Coffee With RedRose- Saviou

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
kia pocho bhi?:|acha ye bataye apko zate tor par females ka job karna pasand hay ya nae?
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155

agar shariat k daire me hai to bilkul karen
jaise k Allah k Rasul sallellahu Alayhi walsallam k zamane me bhi hota tha khud ummahatul momineen khadija r.a tajira thin

to isme koi harj nahi agar ladkian job karen to yahan saudi me bhi ladkian job karti hian parde me rehkar aur unhe koi pareshani nahi hoti :)
 
  • Like
Reactions: Aara'af

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...

shukran janab der aaye durust aaye :)

par aane k sath hi apne kaafi mushkil sawal bhi puch liye hamse
kisi ek ka naam lena bohot mushkil hai ye sawal bhi pehle ho chuka hai kisi teen mems k naam puche gaye the hamse to hamne kehdiya

waise to bohot si aisi shaqsiaten hain yahan jinse ham zaroor milna chahenge agar mauqa mile to
jaise teen naam pehle kahe the
1.Anwar
2.sabah
3.MSC
inke elawa ham Don jo is forum k admin hain unse milna chahenge
hame sajeeda loog kaafi pasand hain aur ham aise logon se kaafi mutassir hote hain
hame Tariq se bhi milna tha jo ke ham unse mil chuke hain aur phir milna chahenge

agar hame sirf ek hi se milne kaha jaye to ham MSC se milna chahenge :)
very nicely replied
Glad to know k aapko mujhse milne mei itni intrested ho....:">
acha to mera sawal yeh hai
k aap mujhse kyun milna chahte hai...:p
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

very nicely replied
Glad to know k aapko mujhse milne mei itni intrested ho....:">
acha to mera sawal yeh hai
k aap mujhse kyun milna chahte hai...:p
bohot bohot shukriya mohtarma :)

hmm ye to mushkil sawal puch liye apne

haan iska simple sa ye jawab hai k

jisliye aap hamse milna chah rahe ho ussi liye ham bhi apse milna chah rahe hain :)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
q:ada n ager ap s chichore queston kiye to ap kiya ??????????
forum chor den g?:(
gusa pi len g?=D>
enjoy karen g?;)
mere ada :xko kuch na kahna plz:-/
ada kaun hai choti ?
kahin aap Atif ki to baat nahi kar rahe ho
wo to gayab hi hian aur jine sabse zyada sawal hua karte the yahan ek bhi nahi
agar wo hamse sawal bhi karen to ache hi karenge ye umeed hai

agar koi sawal theek na kare to usne kahenge aise sawal nakaren aur gussa nahi karenge
balke muskurate huye hi kahenge
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
sahri m kiya chahiye hota h khane m apko?
aftari m?
jo bhi maisar ho :)

waise sehri thora halka sa khana pasand karte hain
yogurt lete hain haan gosht bhi khana pasand hai chahe salan k sath ho ya bhuna hua ya dam kiya hua

iftari me dates, fruits, gahwa, shorba :) ye sab khana pasand karte hain

agar ye sab na bhi hon to koi baat nahi :)
 
*shehzadi*

TM Star
Apr 2, 2010
3,770
1,891
113
pakistan

ada kaun hai choti ?
kahin aap Atif ki to baat nahi kar rahe ho
wo to gayab hi hian aur jine sabse zyada sawal hua karte the yahan ek bhi nahi
agar wo hamse sawal bhi karen to ache hi karenge ye umeed hai

agar koi sawal theek na kare to usne kahenge aise sawal nakaren aur gussa nahi karenge
balke muskurate huye hi kahenge
han hum ada atif ki bat ker rahe hen .
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
COFFEE WITH RR

PART 5

41. kayi aise pal hain jinhe phir se jeena chahenge lekin ye mumkin nahi hai iska bhi yaqeen phir bhi dil me khwahish rehti hai k kash wo din phir wapas ajayen...khaas kar school k din pehli class se leke 10th tak bohot hi njoy kiya hamne bohot masti karte the us waqt agar pata hota k ye din aage chal kar bohot yaad aayenge to usse aur zindadili k sath jeete ham apne se jo chote hain jo shcool me hain unse kehte hain khoob masti karo aur sath me ache se padhayi bhi sirf ek hi tafar na hojay kyun yehi apke behtareen pal hain na zimmedar na kuch...iske elawa hamne hamari nani k sath guzare har pal jisme unhone hame behad pyar diya wo dohrana chahenge wo hamse aur ham unse itna pyar karte the jisko ham alfaz me bayan nahi karsakte jab unki akhri sansen chal rahi thi ham yahin saudi me the call par baat ho rahi thi unko hamari awaaz theek se nahi jaa rahi thi par ham unko sun rahe the bas Nasir kab aayega Nasir bohot yaad aati hai yehi keh rahe the Akhir me hamse raha nahi gaya hamne unko kalima tauheed padhte rehne ki talqeen di phir baad me ghar walon se sune wo kisi se baat nahi kiye jab tak sans chali kalima padhte rahe aur aise hi unka inteqa hogaya...Allah unhe Jannat me aala moqam aata kare Aameen

