ilm e nafsiyat part 1

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0


assalam o alaikum.:)

choti si taareef : ye insan ki qaasiyat hai k agar uski ksi kaam par choti si taareef kardi jaaye to usse ek hausla haasil hota hai.aur uski himmat us kaam me barh jaati hai aur wo samjhne lagta hai k main sahih simt me jaaraha hon.isliye hame apne bacchaon ki taleem k maamle me waqt bar waqt tareef karte rahni chahiye.taake unka hausla badhta rahe.

choti si tanqeed : iska maamla bhi theek usi tarha hai k jab ksi ko hum ksi maamle me tanqeed karte hain to unka hausla kum hojata hai.aur wo khudko ehsaas e kamtari me mubtela karne lagte hain.aur samajhte hain k ye kaam hamare liye mushkil hai.aise log is waqiye ko yaad rakhen k ( ek martaba ek painter ne ek tasveer banayi aur ksi road par rakhkar logaon se kaha k is tasveer me ghaltian nikaliye.logaon ne us tasveer ko dekha aur bahot saari ghaltian nikal din.wo painter apne walid k paas aaya aur kahne laga k logaon ne meri painting me itni saari ghaltian nikali hain.yaani mera kaam qarab hai.tab uske walid ne kaha k ab yahi painting lekar jaao aur logaon se kaho k "is painting me jo ghaltian hain usse sahih karden.tab saare logaon ne yahi kaha k ye painting to mashaAllah bahot acchi hai."

thodi si la parwaahi : insan ko us kaam me bahot peeche dhakail deti hai.tab hi to hum aksar bacchaon ko dekhte hain k agar wo ek din ka home work nahi karte hain to dosre din wo school jaane se darte hain k sir ki daant paregi aur wo us din school ko chutti kardete hain.aur isi tarha mera ek shoes hai jisse main rozana office jaate waqt istemal karta hon.chund ek dinaon se maine usse saaf nahi kia.uske baad meri be ehtiyaati shru hogayi aur chund dinaon me wo shoes qarab hogaya.

raaz ki baat : apne doston ko apne raaz ki baat utni hi batao jitna wo aapke dushman hone par aapko nuqsaan na pahunchasake.kyunke aksar ye dekha jaata hai k log apne raaz ki sab baatein apne dostaon ko bata dete hain.aur jab un dono me na ittefaaqi paida hojaaye to wo in baataon ko hamare khilaaf me istemal karte hain.

apne baare me : apne qaas doston se pooch lia karen jo aapko acchi tarha jante hon k hum aapki nazar me kaise hain.kyunke iska maamla aisa hai k insan khud apni peeth nahi dekh sakta.isi tarha baaz dafa insan apni khoobiyaon aur khaamiyaon se waqif nahi rahta laikin agar aap ksi se pooch len to tab jaakar aapko pata chalta hai k hum me ye khoobiyan aur khaamiyan hain.

apne daawe me : agar aapka dawaa sahi ho to apne daawe(baat) me mazboot aur saabit qadam rahen.kyunke insan ki ye nafsiayat hai k wo bahot se logaon ko apne mukhaalif me dekhkar apni baat se dastbardaar hojata hai.laikin agar aap apni baat par hi qayam rahen to aapko chund mushkilaon baad hi sahi koi na koi himayati mil hi jaata hai.

apni baat : aksar log apni baat ko logaon me manwane keliye hatdharmi aur saqt lahja istemal karte hain.jisse hota ye hai k jisko aap samjhaana chahte hon wo ananiyat par utar aata hai.aur aapki baat ko radd kardeta hai.isliye kabhi bhi ye nahi kahna chahiye k ye kaam ko to main yun karsakta hon.balke buzurgaon ne kaha k agar hosake to kar guzro laikin aisa na kaho.

note : in bataon se tamam ka muttafiq hona zaroori nahi.[-X
agar aapko kuch accha lagey to thanks hit kardijiye warnaaaaa...................... kuch nai :(
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
mashaAllah bro..
ap to totay dene lag gae hoo..
mazak kar raha hoon.. ..
bohot hi umda sharing bro..
yeh sab apne khud se likha?
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0


assalam o alaikum.:)

choti si taareef : ye insan ki qaasiyat hai k agar uski ksi kaam par choti si taareef kardi jaaye to usse ek hausla haasil hota hai.aur uski himmat us kaam me barh jaati hai aur wo samjhne lagta hai k main sahih simt me jaaraha hon.isliye hame apne bacchaon ki taleem k maamle me waqt bar waqt tareef karte rahni chahiye.taake unka hausla badhta rahe.

thek kaha..

