History Taqleed Kya Hai,kya Taqleed Durust Hai ??

  • Work-from-home

shizz

Active Member
Sep 26, 2012
157
390
113
pakistan
azeezam shizz sb, taqleed ka maani patta drust hai magar patta kis liye kisi ke gale main daala jaata hai aur kon daal raha hai behs is baat se mutalqa hai. insaniyat ke gale main patta khud khudaa ne daala hai apne dastooro qawaneen ka. jaise aik jaanwar ke gale main patta baandha jaata hai us ko kisi ghalat simt jaane se rokne ke liye isi tarah khudaa ne bhi insaanu ko apne kisi maqsad ke liye peda kiya hai aur us ne in ki hidayat ka bhi bandobast kiya. in ko yun hi khula nahin chhor diya balkeh in ko quran se baandh diya. takeh idhar udhar bhatakte na phiren. is liye jo khudaa ka patta apne galae main daale le ga gumrah na ho ga aur jo kisi aur ka patta apne gale main daal le ga woh jaane aur us ka kaam jaane.

yahee wajah hai jo taqleed gumrah kare woh ghalat hai aur jo seedhi rah ke saath baandhe rakhe woh drust hai. aik tarah ki taqleed main ummat ki tabahi aur barbaadi hai aur doosri tarah ki taqleed ke bagher ummat ko chaara hi nahin.

Jahan tak quran main is maade ke istemaal ka taaluq hai woh doosri jaga chaabi ke maani main istemaal huwa hai. chaabi kisi taale ko yaa kisi raaz yaa khazaane yaa museebat ko kholne ke liye hoti hai. ummat agar ummat ban kar kaam kare to is par bahot se taraqi aur khushhaali ke raaste khulen ge warna museebatun ke raaste is par khulen ge. aaj ke halaato waqiyaat ko dekh kar har koi andaaza lagaa sakta hai ummat khushhaal hai ya badhaal, isi liye yeh faisla karna mushkil nahin hai ham drust raatse par hen yaa ghalat raaste par. yani hamaari taqleed ham ko kis taraf le jaa rahee hai. zaroorat is baat ki hai ham apna qibla drust kar len.

regards and all the best.
pehli bat to yeh k mai sahab nhi sahiba hon, ye bat main ne apko shayad ap logon k forum pr b btai thi agr apko yad ho to ...
or dosri bat ye k ap ne kaha k Allah ne insan k galay main patta bandha hai kis qadar ghalat bat ap keh rhe hain apko pata b hai, nabi s.a.w ki ataat hmare lye baes e fakhr hai hmare galay ka patta nhi, patta janwaron k galay main dala jata hai insanon k galay main nhi, agr koi apne ap ko janwar samjhe to wo taqleed ka patta dal le apne galay main,
taqleed k baray main jante hue b k iska matlab kitna ghalat hai log ise sahaba karam ki taraf mansoob krte hain naozubillah, Allah hm sbko hiadayat de or taqleed ka patta nikal kr nabi s.a.w ki ataat se zindagi ko khoob soorat bane aameen.
main in shaa Allah hadees b post krongi jis main taqleed ka lafz janwar k patte k lye istemal kia hai nabi s.a.w ne
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Hummmmmm @shizz sister inhone ab tak baaaton
ke ilaawa kuch kiya hi nahin eik hi post me bol rahe
hain ke taqleed ghalat aur sahi hai chorh do inhen
inke haal per jinhen ALLAH uske Rasul alaehe salam
sahaba e ikram radiallah anho aaiyma karam
ulma e akabireen rehmatullah alaehem ki na sunte
huwe taqleed karni hai unki apni marzi .
 
