'Urdu Adab' Muqabla - Nov 2011

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalm u alaikum
umeed hai Allah k fazal-o-karm se ap sb thek hon ge:)
ek dafa phr Urdu Adab me ek naye mozu k sath ek naya muqalba shuru krne ja rhi hon..
apko jo topic diya ja rha hai is se mutaliq apko IQTIBAS share krna hai..
ab ki bar apko"INSAN" ka topic diya ja rha hai

rules:
1=iqtibas k sath us k musanif or kitab ka nam zarur likhen.
2=ek member sirf 1 hi sharing kr sakta hai.
3=iqtibas share krne se pehle ye tasali kr len k ye iqtibas pehle se kisi ne share to nhi kia.
4=iqtibas share krne ki last date 20 Nov hai.
umeed hai ap sb is muqable me bharpor shirkat kren ge
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Very Nice n Topic..! :-bd

'll try to Participate..! {(popcorn)}
inshaAllah..apki sharing ka intazar rahe ga sis:)

walaikum assalam
very nice contest n topic annu{(dancing)} i'll surely take part in it INSHALLAH
{(popcorn)}
hmmmmmm{(yahoo)} inshaAllah..:)

nice...i will also share.....
inshaAllah..:)

nice topic
i also participate :)
hmmm yeh huvi na baat..{(yahoo)}apki sharing ka intazar rahe ga.:)

Nice sharing sisoo aaanya...
Asma sis ap b muqable me shirkat kren:)
 

seerat rao

Regular Member
Nov 12, 2011
58
63
68
36
Urdu sites


Duniya kay bazaar mai Sheeraz nay apna zameer baicha tha....Uss nay apna sab say mehanga asaasa sab say "sasta" samajh kar diya tha...Ussay "zameer"k badlay "laakhon" milay....Yeh daam Sheeraz ko accha soda laga....Duniya kay bazar mai Zaini nay apni "Hayaa" rakh di thi....Uss nay apnay sab say qeemti asaasay ko "qeemti" samajh kar hi diya tha...Ussay "haya" k badlay "karoron" milay.....Jo bhi daa...m milay woh Zaini ko hamesha ghaatay ka soda hi laga.

Aansoo ab kia thamtay....Pachtawa ab kia jata....Uss raat woh saari naseehatain ussay yaad aati raheen jo sab ussay kartay rahay thay aur jinhain sun'nay per woh tayyar nahi thi.

"Woh "Haraam Rizq" ko "Man-o-Salwa" samajh kar kha raha hai usay janay do Zaini....Uss kay muqaddar mai Haraam khana hai...."Man-o-Salwa" nahi hai uss ki qismat mai."Uss kay baap nay uss say kaha tha.....Uss kay baap ko kia pata tha kay "Man-o-Salwa" tu Zaini k muqaddar mai bhi bahi tha...Sheeraz apni wajoohat ki wajah say pesay k peechay gaya tha....Woh apni wajhoohat ki wajah say....

"Jo cheez Allah nay dai Zaini ussay Insaanon say nahi maangna chahiye....Warna Insaan bara khuwar hota hai."Maan baap ki baatain itni dair say samajh mai kiun aati hain?


Man-o-Salwa se Iqtibas
 
Status
Not open for further replies.
Top