Want A Speech

  • Work-from-home

neha_khan

Newbie
Dec 6, 2013
11
6
3
Assalam o alaikum. Mujhe aik speech ki zaroorat hai on topic "Ilm bari dolat hay".

I will be very thankful to you.
 
Zypher

•´¯`•» ριяαтε «•´¯`•
TM Star
Feb 12, 2014
3,687
640
263
Wooooo whn per :P
Assalam o alaikum. Mujhe aik speech ki zaroorat hai on topic "Ilm bari dolat hay".

I will be very thankful to you.
Walikum Assalam

main kuch app k sath share karna chahta hun hope app ki help ho. is main kafi points achy hain ,,

ilm aisa baish qeemat baha khazana hai jisay na tou chor cura sakta hai aur na hi wo istemal karne se kam hota hai. Ye haqeeqat hai ke ilm aik aisi quwat hai jo dunya ki tamam quwaton se bharh kar hai. Is ko zawal nahin. Ilm hi ki badaulat insan ne qudrat ke sar basta razon ko khola aur un par paray hue tamam parday utha diye. Ilm ke zariye hi mukhtalif qisam ki ijadat ki gayien. ilam ki badolat hi insan hawa par sawar ho jata hai, samandaron ko cheerta hai aur pul bana kar daryaon ko aboor karta hai. ilm hi se insan ne hazaron mile ke faslay par qabu pa liya hai. ilm hi ki badolat aaj dunya ki tamam wustain insan ke samne simat kar reh gyi hain.

ilm Ki Fazilat: Ye isi ilm ka karishma hai ke aaj insan khala ki wusaton par hawi hai aur wohi mazahir qudrat jin ko kabhi wo pujta tha aaj us ki khak rah hain. Aaj insan chand tak rasai hasil kar chuka hai aur ghar baithay dusre mulkon ke halaat sunta aur dekhta hai.

Bazurgan-e-deen bhi ilm ki shama jala kar logon ko hidayat ki rah dikhate rahe aur aaj un ke naam zinda hain aur bay ilm tou Khuda ko bhi nahin pehchan sakta. Insan ne ilm ki badolat apne liye asaish aur araesh ke senkron saman paida kiye hain. Us ne aisi aisi shandar emaratain tameer ki hain jo aasman se batain karti hain. Us ne mptpr car, hawai jahaz tak tayar kar liye hain. Printing press aur helicpter tak door been se lay kar wasi nazam tak ijadat ka aisa la mutnahi silsila hai jo ilm ki wajah se wajood mein aya hai.

Dunya ki taraqi ka dar 0 madar ilm par hai, isi ne insan ko insan banaya hai aur naiki badi mein tameez karna sikhaya hai aur isi se insan dusre insan par sabqat hasil kar sakta hai. Wohi insan jo kabhi bijli ki garj se dar jata tha aaj bijli ko is tarah qabu kar chuka hai ke woh is ki tabay farman ho chuki hai aur wo jo kaam chahay us se lay sakta hai aur jis waqt jahan chahe lay sakta hai. Tamam karkhanay aur rail gariyan aur dusri ijadat mein bijli istemal ki ja rahi hai. Yehi tou wajah hai ke tarikh khud gawahi de kar kehti hai ke ilm ki ahmiyat se inkar nahin.

@Hoorain Appo ager kuch ghalti is main lage tu in ko bata dena mujhe tu theek theek laga :)
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

@neha_khan Ye pdf file share kr raha hn check out this is main pori detailed speed hai is topic par Urdu format main, download kr lain.................
thanx both of u :)
@Afrasyyab bro i think wo khud in may se choose kr laingi jo points unhe chahiye huye
Thanx for sharing :-bd
 
  • Like
Reactions: Fanii and Afrasyyab
Top