Teri Ankhain

  • Work-from-home

Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
Bharkaayen meri piyaas ko aksar teri ankhain,
Sehra mera chehra hai, samandar teri ankhain.

Khali jo hui shaam-e-Gharibaan ki haatheli,
Kya kya na luta tii rahiin Gohar teri ankhain.

Ab tak meri Yadoon se mittaai nhi mitta,
Bheegi hui ik shaam ka manzar teri ankhain.

Yun dekhte rehna usey acha nhi Mohsin,
Wo kanch ka pekar hai tu patthar teri ankhain
 
Top