"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"(Hazrat ALI R.A )
[FONT=Geneva, Arial, Sans-serif]sadqa jab apne malik k hath se nikalta hai to us waqt 5 jumlay kehta hai
1> main fani maal tha tu ne mujhe baqa di 2> mein tera dushman tha ab tu ne mujhe dost bana lia 3> aj se pehle tu meri hifazat karta tha ab main teri hifazat karounga 4> main haqeer tha tu ne mujhe azeem bana dia 5> pehle main tere hath main tha ab main khuda k hath main hoon
Jo Aadmi ya aurat Allah Azzwajal say aik din mein 70 martaba astagfar karta hai Allah Azzawajal us key 700 Gunah Maaf farma deta hai.( Shab-ul-Eman, jild1.pg442 )
[FONT=Times New Roman, Times, Serif]Sarkar-e-Madina (Salallaho Ta'ala Alehi Wa'alehi Wassalaam) Farmatay hain: Jo Shaks Allah Ta'ala Ka Zikr karta hai aur jo Allah Azawajal ka Zikr nahi karta un ki misl aesi hai jaisay aik Murda aur aik Zinda. (Bukhari Sharif)
[FONT=Times New Roman, Times, Serif]Sarkar-e-Madinah Salallaho Ta'ala Alehi Wassalam ka Farman:
Jis Nay Kitab mein mujh par Durood Pak Likha tu Jab tak Mera naam us mein rahay ga Faristay us kay lye Astagfar kartay hain.
(Sa'adat-ud-Darain)
[FONT=Times New Roman, Times, Serif]Hazrat Abu Umama Radiallah Ta'ala Anho say Riwayat hai kay Tajidar-e-Madina (Salallaho Ta'ala Alehi Wassalam) ka guzar aik ultay sonay walay par huwa Aap Salallaho Ta'ala Alehi Wassalam nay pair mar kar Farmaya utho yeh Jahanumyuon ka Laitna hai. Faizan-e-sunnat, page:852
[FONT=Times New Roman, Times, Serif]Sarkar Salallaho Ta'ala Alehi wassalam nay farmaya kay Sood ka aik darham jisay insan khalay aur wo janta ho k ye sood ka hai tu us ka gunah chatees (36) martaba zina karnay say bhi ziada sakht hai.Hawala: ahmed, daar katni aur fasad ki jarren
[FONT=Times New Roman, Times, Serif]Sarkar Salallaho Ta'ala Alehi wassalam nay farmaya kay jis nay Ramazan k aik din ka roza bagair ruksat bagair beemari k chor diya tu zamanay bhar ka roza us ki qaza nai ho sakta agerchay baad mein rakhlay. (hawala: bukhari sharif aur fasad ki jarren)[/FONT]
This site uses cookies to help personalise content, tailor your experience and to keep you logged in if you register.
By continuing to use this site, you are consenting to our use of cookies.