~~@~~ Kuch Gazalein My Fav ~~@~~

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
Aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

O jaane vaale aa ki tere intazaar mein
Raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
Sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye

Kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
Patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye

Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
Aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

Kya kya tavaqqoat thi aahoN se ai ‘ Kabir ’
Ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye

---------- Post added at 11:41 PM ---------- Previous post was at 11:41 PM ----------

Dil jalanay kee baat kartay ho

aashiyanay kee baat kartay ho

ham ko apnee khabar nahi yaroo

tum zamanay kee baat kartay ho

saree duniya kay ranj o gham day kar
muskuranay kee baat kartay ho

zikar maira sunaa tu chir kay kahaa
kiss dewanay kee baat kartay ho

hadsaa thaa guzar gayaa hogaa
kiss kay jaanay kee baat kartay ho

---------- Post added at 11:41 PM ---------- Previous post was at 11:41 PM ----------

MaiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
Magar us ne mujhe chaaha bahut hai

Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
Ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai

MaiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
Tumhaare saath ek lamhaa bahut hai

Meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
Ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai


Vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
Mujhe pehchaan le, itnaa bahut ha

---------- Post added at 11:42 PM ---------- Previous post was at 11:41 PM ----------

Agar dard-e-muhabbat se na insaaN aashnaa hotaa
Na marne kaa mazaa hotaa, na jiine kaa mazaa hotaa

HazaaroN jaan dete haiN butoN kii be-vafaa’ii par
Agar un meN se ko’ii baa-vafaa hotaa to kyaa hotaa

Agar dam bhar bhii miT jaatii Khalish-Khaar tamannaa

Dil hasrat talab ko apnii hastii hai gilaa hotaa

Ye maanaa be-hijaabaanaa nigaaheN qah’r kartii haiN
Magar husn-e-hayaa parvar kaa aalam duusraa hotaa

---------- Post added at 11:42 PM ---------- Previous post was at 11:42 PM ----------

Koi Dil ko choo kar guzar gaya abhi abhi
Khamosh Dil main woh shor kar gaya
abhi abhi

Dil main sakoon tha us se milne se pehle
Dil ki khizaon pe koi bahar kargaya
abhi abhi

Yeh kya hogaya hum ne kabhi socha na tha
Pursakoon raaton ko koi besakoon kargaya abhi abhi

Ab to har pal us hi ki yaadein hain
Mujhe apno se bhi koi paraya kar gaya abhi abhi

Hum to sapne pehle bhi dekhte the
In sapno ko koi Haseen kargaya abhi abhi

---------- Post added at 11:42 PM ---------- Previous post was at 11:42 PM ----------

Badalta Waqt Kaa Aik Silsila Sa Lagta Hai
Ke Jab Bhi Dekhon Ose Dusara Sa Lagta Hai

Mara Husn Kisi Admii Kaa Husm Nahi
Kisi Buzurg Ki Sachchi Dia Sa Lagta Hai

Teri Nigaah Ko TamizRang-O- Nuur Kahan
Mujhe Tu Khun Bhee Rang-E-Hina Sa Lagta Hai

Damag-O-Dil Hon Ager Mutnain Tu Chaon
Hai Dhup ThapeDaLu Ka BHi Thandi Hawa Sa Lagta Hai

Woh Chhat Pe Agaye Betab Ho ke Akhir
Khuda Bhe Ajj Sharik-e- Dua Sa Lagta Hai

Tumhara Hath Jo Aya Hai Haat main Mare
Ab Aitabar Ka Musam Hara Sa Lagta Hai

Nikal Kar Dekho kabhe Nafraton Ke Pinjare Say
Tamam Shahar Ka Manzar Khula Sa Lagta Hai

