Woh ajnabhi!
Jis ka har lafz
Moti ki maala hai
Woh ajnabhi……….!
Jis ki khamoshian
Bhi kayi
Daastanen sunati hain
Kayi ankahee tehreeron
Se roshnas
Karati hain………………..woh ajnabhi!
Us ki be nayazi ka
Thikana nahin koi
Apne sapnon ka
Khuwabon, khayalon ka,
Apni umangon ki
Basti ka
Makeen hai woh.
Woh ajnabhi!
Jis se koi rishta,
Naata, ta’alluq,
Koi bandhan judha nahin
Magar phir bhi
Na jaane kyun
Shanasa maloom hota hai
WOH AJNABHI………!
Jis ka har lafz
Moti ki maala hai
Woh ajnabhi……….!
Jis ki khamoshian
Bhi kayi
Daastanen sunati hain
Kayi ankahee tehreeron
Se roshnas
Karati hain………………..woh ajnabhi!
Us ki be nayazi ka
Thikana nahin koi
Apne sapnon ka
Khuwabon, khayalon ka,
Apni umangon ki
Basti ka
Makeen hai woh.
Woh ajnabhi!
Jis se koi rishta,
Naata, ta’alluq,
Koi bandhan judha nahin
Magar phir bhi
Na jaane kyun
Shanasa maloom hota hai
WOH AJNABHI………!