  • Like
Reactions: shizz

i love sahabah

TM Star
Sep 17, 2008
1,108
1,572
1,313
تمام مسلمانوں کو السلامُ علیکم
چراغ بھائی سب سے پہلے یہ کہنا چاہتا ہوں کہ اختلاف اپنی جگہ لیکن اختلاف کی وجہ سے مسلمانوں کو جہنمی کہنا اور قرآن اورحدیث کا دشمن کہنا کون سی تحقیق سے ثابت ہے.......
جب مسلمانوں کے سب سے بڑے مسلک کو قران اور حدیث کا دشمن اور جہنمی کہا جائے گا تو اس کے جواب ملنے پہ کسی کو کئی اعتراض نہیں ہونا چائیے.
یا تو اس فورم کے محققین واضح بتا دیں کہ احناف مقلدین کو ایسا ہی سمجھا جاتا ہے جیسے قادیانی یا شیعہ یا منکر حدیث ہیں تو پھر بات واضح ہو جائے.
آپ نے کچھ علماء کے حوالے دئیے تو بھائی ان میں سےا کثر تو خود مقلد ہیں. اگر تقلید اتنی ہی ناجائز اور حرام ہے تو شاہ ولی اللہ خود حنفی کیوں ہیں. علامہ شامی رحمہ اللہ خود حنفی کیوں ہیں. شیخ جیلانی رحمہ اللہ حنبلی کیوں ہیں، شیخ محمد بن عبدالوہاب رحمہ اللہ حنبلی کیوں ہیں...
چند علماء نے امام بخاری رحمہ اللہ کو بھی شافعی مقلد کہا ہے تو کیا یہ اکابرین بھی غلط ہو گئے.
یہاں اس فورم پہ کئی بار یہ کہہ دیا جاتا ہے کہ اس فورم پہ کوئی شافعی، مالکی یا حنبلی نہیں ہے اور جان چھڑانے کی کوشش کی جاتی ہے تو کیا تقلید صرف اس فورم کے ممبران پہ حرام ہے کیا.......... جب بات تقلید کی ہے تو پھر اس میں سب آئیں گے بھلے وہ شاہ ولی اللہ حنفی رحمہ اللہ ہوں، یا عبدالقادر جیلانی حنبلی رحمہ اللہ یا امام بخاری شافعی رحمہ اللہ لیکن گمراہ صرف احناف کو کہا جاتا ہے.
اگر مقلد ہونے سے مراد پٹہ ڈالنا ہے تو کہہ دیجئیے کہ شیخ جیلانی رحمہ اللہ نے بھی پٹہ ڈالا کیوںکہ وہ بھی مقلد تھے،
شاہ ولی اللہ رحمہ اللہ نے بھی پٹہ ڈالا کیونکہ وہ بھی مقلد تھے. خطیب بغدادی رحمہ اللہ نے بھی پٹہ ڈالا کیونکہ وہ بھی مقلد تھے.
اور ایسے مقلد اکابرین آپ کو ہزاروں مل جائیں گے.​
چند اکابرین کے حوالے میں بھی پیش کر رہا ہوں تقلید پہ.
================
علامہ خطیب بغدادی شافعی رح (٣٩٢-٤٦٢ھ) فرماتے ہیں:
احکام کی دو قسمیں ہیں: عقلی اور شرعی.
عقلی احکام میں تقلید جائز نہیں، جیسے صانع عالم (جہاں کا بنانے-والا) اور اس کی صفات (خوبیوں) کی معرفت (پہچان)، اس طرح رسول الله صلے الله علیہ وسلم اور آپ کے سچے ہونے کی معرفت وغیرہ.
عبید الله بن حسن عنبری سے منقول ہے کہ وہ اصول_دین میں بھی تقلید کو جائز کہتے ہیں، لیکن یہ غلط ہے اس لئے کہ الله تعالیٰ فرماتے ہیں...
کہ"تمہارے رب کی طرف سے جو وحی آئی اسی پر عمل کرو، اس کے علاوہ دوسرے اولیاء کی اتباع نہ کرو، کس قدر کم تم لوگ نصیحت حاصل کرتے ہو"(سورہ الاعراف:٣). اسی طرح الله تعالیٰ فرماتے ہیں کہ "جب ان سے کہا جاتا ہے کہ الله کی اتاری ہوئی کتاب کی اتباع کرو تو وہ لوگ کہتے ہیں کہ نہیں، ہم اس چیز کی اتباع کرینگے جس پر ہم نے اپنے باپ دادہ کو پایا، چاہے ان کے باپ دادا بے عقل اور بے ہدایت ہوں"(٢:١٧٠), اسی طرح الله تعالیٰ فرماتے ہیں کہ"ٹھہرالیا اپنے عالموں اور درویشوں کو خدا (یعنی الله کے واضح احکام_حلال و حرام کے خلاف ان کو حاکم - حکم دینے والا), اللہ کو چھوڑ کر..."(٩:٣١)
دوسری قسم: احکام_شرعیہ، اور ان کی دو قسمیں ہیں:
١) دین کے وہ احکام جو وضاحت و صراحت سے معلوم ہوں، جیسے نماز، روزہ، حج، زكوة اسی طرح زنا و شراب کا حرام ہونا وغیرہ تو ان میں تقلید جائز نہیں ہے کیونکہ ان کے جاننے میں سارے لوگ برابر ہیں، اس لئے ان میں تقلید کا کوئی معنی نہیں.
٢) دین کے وہ احکام جن کو نظر و استدلال کے بغیر نہیں جانا جاسکتا، جیسے: عبادات، معاملات، نکاح وغیرہ کے "فروعی" مسائل، تو ان میں تقلید کرنی ہے. اللّہ تعالیٰ کے قول "پس تم سوال کرو اہل_علم (علماء) سے، اگر تم نہیں علم رکھتے"(١٦:٤٣، ٢١:٧) کی دلیل سے. اور وہ لوگ جن کو تقلید کرنی ہے (یہ) وہ حضرات ہیں جن کو احکام_شرعیہ کے استنباط (٤:٨٣) کے طریقے معلوم نہیں ہیں، تو اس کے لئے "کسی" عالم کی تقلید اور اس کے قول پر عمل کے بغیر چارہ نہیں ہے. الله تعالیٰ کا ارشاد ہے: "پس تم سوال کرو اہل_علم (علماء) سے، اگر تم نہیں علم رکھتے"(١٦:٤٣، ٢١:٧)
حضرت ابن_عباس رضی الله عنہ سے مروی ہے کہ ایک آدمی رسول الله صلے الله علیہ وسلم کے دور میں زخمی ہوگۓ، پھر انھیں غسل کی حاجت ہوگئی، "لوگوں" نے انھیں غسل کا حکم دے دیا جس کی وجہ سے ان کی موت ہوگئی. اس کی اطلاع نبی صلے الله علیہ وسلم کو ہوئی تو آپ نے فرمایا: الله ان کو قتل (برباد) کرے کہ ان لوگوں نے اس کو قتل کردیا. ، ناواقفیت کا علاج دریافت (سوال) کرنا نہ تھا؟...الخ (سنن أبي داود » كِتَاب الطَّهَارَةِ » بَاب فِي الْمَجْرُوحِ يَتَيَمَّمُ، رقم الحديث: ٢٨٤(٣٣٦)
دوسری اس کی دلیل یہ ہے کہ یہ اہل_اجتہاد میں سے نہیں ہے تو اس پر تقلید ہی فرض ہے. جیسے نابینا، جس کے پاس ذریعہ_علم نہیں ہے تو قبلے کے سلسلے میں اس کو کسی دیکھنے والے(بینا) کی بات ماننی ہوگی.
مومن (اسلام کا علم رکھتے ماننے والے) باپ دادا کی اتباع:
اور جو لوگ ایمان لائے اور ان کی اولاد بھی (راہ) ایمان میں ان کے پیچھے چلی۔ ہم ان کی اولاد کو بھی ان (کے درجے) تک پہنچا دیں گے...(٥٢:٢١)
[الفقيه والمتفقه: ٢ /١٢٨-١٣٣،علامہ خطیب بغدادی شافعی رح (٣٩٢-٤٦٢ھ)، مطبوعہ دار ابن الجوزیہ]
علامہ خطیب بغدادی (شافعی) رح غیر مجتہد (عامی) پر تقلید کا وجوب بیان کرنے کے بعد لکھتے ہیں:
بعض معتزلہ سے (یہ نظریہ) منقول ہے کہ ان کے نزدیک عامی (عوام) کے لئے بھی عالم کے قول پر اس وقت تک عمل جائز نہیں جب تک اسے حکم کی علت (وجہ و سبب) کا علم نہ ہوجاۓ،........اور یہ مسلک بلکل غلط ہے، اس لئے کہ عامی کے پاس حکم کی علت معلوم کرنے کی اس کے سوا کوئی سبیل نہیں ہے کہ وہ سالہا سال فقہ کی تعلیم حاصل کرے، طویل مدت تک فقہاء کی صحبت میں رہے، قیاس کے طریقوں کی پوری تحقیق کرے اور اس بات کا علم حاصل کرے کہ کونسا قیاس صحیح اور کونسا فاسد ہوتا ہے؟ اور کس دلیل کو دوسری دلیل پر مقدم رکھنا چاہیے؟ اور تمام لوگوں کو اس محنت کا مکلف کرنا "ما لایطاق" ہے یعنی جس کی ان میں قدرت نہیں اور اس (تقلید_مجتہد) کے سوا کو راستہ نہیں. [الفقیہ والمتفقه للخطیب : ٢/٦٩
================
امام شاطبی رحمہ الله اپنی کتاب " الموافقات " میں فرماتے ہیں کہ
فتاوى المجتهدين بالنسبة إلى العوام كالأدلة الشرعية بالنسبة إلى المجتهدين ، والدليل عليه أن وجود الأدلة بالنسبة إلى المقلدين وعدمها سواء ، إذ كانوا لا يستفيدون منها شيئا ، فليس النظر في الأدلة والاستنباط من شأنهم ، ولا يجوز ذلك لهم ألبتة ، وقد قال تعالى : ( فاسألوا أهل الذكر إن كنتم لا تعلمون ) ، والمقلد غير عالم ، فلا يصح له إلا سؤال أهل الذكر ، وإليهم مرجعه في أحكام الدين على الإطلاق ، فهم إذًا القائمون له مقام الشارع ، وأقوالهم قائمة مقام الشارع "الموافقات" (4/292 انتهى
يعنى مجتھدين كے فتاوى جات عام لوگوں كى بنسبت شرعى دلائل كى مانند ہيں، اس كى دليل يہ ہے كہ مقلدين كے ليے دلائل كا ہونا يا نہ ہونا برابر ہے، كيونكہ وہ اس سے مستفيد نہيں ہو سكتے، كيونكہ دلائل كو ديكھنا اور ان سے مسائل كا استنباط كرنا ان پڑھ لوگوں كا كام نہيں، اور ان كے ليے بالكل يہ جائز نہيں اور پھر اللہ سبحانہ و تعالى كا فرمان ہے فاسألوا أهل الذكر إن كنتم لا تعلمون
اگر تمہيں علم نہيں تو تم اہل علم سے دريافت كر ليا كرو : اور مقلد چونکہ عالم نہیں ہے ، اس ليے اس كے ليے اہل علم سے دريافت كرنے كے علاوہ كچھ صحيح نہيں، اور مطلقا اہل علم ہى احكام دين ميں مرجع ہيں، كيونكہ وہ شارع كے قائم مقام ہيں، اور ان كے اقوال شارع كے قائم مقام ہيں
================
علامہ ابن قـُدامَہ ألحنبلي رحمہ الله بہت جلیل القدرامام ہیں
ان کا ایک فیصلہ اورفتوی ملاحظہ کریں ، فرماتے ہیں کہ
" وأمـا التـقـليـد في الفـُروع فهُـو جـائـز إجـمـاعًــا "
یعنی فروعی مسائل میں (مجتہدین ) کی تقلید بالاجماع جائز ہے ۰
یہ نہیں فرمایا کہ میرے نزدیک یا فلاں شیخ وامام کے نزدیک تقلید جائز ہے ، بلکہ تقلید کے جواز پرإجـمـاع نقل کر رہے ہیں ، اوریہ اجماع بهی چهٹی صدی میں نقل کر رہے ہیں ، اور مزید فرماتے ہیں کہ
" فلهذا جـاز التقليد فيـها، بل وجب علـى العـامـي ذلك "
لہذا فروعی مسائل میں (مجتہدین ) کی تقلید نہ صرف یہ کہ بالاجماع جائز ہے ،
بلکہ عـَامـي شخص پر تقلید واجب ہے ۰ [ انظر الروضة ص 206
================
اسى طرح شيخ الإسلام ابن تيمية رحمه الله فرماتے ہیں کہ
" وتقـليـد العـاجـز عن الاستدلال للعـالم يجـوز عند الجمهور "
اور استدلال (واجتہاد) سے عاجز شخص کے لیئے جمہور علماء کے نزدیک عالم کی تقـليـد جائز ہے ۰ { انظر مجموع فتاوى ابن تيمية جـ 19 ص 262
================
الشيخ حمد بن ناصر بن معمرالنجدي شیخ محمد بن عبد الوهاب کے شاگرد ہیں ، وه فرماتے ہیں کہ
من كان من العوام الذين لا معرفة لهم بالفقه والحديث، ولا ينظرون في كلام العلماء، فهؤلاء لهم التقليد بغير خلاف، بل حكى غير واحد إجماع العلماء على ذلك اهـ
وه عام لوگ جن کو فقہ وحدیث کی معرفت حاصل نہیں ہے ، اور علماء کے کلام میں نظر ( واستدلال وتطبیق وغیره ) کی صلاحیت نہیں رکهتے ، توان لوگوں کے لیئے بلا اختلاف تقلید جائز ہے ، بلکہ تقلید کے جواز پر ایک سے زائد علماء نے اجماع نقل کیا ہے ۰
{ انظر مجموعة الرسائل والمسائل النجدية ، رسالة الاجتهاد والتقليد جـ2 ص 7 و ص 21 و ص 6 }
شیخ محمد بن عبد الوهاب نجدی کے بیٹے شیخ حسين، وشیخ عبد الله فرماتے ہیں کہ ، جب آدمی کو حدیث اورکلام علماء اوراقوال کے ترجیح کی معرفت حاصل نہ ہو تو اس کا وظیفہ اور ذمہ داری أهلُ العلم کی تقلید ہے ۰
إذا كان الرجل ليس له معرفة بالحديث، وكلام العلماء، وترجيح الأقوال، فإنما وظيفته : تقليد أهل العلم، قال الله تعالى{ فاسألوا أهل الذكر إن كنتم لا تعلمون} سورة النحل: 43." الدرر السنية 4/ 14 ، 15
================
نواب صدیق حسن خان کہتے ہیں کہ
عام آدمی پہ مجتہد کی تقلید اور اس کے فتوی کو لینا واجب ہے“ (لقطة العجلان ، صفحہ 306
================
شیخ عبد القادر جیلانی رحمہ اللہ سيدنا امام احمد بن حنبل كے مقلد تھے جيسا كه آپ كي كتاب مستطاب غنيۃ الطالبين كي درج ذيل عبارات سے ثابت هوتا هے:
هو مذهبُ امامِنا حمدَ بنِ محمّد بنِ حنبل رحمه اللّٰه تعاليٰ ﴿45 2﴾
اور يهي همارے امام احمد بن محمد بن حنبل رحمه الله تعاليٰ كا مذهب هے۔
عند امامنا حمد رحمه الله تعاليٰ ﴿45 2﴾
يه همارے امام احمد بن حنبل رحمه الله تعاليٰ كا مسلك هے۔
وَقَد نَصَّ الا مامُ حمدُ رحمه اللّٰه۔ ﴿43 1﴾
امام احمد رحمه الله تعاليٰ نے يه صراحت فرمائي هے۔
الا مام حمدَ بنَ حَنبل قال ﴿47 1﴾
اس ليے كه امام احمد نے فرمايا ۔
لا نّه رُوي نّ ال مام حمدَ بنَ حنبل قال
اس ليے كه امام احمد بن حنبل سے يه روايت هے كه آپ نے فرمايا۔
اس طرح كي عبارات غنيۃ الطالبين ميں بے شمار مقامات پر هيں جن سے عياں هوتا هے كه آپ سيدنا امام احمد بن حنبل رحمۃ الله عليه كے مقلد تھے، كيوں كه اپنے بيان كرده مسائل كو ان كي طرف منسوب كرنا، ان كے مذهب كو نقل كركے اسے بر قرار ركھنا، اسے اختيار كرنا اور ان سے استناد فرمانا شان تقليد هے۔ مقلد كا كام هے نقل مذهب، اور اس كي دليل هے قول امام، اس كے مظاهر غنيۃ الطالبين ميں كھلي آنكھوں سے جا بجا مشاهده كيے جا سكتے هيں، يهاں تك كه آپ نے ايك مقام پر امام ممدوح عليه الرحمه كے مذهب پر هي وصال پانے كي دعا فرمائي هے۔ الفاظ يه هيں:
قال الامام بوعبدِ اللّٰه حمدُ بنُ محمّدِ بنِ حنبل الشّيباني رحمه اللّٰه و مَاتَنَا علي مذهبه صلًا و فرعًا وحَشَرَنا في زُم رَتِه يه
قول امام ابو عبد الله احمد بن محمد بن حنبل شيباني كا هے الله عز و جل ان پر رحم فرمائے اور هميں ان كے مذهب كے اصول و فروع پر وفات دے، اور قيامت كے دن هميں ان كے زمرے ميں اٹھائے۔﴿105 2غنيۃ﴾
شیخ عبد القادر جیلانی رحمہ اللہ مذہب حنبلی کے اس قدر پابند اور اس کے لئے اتنے زیادہ متعصب تھے کہ ایک بار یہاں تک کہہ گئے جو شخص امام احمد کے عقیدے کا حامل نہ ہو اور اس کی اتباع نہ کرے وہ اللہ کا ولی ہوہی نہیں سکتا۔ [ذیل الطبقات ۱/۲۹۸، شذرات الذہب ۴/۱۰۰]۔
================
حضرت شــاه ولـی الله ألدهـلوي رحمہ الله فرماتے ہیں کہ
مجهے رسول الله صلی الله علیہ وسلم کی طرف سے یہ وصیت کی گئ ، یہ الہام ہوا کہ میں مذاهب اربعہ میں سے کسی ایک کی تقلید کروں ، اورمجهے یہ وصیت کی ان چار مذاهب سے باهرنہ نکلوں ، حالانکہ حضرت شــاه صاحب رحمہ الله درجہ اجتہاد پرفائزتهے ، حضرت شــاه صاحب رحمہ الله یہی بات خود فرماتے ہیں کہ
واستفدتُ منه ( صلى الله عليه وسلم ) ثلاثة أمورخلاف ماكان عندي ، وما كان طبعي يميل اليها أشد ميل فصارت هذه الإستفادة من براهين الحق تعالى علي ،
الى ان قال : وثانيها الوصية بالتقليد لهذه المذاهب الأربعة لا أخرج منها ٠
{ فيوضُ الحرَمَين ، ص 64 ، 65 ، }
اور حضرت شــاه صاحب رحمہ الله اسی کتاب میں فرماتے ہیں کہ
مجهے حضور صلى الله عليه وسلم نے سمجهایا کہ مذهب حنفی سنت کے سب سے زیاده موافق ومطابق طریقہ ہے ،
وعرفني رسول الله صلى الله عليه وسلم أن فى المذهب الحنفي طريقة أنيقة هي أوفق الطرُق بالسنة المعرُوفة التي جمعت ونقحت في زمان البخاري وأصحابه ٠
{ فيوضُ الحرَمَين ، ص 48 }
================
امام غزالی(حنبلی) رح فرماتے ہیں: "تقلید تو اجماع_صحابہ سے بھی ثابت ہے، کیونکہ وہ عوام کو فتویٰ دیتے اور عوام کو یہ حکم نہیں دیتے تھے کہ تم (خود عربی دان ہو) اجتہاد کرو، اور یہ بات ان کے علماء اور عوام کے تواتر سے مثل_ضروریات_دین ثابت ہے"[المستصفى:٢/٣٨٥]
================
امام احمد بن حنبل رحمہ الله فرماتے ہیں
ومن زعم أنه لا يرى التقليد ، ولا يقلد دينه أحدًا ، فهو قول فاسق عند اللَّه ورسوله صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، إنما يريد بذلك إبطال الأثر ، وتعطيل العلم والسنة ، والتفرد بالرأي والكلام والبدعة والخلاف.
وهذه المذاهب والأقاويل التي وصفت مذاهب أهل السنة والجماعة الآثار ، وأصحاب الروايات ، وحملة العلم الذين أدركناهم وأخذنا عنهم الحديث ، وتعلمنا منهم السنن ، وكانوا أئمة معروفين ثقات أصحاب صدق ، يقتدى بهم ويؤخذ عنهم ، ولم يكونوا أصحاب بدعة ، ولا خلاف ولا تخليط ، وهو قول أئمتهم وعلمائهم الذين كانوا قبلهم.
جو شخص یہ زعم (گمان) کرے کہ تقلید کوئی چیز نہیں ، تو یہ قول الله و رسول صلى الله عليه وسلم کے نزدیک ایک فاسق (نافرمان) کا قول ہے ، وه شخص اپنے اس قول کے ذریعہ سے اثر (یعنی اقوال و احادیث_صحابہ و تابعین) کو باطل کرنے کا اراده کرتا ہے ، اورعلم وسنت کو معطل کرنے کا اراده کرتا ہے، اور اپنی راۓ سے تفرد، کلام ، بدعت اور مخالفت کرنا
چاہتا ہے.
یہ اقوال و مذاھب جو میں (مصنف_کتاب امام ابن ابی یعلی رح) نے ماسبق میں ذکر کیے ہیں، خوبی ہے مذھب_اہل_سنّت والجماعت اور آثار، اور اصحاب الروایات کی. جور ان ارباب_علم کے جن کو ہم نے پایا، اور جن سے ہم نے علم_حدیث حاصل کیا، اور جن سے سنن کی تعلیم حاصل کی، وہ معروف ائمہ (دین) تھے، لائق_اعتماد، سچے لوگ تھے، جن کی اقتدا (تقلید و پیروی) کی جاتی اور ان سے (دین) لیا جاتا تھا، اور وہ بدعت والے نہ تھے، اور نہ مخالفت اور گڑبڑ پیدا کرنے والے تھے. اور یہی قول ان سے پہلے ائمہ دین کا ہے، اس لئے تم بھی اس کو مضبوطی سے پکڑلو. الله تم پر رحم کرے اور تمہیں بھی وہی علم دے جو علم انھیں دیا اور الله کی توفیق سے.
{طبقات الحنابلہ, امام ابن ابی یعلی رح, جلد 1 صفحہ 65،66
================
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikumussalaam subse pehle bolunga ke taqleed ki
tarafdaari ke aarh me aap khud hi taqleed ki khilaf warzi
kar gaye aur mene apne post me apne alfaaz me kisi hanafi
kisi muqallid ko jahannami
nahin kaha hai pehli baat doosri baat
hanafi hona hanbali hona iska matlab muqallid
hona nahin shayad aap ne mukammal thread nahin
parha kyunke thread hi me aapko ye hawala bhi
dikha hoga ke Imam Shafaiy aur
Imam Abu Hanifa rahemullah alaehem ke shagirdeen unke
ke fatawe unke fatawe ke mutabiq hote magar wo taqleed
nahin karte kabhi is hi tarah Allama Shaami rahemullah alaehe aur deegar bhi jinhone taqleed ki khilaf warzi nahin karte kabhi is hi tarah Allama Shaami rahemullah alaehe aur deegar bhi jinhone taqleed ki khilaf warzi nahin karte kabhi is hi tarah Allama Shaami rahemullah alaehe aur deegar bhi jinhone taqleed ki khilaf warzi nahin karte kabhi is hi tarah Allama Shaami rahemullah alaehe aur deegar bhi jinhone taqleed ki khilaf warzi ki
unko aap ya koi aur muqallid kese bol sakta hai ??