---------- Post added at 11:44 PM ---------- Previous post was at 11:42 PM ----------

kon smjy m@@ir atanhaa hona
ye hai dunyaa se shanasa hona

ik shaguftaa khyaal ayaa tha
hai us husan ka yak jaan hona

lafz roshan hoe un ankhoon mein
ye andheroon ka hai pspa hona

kb tk ankhein ye bahein gi aaisy
ik samandr ko hai sehra hona

bd gumani he sahi ho to sahi
ik taluq ka yu paiida hona

SAAD jee or b jaan lewa hai
us k bimaar ka acha hona


---------- Post added at 11:44 PM ---------- Previous post was at 11:44 PM ----------

parde parde me.n aataab achchhe nahii.n
aise a.ndaaz-e-hijaab achchhe nahii.n

mayakade me.n ho gaye chup-chaap kyo.n
aaj kuchh mast-e-sharaab achchhe nahii.n

ai falak kyaa hai zamaane kii bisaat
dam-ba-dam ke i.nqalaab achchhe nahii.n

bazm-e-vaa_iz be-sharaan achchhe nahii.n
aise jalase be-sharaab achchhe nahii.n

taubaa kar le.n ham may-o-maashuuq se
be-mazaa hai.n ye savaab achchhe nahii.n

ik najuumii "Daag" se kahataa thaa aaj
aap ke din ai janaab achchhe nahii.n

---------- Post added at 11:44 PM ---------- Previous post was at 11:44 PM ----------

na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuchh na hotaa to Khudaa hotaa
Duboyaa mujh ko hone ne, na hotaa mai.n to kyaa hotaa


huaa jab Gam se yuu.N behis to Gam kyaa sar ke kaTane kaa
na hotaa gar judaa tan se to zaa.Nno.n par dharaa hotaa


[behis=shocked/stunned, zaa.Nno.n=thigh]


huii muddat ke 'Ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
wo har ek baat pe kahanaa ke yuu.N hotaa to kyaa hotaa

---------- Post added at 11:44 PM ---------- Previous post was at 11:44 PM ----------

'Nasir' kyaa kahataa phirataa hai kuchh na suno to behatar hai
diivaanaa hai diivaane ke muu.Nh na lago to behatar hai

kal jo thaa vo aaj nahii.n jo aaj hai kal miT jaayegaa
ruukhii-suukhii jo mil jaaye shukr karo to behatar hai

kal ye taab-o-tavaa.N na rahegii Tha.nDaa ho jaayegaa lahuu
naam-e-Khudaa ho javaa.N abhii kuchh kar guzaro to behatar hai

kyaa jaane kyaa rut badale haalaat kaa ko_ii Thiik nahii.n
ab ke safar me.n tum bhii hamaare saath chalo to behatar hai

kapa.De badal kar baal banaa kar kahaa.N chale ho kis ke liye
raat bahut kaalii hai 'Nasir' ghar me.n raho to behatar ha

---------- Post added at 11:45 PM ---------- Previous post was at 11:44 PM ----------

paaraa paaraa huaa pairaahan-e-jaan
phir mujhe chor gaye chaaraagaraan



koi aahaT na ishaara na sharaab
kaisaa viraan hai ye vast-e-imkaan


vaqt ke sog main lamhoon kaa juluus
jaise ek qaafilaa-e-nauhaagaraan

---------- Post added at 11:45 PM ---------- Previous post was at 11:45 PM ----------

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa

aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa

jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa

weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa

manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa

naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa

kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa

---------- Post added at 11:46 PM ---------- Previous post was at 11:45 PM ----------

hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki


kis haal main hain tere satyee howe ye log
tu ney poochney ki bhi zehmat kabhi naa ki


mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii


chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
iss tarah uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii


her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii


ek khawab tha jo apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii


ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313

Setaroon Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Hogi
Yeh Nagmay Gungunanay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Main Teri Chaand Yadoon Ko Gazal Ka Roop Day Donga
Tumharay Aazmanay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Doaoon Kay Tabassum Say Ghataoon Ka Jegar Peglay
Mager Yoon Muskuranay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Nasheman Zindagi Ka Noor Say Bhi Khoob Roshan Hai
Sumander Kay Ltanay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Faraq o Wasal Ke Bateen Tu Touheen -e- Mohabbat Hain
Kese Kay Dorr Janay Say Mohabbat Kam Na Hogi


Charaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Har Ghari Har Dam
Keh Teray Yoon Satanay Say Mohabbat Kam Na Hogi
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
khawab kitnay ajeeb hotay hain...
in main sayay qareeb hotay hian...
neend main tum jaga k sottay ho...
bolo , aisay habib hotay hian....
khoff khatay hian apnay sayay say..
woh jo humran naseeb hotay hian...
kuch to rakhtay hian woh khabar apni...
tum say achay raqeeb hotay hain...
mot detay ho zindagi k evaz...
socho aisay tabeeb hotay hian...
har rakawat aboor kar dalaian...
ahal-e dil b naqeeb hotay hain...
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
[FONT=&quot]Door Aaj Hain ,
Yaad Atay Tou Hain
Khawab Udhuray Sahi ,
Khawab Saharay Tou Hain
Aaj Bhi Meri Rahien Rokti Hian
Yaadein Teri Daman Kheenchti Hain
Bhool Chukay Hain Jo Hamay ,
Yaad Atay Tou Hain
Sadyion K Faslay ,
Aaj Hain Dermiyan
Ho Jayien Mager Jitni Bhi Dooriyian
Aap Jahan Bhi Rahein ,
Aap Hamaray Tou Hain
Khawab Adhuray Sahi ,
Khawab Saharay Tou Hain
Janay Kab Phir Milay Tere Mere Rastay
Saath Tootay Nahi , Yaad Itna Rahay
Raat Dhalni Hai ,
Ujalay Anay Tou Hain
Khawab Udhuray Sahi ,
Khawab Saharay Tou Hain [/FONT]

 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
khobsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain
khobsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhi muskan
saja de
khobsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey
khobsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein
khobsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka madawa baney
khobsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khobsoorat hain wo Aankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho
khobsoorat hain wo aansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jaein
khobsoorat hain wo Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein
khobsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey berhein !!!!!
khobsooart hai wo sooch
jo kisi ke liye acha soochey
khobsoorat hai wo insan
jis ko KHUDA ne ye
khobsooratiÂn ata ki
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313

har dil main aitbaar ki shama roshan nahi hoti.
pyar ke liye zindagi kam nahi hoti.
khwahish par gar kisi ka zor nahi,
wasi khwahish dare khwahish kabhi kam nahi hoti......


manzil ke karib aake bhi lagta mai door hoon.
tere milne ki khwahish main karta zaror hoon.
yeh janta hoon main ke tu na hogi kabhi mere.
khwahish ke samundar mein utarta zaroor hoon.
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Kisi Din...
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kia roz garajte ho baras jao kisi din
razon ki tara utro mere dil ,main kisi shab
dastak pe meri haath ki khul jao kisi din
pairon ki tara huasn ki barish main naha loon
badsal ki tara jhoom k ghar aao kisi din
khushboo ki tara guzro mere dil ki gali se
phoolon ki tara mujh pe bikhar jao kisi din
guzrain jo mere ghar se to ruk jain sitare
is tara meri raat ko chamkao kisi din
main apni har ik sans usi raat ko de doon
sar rakh k mere seene man so jao kisi din
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
kisi ko mahriban likhnay lago jab

na likhna aasman,likhnay lago jab

chupana mat haqiqat ko kabhi tum

kisi ki dastan likhnay lago jab

na karma zikr mera bhool kar bhi

kabhi majboriyan likhnay lago jab

bhula dayna na mera naam yaroo!

Wafayay doostan likhnay lago jab

Na karma baat meri zindagi ki

Magar hayraniyan likhnay lago jab

Wohin likhna meray gham ka fasana

Ghamoon ko baykaran likhnay lago jab

Khushamad ki zara bhi boo na ayay

Kisi ki khubiyan likhnay lago jab

Na ayay zalimoon ka tazkira tak

Meri mahroomiyan lihnay lago jab

Zuban shayista-e-tahzeeb rakhna

Mohabat ka bayan liknay lago jab………​
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Kisi Shaam Ki Pehar Main Wo Deewana

