sabha khan poetry....

  • Work-from-home

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Ab Toh Chahat Hi Taqdeer Hai Hamari
Issi Se Zindagi Shuru Aur Khatam Hai Hamari

Uski Muskurahat Pe Zindagi Nisaar Hai Hamari
Uska Naam Le Le Ke Zindagi Ab Guzarti Hai Hamari

Sang Uske Hi Chalna Ab Manzil Hai Hamari
Dil Kadmoon Mein Uske Bichana Aarzoo Hai Hamari

Mannaton Se Jisko Paaya Ek Wahi Dua Hai Hamari
Uski Mohabat Ki Hi Ab Karzdaar Hai Saasein Hamari!!
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Aao bataein tum ko hum...
kiya cheez mohabbat hoti hai?
insaan key dil per insaan ki .....!!
pakeeza hakumat hoti hai...
kuch hussn main jidat hoti hai...!!
kuch ishq main chahat hoti hai...!!
kuch aankhein ishara kerti hain...
buss yunhi mohabbat hoti hai...!!
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
kahani mohabat ki hai mukhtasir
gaya dil se phir woh na aaya idhar
kaheen koi tha meri rahon ka ek humsafar

kar gaya dil ka woh soona nagar
koi rasta na koi dagar

ussay dhoondo kahan
ussay paaon kahan
aaj main hoon yahan woh kahan

neelay aasman pay
badal chha rahay hain

panchi apnay ghar ko
wapis jaa rahay hain

ussay dhoondo kahan
ussay paaon kahan
aaj main hoon yahan woh kahan

duur parbaton pay
phool khil rahay hain

pyaar karnay waalay
saath chal rahay hain

ussay dhoondo kahan
ussay paaon kahan
aaj main hoon yahan woh kahan
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Sab maya hay sab maya hay
Sab dhalti phirti chaya hay
Is ishiq mein hum nay jo khoya hay jo paya hay
Sab maya hay sab maya hay
Maloom humain sab qais mian ka qisa bi
Sab aik say hain ye ranjha bi ye insha bi
Farhad bi jo aik nehar si khood kay laya hay
Sab maya hay
Wo larki bi jo chand nagar ki rani thii
Wo jis ki alhar ankhoon mein herani thii
Aaj us nay bi pegham yahi bijwaya hay
Sab maya hay
Jo loug abhi tak naam wafa ka letay hain
Wo jan kay dokhay khatay dokhay detay hain
Haan thook baja ker hum nay hukam lagaya hay
Sab maya hay
Jub dhaikh liaya har shukhas yahan hurjaii hay
Phir sher sy dhoor ek kutya hum nay banaii hay
Aur us kutya kay mathay per likhwaya hay
Sab maya hay
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Hum ghoom chukay basti ban mein
Ek aas ki phaans liay man mein
Koii sajan ho koii piyara hoo
Koii Deepak ho koii tara hoo
Jab jeevan raat andherii hoo
Ek baar kahoo tum meri hoo
Jab saawan badal chaay houn
Jub phagan phool khilaay houn
Jab chanda roop lutata hoo
Jab sooraj dhoop nehata hoo
Ya shaam nay basti gherii hoo
Ek baar kahoo tum meri hoo
Haan dil ka daamin pheela hoo
Kayoon goori ka dil meela hoo
Hum kab tak peet kay dhookay mein
Hum kab tak door jharookay mein
Kab deed say dil ko seeri hoo
Ek baar kahoo tum meri hoo
Kiya jhagra sood khisaray kaa
Ye kaam nahey banjaray kaa
Sab soona roopiya lay jaay
Sab dunya danya lay jaay
Tum ek mujhy behteri hoo
Ek baar kahoo tum meri hoo
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Woo ishq jo hum sae rooth gaya
Abb uss ka haal bataiyen kiya
Woo ishq jo hum sae rooth gaya
Abb uss ka haal bataiyen kiya
Koi mehir nahi koi qehir nahi
Phir sacha shair sunaien kya
Woo ishq jo hum sae rooth gaya

Ek hijr jo humko laahaq hai
Ta Der usay dohraien kya
Ek hijr jo humko laahaq hai
Ta Der usay dohraien kya
Wo ZEHAR jo DIL mein utaar diya
Phir uss kay naaz uthaien kya
Wo ZEHAR jo DIL mein utaar diya
Phir uss kay naaz uthaien kya
Koi mehr nahi koi qehar nahi
Phir sacha shair sunaien kya
Woo ishq jo hum sae rooth gaya

Ek aag ghum-e-tanhai kieeee
Jo saray badan mein phail gai
Ek aag ghum-e-tanhai kieeee
Jo saray badan mein phail gai
Jab jism he sara julta ho
Phir daman-e-dil ko bachaien kiya
Jab jism he sara julta ho
Phir daman-e-dil ko bachaien kiya
Koi mehr nahi koi qehar nahi
Phir sacha shair sunaien kya
Woo ishq jo hum sae rooth gaya

HUM naghma sara kuch ghazloun kay
HUM soorat hein kuch khawaboun kay
HUM naghma sara kuch ghazloun kay
HUM soorat hein kuch khawaboun kay
Bay juzba-e-shoq sunaien kiya
KOI KHAWAB NA HO TU BATAYEN KIYA
Bay juzba-e-shoq sunaien kiya
KOI KHAWAB NA HO TU BATAYEN KIYA

Koi mehr nahi koi qehar nahi
Phir sacha shair sunaien kya
Woo ishq jo hum sae rooth gaya
Abb uss ka haal bataiyen kiya
Woo ishq jo hum sae rooth gaya
Abb uss ka haal bataiyen kiya
Woo ishq jo hum sae rooth gaya
Abb uss ka haal bataiyen kiya
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Ham apne gham ko sajaa kar bahaar kar lenge

Tere khyaalon ko thora sa pyaar kar lenge

Muhabbaton ki kahani tujhe sunaeinge

Hawa chale gi to aanchal ki yaad aaye gi

Ghata uthe gi to kaajal ki yaad aaye gi

Tere haseen tasawwar ko pyaar kar lenge

Yoon yaad hum bhi tujhe baar baar kar lenge

Jo pyaar karte hain woh in ghamon ko sehte hain

Muhabbaton mein toofan aate hi rehte hain

Tumhare naam ko dharkan ke saath rakh lenge

Tumhare chehre ko darpan ke saath rakh lenge

Yeh dooriyon ka samundar bhi paar kar lenge

Tamaam umar tera intezaar kar lenge
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Kisi din tez barish main
Agar tum bheeg jao to
Agar barish k ye qatray
Tumhari zulf ko chu kar
Tumharay gaalon ko chumen
Agar barish k pani say
Agar thandi hawaon say
Kisi purzor jhonkay say
Meri jan jhoom jao to
Mujhy tum yaad kar lena
Agar khwahish ho aisay main
Koi sathi ho bahon main
Jo chheray zulf ko teri
Teray rukhsar ko choomay
Tu jhoomay us ki bahon main
Teri bahon main wo jhooma
 
Top