Teesri baat aap khud hanafi muqallid bol chuke ho aur
taqleed ke sahi hone per zour bhi de rahe ho kaafi aur
aapke mandirja baala post hi me likha hai ke muqallid
ke liye daleel hona na hona yaksaan hai so aap bhi
muqallid e Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe hote
huwe mere first post me Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe
ka jo qoul naqal hai uski taqleed ko taiyar nahin kyun ??

Phir baqiya hanafi ulma sameit akabireen rahemullah alaehe
ke aqwaal hain aap hi ki baat aap per dohrate huwe bolta
hoon kya aap unse zyada mohqiq ho ??

Kuch waqt pehle eik MusalmaaN bhai ilma ke aqwaal ke
jawab mein unke aqwaal ko ghalat aur ahadeeth ke
mutaliq jo baat sahi use sahi bolta tha uske is amal ko
aap ehl e ahnaaf per tanqeed bolte the ab ke naa sirf eik
hanafi ki balke itne ulma sameit Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe
ke qoul ke khilaf bhi Qurani dalaaiyl de diye
kya Imam Abu Hanifa Allama Shaami Imam Shafaikya Imam Abu Hanifa Allama Shaami Imam Shafaikya Imam Abu Hanifa Allama Shaami Imam Shafaikya Imam Abu Hanifa Allama Shaami Imam Shafaiy
Imam Shah WaliUllah dahelvi rahemullah alaehe
Sahib MuslimsalSaboot,Abdul Yahya hanafi lakhnavi rahemullah Sahib MuslimsalSaboot,Abdul Yahya hanafi lakhnavi rahemullah Sahib MuslimsalSaboot,Abdul Yahya hanafi lakhnavi rahemullah Sahib MuslimsalSaboot,Abdul Yahya hanafi lakhnavi rahemullah alaehe
Abu Umer ibn e Abdulbar rahemullah alaehe tak tamaam
ke tamama akaabireen Quran ke khilaaf the kyunke
taqleed ko ghalat maante the aur iske khilaaf the

aur aap ne jo ayaah peish kiye taqleed ko sahi sabit karne
ke liye un per INSHA'ALLAH jald jawab dunga pehle
aap jawab dein ke mazkoora bala akabireen o aaiyma
Quran ke khilaf the ?? Kya aap taqleed ke tarafdari ki aarh me
taqleed hi ki khilafwarzi nahin kar gaye ??

Jawab ka intizar rahega : )

....@i love sahabah @Dawn @kool~nomi @Fahadd @shizz @Star24
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Above post with some edition
reason:was online by mob so editing some mistakes that can create confusions
Wa'alaikumussalaam subse pehle bolunga ke taqleed ki
tarafdaari ke aarh me aap khud hi taqleed ki khilaf warzi
kar gaye aur mene apne post me apne alfaaz me kisi hanafi
kisi muqallid ko jahannami
nahin kaha balke unhen apne muslim bhai behnon me shumar kiya
aur unke liye dua ki aap ghalat fehmi door karne
ke liye post ko dubara araam se parhen pehli baat ab doosri baat
hanafi hona hanbali hona iska matlab muqallid
hona nahin shayad aap ne mukammal thread nahin
parha kyunke thread hi me aapko ye hawala bhi
dikha hoga ke
Imam Shafaiy aur Imam Abu Hanifa rahemullah alaehem ke shagirdeen unke
ke fatawe unke fatawe ke mutabiq hote magar wo taqleed
nahin karte kabhi is hi tarah Allama Shaami rahemullah alaehe
aur deegar bhi jinhone taqleed ki khilaf warzi ki
unko aap ya koi aur muqallid kese bol sakta hai ??

Teesri baat aap khud ko hanafi muqallid bol chuke ho aur
taqleed ke sahi hone per zour bhi de rahe ho kaafi aur
aapke mandirja baala post hi me likha hai ke muqallid
ke liye daleel hona na hona yaksaan hai so aap bhi
muqallid e Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe hote
huwe mere first post me Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe
ka jo qoul naqal hai uski taqleed ko taiyar nahin kyun ??

