~~@~~ Kuch Gazalein My Fav ~~@~~

  • Work-from-home

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Laakh Pardho Mein Rahoon Bhaid Mery Khoolti Hai
Shairi Sach Bolti Hai

Tera Israr K Chahat Ka Kabhi Izhar Na Ho
Waqaf Es Gum Sey Mera Halqa E Ahbab Na Ho

Tu Mujy Zabt K Sehrao Mein Kyu Roolti Hai
Shairi Sach Bolti Hai

Ye B Kiya Baat K Chhup Chhup K Tujy Piyar Karoon
Koi Poch Hi Baithy Tu Main Inkar Karoon

Waqt Ki Her Baat Ko Duniya Ki Nazer Toolti Hai
Shairi Sach Bolti Hai

Tery Jalwo Ka Aser Tu Meri Ek Ek Ghuzel
Tu Mery Jism Ka Saya Hai Tu Yon Katra K Na Chal

Pardha Daari Tu Khud Apna Bharam Khoolti Hai
Shairi Sach Boolti Hai
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Na qurb ke na wafa ke hotey hain
Sarey jhagrey anaa ke hotey hain

Baat niyat ki hai saaf warna
Waqt saarey dua ke hotey hain

Bhool jatey hain bura mat kehna
Log jo putley khata ke hotey hain

Woh bazahir to kuch nahin lagtey
Aise rishtey bala ke hotey hain

Woh hamara hai is tarah se FARAZ
Jesay bande KHUDA ke hotey hain
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Mil kar bhi usse hasrat-e-mulaqat reh gaii
Baadal to gehrey aaye the barsaat reh gaii

Woh aaj yun mila ke hamein janta na ho
Lab to merey khuley the magar baat reh gaii

Mein haar ke bhi khush hoon ke tum jeet to gaye
Qismat mein meri maat thi so maat reh gaii

Daaman mein kia rakha hai is ke siwa bas
Bakshe jo tumne zakham woh saughat reh gaii

Kia kia badal rahe hain yahan mausam khabar nahin
Dil ke nagar mein raat thi so raat reh gaii
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Mil kar bhi usse hasrat-e-mulaqat reh gaii
Baadal to gehrey aaye the barsaat reh gaii

Woh aaj yun mila ke hamein janta na ho
Lab to merey khuley the magar baat reh gaii

Mein haar ke bhi khush hoon ke tum jeet to gaye
Qismat mein meri maat thi so maat reh gaii

Daaman mein kia rakha hai is ke siwa bas
Bakshe jo tumne zakham woh saughat reh gaii

Kia kia badal rahe hain yahan mausam khabar nahin
Dil ke nagar mein raat thi so raat reh gaii
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
So qissay hain milte julte
Ik majboori thik nahin
JO kehna hai khul ke kaho
Baat adhoori thik nahin
KOii heela,koii bahana,
koii munasib raah nikal
Mujhse aise milte rehna
Ghair zaroori thik nahin
Roz muhabbat ho jati hai
Chalte phirte logon se
Geet adhoore khuwab adhoore
Yeh mazdoori thik nahin
Ham mehfil mein aaye yun
woh peeche ja kar beth gaye
Ham se doori acchi hai
per itni doori thik nahin..!!
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Suna hai ..
jungalon ka bhi bhi koii
dastoor hota hai..!
Suna hai..
sher ka jab pait bhar jaye
to woh hamla nahin karta..!
Suna hai..
hawa ke taiz jhonkon mein
"MAINA" apne ghar ko bhool ke
"KAWWE" ke andoN ko pairon mein
thaam leti hai..!
Suna hai..
ghonsle se jab koii bacha gire to
sara jungle jaag jata hai
Suna hai..
sailaab ajaye to
lakri ke takhte per
saanp,cheeta aur bakri
saath hote hain
MUNSIFOn
Mere mulk mein bhi ab
junglon ka hi koii
dastoor le aao..!!!
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Haqiqat aashna merey,
Tujhe shayad khabar hogi,
Mujhe teri muhabbat ne
Buhat buzdil bana dala..!

Mein har us shey se darta hoon
Tujhe jo cheen sakti hai

Mein un lamhon se darta hoon,
Judaii jin mein rehti hai..!
Mein Un ashkon se darta hoon,
Jo ban kar yaad behte hain..!
Mein un lafzon se darta hoon,
Jo khamoshi mein rehte hain..!

Bicharne ki mere ham dam,
Mein har surat se darta hoon..!