Tujhe Khara Nazar Aaye Ga

Tere Deedar Ki Hasrat Se Udaas

Magar Tanha Nazar Aaye Ga

Haan Aisa Deewana

Jis Ki Subah Hoti Hai Tere Naam Se

Jis Ki Shaam Hoti Hai Tere Naam Se

Jis Ki Saansein Chalti Hain Tere Naam Se

Tere Milan Ki Aas Se Be Khabar

Dunya Main Tanha Nazar Aaye Ga

Haan Aisa Deewana

Jo Tujhe Bohot Pyar Karta Hai

Apne Khawabon Main Apne Khayalon Main

Apni Wafaon Main Apni Duaon Main

Apni Socho Main Apni Tanhaiyon Main

Apne Sher Main Haan Apne Geeton Main

Kisi Bhi Pal Tujhe Teri Raah Main

Khara Nazar Aaye Ga

Haan Aisa Deewana

Jis Ki Aas Bus Yehi Hai

Tum Kisi Din Us Ko Yaad Karo Gi

Yaad Magar Is Ki Wafa Main

Is Ke Marne Ke Baad Karo Gi

Haan Us Waqt Tum Jahan Bhi Jaao Gi

Tujhe Is Ka Saaya Nazar Aaye Ga

Tere Deedar Ki Hasrat Se Udaas

Magar Tanha Nazar Aaye Ga



 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Kuch Bhi Nahi.....
Socha naheen accha bura
Dekha suna kuch bhee naheen
Manga Khuda say hur waqt...
Teray siwa..... Kuch bhee naheen!
Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata....
Teri khata kuch bhee naheen!
Jis par hamari aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha...... Kuch bhee naheen
Aur aik shaam kee dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha.....kuch bhee naheen!
 

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Kuch Likhna Chahatee Hoon
Sochtee Hoon Kya Likhoon ?
Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?
Kuch Likhna Chahatee Hoon
Sochtee Hoon Kya Likhoon?
Thi Chehre Par Unke Muskurahat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh pyaar
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?
Kuch Likhna chahatee Hoon
Sochtee Hoon Kya Likhoon?
Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon Tho Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?
Kuch Likhna Chahatee Hoon
Sochtee Hoon Kya Likhoon?
Yaadoon Mein Unke Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soyee Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?
Kuch Likhna Chahatee Hoon
Sochtee Hoon Kya Likhon?
 
  • Like
Reactions: Cute-Angel

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gay.....
Kia tha main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!

MAGAR

Ik baat hai piyare...
Kabhi jo waqat mil jaye,
To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno....!!!
Main khush to hoon lakin,
Lahoo har lafz roota hai....​
 
  • Like
Reactions: Cute-Angel

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Dekhnay ko hamain wo KHAWAB Millay ,
Soch ker bhi jinhain SAWAB Millay,
Is trah wo milla hai yadoon Main,
Jaissay khoi hui KITAAB Millay,
Jurat-e-arz ker to bethay Hain,
Janay ab kia humain JAWAAB Millay,
Kiss ka chehra Qateel perhtay Hum ,
Logg Orhay Huey NAQAAB Millay.
.........
 
  • Like
Reactions: Cute-Angel

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313

Lout Aaye Hain, Wahee Beetey Zamaaney, Fir Sey!

Lagee Hai Andleeb, Taan Sunaaney Fir Sey!!



Baansurree, Fir Wahee, Bajney Lagee Hai Panghat Pai

Gopiyaan Aayeen Hain, Jamunaa Pai Nahaaney Fir Sey!



Nand-Laalaa Ney, Wahee Chheirh-Chhaarh Fir Kee Hai;

Aur, Radhaa Ney, Banaaye Hain Bahaaney, Fir Sey!



Shuroo Huye Hain Wahee Raas-Rang, Gokul Mein!

Koun Laayaa Hai Ye Navneet Khilaaney Fir Sey!!



Maa Jashodaa Ney Teir Kar, Waheen Bulaayaa Hai;

Apney Kaanhaa Ko Dahee-Doodh Pilaney Fir Sey!



Un Uyoonoun Mein Lout Fir Sey Chamak Aayee Hai

Jin Uyoonoun Ko Parhey Ashk Bahaaney, Fir Sey!