Phir baqiya hanafi ulma sameit akabireen rahemullah alaehe
ke aqwaal hain aap hi ki baat aap per dohrate huwe bolta
hoon kya aap unse zyada mohqiq ho ??

Kuch waqt pehle eik MusalmaaN bhai ilma ke aqwaal ke
jawab mein unke aqwaal ko ghalat aur ahadeeth ke
mutaliq jo baat sahi use sahi bolta tha uske is amal ko
aap ehl e ahnaaf per tanqeed bolte the ab ke naa sirf eik
hanafi ki balke itne ulma sameit Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe
ke qoul ke khilaf bhi Qurani dalaaiyl de diye
kya Imam Abu Hanifa Allama Shaami Imam Shafai Shah WaliUllah dahelvi rahemullah alaehe
Sahib MuslimsalSaboot,Abdul Yahya hanafi lakhnavi rahemullah,
Abu Umer ibn e Abdulbar rahemullah alaehe tak tamaam
ke tamama akaabireen Quran ke khilaaf the kyunke
taqleed ko ghalat maante the aur iske khilaaf the

aur aap ne jo ayah peish kiya taqleed ko sahi sabit karne
ke liye us per INSHA'ALLAH jald jawab dunga pehle
aap jawab dein ke mazkoora bala akabireen o aaiyma
Quran ke khilaf the ?? Kya aap taqleed ke tarafdari ki aarh me
taqleed hi ki khilafwarzi nahin kar gaye ??

Jawab ka intizar rahega : )
 
  • Like
Reactions: Dawn

shizz

Active Member
Sep 26, 2012
157
390
113
pakistan
آپ نے کچھ علماء کے حوالے دئیے تو بھائی ان میں سےا کثر تو خود مقلد ہیں. اگر تقلید اتنی ہی ناجائز اور حرام ہے تو شاہ ولی اللہ خود حنفی کیوں ہیں. علامہ شامی رحمہ اللہ خود حنفی کیوں ہیں. شیخ جیلانی رحمہ اللہ حنبلی کیوں ہیں، شیخ محمد بن عبدالوہاب رحمہ اللہ حنبلی کیوں ہیں...
چند علماء نے امام بخاری رحمہ اللہ کو بھی شافعی مقلد کہا ہے تو کیا یہ اکابرین بھی غلط ہو گئے.
http://www.tafreehmella.com/threads/تقلید-کا-صدیوں-بعد-شروع-ہونا.210960/
 
Mughal1

Regular Member
Dec 12, 2010
126
36
328
Bhai aap itne lambe chore post kyun kar rahe ho maazrat ke saath
aapke post ka to koi maqsad hi nahin ban raha na dikh raha hai
aap eik hi paragraph me bol rahe ho ke taqleed ghalat bhi hai laazmi bhi hai
jo laazmi bole theek bole jo ghalat bole theek bole aur phir bol rahe ho ke
Quraan humara imam hai jo uske khilaf hai wo ghalat hi hai
ye kya likh rahe ho aap ?? Quran ko subse bara maana hai to aaiye
aapko Quraan hi se bol dete hain ke taqleed yaani bina daleel ke
andhon ki tarah kisi ki pairvi karna durust hai ke nahin ye dekhen

Aap farma dein agar tum ALLAH se mohabbat
karte ho to meri perwi karo tab ALLAH tumhen
mehboob bana lega aur tumhare liye tumhare
gunah maaf farma dega aur ALLAH nihayat
bakhshne wala mehrban hai
surat al Imran ayat#31
Farma dijiye ke mere RAB ne sirf
be hayaiy ki baaton ko haram kiya hai
jo un me se zahir hon aur jo posheeda hon
aur gunah ko aur na haq zyadti ko aur is baat
ko ke tum ALLAH ka shareek thehrao,(aur)jiski
usne sanad nahin utaari aur ye ke tum ALLAH
per aisi baaten kaho jo tum khud bhi
nahin jaante
surat al A'araaf,ayat#33
pehli ayat se ilm hota hai ke pairvi ALLAH ke nabi alaehe salam ki karni hai
kisi imaam ki nahin
aur taqleed ka saaf radd doosri ayah me hai k aur jiski usne sanad nain
utaari us baat ko maanna bhi haram hai
ab jis baat ki sanad (saboot/daleel)ALLAH ne apne nabi alaehe salam per bheji hi nahin
aur wo imam ka kaha gaya qoul hai aur koi imam ke qoul per bina sanad ke chal raha hai
to saaf zaahir hai ke wo haraam kaam kar raha hai mazeed aap chand alfaaz me
baat ko niptaaiyega wagarna aapke itne lambe post me wese bhi parhne ke qaabil kuch lines hi hain
azeezam S_ChiragH sb, aap ne baot hi achha kiya keh jo baat aap ko uljhan main daal rahee hai us ko zahir kar diya isse mujhe is baat ko mazeed tafseel se samjhaane ka moqa mil gayaa jisse har aik ko faaida ho ga jis ko yeh uljhan darpesh hai.

ghor is baat par karen keh kisi bhi baat yaa kaam ka ghalat aur saheeh hona is baat se zahir hota hai keh us ka maqsad kia hai. main yeh keh rahaa hun keh agar maqsad drust ho to baat drust hai aur agar maqsad ghalat ho to baat ghalat hai. aik hi cheez ka istemaal ghalat bhi ho sakta hai aur drust bhi kyunkeh agar koi baat yaa shai drust maqsad ke liye istemaal ki gayee hai to drust hai warna ghalat.

misaal ke tor par aik chaaqoo ki baat karte hen. kia chaako bazzate khud aik achhi ya buri cheez hai? nahin hai? kia koi lafz bazaate khud achha yaa bura hai? nahin hai. yeh kaise pata chale ga keh falaan lafz yaa cheez achhi yaa buri hai? kisi ke sirf keh dene se keh falaan baat yaa cheez achhi yaa buri hai woh baat yaa cheez achhi yaa buri nahin hoti na ho sakti hai.

koi baat yaa cheez achhi hai yaa buri tabhi ho sakti hai jab us ke istemaal ke liye us ka maqsad saamne aaye yaa laaya jaaye. yahee wajah hai agar aik chaaqoo phal yaa sabzi kaatne ke liye istemaal kiya jaaye to aik achhi cheez saabit hota hai magar agar is ke zariye khoone naahaq kar diya jaye to wohee chaaqoo aik buri cheez saabit ho ga. isi liye chaaqoo achha bhi hai aur bura bhi. lafze taqleed ka bhi yahee maamla hai. agar taqleed drust maqsad ke liye ki jaaye to drust (masaln ummat ko jorne ke liye aur us ko drust simt main le jaane ke liye) aur agar ghalat maqsad ke liye ki jaaye to ghalat (yani ummat ko todne ke liye aur yun ikhtilafaat ke zariye is ko barbaad karne ke liye).

Jahan tak andhi taqleed ki baat hai, woh bhi lazman karni padti hai aur karaani padti hai. ham jab peda huwe the phd nahin the. ham us waqt kisi baat ko soch samajh kar kar hi nahin sakte the kyunkeh ham ko us waqt kisi baat ki samajh hi nahin thi. aisi haalat main maan baap bache ko maashre ke qawaaido zawaabit par amal karwaate hen us par nazar rakh kar keh woh koi ghalat kaam na kar bethe. us ko chaaqoo tak haath main uthaane nahin dete.

laazim laazim tabhi aata hai jab us ki zaroorat pad jaaye warna nahin. yeh zaroorat khud aap ko pad jaaye gi agar aap apna koi maqsad banaa len aur us ke liye aap kuchh karna chahyen yaa doosre aap ko is baat ki zaroorat mehsoos karwaa sakte hen apna gharzo ghaayat bataa kar. taqleed kisi program par amal karna bhi hai. is liye ke aap aik program ke peechhe chale jaa rehe hen kisi maqsad ko haasil karne ke liye. lafze taqleed ka matlab sirf bilaa daleel kisi ke peechhe chalne hi nahin hai.

meri baaten lambi chori is liye hen ke bahot se log us tasawure islam se kosoon door hen jo quran main hai. isi liye jo koi meri post padhe zaroori hai us ko deegar posts ke siyaqo sabaaq main rakh kar padhe. agar aik shakhs abhi deen ki kadiyan hi nahin jod sakta to us ko pehle is par mehnat karni chahiye ta keh woh deen ki batun ko aapas taluq samajh sake. ise na to samjhne waale ko uljhan ho gi na samjhaane waale ko. yun samjhen ham bachun ko pehli class main kyun bhejte hen pehle hi unhen phd ke liye kyun nahin bhej dete. ta keh bache pehle deegar training haasil kar len phir un ko takhseekh karwayee jaaye.

aap ka mujhe baat samjhaane ka moqa fraham karne ka shukria. Allah hamaare ilm main aur izaafa farmaaye aur ham ko aik ummat ban kar ubharne ki tofeeq de.
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
....@Mughal1 aap eik nasrani se meri behes huwi daarhi
ke mutaliq wo bola jab daarhi rakhne ka hukm tumhare
KHUDA ke taraf se hi hai matlab is amal me bhalaiy hai ??
Mene kaha haan bilkul to wo bola tum musalmanon ki
pedaiyshi daarhi kyun nahin ?? Phir mene use do jawab diye
pehla ye ke agar paidaiyshi se cheezon ko dekhna hai to
aap apne daant bhi saare torh do aur doosri baat ye bataiy
ke jis haal me hum peda hua usse tabdeeli le aana khud me
shaoor wale banne ka matlab hi hai insaan banna
wagarna insaan jab dunya me aata hai bina kapron ke
aur bina kuch bolne jesa hota hai

aap ne bhi bilkul wahi misaal di hai ke taqleed lazmi hai
kyunke jab hum bache hote hain parhne jese nahin hote hain
to mere bhai humare liye namazon ko chorna bhi laamzi hai
namazen qaza karna bhi laazmi hai rote rehna bhi lazmi hai
Quran ki tilawat na karna bhi laazmi hai kyunke ye sub
hum pedaiyshi nahin karte waqaiy Imam Ahmed Bin Hanbal rahemullah alaehe ne durust hi kaha ke taqleed jihalat hai

khairrr....agar taqleed itni durust hi hai to aap taqleed kyun
nahin kar rahe hain ?? Kariye na taqleed Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe
ka qoul first post me maujood hai aur apa use inqar rahe ho
jo ke taqleed ke khilaf hai aur ab be wajeh ke ye taweel
posts na kariyega mere thread me aap balke taqleed sahi
lagti hai to use apna lijiyega aur taqleed ko bura maaniyega
Shukria .
 
