sabha khan collection ...........

  • Work-from-home

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Iss dil ki udaas batain

Samjhnay Wala koi tu hota

kay jis ki baatoon sey Dil sambhalta

Kay Jiski Sangaat main dil Behalta

kay Jiski Halki si Aik Jhalak Bhi Hamaray Dukh Ko sameeth Leti

Falak sey Khushiyaan Undail deti

Ya Iski Nazuk Muskurahaat

Hamaray Din Ki sabhi Thakwaat ko Door karti

Ya phir Chamakti woh Ankhain Iski Hamari Hasti ka Raaz Hoteen

Hamaray Dil Ki kitaab Hoteen

Jo Hum ko Chaahata , Woh Hum ko Parhata, Guzartay Lamhoon ki Sakhtiyoon main

Koi Tu Nazuk Mizaaj Hota..............................................
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Bicharne wale
Chale jo ho to bata ke jao
Ki kitni shaamein udaas aankhon main kaatni hain
Ke kitni subhah akelepan mein guzaarni hain
Bata ke jao ki kitne sooraj..azaab rastoon ko dekhna hai
Ke kitne mehtaab..sarrd raatoon me nikalne hain.
Bata ke jao ki chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai
Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai
Bata ke jao ke kitne lamhe shumaar karne hein hijr ratoon ke
Ke kitne mousam ek ek kar ke judaiyoon mein guzaarne hain
Bata ke jao ke panchiyoon ne akele pann ka sabbab jo poocha
To kya kahoon gi?
Bata ke jao ..main kis se tera gilla karungi
Bicharr ke tujh se habbib..kis se mila karungi
Bata ke jao ke aankh barsi to kaun moti chuna karega
Udaas lamhoon mein dil ki dharkan suna karega
Bata ke jao ke mousamoon ko payaam dene hain ya nahin
Falak ko,taroon ko,jugnooon ko salaam dene hain ya nahin
Bata ke jao ke kis pe hai aitbaar karna
To kis ki baatoon pe be-niyazi ke silsale ikhtiyaar karna
Bata ke jao ke abb ravviyoon ki chaal kya ho
Jawaab kya ho,sawaal kya ho
Bata ke jao ke meri haalatt pe chaandani khilkhila pari to main kiya karungi
Bata ke jao ke meri soorat pe jahan muskara pada to
Main kiya karungi
Bata ke jao ke tum ko kitna pukaarna hai
Bicharr ke tujh se ye waqt kaise guzaarna hai
Ujaarna hai? nikhaarna hai?
Chale jo ho to bata ke jao
ke loutna bhi hai ya…………….?
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Dard-e-Dil Judai sehna ahsan nahi hota,
kimti cheez ka haar koi kabil nahi hota...
yeh toh Raab ki meherbani hai,
warna Dost harr kisi ke nasib maiN nahi hota
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Humse Chupte Kyun Ho Aye Dost,
Ek Din Hum Aise Andheron Mein Kho Jayenge,

Phir Maango Ge Duaon Mein Khuda Se Humein,
Aur Hum Phir Sapno Mein Bhi Nahin Aayenge
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Dard banke dil me chhupa kaun hai,
reh-reh kar isme chubhta kaun hai,
ek taraf dil hai aur ek taraf aaina,
dekhna hai is baar pehle tut-ta kaun hai
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Yeh dua hai tumhari zindagi sawar jaye..

Har nazar me bas pyaar nazar aaye..

Tumhe jiski talash hai...

Mere dost, khuda kare, Wo khud Tumhari talash me aaye!!
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Alfaaz ke jhOotaY bandhan me
raaz ke gehraY pardOn mein. . .
har shaks mahObbat karta hai
halankaY mOhabbat kuch be nehi,
sab jhOotaY rishtaY nataY hain,
sub dil rakhnaY ki batain hain
kab kaun kisi ka hOta hai. . .
sab asli rOop chupate hain
ehsaas se khali lOg Yahan. . .
lafzOn ke teer chalataY hain,
ek baar nazar mein aa kar wOh,
phir sari umar rulate hain. .
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Tumhen udaas Dekh ker,,

kisi k Rang kho Gae..

kahin pe chand Bhujh Gya,,

kahin Sitaray so Gae..

kahin pe Barishon ki Rutt,,

Ghazb ki piyas Ban Gai..

Koi Bahar Rooth Kar,,

Sarapa.e.Aas Ban Gai..

Kisi k Mosmon ko Yun,,

Azaab Mat Diya karo..

Udaas mat Hua karo,,
 
Top