Assalaamu alaikum TM doston here I am after a long period of time
with a new ghazal written by S_ChiragH means me IN SHA ALLAH
aap lougon ko ghazal pasand aayegi : )
Ye fikr chorh koun kahan kyun hai
ye soch pakar tu yahaan kyun hai
apne liye hi khana peena jeena marna
yehi karna tha to tu insan kyun hai
wo tera khaliq daata na tera raaziq
to tu farmabardar e shetan kyun hai
zulm dekh kar zulm seh kar chup hai
bata tere munh me zaban kyun hai
nasraniyat tujhe pyari yahood se yaari
sochta hoon tu musalman kyun hai
lahu lahu umaat jahan bhar me hai aaj
soona tere jihaad ka medan kyun hai
Islam me kami na musalmaniyat buri to
teri pehchan hind pak ya afghan kyun hai
libas e muslim e badnam kiye muslim
tere paas naam ka bhi imaan kyun hai
tu hai bakhabar inki hadh e gumrahi se
to inke bughz e ujala pe heran kyun hai
haya wafa rahi deeniyat na achi ada rahi
Chiragh bejanon ke liye pareshan kyun hai
***S_ChiragH***