Mughal1

Regular Member
Dec 12, 2010
126
36
328
pehli bat to yeh k mai sahab nhi sahiba hon, ye bat main ne apko shayad ap logon k forum pr b btai thi agr apko yad ho to ...
or dosri bat ye k ap ne kaha k Allah ne insan k galay main patta bandha hai kis qadar ghalat bat ap keh rhe hain apko pata b hai, nabi s.a.w ki ataat hmare lye baes e fakhr hai hmare galay ka patta nhi, patta janwaron k galay main dala jata hai insanon k galay main nhi, agr koi apne ap ko janwar samjhe to wo taqleed ka patta dal le apne galay main,
taqleed k baray main jante hue b k iska matlab kitna ghalat hai log ise sahaba karam ki taraf mansoob krte hain naozubillah, Allah hm sbko hiadayat de or taqleed ka patta nikal kr nabi s.a.w ki ataat se zindagi ko khoob soorat bane aameen.
main in shaa Allah hadees b post krongi jis main taqleed ka lafz janwar k patte k lye istemal kia hai nabi s.a.w ne
azeezi shizz sahiba, aap ka gila mehz ilfaaz par sarsari nazar se hai. kyunkeh khud mujhe kisi ko mukhaatib karte huwe ghalti lag jaati hai is liye main ne aik mubham sa khitaab apnaya magar aap ne us par bhi meri grift kar li. azeezam ko maine azeeze man ke liye mukhafaf ke tor par apnaaya jis ke maani hen mere yaa meri payare yaa pyari aur sb sahab aur sahiba dono ke liye apnaaya. jis ghalti se bachne ke liye maine aisa kiya aap ne usi ko meri ghalti tasawur kiya. kher koi baat nahin ham ne aap ke liye is baar khitaab badal diya hai.

rahee baat lafze patta ki to yeh lafz urdu main bhi mukhtalif maani main istemaal hota hai sirf janwarun ke gale main patte ke liye hi nahin. urdu zabaan main aik lafz hai nath jo aik rassi hoti hai jo jaanwarun ki naak main batore nakail daali jaati hai. deyatun main gaaye bains waghera ke liye istemall ki jaati.

jis tarah lafz patta hota hai isi tarah aik lafz patti bhi hota hai. jis tarah aik lafz nath hai aisi hi aik lafz nathni bhi hai, jo auraten apni naak main batore zewar pehnti hen. patta ke maani woh kapda bhi hai jis par logoon ki jaayedadun ki tafseel darj ki jaati hai.

maqsad behar haal lafze patta se yahee hai ke kisi shai ko qaabu main rakhna hai ta keh woh idhar udhar na chali jaaye. patti bhi isi liye patti kahee jaati hai kyunkeh woh zakham ko qaabu main rakhti hai. koi lafz batore lafz gandah nahin hota warna us ka ilm khudaa ko bhi na hota. koi shai bizzaat gandi nahin hoti warna khudaa us ko peda hi na karta. har shai yaa lafz ke istemaal aur us ke maqsad par munhasir hai keh woh drust istemaal kiya gayaa hai yaa ghalat. kyunkeh baaten aur cheezen aik doosre ko nuqsaan de sakti hen peda karne waale ke maqsad ke khilaaf is liye un ko ghalat yaa gandah aur bura kaha jaata hai.

aap is baat par ghor karen halaalo haraam ki bunyaad kia hai islam main. taiybaat halaal hen khubaais haraam. yaani har woh kaam logoon ke liye karna halaal hai jis ke karne se kisi ka nuqsaan na ho aur karne waale ko us kaa faaida ho. yun hi har woh kaam jis ke karne se kisi ko nusaan ho woh haraam hai. isi tarah jis kaam ke na karne se kisi ko nuqsaan hota ho woh karna laazim aa jaata hai. kisi ko bhi kisi se apne haqooq haasil hi nahin ho sakte agar woh log apni zimmadariyan poori na karen jin par un haqooq ko poora karne ki qowm ne zimmadari aayad ki hai. aap baithe apne haqooq ka mutaalba karte rehe aur khud logoon ke haqooq ki zimmadariyan poori na karen to phir sochen maashre ka haal kia ho ga?

isi liye jis taqleed se kisi ko nuqsaan ho woh ghalat hai aur jisse kisi ka kuchh bhi nusaan na ho aur karne waale ko faaida ho woh taqleed drust hai. jab tak ham log deen ke usoolun ko nahin samjhte ham mehz quran ki aayaat aur ahadis ke zakhaair ka hawaala dene se masle hal nahin kar sakte. yahee wajah hai hamaare liye zaroori hai khoob ghoro fikar karen aur kadiyun ko jodna seekhen. islam is not a program for robots. insaan khudmukhtaar hai aur is ke liye quran ko khud samjhna zaroori hai. phir soch samajh ki drustagi ke liye aik doosre se ilm behso mubahise laazmi hen takeh log aik doosre ki taseeh kar saken aur apas main aik ho jaayen drust baat par.

jis mani main log taqleed ko ghalat kehte hen us mani main quran ka itibaa aur itaat bhi ghalat hai 25/73. Quran imaam to hai magar is ke peechhe bhi soch samajh kar chalne ko kaha gayaa hai. yani logoon ko kaha gayaa hai jaanwarun ki tarah ka mamool na banaao aqalo fikar se kaam lo.

aqal+maloomaat+ghoro fikar=ilm

ilm+amal=fazeelat.

regards and all the best.[DOUBLEPOST=1356949412][/DOUBLEPOST]
....@Mughal1 aap eik nasrani se meri behes huwi daarhi
ke mutaliq wo bola jab daarhi rakhne ka hukm tumhare
KHUDA ke taraf se hi hai matlab is amal me bhalaiy hai ??
Mene kaha haan bilkul to wo bola tum musalmanon ki
pedaiyshi daarhi kyun nahin ?? Phir mene use do jawab diye
pehla ye ke agar paidaiyshi se cheezon ko dekhna hai to
aap apne daant bhi saare torh do aur doosri baat ye bataiy
ke jis haal me hum peda hua usse tabdeeli le aana khud me
shaoor wale banne ka matlab hi hai insaan banna
wagarna insaan jab dunya me aata hai bina kapron ke
aur bina kuch bolne jesa hota hai

aap ne bhi bilkul wahi misaal di hai ke taqleed lazmi hai
kyunke jab hum bache hote hain parhne jese nahin hote hain
to mere bhai humare liye namazon ko chorna bhi laamzi hai
namazen qaza karna bhi laazmi hai rote rehna bhi lazmi hai
Quran ki tilawat na karna bhi laazmi hai kyunke ye sub
hum pedaiyshi nahin karte waqaiy Imam Ahmed Bin Hanbal rahemullah alaehe ne durust hi kaha ke taqleed jihalat hai

khairrr....agar taqleed itni durust hi hai to aap taqleed kyun
nahin kar rahe hain ?? Kariye na taqleed Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe
ka qoul first post me maujood hai aur apa use inqar rahe ho
jo ke taqleed ke khilaf hai aur ab be wajeh ke ye taweel
posts na kariyega mere thread me aap balke taqleed sahi
lagti hai to use apna lijiyega aur taqleed ko bura maaniyega
Shukria .
azeezam S_ChiragH sb, islam main shakhsiyat parasti shirk hai. taqleed jis ki aap baat kar rehe ho mazhabi mullaon ki ijaad hai takeh log baadshahon ki ghulaami main zindagi guzaaren aur baghaawat na karen. mazhabi mullah baadshahon ke ghulaam the aur unhune islam ko mazhabi tasawur de diya tha jo aaj tak hamaara peechha kar raha hai

main jis taqleed ki baat kar raha hun woh deeni taqaaza hai. jo aap ko us waqt tak samajh main nahin aaye ga jab tak aap deen aur mazhab main farq ko nahin samjhen ge. is ke liye aap ko un logoon ki baatun ko study karna ho ga jin logoon ne hindustan main islam ko batore deen dobaara rooshanaas karwaaya aur jin ki badolat pakistan wajood main aaya.

yeh uljhan sirf aap ko hi nahin balkeh bahot se musalman kehlwaane waalun ko bhi hai. isi uljhan ne musalman ummat ko ummat nahin chhora. islam ke do tasawuraat hai aik mazhabi aur doosra deeni. yahee wajah hai main sdeeni dhaanche ko madde rakhte huwe baaten kar raha hun aur aap mazhabi dhaanche ko. yeh bat kuchh yun ho gayee hai keh aap ke paas aik alag jis saw puzzle hai aur mere paas alag aur aap aik ke tukde doosre main fit karne ki fikar main hen.

yahee wajah hai maine pehle apni posts main yahee samjhaaya hai keh islam deen hai mazhab nahin hai. is liye aap agar waqt mile to meri deegar posts ko bhi padhen ta keh aap ke zehn main yeh uljhan na rehe keh main kis nuqtae nazar se islam ko dekhta hun. aur yun aap us ki roshni main meri baatun ko saamne laayen. Bahot mumkin haio is ke liye aap ko deeno mazhab main farq ki behs chherni pade jis se saaf saaf maloom ho jaaye keh mazhab ghalat aur deen drust kyun hai aur deen hi quran ka bataaya huwa raasta hai mazhab nahin.

regards and all the best.
 
shizz

Active Member
Sep 26, 2012
157
390
113
pakistan
azeezi shizz sahiba, aap ka gila mehz ilfaaz par sarsari nazar se hai. kyunkeh khud mujhe kisi ko mukhaatib karte huwe ghalti lag jaati hai is liye main ne aik mubham sa khitaab apnaya magar aap ne us par bhi meri grift kar li. azeezam ko maine azeeze man ke liye mukhafaf ke tor par apnaaya jis ke maani hen mere yaa meri payare yaa pyari aur sb sahab aur sahiba dono ke liye apnaaya. jis ghalti se bachne ke liye maine aisa kiya aap ne usi ko meri ghalti tasawur kiya. kher koi baat nahin ham ne aap ke liye is baar khitaab badal diya hai.

rahee baat lafze patta ki to yeh lafz urdu main bhi mukhtalif maani main istemaal hota hai sirf janwarun ke gale main patte ke liye hi nahin. urdu zabaan main aik lafz hai nath jo aik rassi hoti hai jo jaanwarun ki naak main batore nakail daali jaati hai. deyatun main gaaye bains waghera ke liye istemall ki jaati.

jis tarah lafz patta hota hai isi tarah aik lafz patti bhi hota hai. jis tarah aik lafz nath hai aisi hi aik lafz nathni bhi hai, jo auraten apni naak main batore zewar pehnti hen. patta ke maani woh kapda bhi hai jis par logoon ki jaayedadun ki tafseel darj ki jaati hai.

