Yeh Dard K Tukray Hain Ashaar Nahi Saghar (contest)

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Aslaam O Allaykum
palkeiN nam rehne lageiN, dil wehshatoN se bhara ho, jaise bisaat-e-jaaN pe azaab se utar aaey hoN. Beqarari chalknay ko beqarar ho to dil chahta hai k kisi bhi tarah iss meiN bhari ghutan baahir niklay.
Kuch log aisay meiN maar DhaaRh par bhi utar aatay haiN lakin baa-zouq log inn baatoN se duur bhagtay haiN aur woh apnay jazbaat ko sirf aur sirf alfaaz ki soorat biyaan kartay haiN. Rooh ki gehraiyoN se niklay yeh alfaaz suchay motiyoN ki tarah aik laRi meiN piroay jaayeN to beqarari k yeh jazbaat sher ki soorat dhal jatay haiN. jaisa k SAAGAR SADIQUI baray karb se keh gay haiN

yeh dard k Tukray haiN , ashaar nahi SAGAR
Hum kaanch k dhaagay meiN zakhmoN ko pirotay haiN

Khush naseeb hotay haiN woh log jo apnay jazbaat, ehsasaat, seene meiN shor machatay junoon ko alfaaz meiN dhaal lete haiN to dard kuch kam ho jata hai ya yooN kahiay k uski shiddat ka ehsaas kuch had tak kam ho jata hai. SHAKEEB JALALI kehtay haiN

Ek hashar sa bapa tha mere dil mein ay SHAKEEB
kholi jo khiRkiyaN to zara shor ghaT gaya

Iss thread mein karna yeh hai k hum rozana aik
kaifiyat ya halat dein gay jis par aap ne zyada se zyada ashaar post karne haiN. Yeh kaifiyat ya halat kisi khaas lafz ki soorat bhi ho sakti hai .. to aap k ashaar mein woh alfaaz aanay zaroori haiN. jitna guR utna meetha... jitnay ashaar, utnay number.
Aaj ki kaifiyat ya halat hai
masrofiyat
iss lafz ka sher mein aana zaroori nahi hai.

braaey mehrbani agar aap kisi ko TAG kareN to lambi si list laganay ki zarorat nahi hai. Sirf dilchaspi lene walay chand members ko hi tag kijiay.
Award kisay milay ga..... is ka faisla aakhir mein ho ga. 30 November tak yeh Thread chalay ga.

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot acha silsila shuru kiya hai mohtarma aap ne
kya ashaar khud k hone chahiye?

waise ye race wale khel se ham door hi rehte hain lekin jitna ho sake uta baithe baihte daud lagayenge in sha Alalh :p
 

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
ye sochkar dil ko behla rahe hain,
Wo ab chal chuke hain wo ab aa rahe hain!!
Unhe fursat nahi mujhe chahne ki,
Yeh dil dhadkane ham yun hi badha rahe hain!!
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Apni masroofiyat se fursat pa jao to batana,
Jab tanha chod koi chala jaye to batana.
Tune jahan choda tha main ab bhi wahi hoon,
Kabhi koi rasta na samajh aaye to batana!!!
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
wo apni zindagi me hua masroof itna
wo kis kis ko bhul gaya ussey ye bhi yaad nahi
 

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
Usay kaho keh wo apni masroofiat kam kar de
suna hai bicharhne ki yeh pehli nishaani hoti hai
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot acha silsila shuru kiya hai mohtarma aap ne
kya ashaar khud k hone chahiye?

waise ye race wale khel se ham door hi rehte hain lekin jitna ho sake uta baithe baihte daud lagayenge in sha Alalh :p
Pasand karne k liay shukria.
nahi khud k hona zaroori nahi hai.
aap zaroor hissa lijiay.. humein khushi ho gi.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Jinhe Fursat Hi Nahi Milti Zara Sa Bhi Yaad Karne Ki,
Unhe Keh Do Hum Unki Yaad Me Fursat Se Bethe He.
 
Top