wo meray haal pay roya bhi , muskuraya bhi
ajeeb shakhs he , apna bhi he parya bhi
ye intizar sahar ka tha ya tumhara tha
diya jalaya bhi mein ne , diya bhujaya bhi
mein chahta hon thehr jaey chashm-e-dariya mein
larazta akas tumhara bhi , mera saya bhi
bohat muheen thaa parda larzti ankhon ka
mujhay dikhaya bhi tu ne , mujhay chupya bhi
biyaz bhar gae aur phir bhi sada he
tumharay naam ko likha bhi aur mitya bhi
Aanis Mueen