey sooney hain
Deewaron per jami hui kai mein chup kar
Mausam humko dekh rahe hain
Kitney badil, hum dono ki ankh se ojhal
Baras baras kar guzar chukey hain...

Ek kami si,
Ek nami si,
Chaaron janib phail rahi hai,
Kai zamaney ek hi pal mein
Baham mil kar bheeg rahey hain
Andar yaaden sookh rahi hain
Bahir manzir bheeg rahey hain!!!


 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
khawahish siso yahan apni likhi huvi poetry share karni hai Dear:)

ye TO Amjad Islam Amjad ki hai na..
 
Status
Not open for further replies.
Top