42. internet par hon ya kahin bhi talluqat badhana to soch samajh kar jald kisi par bharosa karke usse pesonal share karna sahi nahi aur dhoka dena wala kahin bhi deta hai aur aksar suna gaya aur dekha bhi gaya k net par zyadatar dillagi timepaas k liye hi dosti karte hain loog....lekin hamne dekha hai asal zindagi se zyada bhi kabhi net par rishte judh jate hain aur mazboot hote hain khud ham yaqeen nahi karte the par hame aise dost mile jinki dosti k baad hame yaqeen karna padha k yahan bhi rishte ban sakte hain almuheem insan ki soch samajh hai wo kaison se dosti karega dhoka to kahin bhi milsakta hai bas jahan bhi dosti karen rishta badhayen ahtiat se karen

43. subha fajr k liye uthe hain phir sojate hain phir office k liye uthe hain raat koi time nahi aksar kaafi der hojati hai yahan pardes me neend ki kami hai iske kahi wajhoohat hain ghar walon se mulk se door aur ek soch fikr kuch na kuch jab agayi tab sogaye :)

44. koi bhi kaam jo hamare layakh ho diya jaye to karte hain chota ho ya bada kaam karte hain ham ghar me bade rehne ki wajhe se bhai bahen kaam kahan karne dete hain sab bohot pyar karte hain hame kaafi izzat karte hain aur yahan saudi me jitne din akele the khud sab karte the chahe cooking ho ya safai sab kaam abhi sath me bhai rehte hain chachere bhai bhi hain to ye loog phir hame kaam nahi karne dete sab wohi karte hain....kisi kaam se gussa nahi aata

45. jinke akhlaq ache hon honest hon aur sanjeeda ye loog aksar khamosh rehte hain kaam ki baat karenge aur narm andaz me bekar ki guftugu nahi karte aise logon se ham jald mutassir hote hain aur inse milna baat karna acha lagta hai :)

46. An Nikahu min sunnati man ragiba an sunnati fa laisa minni ( nikah meri sunnat hai jo iska inkar karega wo mujhme se nahi ) nikah Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ki sunnat hai aur shadi ko adha imaan kaha gaya hai aur shadi karne par zor bhi diya gaya hai to Nikah agar istetat ho jaye to foran karlena chahiye issi me khair wo barkat hai aur insha Allah iss bandhan me ham issi saal bandhne jaa rahe hain Allah isme aasani aata farmaye Aameen....aur aap sab se bhi dua ki darkhwast hai :)

47. mohabbat ho to hi dosti hoti hai warna bina mohabbat k kaisi dosti haan agar aap mohabbat k alag maine le rahe hain to phir bohot farq ho jayega wo mohabbat jisme ek ladka ladki ek dusre ko pasand karte hain ya phir maa baap ki mohabbat aulad se aulad ki maa baap se sab me alag farq hai dost wo hai jo har waqt kaam hai khaas kar mushkilat me jab dunia thukraye to sacha dost hi hota hai jo apnata hai iski misaal Hazrath Abu bakar siddique r.a ki hai jinho ne Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ka har kadam par sath diya

48. teen aise jage thi jhaan jaane ka bohot shauq tha aur hai
1. Makkah Mukarrama 2. Madeena muanawara 3. masjid Al Aqsa
Makkah aur Madeena ki to ziyarat hogayi aur aksar jaya karte ahin lekin ek khawahish jo abhi baki hai wo Masji Al Aqsa ki hai insha Allah zaroor wahan jana chahenge jaise hi Allah aasan kare aur Allah se dua hai yahudion se wo masjid ko aazad kare phir se usme Allah ki ibadat hone lage Aameen

49. jisne hame kareeb se jana hai shayad wo behtar isse bayan karsake
sanjeeda hain, muskurate rehte hain, simple, zyadatar akele raaton me aasman ki chaun me khud k bare me sochte hain Allah ki banayi huyi kainat ko dekhte hain, aur akhir me bohot sabr hai aur jald gussa nahi hote jo ke Allah ki taraf se nemat hai Alahmdulillah :)

50. bohot acha laga bohot khushi huyi k apne hame itni izzat di yahan bulayae aur jo sawalat apne hamse kiye wo hamare liye kaafi maine rakhte hain aur hame pure dil se apke jawabat diye aur hamara pura mazi samne agaya bachpan se leke school k din college ki shararat aur phir uske elawa kuch aise pal jo hamne yahan share nahi kiye aur nahi us talluq se kisi ka sawal aaya aur sabse ahem hamari nani k sath bitaye sari yaden taza hogayi.......umeed karte hain ap bhi hamare jawab se mutmain huye hone aur mustaqbil me phir se hame aisi zehmat dete rahenge :)
 
ache jwab hen nasir bro=D>
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
mashaAllah saviou bhai...

bohat khoob aap to apni zindagi ko bohat systematic tareeqe se enjoy kar rahe hain, especially diyaar-e-ghair maen...

Allah ta'laa aapko istiqaamat ataa farmaye, ameen

hamaen bhee apni duaon maen khusoosi taur pe yaad rakha karen especially jab apni favourite places to visit kya karen ya'ni Makkah-tul-Mukarramah and Madina Munawwara
 
Status
Not open for further replies.
Top