choti si tanqeed : iska maamla bhi theek usi tarha hai k jab ksi ko hum ksi maamle me tanqeed karte hain to unka hausla kum hojata hai.aur wo khudko ehsaas e kamtari me mubtela karne lagte hain.aur samajhte hain k ye kaam hamare liye mushkil hai.aise log is waqiye ko yaad rakhen k ( ek martaba ek painter ne ek tasveer banayi aur ksi road par rakhkar logaon se kaha k is tasveer me ghaltian nikaliye.logaon ne us tasveer ko dekha aur bahot saari ghaltian nikal din.wo painter apne walid k paas aaya aur kahne laga k logaon ne meri painting me itni saari ghaltian nikali hain.yaani mera kaam qarab hai.tab uske walid ne kaha k ab yahi painting lekar jaao aur logaon se kaho k "is painting me jo ghaltian hain usse sahih karden.tab saare logaon ne yahi kaha k ye painting to mashaAllah bahot acchi hai."

wese sirf ye b nhi kaha ja sakta k tenqeed karna acha nhi..agr tasveer ka dosra rukh dekhna jaye to..tanqeed baraye tameer ho to boht faida deti hai..bal'k hosla bharta hai..kam'az kam koi to hai jo apki cheez ya ap k kam ko itni achi tarha dekhta hai k woh is me islah k pehlu batata hai..lekin ye baat us insan pe b depend karti hai jis par tanqeed ki jaye k akhir woh tanqeed ko kis tarha se leta hai..positive ya negative..
it's my life experience k insan tanqeed se boht kuch seekh jata hai..tanqeed karne wala b ese tanqeed kare k tanqeed baraye tameer ho na k tanqeed sirf baraye tanqeed hi ho..
ye jo wakiya likha ap ne ye is baat ko zahir karta hai k boht se log hote hain jo sirf tanqeed karna jante hain ..us tanqeed me koi istalahi pehlu nhi hota..jese us shakh se next day apni painting bazar me lagayi k galtiyan sahi kar den..to kisi ne us painting pe koi islah nhi ki,na koi jawab di..yahi kuch log khud to kuch kar nhi sakte or sirf dosron pe tanqeed hi kar sakte hain

thodi si la parwaahi : insan ko us kaam me bahot peeche dhakail deti hai.tab hi to hum aksar bacchaon ko dekhte hain k agar wo ek din ka home work nahi karte hain to dosre din wo school jaane se darte hain k sir ki daant paregi aur wo us din school ko chutti kardete hain.aur isi tarha mera ek shoes hai jisse main rozana office jaate waqt istemal karta hon.chund ek dinaon se maine usse saaf nahi kia.uske baad meri be ehtiyaati shru hogayi aur chund dinaon me wo shoes qarab hogaya.

ji..waike hi la parwahi ache bhale bande ka bera gharak kar deti hain..(jese mera:( )

raaz ki baat : apne doston ko apne raaz ki baat utni hi batao jitna wo aapke dushman hone par aapko nuqsaan na pahunchasake.kyunke aksar ye dekha jaata hai k log apne raaz ki sab baatein apne dostaon ko bata dete hain.aur jab un dono me na ittefaaqi paida hojaaye to wo in baataon ko hamare khilaaf me istemal karte hain.
hmmm..bilkul thek..jo aj dost hain woh kal dushman b ho sakte hain

apne baare me : apne qaas doston se pooch lia karen jo aapko acchi tarha jante hon k hum aapki nazar me kaise hain.kyunke iska maamla aisa hai k insan khud apni peeth nahi dekh sakta.isi tarha baaz dafa insan apni khoobiyaon aur khaamiyaon se waqif nahi rahta laikin agar aap ksi se pooch len to tab jaakar aapko pata chalta hai k hum me ye khoobiyan aur khaamiyan hain.
hmmmm...

apne daawe me : agar aapka dawaa sahi ho to apne daawe(baat) me mazboot aur saabit qadam rahen.kyunke insan ki ye nafsiayat hai k wo bahot se logaon ko apne mukhaalif me dekhkar apni baat se dastbardaar hojata hai.laikin agar aap apni baat par hi qayam rahen to aapko chund mushkilaon baad hi sahi koi na koi himayati mil hi jaata hai.
thek..

apni baat : aksar log apni baat ko logaon me manwane keliye hatdharmi aur saqt lahja istemal karte hain.jisse hota ye hai k jisko aap samjhaana chahte hon wo ananiyat par utar aata hai.aur aapki baat ko radd kardeta hai.isliye kabhi bhi ye nahi kahna chahiye k ye kaam ko to main yun karsakta hon.balke buzurgaon ne kaha k agar hosake to kar guzro laikin aisa na kaho.

note : in bataon se tamam ka muttafiq hona zaroori nahi.[-X
agar aapko kuch accha lagey to thanks hit kardijiye warnaaaaa...................... kuch nai :(
 

sOhNi_

Super Star
Sep 4, 2010
5,507
3,502
1,113
MASHALLAH...
Great sharing .....
Bht achi aur sachi baatien likhi hain appne...
Thnx for sharing....keep writing n keep sharing
Khush Rahien
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Wahhh wahhhhhhhhhhh.......
Kya baat hai Arshad bhayi......
Umdaaaaaaaaaaaaaaaaaaa......{(ok)}
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
masha Allah bohot khoob janab
Allah apko aur ham sab ko bhi sahi baton par amal ki taufeeq de Aameen
 
Top