Woh aksar mujh se kehti thi
wafa hai zaat aurat ki
magar jo mard hotey hain
bohat bedard hotey hain
kisi bhanware ki surat
gul ki khushboo loot laitey hain
suno! tum ko kasam meri
rawayet tor daina tum
na tanha chor ke jana
na hi dil tor ke jana
magar phir yun hua mohsin
mujhe anjaaan rastey par
akela chor kar usney
mera dil tor kar us ney
muhabbat chor di us ne
wafa hey zaat aurat ki