Tujhe shayad khabar hogi,
Mujhe teri muhabbat ne
Buhat buzdil bana dala..!
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Zindagi mili kuch zara si thi
Kuch is mein kami bhi zara si thi

Woh roz hote gaye paas se paas mere
Lekin doori phir bhi kuch zara si thi

Chaand jagte jagte akhir so hi gaya
Raat abhi rehti kuch zara si thi

Muhabbat banti unhone zamane bhar mein Mohsin
Jo hamare hisse mein aai "woh zara si thi​
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Kuch khud bhi the agsurda say
Kuch wo bhi hum se rooth gai

Kuch khud hi zakham k adi the
Kuch sheeshay hath se chhoot gai

Kuch khud bhi the hassas bohat
Kuch apne muqadar rooth gai

Kuch unko such se nafrat thi
Kuch hum se na bole jhoot gai

Kuch logo ne uksaya unhein
Kuch apne muqadar phoot gai

Kuch khud itne mohtat na the
Kuch log bhi hum ko loot gai

Kuch talkh haqaiq the itne
K khuwab hi saare toot gai
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Meri zindagi mein uska ana
Aa k muskurana phir chup chaap chale jana

Acha Laga
Arbab-e-wafa ko chor kar bewafa se dil lagana

Acha Laga
Khushion se barh k ghum mile zindagi mein
Lekin ghamon mein bhi muskurana

Acha Laga
Kashti bhi thi, sumandar bhi tha, kinara bhi tha
Phir bhi pagal dil ko doob jana

Acha Laga
 

Fantasy

~ The Rebel
Hot Shot
Sep 13, 2011
48,910
11,270
1,313

تتلیوں‌کا مجھے ٹوٹا ہوا پر لگتا ہے
دل پہ وہ نام بھی لکھتے ہوئےڈر لگتا ہے

رات آئی تو ستاروں بھری چادر تانی
خوبصورت مجھے سورج کا سفر لگتا ہے

یہ بھی سوتے ہوئے بچے کی طرح ہنستا ہے
آگ میں ‌پھول فرشتوں‌کا ہنر لگتا ہے

زندگی تو نے مجھے قبر سے کم دی ہے زمین
پاؤں پھیلاؤں تو دیوار میں‌ سر لگتا ہے

میں تیرے ساتھ ستاروں سے بھی گذر سکتا ہوں
کتنا آسان محبت کا سفر لگتا ہے

 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah

نوحہ کناں ہے اب کے عروسِ بہار بھی
قبروں پہ سوکھ جائیں گے پھولوں کے ہار بھی

مل جائے چین روحِ اذیت پسند کو
آ اے شبِ فراق ہمیں اب گزار بھی


حالات آ گئے ہیں ہمیں لے کے اس جگہ
اٹھنے لگا ہے ہم سے ترا اعتبار بھی


صحراؤں کی مسافتیں اور اس پہ مستزاد
ملتا نہیں درخت کوئی سایہ دار بھی


اب شہر میں ہے اہلِ تجارت کو دستیاب
راتوں کی آبرو بھی، سحر کا وقار بھی


شمشیر زن تھا کوئی تو کوئی کماں بدست
کوئے رقیب میں بھی، سرِ بزمِ یار بھی
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah

درمیاں گرچہ تضادات کا امکان بھی ہے
میں ترا عکس بھی ہوں تو مری پہچان بھی ہے

وقت سینے میں جو پیوست ہے خنجر کی طرح
آنکھ میں تیرتے خوابوں کا نگہبان بھی ہے


قرب چھن جائے تو شمعوں کو نہ بجھنے دیجے
ہجر گر روگ ہے سینے کا تو مہمان بھی ہے


شام کے سرمئی آنچل میں جدائی ہی نہیں
تیری مہکی ہوئی یادوں کا پرستان بھی ہے


صرف حالات نہیں ترکِ تعلق کا سبب
اس میں کچھ حلقۂ احباب کا احسان بھی ہے


حرمتِ گل کے خریدار یہ دھیاں میں رکھیں
اس تجارت میں کسی چیز کا نقصان بھی ہے


تیری ہر بات اگر حکمِ خداوندی ہے
یہ خموشی مرے انکار کا اعلان بھی ہے
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Sochta Hoon K Usy Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?

Is Zameen Pe Bhi Hai Selaab Mere Ashkon Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilaati Hogi

Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Kar Shamain
Apni Palkon Pe Kayi Khawab Sulati Hogi

Us Ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rang Lebaas
Ab Moharram Ki Tarha Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Main Pagal
Jab Bhi Zulfon Main Koi Phool Sajati Hogi

Mere Tareek Zamanon Se Nikalne Wali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilaati Hogi

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hongi
Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi

Roop De Kar Mujhe Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi.
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Mujhe Jeenay Ki Umeed Dobara De Do
Meri Doobti Kashti Ko Kinara De Do

Main Dard K Sahil Pe Tanha Khara Hun
Phir Aa K Apni Baahon Ka Sahara De Do

Tera Daaman To Bhara Hai Sitaron Se
Mujhe Sadqay Me Ek Sitara De Do

Mere Aangan Me Aj Andhera Hai Bohat
Meri Dehleez Ko Phir Apna Nazara De Do

Chand Lamhay Tujhe Dekhne K Hasrat Hai Bs
Mene Kab Kaha Waqt Apna Mujhe Sara De Do...
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hun
Bhula Deta Hun Dard-O-Gham Zara Aaram Leta Hun

Na-Jane Kon Sa Jazba Mujhe Majboor Karta Hai
Main Aksar Be-Khudi Me Bhi Tumhara Naam Leta Hun

Yaqeen Karta Nahi Koi Bhi Meri Be-Gunahi Ka
Main Khud Chup Chap Apne Sar Pe Har ilzam Leta Hun

Mujhe Har Bat Par Rona Kabhi Acha Nahi Lagta
Isi Khatir Main Apne Gham Hansi Me Taal Deta Hun...
 
Top