maqsad behar haal lafze patta se yahee hai ke kisi shai ko qaabu main rakhna hai ta keh woh idhar udhar na chali jaaye. patti bhi isi liye patti kahee jaati hai kyunkeh woh zakham ko qaabu main rakhti hai. koi lafz batore lafz gandah nahin hota warna us ka ilm khudaa ko bhi na hota. koi shai bizzaat gandi nahin hoti warna khudaa us ko peda hi na karta. har shai yaa lafz ke istemaal aur us ke maqsad par munhasir hai keh woh drust istemaal kiya gayaa hai yaa ghalat. kyunkeh baaten aur cheezen aik doosre ko nuqsaan de sakti hen peda karne waale ke maqsad ke khilaaf is liye un ko ghalat yaa gandah aur bura kaha jaata hai.

aap is baat par ghor karen halaalo haraam ki bunyaad kia hai islam main. taiybaat halaal hen khubaais haraam. yaani har woh kaam logoon ke liye karna halaal hai jis ke karne se kisi ka nuqsaan na ho aur karne waale ko us kaa faaida ho. yun hi har woh kaam jis ke karne se kisi ko nusaan ho woh haraam hai. isi tarah jis kaam ke na karne se kisi ko nuqsaan hota ho woh karna laazim aa jaata hai. kisi ko bhi kisi se apne haqooq haasil hi nahin ho sakte agar woh log apni zimmadariyan poori na karen jin par un haqooq ko poora karne ki qowm ne zimmadari aayad ki hai. aap baithe apne haqooq ka mutaalba karte rehe aur khud logoon ke haqooq ki zimmadariyan poori na karen to phir sochen maashre ka haal kia ho ga?

isi liye jis taqleed se kisi ko nuqsaan ho woh ghalat hai aur jisse kisi ka kuchh bhi nusaan na ho aur karne waale ko faaida ho woh taqleed drust hai. jab tak ham log deen ke usoolun ko nahin samjhte ham mehz quran ki aayaat aur ahadis ke zakhaair ka hawaala dene se masle hal nahin kar sakte. yahee wajah hai hamaare liye zaroori hai khoob ghoro fikar karen aur kadiyun ko jodna seekhen. islam is not a program for robots. insaan khudmukhtaar hai aur is ke liye quran ko khud samjhna zaroori hai. phir soch samajh ki drustagi ke liye aik doosre se ilm behso mubahise laazmi hen takeh log aik doosre ki taseeh kar saken aur apas main aik ho jaayen drust baat par.

jis mani main log taqleed ko ghalat kehte hen us mani main quran ka itibaa aur itaat bhi ghalat hai 25/73. Quran imaam to hai magar is ke peechhe bhi soch samajh kar chalne ko kaha gayaa hai. yani logoon ko kaha gayaa hai jaanwarun ki tarah ka mamool na banaao aqalo fikar se kaam lo.

aqal+maloomaat+ghoro fikar=ilm

ilm+amal=fazeelat.

regards and all the best
pehli bat to yeh k ap zara mukhtasar likhne ki koshish kia kren
quran o hadees ko samjhne k lye hm zaroor ksi ki madad le sakte hain mgr us se daleel poochi jae agr woh apko poore dalail se mutmaeen krta hai to thek warna uski bat rad kr dena lazim hai kyon k us main uski apni rae shamil hai,
apni rae ko deen main shamil krna jaiz nhi,
quran ki itba or ataat ka hukm Allah or us k Rasool ne dia hai, iski ataat ko taqleed kehna yaqeenan iski behurmati hai,
log taqleed ki gumrahi se bahar niklengay jabhi quran o hadees pr ghor o fikr kr sakengay, yaqeenan jo aima karam guzren hain unho ne deen ki khidmat ki hai hme unka ahtram krna chahye un sb ke aqwal se faizyab hona chahye magr jahan hme mehsoos ho k koi bat quran o hadees k khilaf hai use rad kr dena chahye kyon nabi s.a.w ki ataat hm pr farz hai aima karam ki nhi,

aqal+maloomaat+ghoro fikar=ilm

ilm+amal=fazeelat.
ye formula hr insan k lye hai ya sirf aima karam k lye tarteeb dia hai ap ne????
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
.....Shizz sister baat unse karen jinki baat me koi wazan bhi ho
aur baat daleel ke saath ho inki baaton me dono cheezen nahin
meri aap se darkhwast hai chorh dein inhen jawab dena .
 
  • Like
Reactions: shizz

Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
aqal+maloomaat+ghoro fikar=ilm[DOUBLEPOST=1356960411][/DOUBLEPOST]ya per kuch orrrr
 
Mughal1

Regular Member
Dec 12, 2010
126
36
328
pehli bat to yeh k ap zara mukhtasar likhne ki koshish kia kren
quran o hadees ko samjhne k lye hm zaroor ksi ki madad le sakte hain mgr us se daleel poochi jae agr woh apko poore dalail se mutmaeen krta hai to thek warna uski bat rad kr dena lazim hai kyon k us main uski apni rae shamil hai,
apni rae ko deen main shamil krna jaiz nhi,
quran ki itba or ataat ka hukm Allah or us k Rasool ne dia hai, iski ataat ko taqleed kehna yaqeenan iski behurmati hai,
log taqleed ki gumrahi se bahar niklengay jabhi quran o hadees pr ghor o fikr kr sakengay, yaqeenan jo aima karam guzren hain unho ne deen ki khidmat ki hai hme unka ahtram krna chahye un sb ke aqwal se faizyab hona chahye magr jahan hme mehsoos ho k koi bat quran o hadees k khilaf hai use rad kr dena chahye kyon nabi s.a.w ki ataat hm pr farz hai aima karam ki nhi,

ye formula hr insan k lye hai ya sirf aima karam k lye tarteeb dia hai ap ne????
azeezi shizz, agar aap daleel mangen gi aur raaye ko rad kar den gi to phir aap daleel ko kia karen gi? bagher raaye ke to daleel kisi kaam ki nahin hoti. misal ke tor par sooraj aap ke saamne hai. kyunkeh sooraj aap ke saamne hai is ka to kuchh matlab nahin nikalta agar aap is ke baare main koi baat hi na karen. aur jab aap sooraj ke baare main koi baat karen gi to us se aap ka kuchh maqsad ho ga warna aap ki baat ka kuchh matlabo maqsad nahin ho ga. aik hoti hai daleel aur aik hota hai us daleel ko samjhna yaa samjhaana. jab bhi aap samjhane aur samjhaane ki bat karen gi raaye ka izhaar to karna pade ga warna aap kaise baat ko samjhen yaa samjhayen gi? jab bhi aap raaye den gi aqal ko us main dakhal dena ho ga. is liye keh daleel ko bagher aqal ke samajhna mahaal hai.

agar aap ki raaye dalaail ko apas main is tarah se jod sake ke baat samajh aa jaaye to aap ne dawe ko saabit kar diya warna nahin. misaal ke tor par quran aik kitaab hai, aik shakhs kehta hai yeh khudaa ki kitaab hai to koi poochhne waala keh sakta hai keh is baat ka kia saboot hai keh yeh fil waaqe khudaa ki kitaab hai? Ab aap ko us ko baat is tarah se samjhaani ho gi apni aqal ko istemaal kar ke keh baat us ki samajh main aa jaaye. agar aap baat samjhaane main nakaam rahin to aap ka dawa ghalat ho jaaye ga us shakhs ke liye jis ne aap se saboot maanga. ab aap is baat ko saabit isi tarah kar sakti hen ke aap ki sab baaten is ke mutaliq aisi hun keh woh apas main mutazaad na hun aur na hi woh mojood tajarbaati haqaaiq ke saath mutasaadum hun. aap jitni bhi baaten karen gi un main aqal ko dakhal rehe ga yani woh aap ki hi raaye ho gi. isi liye mumkin hai aap kisi baat ko mujh se behtar samjhaa saken aur kisi baat ko main aap se behtar samjhaa sakun. isi ko ikhtilafe raaye kehte hen aur is ko islam main bunyaadi hesiyat haasil hai.

kyunkeh aqal har aadmi ke paas hai is liye har admi ko apni apni istedaad ke mutaabiq kisi bhi baat par apni raaye dena drust hai, albatta jo raaye ehle aqal ko ziyaada behtar maloom ho gi woh us ko baaqi sab khayalaat par tarjee den ge.

jis tarah aap yeh baat na samajh sakin keh daleel aur raaye do mukhtalif cheezen hen aur aik ke bagher doosri bekaare mehz hai, isi tarah aap abhi yeh bhi nahin jaan saktin taqleed ghalat kyun hai aur drust kyun hai kyunkeh aap ne abhi bahot kuchh seekhna hai. aap apni koshish jaari rakhen Allah taala aap ki madad farmaaye.

waise agar aap ke paas waqt ho to meri posts ko padhne ki koshish kijiye ga shaaid is main se kuchh maloomaat aap ke kaam ki bhi nakal aayen.

regards and all the best.
 