Koun, Mathuraa Mein, Lout Fir Sey Aa Gayaa Hai ‘Abd’

Aaj, Kubjaa Ko Nayaa Roop Dilaaney, Fir Sey!!’
 
  • Like
Reactions: Cute-Angel

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Udaas udaas na ho yon, gham e nihaan ko na dekh
karam ko dekh, sitam haay daastan ko na dekh

Ye bekali, ye azyat, ye gham ye mehroomi
nigah kar dil e betaab par, jahan ko na dekh

Faraib kha, meray bujhtay howay tabassum ka
nigah e lutf say meray dil e tapaan ko na dekh

Bujhay charagh ki kam maaigi pe ashk bahaa
palat palat kay sitaron kay karwan ko na dekh

Elaaj jor o jafa tark e rasm o rah nahi
jo ho sakay to nibha, kho e dostan ko na dekh

Tera maqaam sitaron say hay paray SHEZAAD
bujhay bujhay say iradon say aasman ko na dekh
 
  • Like
Reactions: nasa and Cute-Angel

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Der lagi aanay me tum ko, shukr hay phir bhi aayay to
aas naydil ka saath na chora waisay ham ghabraay to

Shafaq,dhanak,mahtab,ghataen,taray,naghmay,bijli ,phool
is daaman me kia kia kuch hay woh daaman hath me aayay to

Chahat kay badlay me ham to bech den apno marzi tak
koi milay to dil ka gahak,koi hamen apnaay to

Kiun ye meher angaiz tabassum,madd e nazar jab kuch bhi nahi
haay koi anjan agar is dhokay me aa jayay to

Suni sunaai baat nahi ye apnay ouper biti hay
phool nikaltay hen shulon say,chahat aag lagayay to

Nadani me aur majboori me yaaro kuch to farq karo
ek bebas insaan karay kia toot kay dil aajayay to
 
  • Like
Reactions: Cute-Angel

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Wo Kaisa Shakhs Hai Ke Har Roz Saza Deta Hai,
Phir Hansata Hai Wo Itna Ke Sab Bhula Deta Hai,

Kabhi Jo Ro De To Mujhko Bhi Bhool Jaata Hai,
Aur Phir Bhool Kar Mujhko Bhi Rula Deta Hai,

Hamare Paas Na Aane Ki Kasam Kha Kar Wo,
"Aaja" Likha Hai Wo, Kagaz Pe Uda Deta Hai,

Usse Puchho Ke Bata Kisse Mohabbat Hai Tumhe,
Naam Sargoshi Mein Mera Hi Suna Deta Deta Hai,

Kabhi Kehta Hai Chalo Sath Hamesha Mere,
Chal Padun Saath To Rasta Hi Phir Deta Hai,

Khud Hi Kehta Hai Na Dohrao Purani Yaadein,
Main Na Dohraun To Phri Khud Hi Suna Deta Hai,

Khud Hi Likhta Hai Ke Jazbaat Mein Halchal Na Karo,
Aur Phir Khud Hi Nayi Aag Laga Deta Hai...
 
  • Like
Reactions: Cute-Angel

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Mujh May Unki Sana Ka Saliqa Kahaa
Woh Shaahe Do Jahaa Woh Kahaa May Kahaa

Un Ka Madd-Ha Sara Khaaliqe Asra
Woh Rasoole Zamaa Woh Kahaa May Kahaa

Un Ke Daaman Se Wabasta Meri Nijaat
Unpe Qurbaan Meri Hayaato Mamaat
May Gunahgaar Woh Shaaffaaey Aasiyaa
Bekaso Ki Amaa, Woh Kahaa May Kahaa

Woh Madinah Nagina Jo Hai Arsh Ka
Woh Madinah Bharam Jo Bana Farsh Ka
Woh Madinah Jahaa Rehmate Bekaraa
May Bhi PahoChu Wahaa, Woh Kahaa May Kahaa

Shak Nahi Aey Riyaz Is May Hargiz Zara
May Saraapa Khata Woh Saraapa Ata
Naam Un Ka Rahe Kyo Na Virde Zubaa
Hai Jo Taskine Jaa Woh Kahaa May Kahaa
 
Top