Mughal1

Regular Member
Dec 12, 2010
126
36
328
.....Shizz sister baat unse karen jinki baat me koi wazan bhi ho
aur baat daleel ke saath ho inki baaton me dono cheezen nahin
meri aap se darkhwast hai chorh dein inhen jawab dena .
azeezam S_ChiragH sb, meri baat main wazan hai yaa nahin is ka aap ko pata kaise chale ga? baat main wazan kia cheez peda karti hai? daleel yaa us ko samjhaane waali raaye yaa dono? daleel kisi zahiri haqeeqat ko kehte hen aur insaani raaye us haqeeqat ko samjhaane ki aik koshish hoti hai jo insaani aqal khud ghadti hai apni maloomaat ki roshni main. baat main wazan yeh baat peda karti hai keh jo baat aap ne jis tarah se samjhayee hai woh apna maqsad poora karti hai yaa nahin. yani jab bhi koi baat kisi maqsad ko poora karne ke liye ki jaaye agar woh apna maqsad poora kar de to baat saabit ho gayee warna nahin. quran ki ayaat main kuchh baaten dalaail ki taraf ishaara karti hen aur kuchh unhi dalaail ko samjhaati hen. yun quran apne dawun par saboot pesh karta hai magar in sab baatun ko samajhne ke liye ehle ilm ki zaroorat hoti hai jo quran main darj haqaaiq ka bhi ilm rakhte hun aur un ki samjhaane waali baatun ka bhi aur saath hi yeh log apni raaye yani apni samajh ke mutaabiq in sab baatun ko doosrun ko samjhayen.

yahee wajah hai sirf quran ki ayaat yaa ahadis ka reference kaafi nahin hota balkeh unko islam ke dhaanche main dekhna padta hai keh woh kaise fit hoti hen. yeh baat aqeedun ki nahin quran ko samajh kar drust baatun ko maloom karne ki hai. is baat ko aap yun samjho keh jab aap ieenten lagaate ho to un ko kisi maqsad ke liye lagaate ho aise hi ieenten idhar udhar nahin rakhte jaate bemaqsad beiraada. isi tarah bemaqsad quran ki ayaat yaa ahadis ko quote karna koi maani nahin rakhta. qurani ayaat bhi apne maqsad ki wajah se wazandaar hen jab logoon ko un ki samajh aa jaaye warna mehz kisi aik shakhs ka yeh keh dena keh yeh khudaa ka kalaam hen kisi doosre shakhs ko in main us ke waaste wazan peda nahin karta. is liye har baat samjhne aur samjhaane par aa kar tamaam hoti hai.

ilm jahan se bhi mile le lene main barkat hai kyun keh ilm kisi cheez ka bhi bura nahin hota achha hota hai. koi shakhs bhi raaste ka ilm na hone ki wajah se idhar udhar bhatakta hai na ke ilm hone ki wajah se. haan yeh baat zaroor hai keh ilm se sach ko saamne laane main madad milti hai aur sach main insaaniyat ki najaat hai.

isi liye yeh baat drust hi nahin ho sakti keh main yeh maanta hun is liye is ke baraks soch bhi nahin sakta. isi baat ko to ghalat raasta yaa rawish yaa andhi taqleed kehte hen yani bila daleel apni baatun par ar jaana daleel ke khilaaf. isi liye aaj duniya is qadar pareshaan haali main mubtila hai. log drust baat ko dhoondne aur jaanane ki takleef hi gawaarah nahin karna chahte. asaaniyun main nijaat dhoondate phirte hen. yahee wajah hai qabrun main murdun tak ke paas apni taklifun ka ilaaj dhoondate hen. sab takleefun ka ilaaj to quran main hai magar takleef kon kare is ko samajhne ki ke quran insaniyat ki taklifun ka ilaaj kia bataata hai? amno salaamti par mabni zindagi.
 
Haan bhai aapka shukria eik aur lambe chore post ka
aap ko taqleed durust lagti hai to aap muqallid ho hi nahin sakte
kyunke Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe Imam Shafaiy rahemullah alaehe
Imam Malik rahemullah alaehe Imam Ahmed ibn e Hanbal rahemullah alaehe
taqleed ke khilaf the baat itni si hai aap ise sirf lafzon ke jaal me pakar kar
kahin aur ghumaana chaahte ho isse zyaada kuch nahin aur agar aapko yehi karna hai
to shouq se karte raho magar is thread ka first post saaf zaahir kar chuka hai haqeeqat ko

mazeed hum aapko aapke be tuke lambe choron posts per reply karna munasib nahin
samajhte aur @hoorain @Nelly as per rules of TM Islamic section mere is thread mein jo bhi posts
bina daleel e Quran o sahih ahadeeht milen unhen delete kar diya jaaye Shukria .
 
Chriagh sahib mie ne ye nahin kaha k aap ne muqalideen ko jahanami kaha blk MUSLIM sahib ne kaha hay aor na sirf jahanmi blk quran aor hadees ka dushman kaha hay........
aor aap shayed un ki baat se itefaaq karty hain..

doosri baat k aap ne ulama k hawaly diye wo khud muqalid hain to jo itraaz aap muqalideen pe laga rahy hain wo en ulama pe phely lagi ge jin k hawaly aap ne diye......
teesri baat k agar quran aor hadeees k elawa koi bhi cheez yahan post karna mana hay to aap ne ulama k hawaly diye jo rule k khilaf hain.....

phir baat taqleed pe honi hay to sirf quran aor hadees se taqleed ko ghalat sabit kar dain.
@Bela @cute_doll @eXcalibuR @F-iceage @faari @Fahadd @FallenAngeL @ganillia33 @good-muslim @GudiaKhan
@H0neyd0ll @Habeel @hafsa91 @Humrahi @Innocent Cat @Khwahish @Lost Passenger
@lotr @lovelyalltime @Mahen @Mamin Mirza @Zonish @zoonia @mango @marib @masoom_se_chahat @mirza37
@nasirnoman @Naughty Cat @neevrap @Nelly @Noor_Afridi @Pari @Payal_143 @penzee @pinkfairy @Piya
@Fahadd @*Muslim* @S_ChiragH@Don @RedRose64
@hoorain@nasirnoman @Tooba Khan @arifmaqsood1125 @shizz @lovelyalltime
@kool~nomi
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan

Ji @i love sahabah aap ne mera naam to nahin liya magar guftagu ki ibtida is andaaz se ki jese
is thread me hum ne muqalideen pe fatwe laga diye hain wo bhi apni taraf se
tabhi wo baat kahi aur bilkul hum Muslim bhai ke obhot se baaton se
itifaaq rakhte hain aur bohot si baaton se itifaaq nahin bhi rakhte
muqalideen jahannam me jaaengen ya jannat me ye faisla sunana mera kaam
to nahin naa hi ye fatwa dena mera kaam hai ke koun MUSALMAAN hai
koun kaafir ya mushrik hai mene apne thread mein taqleed ke mutaliq Quran
ki ayah peish ki Sahabi radiallah anho ka qoul peish kiya aur aaiyma e arba rahemullah alaehe
ke aqwaal peish kiye ye wo teen cheezen hain jinhen na koi muqallid inqarta hai
na ghair muqallid aur aap bhi inqar to nahin kar rahe magar ye bol rahe hain ke
jin ulma ne taqleed ki khilaf warzi ki wo khud bhi muqallid the so aapka ye gumaan
bilkul ghalat hai bhala akabireen jis shay ko jahalat ko kahengen khud usme
shaamil kese hongen ?? balke wo sirf hanafi the shafaiy the taqleed ke wajeh se nahin
balke shagird hone ke wajeh se fatwe yaksaan hone ke wajeh se ya phir in imaam
ke mutaliq ilm haasil karne per hanafi the taqleed hi hanafiyat ka naam nahin bhai
aur ta aakhir aap ahadeeth o Qurani dalaaiyl talab kar rahe hain so haazir hain
lekin ye to aapke bhi ilm me hai ke Quran o ahadeeth me taqleed ka hukm hi nahin
so jiska hukm Quran o ahadeeth mein nahin wo pehle se biddat hi kehlati hai
lekin phir bhi sirf ALLAH aur iske nabi alaehe salam ki pairvi aur bina sanad ke
baat ko maanna haraam is mutaliq ayaah peish karta hoon
aur sharing se pehle bol dun choonke me behes ka ikhtitam hi chahta hoon hamesha
tabhi ayaah Muqallideen aur wo bhi ehl e ahnaaf ke tarjuma kiye gaye peish kar raha hoon
INSHA'ALLAH iske baad koi aur behes ki gunjaiysh nahin rahegi
Farma dijiye ke mere RAB ne sirf
be hayaiy ki baaton ko haram kiya hai
jo un me se zahir hon aur jo posheeda hon
aur gunah ko aur na haq zyadti ko aur is baat
ko ke tum ALLAH ka shareek thehrao,(aur)jiski
usne sanad nahin utaari aur ye ke tum ALLAH
per aisi baaten kaho jo tum khud bhi
nahin jaante
Quran surat al A'araaf,ayat#33

Is(Quran)ki pairwi karo jo tumhare RAB ki taraf
se tumhari taraf utaara gaya hai aur iske
ghairon mein se doston ke peeche mat chalo

Quran surat al A'araaf,ayat#02
pehli ayah me zikr hai ke aur jiski usne sanad nahin utaari
maanna tum per " haraam " hai
ab taqleed sanad dekh kar hoti hai
ya taqleed ka matlab (baqoul aapke)bin sanad o daleel ke pairvi hai ??
doosri ayah me is Quran ki pairvi ka hukm hai aur iske ghairon me
se doston ke peeche bhi chalne se muamnat hai
ab ye parhen teesri ayah
Aur tu us baat ki pairwi na kar
jis ka tujhe ilm nahin

Quran surat al Bani Israeel,ayat#36
aur agar taqleed Quran o ahadeeth ka hukm hai iska matlab ke
Taabe'een tab e tabe'een aaiyma arba rahemullah alaehem tak
Quran ke is hukm ki khilafwarzi karte rahe ??
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

i love sahabah

TM Star
Sep 17, 2008
1,108
1,572
1,313
تمام مسلمانوں کو السلامُ علیکم

چراغ صاحب مجھے بات گھما کے بیان کرنا نہیں آتا اور نہ ہی میں کرتا ہوں.
میں نے آپ کا نام نہیں لیا بلکہ آپ کو واضح بتا دیا کہ مسلم صاحب نے مقلدین کو جہنمی کہا اور قران اور حدیث کا دشمن کہا. اب انہوں نے کہاں اور کیسے مقلدین کو جہنم میں دیکھا یہ مجھے معلوم نہیں. اب آپ کو اگر مسلم صاحب کی پوسٹ نظر نہ آئے تو میں کچھ نہیں کہہ سکتا.
جناب یہ علماء مقلد تھے تب ہی ان کے ساتھ حنفی، مالکی ، حنبلی اور شافعی لگایا گیا اور تبھی ہر فقہ کے طبقات بنائے گئے ورنہ طبقات حنفیہ، طبقات حنابلہ، طبقات شافعیہ اور طبقات مالکیہ کی ضرورت ہی نہ تھی.
اگر تقلید نہیں تھی تو پھر یہ 4 فقہی مسالک وجود میں ہی نہ آتے اور نہ کوئی حنفی ہوتا، نہ مالکی، نہ شافعی اور نہ حنبلی.
کیا آپ بتا سکتے ہیں کہ اکثر علماء اور اکابرین ان ہی 4 ائمہ کے ساتھ اپنی نسبت کیوں کرتے ہیں.
جیسا شیخ جیلانی رحمہ اللہ نے کہا کہ (ہمیں امام احمد بن حنبل رھمہ اللہ کے مذہب پہ وفات دے ) اگر یہ تقلید نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے.
اگر کوئی حنفی کہتا تو پھر آپ کا رد عمل مختلف ہوتا لیکن یہ شیخ جیلانی رحمہ اللہ نے کہا ہے اس لئے کوئی فتوی شرک کا یا کفر کا نہیں لگے گا.
اور سیدھا سا سوال میں کب سے کر رہا ہوں کہ اگر مقلد مشرک ہیں تو پھر صرف اور صرف احناف ہی کیوں، باقی مقلدین مشرک کیوں نہیں.
یہی سوال میں نے مسلم صاحب سے کیا تھا کہ اگر مقلد جہنمی ہیں تو ذرا بتا دیں کہ جیلانی رحمہ اللہ، شاہ ولی اللہ رحمہ اللہ، خطیب بغدادی رحمہ اللہ مقلد ہونے کے باوجود جہنمی کیوں نہیں لیکن جواب نہیں ملا اور ہر بار کی طرح ٹاپک بند کر دیا گیا جو کہ اس فورم کا ایک اصول بن چکا ہے کہ احناف پہ اعتراض کرو اور جب ان کی کسی بات کا جواب نہ ملے تو کوئی نہ کوئی اعتراض کر کے ٹاپک بند کر دو تا کہ جواب دینے کی ضرورت نہ پڑے.
مقلد مشرک ہیں تو بخاری اور مسلم کے مقلد راویوں کا کیا ہو گا جو ان روایات میں موجود ہیں.
پھر تقلید کی وجہ سے اعتراض ان پہ بھی آئے گا.
ٹھیک ہے کہ اب کسی عالم کا قول پیش نہیں کیا جائے گا تو اس لئے میں یہ آیت پیش کر رہا ہوں.

"يَاأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنْكُمْ"۔ (النساء:۵۹)
ترجمہ:اے ایمان والو! اللہ اور رسول اللہ (صلی الله علیہ وسلم) کی اطاعت کرو اور تم میں جوصاحب امر ہیں ان کی اطاعت کرو۔
اس آیتِ کریمہ میں اللہ اور اس کے رسولﷺ کے بعد "أُولِي الْأَمْرِ" کی اتباع کا حکم فرمایا گیا ہے "أُولِي الْأَمْرِ" سے کون لوگ مراد ہیں؛ اگرچہ اس میں علماء کی رائیں مختلف ہیں؛ لیکن اکثرمفسرین اس سے فقہاء اور علماء مراد لیتے ہیں
فَسـَٔلوا أَهلَ الذِّكرِ إِن كُنتُم لا تَعلَمونَسورة (الأنبياء, ٧
پس تم سوال کرو اہل_علم (علماء) سے، اگر تم نہیں علم رکھتے. [١٦:٤٣، ٢١:٧، ١٩:٤٣]
اس آیت میں یہ اصولی ہدایت دیدی گئی ہے کہ جو لوگ کسی علم و فن کے ماہر نہ ہوں، انھیں چاہیے کہ اس علم و فن کے ماہرین سے پوچھ پوچھ کر عمل کرلیا کریں، یہی چیز تقلید کہلاتی ہے
مشہور حدیث ہے کہ رسول اللہ (صلی الله علیہ وسلم) نے حضرت معاذ ابنِ جبل رضی اللہ عنہ کو یمن کا حاکم بناکر بھیجا؛ تاکہ وہ لوگوں کو دین کے مسائل بتائیں اور فیصلہ کریں:
"عَنْ مُعَاذٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بَعَثَ مُعَاذًا إِلَى الْيَمَنِ فَقَالَ كَيْفَ تَقْضِي فَقَالَ أَقْضِي بِمَا فِي كِتَابِ اللَّهِ قَالَ فَإِنْ لَمْ يَكُنْ فِي كِتَابِ اللَّهِ قَالَ فَبِسُنَّةِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ فَإِنْ لَمْ يَكُنْ فِي سُنَّةِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ فَإِنْ لَمْ يَكُنْ فِي سُنَّةِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ أَجْتَهِدُ رَأْيِي وَلَا آلُو ، فَضَرَبَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ صَدْرَهُ ، وَقَالَ : الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي وَفَّقَ رَسُولَ رَسُولِ اللَّهِ لِمَا يُرْضِي رَسُولَ اللَّهِ "
[سنن ابوداؤد:جلد سوم: فیصلوں کا بیان :قضاء میں اپنی رائے سے اجتہاد کرنے کا بیان; (جامع ترمذی، كِتَاب الْأَحْكَامِ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ،بَاب مَاجَاءَ فِي الْقَاضِي كَيْفَ يَقْضِي،حدیث نمبر:۱۲۴۹، شاملہ، موقع الإسلام]​
ترجمہ: جب حضور اکرم نے حضرت معاذ کو یمن کا حاکم بنا کر بھیجنے کا ارادہ کیا فرمایا تم کس طرح فیصلہ کرو گے جب تمہارے پاس کوئی مقدمہ پیش ہو جائے انہوں نے فرمایا کہ اللہ کی کتاب سے فیصلہ کروں گا آپ نے فرمایا اگر تم اللہ کی کتاب میں وہ مسئلہ نہ پاؤ تو فرمایا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کی سنت کے مطابق فیصلہ کروں گا حضور صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا کہ اگر سنت رسول میں بھی نہ پاؤ تو اور کتاب اللہ میں بھی نہ پاؤ تو انہوں نے کہا کہ اپنی رائے سے اجتہاد کروں گا اور اس میں کوئی کمی کوتاہی نہیں کروں گا، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے ان کے سینہ کو تھپتھپایا اور فرمایا کہ اللہ ہی کیلئے تمام تعریفیں ہیں جس نے اللہ کے رسول کے رسول (معاذ) کو اس چیز کی توفیق دی جس سے رسول اللہ راضی ہیں۔
پس گویا اہلِ یمن کو حضرتِ معاذؓ کی شخصی تقلید کا حکم دیا گیا.
عن هُزَيْلَ بْنَ شُرَحْبِيلَ ، قَالَ : " سُئِلَ أَبُو مُوسَى ، عَنْ بِنْتٍ ، وَابْنَةِ ابْنٍ ، وَأُخْتٍ ، فَقَالَ : لِلْبِنْتِ النِّصْفُ ، وَلِلْأُخْتِ النَّصْفُ " ، وَأَتِ ابْنَ مَسْعُودٍ فَسَيُتَابِعْنِي ، فَسُئِلَ ابْنُ مَسْعُودٍ ، وَأُخْبِرَ بِقَوْلِ أَبِي مُوسَى ، فَقَالَ لَقَدْ ضَلَلْتُ إِذًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُهْتَدِينَ " أَقْضِي فِيهَا بِمَا قَضَى النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، لِلْابْنَةِ النِّصْفُ ، وَلِابْنَةِ ابْنٍ السُّدُسُ تَكْمِلَةَ الثُّلُثَيْنِ ، وَمَا بَقِيَ فَلِلْأُخْتِ " . فَأَتَيْنَا أَبَا مُوسَى ، فَأَخْبَرْنَاهُ بِقَوْلِ ابْنِ مَسْعُودٍ ، فَقَالَ : لَا تَسْأَلُونِي مَا دَامَ هَذَا الْحَبْرُ فِيكُمْ . [صحيح البخاري » كِتَاب الْفَرَائِضِ » بَاب مِيرَاثِ ابْنَةِ الِابْنِ مَعَ بِنْتٍ، رقم الحديث: 6269]
ترجمہ: حضرت هذيل بن شرحبيل رضی الله عنہ سے روایت ہے کہ حضرت ابو موسیٰ رضی الله عنہ سے ایک مسئلہ پوچھا گیا پھر وہی مسئلہ حضرت ابن_مسعود رضی الله عنہ سے پوچھا گیا اور حضرت ابو موسیٰ رضی الله عنہ کے فتویٰ کی بھی ان کو خبر دی گئی تو انہوں نے اور طور سے فتویٰ دیا، پھر ان کے فتویٰ کی خبر حضرت ابو موسیٰ رضی الله عنہ کو دی گئی تو انہوں نے فرمایا کہ جب تک یہ عالم متبحر تم لوگوں میں موجود ہیں تم مجھ سے مت پوچھا کرو.- روایت کیا اس کو بخاری، ابو داود اور ترمذی نے
فائدہ: حضرت ابو موسیٰ رضی الله عنہ کے اس فرمانے سے کہ ان کے ہوتے ہوے مجھ سے مت پوچھو، ہر شخص سمجھ سکتا ہے کہ ہر مسئلہ میں ان سے پوچھنے کے لئے فرمایا ہے اور یہی تقلید_شخصی ہے کہ ہر مسئلہ میں کسی مرجح کی وجہ سے کسی ایک عالم سے رجوع کر کے عمل کرے.
جن کی تقلید سے روکا گیا ہے وہاں یہ قید لگائی ہے کہ وہ باپ دادا بےدین ہوں تو بےدینی میں ان کی تقلید (اتباع) نہ کرو، بےعقل ہوں تو بے عقلی میں ان کی تقلید نہ کرو. ان آیات کو آئمہ_اربعہ (چار ٤ اماموں) کی تقلید میں پیش کرنا گویا ان کو گمراہ، بے-عقل و بے-ہدایتے اور جاہل ماننا ہے، جو یقیناً خود جہالت و ظلم ہے.
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Hummmm @i love sahabah bhai
aap khud hi to taqleed ko ghalat
saabit kar chuke hain apne is last post se
kyunke aap ne Imam Abu Hanifa rahemullah alaehe
ke qoul ko jhutla kar Quran ke ayaah aur ahadeeth
peish kiye aur aapke hisab se to aap ne Quran
ke ayah ki bhi khilaf warzi hi kar di kyunke Quran
me talqeed (bina daleel ke qabuliyat) ka hukm hai
so aapne muqallid hote huwe aisa qat'an nahin kiya

doosri baat pyare bhai mene nahin kaha ke aap baat
ghumane wale ho ya aap ne ghumaiy hai mene kaha ke
aap ne baat is tarah se ki to mujhe aise laga
I really respect you like a brother : )

teesri baat:aapne jo ayaah o ahadeeth peish kiye
bhai jan unme ijazat aur hukm itbah ka hai jo ke
tehqeeq aur ilm hasil karne ke baad wo bhi daiayl ke
saath hoti hai choonke is baat ka sabut us ayah me
hum de chuke hain ke Bina sanad wali bata ko
qabol karna haram hai aur jis baat ka ilm na ho
use maanna bhi mamnooh hai,baaqi agar kisi bhi
tarah ki behes se aapko kuch bura laga ho to maazrat
me is post ke saath behes ko khatam karna chahta hun
aur aap se bhi is hi ki guzarish hai

mujhe behes waghera se ab mukammal taur pe fursat chahiye
kam az kam khud to nahin parna behes me
kyunke isse baat bohot bigarh jati hai aur ghalat fehmiyan
paida ho jaati hain so isse behetter hai ke INSHA'ALLAH
behes hi naa karun kabhi @i love sahabah .
 
Top